SHARAH E DUROOD E A'LA HAZRAT ALAIHIR RAHMA...[KARODOÑ DUROOD]
(Qaafiya Awwal Batarteeb Huroofe Tahajji_Asha'r 4-7)
1.Kaabe Ke Badrud-duja Tum Pe Karodoñ Durood;
Taibah Ke Shams Ud Duha Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Badrud Duja:Andheroñ Ko Khatam Karne Wala Maahe Tamaam, Badr E Kaamil,Chauñdhwi Raat Ka Chaañd;☆Taiba:Madinah;☆Shams Ud Duha:Roshniya Bikherney Wala Chaasht Ka Suraj,Nayyare Taba';]
TASHREEH:
Ka'ba Muazzama Me Tulu' Hokar Kufr Wa Shirk, Jihalat Wa Zulm Ke Tamaam Andheroñ Ko Malya Met Kar Dene Wale Pyare Aaqaﷺ! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmatey Ho. Aur Ae Yathrab Ko Madina Munawwara Bana Deney Waale Nayyare Taaba' Aap Par Khuda ﷻ Ki Karodo Rehmatey Naazil Hoñ. ﷺ
_Hai Sab Duaoñ Se Badh Kar Dua Durood O Salaam;
Ki Dafa' Karti Hai Har Ek Bala Durood O Salam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
2.Shafaa'e Raoze Jaza Tum Pe Karodoñ Durood;
Daafaa'e Jumla Bala Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Shafaye:Shafa't Farmaney Wale.]
TASHREEH:
Aye Qayamat Ke Din Ham Gunahgaaroñ Ki Shafa't Farmaaney Wale Aaqa! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmatey Hoñ.Aur Aye Tamaam Masayb Wa Aalaam Ko Hamse Dur Farmaney Waale Pyare Nabﷺi! Aap Par Karodoñ Durood O Salam Ho. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
3. Jaan O Dile Asfiya Tum Pe Karodoñ Durood;
Aab O Gile Ambiya Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Aab O Gil:Paani Aor Mitti.]
TASHREEH:
Aye Pyare Nabi ﷺ ALLAHﷻ Ke Mahboob Wa Maqbool Bando(Asfiya) Ke Dil Aur Jaan Aapke Qadmoñ Pe Fida Ho, Aap Par Karodoñ Durood O Salam Hoñ. Aur Aye Tamaam Ambiyae Keraam Wa Rasule Azzam Alaihimus Salam Ki Asl Wa Buniyad! Aap Pe ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmatey Naazil Hoñ. Saari Kaaynat Ki Takhleeq Ka Baa-is Aap Hi Haiñ Isi Liye ALLAHﷻ Ki Saari Makhluq Aap Pe Durood O Salam Padhti Haiñ Jiski Taa'daat Karodoñ Se Bhi Upar Jaati Hai. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
4.Laayeiñ To Yeh Doosra Dawsaraa Jis Ko Mila;
Kooshake Arsh O Danaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Doosra:Ginti Mey Dusre Number Ka;☆Dawsaraa:Dono Jahaan Yaani Har Do Sara;☆Koshak:Mahel;☆Arsh O Dana: Arsh O Mua'lla Aur Maqaam Aoo Adna.]
TASHREEH:
Hamarey Aaqa Wa Maula ﷺ Ke Ilawa, Hai Koi Dusra Jis Ki Dono Jahaano Mey Hukumat Hai. Jin Key Qadam Arsho O Mua'lla Ki Zeenat Baneiñ Aur Jo ALLAHﷻ Ke Is Qadar Qareeb Huwey Ki Do Kamaano Se Bhi Kam Faasla Reh Gaya, Us Aaqa Par ALLAHﷻ Ki Karodo Rehmatey Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
5.Aur Koi Ghaib Kya Tum Se Nihaañ Ho Bhala;
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Ghaib:Poshidah;☆Nihaañ: Chupa Huwa.]
TASHREEH:
Woh ALLAHﷻ Jo Sirf Ghaib Hi Nahi Balki Ghaib Ul Ghaib Wash- Shahadah Hai Aap ﷺ Ne Me'raj Ki Raat Jab Us Zaat Ko Dekh Liya Hai To Aur Koi Ghaib Ki Baat Aap Se Kaise Poshida Reh Sakti Hai. Aye Mere Aaqa Aap Pe Karodoñ Durood O Salam. ﷺ
_Marize Hijre Nabi ﷺ Ke Sukoone Dil Ke Liye;
Jahaan Mey Hai Faqat Ek Dawa Durood O Salam._
Hai Ummati Woh Pyara Huzur Anwar Ko;
Jo Wird Karta Hai Be-inteha Durood O Salam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
6.Toor Pe Jo Shama' Tha Chand Sa Saa'eer Ka;
Nayyare Faarañ Huwa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Toor:Woh Pahaad Jispar Hazrat Moosa Alaihi Salam ALLAHﷻ Se Hamkalam Huwe They;☆ Sa'eer: Tanawwur;☆Nayyar:Suraj;☆Faarañ:Makka Sharif Ka Ek Pahaad.]
TASHREEH:
Toor Pahad Pe Moosa Alaihi Salam Ko Jo Jalwah Nazar Aaya Tha Aur Aap Behosh Hokar Gire Aur Usko Sambhal Na Sakey Woh Aap ﷺ Hi Ke Markaz Ki Ek Tajalli Thi Jo Ba'd Meiñ Nayyare Tabaañ Hokar Faaraañ Ki Choti Pe Chamki Aur Saare Jahaan Roshan Kar Diya. Aye Mere Noor Wale Aaqa ﷺ! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Neymateiñ Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
7.Dil Karo Thanda Mera Woh Kafe Paa Chand Sa;
Seene Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Kaf: Talwa;☆Pa: Paao;☆Chandsa: Chand Jaisa;☆Zara: Thodi Der Ke Liye.]
TASHREEH:
Aye Rotey Ko Hañsaaney Waley, Dozakh Ki Aag Bujhaaney Wale Aur Bujhe Huwey Hidayat Ke Chiraagh Jalane Waley Aaqaﷺ! Apna Chaañd Jaisa Qadam Mubarak Mere Siney Pe Rakh Kar Mere Dil Ko Thanda Farmadijiye! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmatey Hoñ. ﷺ
_Suna Rahi Hai Chaman Mey Gulo Ko Padh Padhkar;
Harek Bulbul Shereeñ Nawa Durood O Salam._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Ba"(ب)*
8.Zaat Huwi Intekhaab Wasf Huwey Laajawaab;
Naam Huwa Mustafa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Intekhaab: Pasandida;☆Wasf: Khoobi Wa Khislat;☆Laajawaab: Bemisaal; Mustafa:Chuna Huwa.]
TASHREEH:
Saari Khudayi Mey Se Khuda Ta'la Ne Mehboobiyat Ke Liye Hamare Aaqa Wa Maula ﷺ Ko Muntakhib Farmaya Aur Aapki Har Khoobi Wa Khislat Bemisaal, Laajawab Aur Baakamaal Hai, Jab Aap Ka Naam Hi Mustafa Hai To Aapki Zaat Kitni Arfa' Wa A'la Hogi. Aye Mere Aaqa! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmateiñ Ho. ﷺ
_Hamesha Wirde Zabaan Raat Din Habeeb Rahey;
Khuda Karey Na Kabhi Ho Qaza Durood O Salam._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
9. Ghaayat O I'llat Sabab Bahre Jahaan Tum Ho Sab;
Tum Se Bana Tum Bina Tum Pe Karodoñ Durood.
[☆Ghaayat:Anjaam;☆Illat:Wajah,Sabab;☆Bana:Banaana Se Hai Bama'na Taameer Karna;☆Bina:Bamaana Bunyaad.]
