70 Hazaar Ka Majma'
Hazrat Shaykh Naam E Naami Ism E Girami Abdullah Al-Jabai Rehmatullah Alaih Ne Farmaya Ke Mujhe Mahboob E Subhani, Qutbe Yazdani Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilaani Rehmatullah Alaih Ne Bataya Ke Ibteda Meiñ Mere Paas 2-3 Aadmi Baitha Karte The.Phir Jab Mash-hoori Hui To Mere Paas Be-Andaaz Ijtema' Hone Laga. Us Waqt Meiñ Baghdad Ke Muhalla Halba Ki Eid-Gaah Meiñ Baith-ta Tha. Log Raat Ke Waqt Mash'aleiñ Aur Laalteneiñ Lekar Aate Phir Itna Ijtema' Hone Laga Ki Ye Eid-Gaah Bhi Logoñ Ke Liye Tañg Hogayi. Isliye Bahar Eid-Gaah Meiñ Mimbar Rakkha Gaya. Log Door-Daraaz Se Bahot Badi Ta'daad Meiñ Ghodoñ, Khaccharoñ Aur Uñtoñ Par Sawaari Karke Aate, Us Waqt 70 Hazaar Ka Ijtema' Hota Tha. Jin Meiñ Kaseer Taa'daad Meiñ Ulamaa, Fuqahaa Aur Mashaykh Hote The. Aap Ki Majlis Meiñ Afaazil Ulamaa Jinki Taa'daad 400 Ke Qareeb Thi, Wo Qalam Aur Dawaat (Ink)Lekar Haazir Hote The. Is Ko Aap Ke Sahabzaade Sayyiduna Abdul Wahhab Ne Bayan Kiya.
(بہجتہ الاسرار)
No comments:
Post a Comment