TASHREEH:
Saari Kaaynat Ki Takhleeq Ka Sabab, Wajhe Kaaynat Aur Asl Wa Buniyaad Aap Hi Ki Zaat Hai. Aur Saari Makhlooq Aap Hi Ke Noor Se Bani Jabki Aap ALLAHﷻ Ke Noor Se. Aye Mere Pyare Nabi Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmateiñ Ho. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Ta"(ت)*
10.Tum Se Jahaañ Ki Hayaat Tum Se Jahaan Ka Sabaat;
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Hayat:Zindagi;☆Sibaat:Qayam Rehna;☆Asl:Jad, Bunyaad;☆Zil:Saaya.]
TASHREEH:
Aye Mere Aaqaﷺ! Aap Hi Ke Dam Qadam Se Duniya Ka Yeh Silsila Chal Raha Hai Aur Aap Hi Se Dunya Ka Wajood Qayam Hai, Aap Asl Kaynat Haiñ Aur Saara Jahaañ Aap Hi Ka Saaya Hai Aur Saaya Asl Se Hi Qayam Rehta Hai Asl Gaya To Saya Bhi Gaya. Ya RasulALLAHﷺ! Aap Pe Karodoñ Durood O Salam Hoñ. ﷺ
_As-Salam Aye Sayyed O Khatm Ul Rasul;
As-Salam Aye Wajhe Khalqe Juz Wa Kul._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
11.Maghz Ho Tum Aur Post Aur Hai Bahir Ke Dost;
Tum Ho Daroone Sara Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Post:Chilka;☆Daroon: Andar;☆Sara:Makaan,Ghar.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqa! Aap Hi Asl Wa Maghaz Hai Aur Baaqi Saara Jahaan Chhilke Ke Maanind Hai, Baaqi Sab Bahar Wale Hai Aur Aap Andar Ke Raazdaar Hai Aur Apne Khaaliq O Malik Ke Pyare Habib Hai Aap Par Durood O Salam Ki Baarish Ho. ﷺ
_As-salam Aye Mohrime Raaze Khuda;
As-salam Aye Zeenate Arshe Ula._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Tha"(ث)*
12.Kya Haiñ Jo Be-had Haiñ Laus Tum Toh Ho Ghais Aur Ghaus;
Cheentte Meiñ Hoga Bhalaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Be-had:Beshumaar, Anginat;☆Laus: Lagao Rakhne Waaley, Laalach,Zarooriyat;☆Ghais:Baarish;☆Ghaus:Madadgaar;☆Cheentte:Chand Qatrey;☆Bhala:Achcha.]
TASHREEH:
Koi Baat Nahi Agar Zarooriyat Wa Haajaat Bohot Zyada Haiñ To Mere Aaqa Mere Madadgaar Aur Rehmat Ki Baarish Haiñ, Un Ki Rehmat Ka Ek Hi Cheentaa Mere Saare Kaam Bhaley Kardega. Aye Rehmat Waale Pyare Nabi! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodon Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
_As-salam Aye Dafaey Ranjo Alam;
As-salam Aye Hakime Lauho Qalam._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
13. Tum Ho Hafeez-o-Mughees Kya Hay Woh Dushman Khabees;
Tum Ho Toh Phir Khauf Kya Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Hafeez: Hifazat Karne Wala;☆Mughees:Madadgaar;☆ Khabees: Naapaak,Kameena.]
TASHREEH:
Meri Hifazat Farmaney Waale Aur Mere Madadgaar Jab Mere Aaqa Haiñ To Phir Mujhe Kya Khatraa Hai Chaahe Dushman Kitna Hi Kameena Kyuñ Na Ho. Mere Dastageer Aaqa! Aap Par Karodoñ Durood O Salam Hoñ. ﷺ
_As-salam Aye Rehmate Parwardigaar;
As-salam Aye Ghamzado Ke Ghamgusaar._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Jeem"*
14. Woh Shab-e-Me'raj raaj woh Saf-e-Mehshar Ka Taaj;
Koi Bhi Aisaa Huwa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Shab:Raat;☆Raaj:Hukumat;☆Saf:Line,Qataar.]
TASHREEH:
Me'raaj Ki Raat ALLAHﷻ Ke Mehboob Ko Sàare Aalam Ki Hukumat A'ta Farma Di Gayi Maydaane Mehshar Meiñ Shafa't Ka Taaj Ata Farmaa Kar Aap Ko Aalame Aakhirat Ki Baadshaahi Bhi Sauñp Di Jaayegi, Kya Hamare Aaqa Ke Ilaawa Koi Aur Is Shaan Ka Hua Hai? Nahi Hargiz Nahi. Aye Mere Taaj E Shafa't Waale Aaqa! Aap Pe Rehmat Ki Barsaat Ho. ﷺ
_As-salam Aye Shafa' E Rauze Hisaab;
As-salam Aye Sahabe Ummul Kitaab._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Haa (ح) "*
15. Luhta Falaahal Falaah Ruhta Faraahal-Maraah;
‘Ud Liya’udal-Hanaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Luhta:Khaalis,Mukammal Lena;☆Falaahal Falaah:Mukammal Kamyaabi;☆Ruhta:Aapki Aamad;☆Faraahal-Maraah:Khushiyan;☆'Ud:Shumaar Karna;☆Liya'udal-Hanaa:Woh Yahaan Tashreef Layeiñ.]
TASHREEH:
Aap ﷺ Saraapa Rehmat O A'fiyat Haiñ Aap Is Kaaynat Meiñ Jalwahgar Huwey To Saara Jahaan Khushboo Se Mahek Utha Aur Khushi Se Jhoom Utha, Ab Bhi Aap Ki Aamad Ke Liye Ham Ek Ek Lamha Shumaar Kar Rahey Hai5n Ki Kab Mehboob Ki Sawaari Idhar Se Guzrey. Ya RasulALLAHﷺ! Aap Par ALLAHﷻ Karodoñ Rehmatey Naazil Farmaye. ﷺ
_As-salam Aye Noor Bakhshe Mahro Maah;
Shams Bekas Par Khudaara Ek Nigah._
(Shamsul Haq)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
16.Jaan-o-Jahaan-e-Maseeh Daad Keh Dil Hay Jareeh;
Nabzeiñ Chattin Dam Chalaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Daad:Insaaf(yaadaadan se hai bama'na dena);☆Jareeh:Zakhmi;☆Dam Chalaa:Saans Aaya.]
TASHREEH:
Aye Zindagi Dene Waalon Ki Jaan! Aap Ke Qadmoñ Pe Meri Jaan Bhi Qurbaan! Mere Zakhmi Dil Ka Bhi Ilaaj Farmaa deiñ, Ayesa Rehmat Ka Jhonka Aaye Ki Rukeiñ Nabzeiñ Chal Padeiñ. Aye Jaane Masiha! Aap Par Karodoñ Durood O Salam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef"Kha"(خ)*
17.Uf Woh Rah-e-Sanglaakh Aah Yeh Paa Shaakh Shaakh;
Aye Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Uf: Afsos,Haay;☆Rah:Raasta;☆ Sanglaakh: Pathreeli Zameen;☆Aah:Haaye;☆Paa:Paaoñ;☆Shaakh Shaakh:Zakhmi,Paara Paara;☆Mushkil Kusha:Museebat Door Karney Waley.]
TASHREEH:
Haaye Afsos! Taweel Safar Hai Raasta Paththaroñ Se Bhara Huwa Hai Aur Mere Paaoñ Bhi Zakhmoñ Se Choor Choor Haiñ. Aye Meri Mushkiloñ Ko Hal Karney Waley Mere Aaqa! Meri Mushkil Kushaayi Farmaa Dijiye! Aap Par ALLAHﷻ Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Daal"(د)*
18.Tum Sey Khulaa Baab-e-Jood Tum Sey Hay Sab Kaa Wujood;
Tum Sey Hay Sab Ki Baqaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Baab:Darwaazah;☆Jood:Sakhaawat;☆Wajood:Hasti;☆Baqaa:Baaqi Rehna.]
TASHREEH:
Aye Mere Jud O Karam Waale Aaqa! Aap Ne Hi Jud O Sakha Aur Fazl O A'ta Ka Darwaaza Khol Kar Har Saayel Ki Jholi Ko Bhar Diya Hai Aur Sirf Daaman Hi Nahi Bharey Balki Aapki Wajah Se Hi Kaaynat Ko Wajood Mila Aur Aap Hi Ke Dam Qadam Se Sabki Baqa Hai, Agar Aap Na Hon To Sabkuch Ek Lamhe Meiñ Fana Hi Fana Hai. Ya RasulALLAH! ALLAHﷻ Ki Aap Par Karodon Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
_Salam Uspar Jise Haq Ne A'ta Ki Shaane Yektaayi;
Salam Uspar Ki Jiske Noor Se Hamne Ziya Paayi._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Zaal"(ذ)*
19.Khastah Hoon Aur Tum Ma’aaz Basta Hoon Aur Tum Malaaz;
Aage Jo Shah Ki RAZA Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khasta:Zakhmi,Thaka Maanda;☆Ma'az:Jaaye Panah;☆Basta:Bandha Huwa;☆Malaaz:Thikaana;☆Shah:Aaqa,Badshah.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqa! Meiñ Toh Zakhmi Wa Khastah Haal Huñ, Meri Jaaye Panaah Sirf Aap Haiñ,Aur Paabande Salaasal(Gunaahon Meiñ Jakda Huwa) Hun, Aap Hi Mujhe Rihaayi Dila Kar Thikana A'ta Farmaayenge, Bas Meri To Yahi Ilteja Hai Aage Mere Shahenshah Ki Raza Hai. ﷺ
_Sare Tasleem Kham Hai Jo Mizaaje Yaar Meiñ Aaye._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Raa"(ر)*
20.Garche Haiñ Behad Qusoor Tum Ho ‘Afuw-o-Ghafoor;
Bakhsh do jurm-o-khataa tum pe Karodoñ durood. ﷺ
[☆Behad:Bahot Zyada;☆Qusoor:Gunaah;☆Afu:Bahot Zyada Gunaah Ma'f Karne Wala;☆Ghafoor:Bahot Zyada Bakhshne Wala;☆Jurm:Gunaah;☆Khata:Ghalti]
TASHREEH:
Aye Mere Kareem Aaqaﷺ! Agarche Mere Gunaah Had Se Siwa Haiñ Lekin Aap To Bahot Zyada Ma'afi A'ta Farmaaney Waley Haiñ Aur Bakhsh Dene Waaley Haiñ, Mere Gunaah Aur Khatayeiñ Bhi Ma'af Ho Jayeiñ. ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Durood O Salam Naazil Farmaaye. ﷺ
_Taaj Daare Risalat Pe Laakhoñ Salam;
Shahre Yaare Nabuwat Pe Laakhoñ Salam._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
21.Mehr-e-Khuda Noor Noor Dil Hay Siyah Din Hay Door;
Shab Meiñ Karo Chaañdnaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Maher:Suraj;Siyah:Kaala Siyaah;☆Chaañdnaa:Ujaala, Raushni.]
TASHREEH:
Aye ALLAHﷻ Ke Noor A'la Noor,Siraaje Muneer,Pyare Nabi ﷺ! Abhi Din To Bahot Door Hai Jabki Mera Dil Siyaahi Meiñ Dooba Huwa Hai Khudaara! Isi Raat Hi Ujaala Karke Meri Dil Ki Taareeki Ko Raushan Meiñ Tabdeel Farma Deiñ. ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye. ﷺ
_Shakle Insaan Meiñ Noore Haq Aagaya;
Daher Meiñ Har Taraf Jalwah Farmagaya;
Chaand O Suraj Ko WALLAHﷻ Sharmaa Gaya;
Ek Jhalak Meiñ Do A'lam Ko Chamka Gaya;
Aasmaane Nabuwat Ka Maahe Tamaam;
Us Pe Laakhoñ Durood Uspe Laakhoñ Salam. ﷺ_
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
22.Tum Ho Shaheed-o-Baseer Aur Maiñ Gunah Par Dileer;
Khol Do Chashm-e-Hayaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Shaheed:Gawaah;☆Baseer:Dekhney Wala.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Nabi Aap Ko ALLAHﷻ Ne Kaaynaat Ke Zarre Zarre Pe Gawaah Banaakar Bheja Aur Jahaan Ka Koi Gosha Aapse Poshida Na Raha Aap Sab Kuch Dekh Rahey Haiñ Aur Yeh Bhi Dekh Rahey Haiñ Ki Meiñ Gunaahoñ Pe Kis Qadar Jari Wa Daleer Hun, Meri Sharmo Haya Ki Aankh Khol Deiñ Taaki Gunaah Kartey Huwey Sharmaa Jaauñ Aur Is Tarah Gunaah Se Bach Jaauñ. Aap Par ALLAHﷻ Karodoñ Rehmateiñ Farmaye. ﷺ
_Tu Sakhi Tera Sakhi Darbaar Hai;
Gar Karam Kardo To Beda Paar Hai._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
23.Cheent Tumhaari Sahar Chhoot Tumhari Qamar;
Dil Meiñ Racha Do Ziya Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Cheent:Chand Qatrey;☆Sahar:Subah Saadiq;☆Chhoot:Kiran,Tajalli;☆Qamar:Chaañd;☆Racha:Rachna Basna Ya'ni Kisi Shaye Ka Dil Meiñ Bas Jaana;☆Ziya:Raushni.]
TASHREEH:
Aap Ki Rehmat Ki Chand Bundeiñ Meri Badbakhti Ki Siyaah Raat Ko Din Bana Sakti Haiñ Kyuñki Aapki Ek (Bazaahir) Ma'muli Tajalli Meiñ Chand Se Zyada Raushni Hai, Apna Noor Mere Dil Meiñ Utaar Do Aye Mere Aaqa! Aap Par Karodoñ Barkateiñ Hon. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
24.Tum Sey Khuda Ka Zuhoor Uss Sey Tumhaara Zuhoor;
Lim Hay Yeh Woh In Huwa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Lim:I'llat,Sabab;☆In:Takhleeq,Agar.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Nabi Aap Ki Zaat To Woh Hai Ki ALLAHﷻ Ne Apna Ta'ruf Bhi Aapke Hawaaley Se Karaaya Hai Ki.._Aur Aap Woh Haiñ Ki Aap Ko ALLAHﷻ Ne Is A'lame Hasti Meiñ Zaahir Farmaaya Hai Goya Aap ALLAHﷻ Ki Daleel Limmi Thehre Aur ALLAHﷻ Aapki Daleel Inni Hai. ﷺ
DALEEL LIMMI:
Qayaas Se Jo Nateeja Hameiñ Haasil Hota Hai Woh Hadde Awst Ke Zariye Hi Ma'loom Hota Hai Pas Woh Qayaas Jismeiñ Hadde Awst Jis Tarah Natija Ke Jaanney Ke Liye Illat(Sabab,Wajah) Ban Rahi Hai Is Tarah Agar Haqeeaqat Meiñ Bhi Woh Hadde Awst Nateeja Ke Liye Illat Ho To Usko Daleel Limmi Kehte Hain. Jaise Zameen Dhup Waali Hai Aur Har Dhoop Wali Shaye Raushan Hai Pas Zameen Raushan Hai.
Dekho! Is Misaal Meiñ Jis Tarah Dhoop(Jo Hadde Awst Hai) Se Hameiñ Zameen Ke Raushan Honey Ka Ilm Huwa Us Tarah Haqeeqat Meiñ Bhi Dhoop Raushni Ke Liye Illat Hai. Lehaaza Qayaas Daleel Limmi Hai.
DALEEL INNI:
Woh Qayaas Hai Jismeiñ Hadde Awst Natija Ke Jaannney Ke Liye Illat Ban Rahi Ho Lekin Haqeeqat Meiñ Woh Hadde Awst Natijah Ke Liye Illat Na Ho Balki Muaamla Bar'aks Ho To Usko Daleel Inni Kahtey Hain.
Jaise: Zameen Raushan Hai Aur Har Raushan Shaye Dhoop Waali Hoti Hai Pas Zameen Dhoop Waali Hai.
Dekho! Is Misaal Meiñ Zameen Ke Raushan Honey Se Zameen Ka Dhoop Waala Hona Hameiñ Ma'lum Huwa Lekin Haqeeqat Meiñ Raushni Dhoop Ki Illat Nahin Balki Muaamla Bar'aks Hai Ki Dhoop Raushni Ki Illat Hai Lihaaza Qayaas Daleel Inni Hai.(Tas-heel Ul Mantiq)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Za"(ز)*
25. Be-Hunar-o-Be-Tameez Kis Ko Huwe Haiñ ‘Azeez;
Eik Tumhaare Siwaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Behunar:Nikamma, Jis Meiñ Koi Khoobi Wa Kamaal Na Ho;☆Betameez:Be Adab;☆Azeez:Pyaara;☆Siwaa:A'lawaa.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqaﷺ! Mujh Jaisa Nikamma Jis Meiñ Naam Ki Bhi Koi Khoobi Naheiñ, Bhala Aese Ko Kaun Muñh Lagaye Aur Kaun Pyar Karey Siwaaye Aapke. Aye Mere Pyare Aaqa Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmateiñ Hon."As-salatu Wassalam O Alaika Ya RasulALLAH ﷺ".
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Seen"(س)*
26.Aas Hay Koi Nah Paas Ek Tumhari Hay Aas;
Bas Hay Yahi Aasraa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Aas:Ummeed;☆Aasra:Sahaara.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqaﷺ! Aap Ke Siwa Meine Na Kisi Se Ummeed Wa Aas Lagayi Huwi Hai Aur Na Hi Aap Ke Siwa Koi Dusra Mere Qareeb Wa Paas Hai. Aap Se Hi Saari Ummeedeiñ Waabistah Haiñ Aur Aap Ko Hi Apni Jaan Se Bhi Zyada Apne Qarib Samjh Rakhkha Hai Aur Aye Mere Aaqa Aap Hi Aakhri Sahaara Haiñ, Apne Lajpaal Ki Laaj Rakheiñ Aye Mere Aaqa! Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Sheen"(ش)*
27.Taa-Ram-e-Aa'la Ka Arsh Jis Kaf-e-Paa Kaa Hay Farsh;
Aankhoñ Pe Rakh Do Zaraa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Taa-Ram-e-A'la:Upar Waali
Jagah;☆Kafe Paa:Paaoñ Ka Talwa.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqaﷺ! Arshe Mua'lla Ki Balandiyañ Simat Kar Aap Ke Mubarak Qadmon Ke Neechey Aagaayeiñ;Aap Ne A'rsh Pe Jaakar Uspe Apne Qadam Laakar, Uske Dil Ko Thandak Pahoncha Kar, Uske Dil Ko Suroor Aur Aankhoñ Ko Noor A'ta Farmaaya, Meri Gunaahgaar Ki Bhi Yeh Dil Ki Khwaahish Qubool Farmaayeiñ Aur Wahi Qadam Anwar Jo Arsh Ke Seene Pe Rakhkhey They Thodi Si Der Meri Bhi Aankhoñ Pe Rakhdeiñ. ALLAHﷻ Ke Rehmatoñ Ki Aap Par Barsaat Ho. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Sawd"(ص)*
28.Kehne Ko Haiñ ‘Aam-o-Khaas Eik Tumheiñ Ho Khalaas;
Band Sey Kar Do Rihaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Aam:Ma'muli;☆Khaas:Unchey Maqaam Ke Long;☆Khalaas:Aazaadi Wa Rihaayi;☆Band:Qayd;☆Rihaa:Aazaad.]
TASHREEH:
Kehne Ko To Badi Dunya Padi Hai Us Meiñ Awaam Bhi Haiñ Aur ALLAHﷻ Ke Khwaas Aur Bargazeedah Bandey Bhi Hain Magar Baat Banegi To Sirf Aap Ke Banaaye Banegi, Aye Mere Bakhshish Waaley Aaqa Mujhe Qaid Se Rihaayi Dila Dijiye. ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Zawd"( ض)*
29.Tum Ho Shifaa-e-Maraz Khalq-e-Khuda Khud Gharaz;
Khalq Ki Haajat Bhi Kyaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Maraz:Beemaari;☆Khalq:Makhlooq;☆Khudgharaz:Laalchi;Haajat:Zaroorat.]
TASHREEH:
Aye Mere Aaqa! Aoroñ Ke Saamney Apni Haajat Isliye Pesh Nahi Karta Ki Shifa Ki Manzoori To Phir Bhi Aap Hi Ki Baargaah Se Milegi Isliye Saari Makhlooq Khud Gharz Aur Laalchi Ho Kar Aapko Madad Ke Liye Pukaar Rahi Hai Aap Agar Maherbaani Farmaa Deiñ To Saari Makhlooq Ki Tamaam Haajaat Ki Aapki Baargaah Meiñ Ek Ishaara E Abru Ki Maar Haiñ Aapki Ek Dua Se Sabki Mushkilaat Hal Hoskti Hai. To Phir Karam Kar Deiñ Naañ, Taaki Hamari Tamaam Balaayeiñ Aur Wabaayeiñ Door Ho Aur Rehmat Ki Hawaayeiñ Chal Padeiñ Hamaari Taraf Se Aap Par Rehmat Ke Nuzool Ki Karodoñ Duaayeiñ Ho.
Quraan Majeed Meiñ Ahle Imaan Ko Hukm E Ilaahi Hai_"Innal Laaha Wamalaaikatahu Yusalluna Alan Nabi Yaa Ayyu Hal Lazina Aamanu Sallu Alaihi Wasallimu Tasleema."
Beshak ALLAHﷻ Aur Uske Tamaam Firishtey Aaqa ﷺ Pe Durood Bhejtey Haiñ Aye Imaan Waaloñ Tum Bhi Sab Mere Habeeb Mukarram ﷺ Pe Durood Padha Karo Aur Salaam Zaroor Har Haal Meiñ Padha Karo. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "To"(ط)*
30.Aah Woh Raah-e-Siraat Bandoñ Ki Kitni Bisaat;
Al madad Aye Rehnumaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Aah:Afsos;☆Siraat:Pul Siraat;☆Bisaat:Taaqat;☆Al-Madad:Madad Farmaaiye.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Rasool! Is Meiñ Shak Nahi Ki Aap Ne Siraat Ul Mustaqeem Ko Puri Tarah Waazeh Farmaa Diya Hai Aur Ba Qaaidah Khat Khinch Kar Bataa Diya Ki Yeh Siraat Ul Mustaqeem Hai Aur Yeh Insaan Ki Khwahishaat Haiñ Jo Is Ko Seedhey Raastey Se Hataa Kar Dozakh Meiñ Le Jaati Hai (Jaisa Ki Hadees Sah'eeh Meiñ Hai)Magar Ham Gunahgaaroñ Meiñ Itni Taaqat Wa Himmat Hi Kahaañ Ki Itney Badey Dushman (Nafs Wa Shaitaan) Ka Raastah Rok Kar Seedhey Raastey Pe Chaltey Raheiñ. Aye Bhatkey Huwoñ Ko Seedhey Raastey Pe Chalaaney Waaley Aaqa Aapki Madad Ki Sakht Zarurat Hai.
_Ham To Mar Jaatey Agar Saath
Na Hota Tera._
ALLAHﷻ Aap Par Rehmatoñ Ki Barsaat Farmaaye Aur Aap Par Durood O Salam Ke Phool Barsaayeiñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Zo"( ظ)*
31.Be-Adab-o-Bad-Lihaaz Kar Na Sakaa Kuch Hifaaz;
‘Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Bad-Lihaaz:Bad Tameez;☆Hifaaz:Hifazat;☆'Afw:Ma'fi.]
TASHREEH:
Aye Mere Raheem O Kareem Rasool! Meiñ To Aap Ke Rahem O Karam Aur A'ta Wa Bakhshish Ko Hi Dekhta Reh Gaya Aur Kuch Karne Ki Taraf Dhyaan Na Jaa Saka Na Gunaahoñ Se Apni Hifazat Kar Sakaa, Meri Be-adbi Maaf Hojaye Aur Apne 'Afw O Karam Ke Saath Hi Nejaat Ho Jaaye, Meiñ Aapko Karodoñ Duroodoñ Aur Karodoñ Salaamoñ Ki Duaayeiñ Deta Huñﷺ.
_Maangne Ke Waastey Andaaz Hona Chahye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
32.Law-Teh-e-
Daaman Keh Sham'a Jhonkoñ Meiñ Hay Roz-e-Jam'a;
Aandhiyoñ Sey Hashr Utthaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Teh:Niche;☆Aandhiyoñ:Toofaanoñ,Tez Hawaaoñ;☆Hashr:Qayaamat,Musibat.]
TASHREEH:
Aye Mere Raheem O Maherbaan Aaqa! Mujhe Apne Daamane Rehmat Meiñ Chupa Lo, Aur Mere Dil Ki Tamaam Hasrateiñ Nikaalo! Kyuñki Meri Zindagi Ka Chiraagh Aakhirat Ke Tez Jhonkoñ Se Bujhta Jaa Raha Hai Aur Dar Ki Wajah Se Mere Dil Meiñ Ek Hashr Bapaa Hai, Ab Meiñ Apne Andar Apne Aap Ko Sambhaala Dene Ki Sakat Nahin Paa Raha. Meiñ Aapke Liye Karodoñ Durood O Salaam Ki Duaayeiñ Karta Huñ, Aap Mere Upar Apni Rehmatoñ Ki A'ta Kardeiñ. Aur Sirf Meri Hi Nahin Apni Saari Ummat Ki Madad Wa Nusrat Farmaayeiñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
33.Seena Keh Hay Daagh Daagh Keh Do Kare Baagh Baagh;
Taibah Sey Aa Kar Sabaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Daagh-Daagh:Zakhmon Se Choor Choor;☆Saba:Subah Ko Chalney Waali Parwaa(Purab Ki)Hawaa.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Nabi! Aap Ne Laakhoñ Zakhmi Diloñ Ko Apne Pyaar Ke Marham Se Theek Kar Diya Hai Mera Dil Bhi Aap Ke Hijr O Firaaq Meiñ Choor Choor Hai, Isko Bhi Mujalla Wa Musaffa Aur Gulshan O Gulzaar Banaa Deiñ Aur Madinah Paak Ki Baade Saba Ko Hukm Farmaayeiñ Ki Dil Ki Ujdi Basti Se Ek Baar Guzar Jaaye Taaki Mera Seenah Madinah Ban Jaaye Aur Dil Ki Ujdi Huwi Dunya Aabaad Ho Jaaye.
Aye Mere Rehmat Waaley Aaqa Aap Par Karodoñ Duroodoñ Salaam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Fe"(ف)*
34.Gesu-o-Qad Laam Alif Kar Do Balaa Munsarif;
Laa Key Teh-e-Taigh-e-Laa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Balaa Munsarif:Ghair Munsarif, Naa Phirney Waalaa;☆Laa:Nahin.]
TASHREEH:
Aap ﷺ Ke Hurf "Laam(ل)"Ki Tarah Kundal Waaley Gaysuye Anwar, Aur Alif Ki Tarah Seedha Saroo Jaisa Haseen Wa Jameel Qad Anwar Milaakar "LaamAlif(لا)" Bankar Yeh Bataa Raha Hai Ki Aap Balaaoñ Aur Museebatoñ Ko Taalney Waaley Haiñ In Museebatoñ Ko Apni "لا" Ki Talwaar Ke Neechey Laayeiñ,Taaki Inka Sar Qalam Ho Jaye. ALLAHﷻ Aap Par Apni Karodoñ Rehmateiñ Nichawar Farmaaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef"Qawf"( ق)*
35.Tum Ney Ba-Rang-e-Falaq Jaib-e-Jahaañ Kar Key Shaq;
Noor Ka Tadka Kiya Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Jaib:Girebaañ;☆Shaq:Phat Jaana,Shugaaf;☆Tadka:Sawera,Subah Ka Aaghaaz.]
TASHREEH:
Aye Mere Jurrat Wa Shuja't Waaley Nabi! Aap Ne Apney Khulqe Azeem Ke Khoobsurat Rang Se, Kufr O Gumraahi Ka Khaatma Karkey Jahaan Ka Seenah Cheer Kar Usmey Apne Akhlaaq E Hasnah Ka Rang Bhar Diya Aur Zamaaney Meiñ Noor Ka Aesa Saylaab Wa Sawera Bapaa Kiya Ki Ab Baqaole Aapﷺ Ke Aap Ko Apni Ummat Se Shirk Ka Koi Khatrah Nahi. Aye Mere Azeem Shaan Waaley Aaqa Aap Par Khuda Ki Karodoñ Rehmateiñ Hon. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Kaaf"(ک)*
36. Nawbat-e-Dar Haiñ Falak Khaadim-e-Dar Haiñ Malak;
Tum Ho Jahaañ Baadshaah Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Nawbat:Naqaaraa;☆Dar:Darwaaza;☆Falak:Aasmaan;☆Malak:Firishtey.]
TASHREEH:
Aasmaan Aap Ke Dar Ki Taraf Logoñ Ko Raghbat Dilaaney Ke Liye Nawbat Aur Dhol Ka Kaam Kar Raha Hai Aur 70-70 Hazaar Farishton Ki Baaraat Subh O Shaam Aap Ki Khidmat Ke Liye Aarahi Hai Kyuñ Na Aayeiñ Ki Aap In Sab Ke Haakim Aur Saare Jahaan Ke Baadshah Haiñ Aur Yeh Sab Aap Ke Khaadim Wa Naukar Haiñ. Mere Aaqa Pe ALLAHﷻ Ki Rehmat Ki Baarisheiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Laam"(ل)*
37.Khilq Tumhaari Jameel Khulq Tumhaara Jaleel;
Khalq Tumhaari Gadaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khilq:Paidaayish;☆Jameel:Umdah,Khubsoorat;☆Khulq:A'adat,Akhlaaq Isi Ki Jama' Hai;☆Jaleel:Buzurg, Martabah Wa Maqaam Waala;☆Gadaa:Muhtaaj Wa Sawaali.]
TASHREEH:
Aap Ka Paida Hona Bhi Bemisl Wa Bemisaal Aur Laajawaab Wa Baakamaal Hai Aur Aap Ki Seerate Tayyaba Aur Akhlaaqe A'liyah Ka Bhi Koi Saani Nahi Isi Liye To Saari Makhlooq Aapki Garwidah Aur Ghulaam Bedaam Ban Gayi Hai Aur Shaahaane Waqt Bhi Aapki Gali Ke Gada Hone Par Fakhr Kar Rahey Haiñ. Aye Mere Imaan Ki Jaan! Aap Par Karodoñ Durood O Salaam. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Meem"(م)*
38.Taibah Key Maah-e-Tamaam Jumlah Rusul Key Imaam;
Naw Shah-e-Milk-e-Khuda Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Maahe Tamaam: Mukammal Chaand;☆Jumlah Rusul:Tamaam Rusul;☆Naw Shah: Dulha.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Nabi Aur Madinah Sharif Ke Chaudhwiñ Ke Chaand! Aap Sirf Ummaton Ke Hi Imaam Nahin Balki Saare Nabiyoñ Ke Bhi Imaam Aur Nabi Haiñ. Aap Khudaayi Ki Khudaayi Ke Dulha Haiñ Phir Aap Par Kyu5n Na Karodon Durood O Salaam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
39. Tum Sey Jahaañ Ka Nizaam Tum Pe Karodoñ Salaam;
Tum Pe Karodoñ Sanaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Nizaam:Husne Tarteeb;☆Sanaa:Ta'reef Wa Tauseef.]
TASHREEH:
Nizame Kaynaat Ki Jaan Aap Ki Zaate Baabarkat Hai Kyuñki Aap Hi Wajah Wa Ba-as E Takhleeq E Aalam Haiñ,Aap Na Hotey To Kuch Na Hota Aur Aap Na Hoñ To Kuch Na Ho Kyunki _Jaan Haiñ Aap Jahaan Ki, Jaan Hai To Jahaañ Hai. Aap Par Duroodoñ Ke Karodoñ Phool Nichawar Hoñ Aur Aap Par Ta'reef Wa Tauseef Ki Karodoñ Barsaateiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
40.Tum Ho Jawaad-o-Kareem Tum Ho Rauf-o-Raheem;
Bheek Ho Daata ‘Ataa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Jawaad:Bada Sakhi;☆Kareem:Bohot Karam Farmaaney Waala;☆Rauf O Raheem:Maherbaan Aur Rahem Karney Waala.]
TASHREEH:
ALLAHﷻ Ki Makhlooq Meiñ Sabse Bade Sakhi,Daataa,Ghareeb Nawaz Aur Bandah Parwar Aap Ki Zaat E Baabarkat Hai, Aap Bilmo'mineena Raufur Raheem Haiñ. ALLAHﷻ Ne Aap ﷺ Ko Apne Baabarkat Naam A'ta Farmaaye Haiñ. Aye Pyare Aaqa Apne Khazaanoñ Se Hameiñ Bhi Bheek A'ta Ho, Khuda Aap Ka Bhala Karey Aur Aap Par Apni Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
41.Khalq Key Haakim Ho Tum Rizq Key Qaasim Ho tum;
Tum Sey Milaa Jo Milaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khalq:Makhlooq;☆Qaasim:Taqseem Karney Waala;☆Mila:Haasil Huwa.]
TASHREEH:
Saari Makhlooq Par ALLAHﷻ Ne Aap ﷺ Ko Hukumat A'ta Farmaayi Hai. Aap Hi Ko ALLAHﷻ Ne Apni Ne'matoñ Ka Taqseem Karney Waala Banaaya Hai. Jisko Bhi Mila Hai, Milta Hai Ya Milega Aap Hi Se Milaa Hai,Milta Hai, Milega. ﷺ
_Laa Wa Rabbul Arsh Jisko Jo Mila Unsey mila;
Bat-ti Hai Kaonain Meiñ Ne'mat RasulALLAHﷺ Ki._
Aye Mere Pyare Nabi Aap Pe Karodoñ Duroodoñ Salam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
42.Naafe'-o-Daafe' Ho Tum Shaafe'-o-Raafe' Ho Tum;
Tum Sey Bas Afzooñ Khuda Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Naafe':Faaydah Dene Waaley;☆Daafe':Door Karne Waala;☆Shaafae:Shafa't Farmaaney Waala;☆Afzooñ:Upar,Zyada Shaan Waala.]
TASHREEH:
Aye ALLAHﷻ Ke Pyare Mehboob! ALLAHﷻ Ki Maherbaani Se Aap ALLAHﷻ Ki Makhlooq Ko Nafa' Pohchaaney Waaley, Unsey Masaayeb Wa Aalaam Door Farmaaney Waaley. Qayaamat Ke Din Unki Shafa't Farmaaney Waaley Aur Unko Baland Darjaat A'ta Farmaaney Waaley Haiñ. Aap Ki Kaun Kaun Si Khoobi Bayaan Karuñ.
_Ba'd Az Khuda Buzurg Tui Qissa Mukhtasar._
Aap Se Upar Sirf Aapka Khaaliq Wa Maalik Hai Baaqi Sab Aap Se Niche Haiñ, ALLAHﷻ Ki Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
43.Shaafi-o-Naafi Ho Tum Kaafi-o-Waafi Ho Tum;
Dard Ko Kardo Dawaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Shaafi:Shifaayaab Karne Waala;☆Naafi:Rokney Aur Taalney Waala;☆Kaafi:Kifaayat Karne Waala,Kafeel;☆Waafi:Poora Poora A'ta Karne Waala, Wafaadaar.]
TASHREEH:
Ya RasulALLAHﷺ! Aap Ke Dar Se Beemaaroñ Ko Shifa Bhi Milti Hai (Sirf Aapki Zaat Se Nahi Balki Aapke Tabarrukaat Se Bhi Shifa Milti Hai Jaisa Ki Sahih Ahadees Meiñ Aap Ke Jubbah Mubarak Ke Baare Meiñ Hai) Aap Takleefoñ Aur Museebatoñ Ko Door Farmaatey Haiñ, Jiskey Aap Kafeel O Zaamin Ban Jaayeiñ Us Jaisa Kaon Ho Sakta Hai, Aap Pura Pura Ajr A'ta Farmaaney Waaley Aur Apni Ummat Ke Khair Khwaah Haiñ, Aye Mere An Gint Khoobiyoñ Waaley Aaqa! Mere Dard Ka Bhi Ilaaj Farmaa Deiñ Aap Par ALLAHﷻ Ki Karodon Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
44.Jaayeiñ Nah Jab Tak Ghulaam Khuld Hay Sab Par Haraam;
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khuld:Jannat;☆Haraam:Naajaayez Wa Mamnoo'.]
TASHREEH:
Aye Maalike Jannat Pyare Nabiﷺ! Kaisi Shaan Hai Aap Ki Ke Jab Tak Aap Ki Ummat Jannat Meiñ Naa Jaayegi Us Waqt Tak Jannat Meiñ Daakhla Har Kisi Par Haraam Wa Mamnoo' Farmaa Diya Gaya Hai Kyuñki Jannat To Aapki Milkiyat Hai Phir Aap Ki Ijaazat Ke Baghair Koi Kaise Jaa Sakta Hai. Aye Khuda Ke Pyare Mehboob! Aap Par Karodoñ Durood O Salaam Hoñ. Jannat Ke Waaris Jab Huzoor Ke Ghulaam Haiñ To Sarkaar Ka A'lam Kya Hoga.ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Nun"( ن)*
45.Mazhar-e-Haq Ho Tumheiñ Muzhir-e-Haq Ho Tumheiñ;
Tum Meiñ Hay Zaahir Khuda Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Mazhar-e-Haq:ALLAHﷻ Ki Shaan Aapse Zahir Hoti Hai;☆Muzhare Haq:Haq Ko Zaahir Farmaaney Waaley.]
TASHREEH:
Aye Mere Noor Waaley Aaqa! Aapse ALLAHﷻ Ki Shaaneiñ Zaahir Hoti Haiñ Aur Aap ALLAHﷻ Ki A'zmatoñ Ko Zaahir Farmaakar Haq Aur Baatil Meiñ Faraq Karney Waaley Haiñ Aapke Chehrae Anwar Se ALLAHﷻ Ka Jalaal Wa Jamaal Zaahir Hota Hai, ALLAHﷻ Aapko Mazeed Balandiyan A'ta Farmaye Aur Aap Par Apni Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
46. Zor Deh-e-Naarsaañ Takya Gahe Bekasaañ;
Baadshah-e-Maa-Waraa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Zor Deh: Taaqat Dene Waala;☆Naarsaañ:Kamzor,Besahara;☆Takya Gaah:Sahaara,Bharose Ki Jagah,Jaaye Ummeed;☆Bekas:Kañgaal;☆Maa-Waraa:Laamakaan Muraad Hai Ya Matlab Hai Ki Jiski Badshahi Makhlooq Ki Samajh Se Upar Ho.]
TASHREEH:
Aye Bekasoñ, Naatwaanoñ Aur Besaharoñ Ko Taaqatwar Karne Waale Pyare Nabi! Khuda Ki Saari Khudaayi Ke Baadshaah Wa Sarbaraah Aap Hi Haiñ, Hamaari Tamannaoñ Aur Aarzuwoñ Ka Markaz Aur Ummidoñ Ko Pura Ki Jagah Bhi Aap Hi Ki Zaat Wal Asfaat Hai Aap Par Karodoha Martaba Durood O Salaam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
47.Barse Karam Ki Bharan Phooleiñ Ni'am Key Chaman;
Aisi Chaalaa Do Hawaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Bharan:Tez Baarish;☆Ni'am:Na'mat Ki Jagah.]
TASHREEH:
Ya RasulALLAHﷺ! Rehmo Karam Ki Aesi Baar Aawar Mauslaadhaar Baarish Ho Ki Ne'maton Ke Baaghaat Meiñ Bahaar Aajaye Aur Hamaare Aañgan Meiñ Khushiyañ Hi Khushiyañ Ho Jayeiñ Aur Karam Ki Ayesi Hawaa Chaley Ki Hamaarey Diloñ Ke Gulshan Mahek Utheiñ Aur Un Meiñ Aapke Mahabbat Ke Phool Khil Jayeiñ. Aap Par Karodoha Martaba Durood O Salaam Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
48.Ik Taraf A'daa-e-Deeñ Eik Taraf Haasideeñ;
Bandah Hay Tanhaa Shahaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆A'da:A'du Ki Jama', Dushman;☆Haasideeñ:Hasad Karney Waala.]
TASHREEH:
Aye Mere Aaqa! Aapka Gada (Ahmad Raza) Koi Ek Museebat Meiñ Phansa Huwa Ho To Arz Karey,Mere Sar Pe Deen Ke Dushman Bhi Sawaar Haiñ Ek Taraf Unsey Ladaayi Hai To Dusri Taraf Hasad Karney Waaloñ Ney Jaan Khaa Rakhkhi Hai Meiñ Kis-Kis Ka Muqaabla Karooñ Aur Kidhar Jaauñ Tane-Tanha Huñ Koi Yaaro Madadgaar Nahi Hai, Sirf Aapki Rehmat Ka Sahaara Hai Mujhe Aesa Banaa Deiñ Ki Meiñ In Tamaam Dushmanon Se Pura Aa Sakoo, ALLAHﷻ Apni Karodoñ Rehmateiñ Aap Par Naazil Farmaaye. ﷺ
_Maalike Behrobar Ho Salam Aap Par;
Fakhre Jinn O Bashar Ho Salam Aap Par._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
49.Kyuñ Kahuñ Be-kas Hooñ Meiñ Kyuñ Kahuñ Be-Bas Hooñ Meiñ;
Tum Ho Meiñ Tum Par Fidaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Bekas,Bebas:Laachaar O Majboor;☆Fida:Qurbaan.]
TASHREEH:
Iske Baawajud Bhi Meiñ Kyuñ Kahun Ki Meiñ Besahaara, Aajiz Wa Kamzor Huñ Jab Mere Aaqaﷺ Mere Sar Pe Salaamat Haiñ To Mujhe Koi Parwaah Nahi, Mere Aaqa Mere Madadgaar Haiñ Aur Meri Jaan Aap ﷺ Ke Qadmoñ Par Qurbaan. Karodoñ Durood O Salaam Unpar. ﷺ
_Karodon Durood Karodon Salam;
Barauzaye Mohammad Alahis Salaam._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
50.Gandey Nikammey Kameen Mehnge Hoñ Kaudee Key Teen;
Kaun Hameiñ Paalta Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Kameen:Kameeney,Ghatiya,Kam Zarf;☆Kaudee:Ma'muli Sikka.]
TASHREEH:
Aye Mere Qadar Daan Aaqa! Yeh To Aapki Maherbaani Hai Ki Aap Ham Jaise Nikammoñ Ko Apni Ghulaami Meiñ Qubool Farmaaya Huwa Hai Warnah Ham Toh Ayese Nikammeiñ Aur Naakaarah Aur Gandey Haiñ Ki Ham Jaise Be Kaaroñ Ko Koi Ek Kaudi Ke Teen-Teen Bhi Na Kharidey, Agar Aap Hamare Sar Pe Na Hotey To Hameiñ Kaun Muñh Lagata.
_Jab Tak Bikey Na They Koi Puchta Na Tha;
Tuney Kharid Kar HaMeiñ Anmol Kardiya._ ﷺ
ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
51.Baat Na Dar Key Kahiñ Ghaat Nah Ghar Key Kahiñ;
Aise Tumheiñ Paalna Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Baat:Ganwaar,Raasta;☆Ghaat:Arya Se Jaanwaroñ Ke Paani Piney Ki Jagah.]
TASHREEH:
Ham Jaise Jaahil, Ujadd Aur Gañwaar Jin Ka Na Koi Thikaana Hai Na Koi Sahaara, Akhlaaq Wa Aadaab Se A'ari, Phir Aesoñ Ko Seeney Se Lagaakar Sañwaar Dena Mehboobe Khuda Hi Ki Shaan Ho Sakti Hai Aap Kayenaat Meiñ Jalwahgar Huwey To Logoñ Ko Kya Se Kya Banaa Diya. Raahzanoñ Ko Rahbar Bana Diya, Qatrey Ko Samundar Banaa Diya, Zarre Ko Aaftaab Bana Diya.
_Khud Na They Jo Raah Par Aoroñ Ke Haadi Bangaye;
Ek Nazar Mey Shah Ne Qatrey Ko Darya Kardiya. ﷺ_
ALLAHﷻ Mere Aaqa Kareem ﷺ Pe Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Waw"(و)*
52.Aisoñ Ko Ne'mat Khilaao Doodh Key Sharbat Pilaao;
Aisoñ Ko Aisi Ghizaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Aisoñ:Is Tarah Ke Insaano;☆Ne'mat:Umdah Wa Lazeez Khana;☆Ghiza:Khauraak.]
TASHREEH:
Aur Aye Mere Aaqaﷺ! Aap Kitney Bandah Parwar Aur Ghareeb Nawaz Haiñ Ki Ham Jaisoñ Ko Jinki Ek Takaa Qeemat Bhi Zyada Hai Balki Koi Hameiñ Muft Leney Bhi Tayyar Nahi Hai Aap Hameiñ Aisi Umdah Aur Lazeez Neymateiñ Khilaateiñ Haiñ Ki Dunya Ke Baadshaahoñ Ko Bhi Kam Hi Mayassar Hoñgi,Doodh Ke Sharbat Pilateiñ Haiñ, Is Jahaan Meiñ Bhi Aur Agley Jahaan Meiñ Bhi, Aese Nikammoñ Ko Aesi A'la Khauraak Yeh Aapka Karam Nahi To Aur Kya Hai, Hamara Kaam Jurm Karnaa- Aapka Kaam Karam Karna, Hamara Kaam Khata Karna-Aapka Kaam A'ta Karna, Hamara Kaam Gunaah Karna-Aapka Kaam Hamarey Liye Dua Karna, ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
53.Girne Ko Hooñ Rok Lo Ghotah Lage Haath Do;
Aisoñ Par Aisi ‘Ataa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Ghotah:Paani Meiñ Kabhi Doobna Kabhi Tairna,Dubkiyaañ Khaana;☆A'ta:In'aam.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyaare Nabiﷺ! Jahaañ Itne Ehsaan Farmaaye Haiñ Ek Aur Karam Farmaadeiñ Ki Mujhe Girney Se Bachaa Leiñ Aur Gunaahoñ Ke Samandar Meiñ Dubney Se Bachaa Leiñ Aur Ham Jaisoñ Pe Aisa Karam Karna Yeh Bhi Aap Hi Ka Kaam Hai, Aap Ka Dar Chod Kar Kahaañ Jayeiñ Aur Kaon Hamaari Baat Sunega.
_Tumhi Se Maañgeñge Tum Hi ﷺ Doge Tumhare Hi Dar Se Hi Lao Lagi Hai._
ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
54. Apne Khataawaaroñ Ko Apne Hi Daaman Meiñ Lo;
Kaun Kare Yeh Bhalaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khataawaar:Gunahgaar,Qusurwaar;☆Daaman:Panaah;☆Bhala:Achchai.]
TASHREEH:
Ham Aapke Gunahgaar Ummati Haiñ Hameiñ Jab Koi Mushkil Pesh Aayegi Yo Aapke Jitney Bhi Naafarmaañ Sahi Aap Hi Ke Darwaaze Par Aayenge.
_Ab Chod Ke Dar Tera Deewaaney Kahaañ Jayeiñ._
Aap Hi Hameiñ Sambhaaleiñ Aur Apney Daaman Meiñ Chupaaleiñ Warnah Duniya Kya Kahegi Ki Imaam-ul-Ambiya Ke Dar Ka Mañgtaa Dekho! Maaraa Maaraa Phir Raha Hai, Ham Jaise Nikammoñ Ke Saath Yeh Neki Bhi Aap Ke Siwa Aur Koi Nahi Kar Sakta.ALLAHﷻ Aap Par Karodon Rehmateiñ Naazil Farmaaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef"Haa"(ھا)*
55.Kar Key Tumhaare Gunaah Maangeiñ Tumhaari Panaah;
Tum Kaho Daaman Meiñ Aa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Panaah:Thikaana,Sahaara,Madad.]
TASHREEH:
Aye Hamarey Raheem O Kareem Aaqa ﷺ Ham Bhi Ajeeb Log Haiñ Ki Aapka Hukm Na Maan Kar Jab Tabaahi Dekhtey Haiñ To Aap Hi Ki Taraf Bhaagtey Haiñ Aur Aap Bhi Kitney Kareem Haiñ Ki Apna Damaan Phaila Kar Hameiñ Bula Kar, Pyaar Farmaakar Apne Daaman Meiñ Chupa Lete Hai,Halaañki Mujrim To Aaqaaoñ Ke Jurm Karke Unko Phir Zindagi Bhar Nazar Bhi Nahi Aatey, Magar Kareiñ Bhi Kya Ham Bhaag Kar Jaa Bhi Kahaañ Saktey Haiñ Aur Kaon Hameiñ Panaah Dega. Aye Mere Aaqa Aap Par ALLAHﷻ Ki Rehmatoñ Ki Mauslaadhaar Baarish Ho. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
56.Kar Do 'Aduw Ko Tabaah Haasidoñ Ko Roo Baraah;
Ahl-e-Walaa Ka Bhalaa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆'Aduw:Dushman;☆Tabaah:Barbaad;☆Roo Baraah:Sidhe Raasta Par;☆Ahle Walaa:Dost,Ahbaab,Mahabbat Karne Waaley.]
TASHREEH:
Aye Mere Aaqa! Jo Dushman Haiñ Woh Chuñki Aapki Izzat O Naamus Ke Dushman Haiñ Ayese Deen O Imaan Ke Daakuwoñ Ko To Tabaah Hi Hona Chahye Agar Zindah Raheñge To Dusroñ Ka Imaan Bhi Zaya' Kareñge Isliye Unko Tabaah Farmaadeiñ Aur Jo Apne Ham Aqeedah Honey Ke Baawajud Hasad Ki Beemaari Meiñ Mubtala Haiñ Unko Hidayat Miljaye Aur Seedhe Raastey Par Aajaayeiñ Taaki Mere Dast Wa Baazu Baneiñ Aur Ham Sab Ham-Aqidah Log Milkar Aapki Azmat O Naamus Ka Tahaffuz Kareiñ Aur Aapki Deen Ki Khidmat Kar Sakeiñ. Aur Jo Mahabbat Karney Waaley Haiñ Unki Khair Ho Aur Unki Mahabbateiñ Salamat Raheiñ Balki Mahabbat Meiñ Izaafa Hojaye. Mere Aaqa Par ALLAHﷻ Ki Karodoñ Remateiñ Hoñ. ﷺ
_Ajab Rauf O Raheem Ho Tum Hazaaroñ Laakhoñ Salam Tum Par;
Ameene Khalqe Azeem Ho Tum Hazaaroñ Laakhoñ Salaam Tum Par.
Rasule Rabbe Kareem Ho Tum Hazaaroñ Laakhoñ Salaam Tum Par;
Khuda Hai Mu'ti Qaseem Ho Tum Hazaaroñ Laakhoñ Salaam Tum Par. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Yaa"(ی)*
57.Hum Ne Khataa Meiñ Nah Ki Tum Ne ‘Ataa Meiñ Nah Ki;
Koi Kami Sarwaraa Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Khataa:Ghalti,Kotaahi,Naafarmaani;☆'Ata:Bakhshish,Karam;☆Sarwara:Aye Sardaar]
TASHREEH:
Aye Pyare Rehmat Waale Aaqa! Hamney Gunaah Aur Naafarmaaniyañ Karney Meiñ To Koi Kotaahi Aur Kami Na Ki Jitney Ho Sakey Khoob Khoob Gunah Kiye Aur Aap Ko Sataaya Aur Aapka Dil Dukhaaya. Magar Qurbaan Jauñ Aap Par Ki Juñ Juñ Hamaara Jurm Badhta Gaya Tuñ Tuñ Aap Ke Karam Meiñ Izaafa Hota Gaya. Yaqeenan Aesa Isliye Hai Ki Aap Jaantey Hain Ki In Becharoñ Ka Mere Siwa Kaun Hai Ke Jis Ke Aage Yeh Faryaad Le Kar Jaateiñ. Aur Isliye Bhi Ki Ma'zoor Aur Apaahij Aulaad Se Waalidayn Ko Zyada Mahabbat Hoti Hai, Mere Pyare Aaqa Ki Apni Gunahgaar Ummat Ke Saath Mahabbat Ka Jawaab Nahi. ALLAHﷻ Hamarey Pyare Nabi Pe Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye Jisney Yeh Farmaa Kar Kaha Ki "Shafa'ti Li-Ahlil Kabaairi Min Ummati" (Ki Meri Shafa't Bade Bade Paapiyo,Gunahgaaroñ Ke Liye Hai) Ham Gunahgaaroñ Ki Sare Mehshar Laaj Rakh Li Hai Aur Izzat Bacha Li Hai. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*Radeef "Badi Ya"(ے)*
58.Kaam Ghazab Key Kiye Us Peh Hay Sarkaar Sey;
Bandoñ Ko Chashm-e-RAZA Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Kaam:Gunaah Muraad Haiñ;☆Ghazab Key:Bohot Burey Aur Ghussa Chadhaane Waaley;☆Chashm-e-RAZA:Raazi Honey Ki Ummeed.]
TASHREEH:
Ham Ney Kaam To Badey Khatarnaak Aur Aap Ko Tang Karney Waaley Kiye Haiñ Phir Bhi Apne Aaqa Ki Rehmat O Shafqat Ke Peshe Nazar Yahi Ummeed Hai Ki Apne Ghulaamon Ko Apni Raza Aur Khushi Se Hi Nawaazeiñge Kyunki ALLAHﷻ Ne Un Ko Jitni Shaan Di Hai Utna Hi Hausla Bhi Diya Hai Aap Hamari Kamzoriyoñ Ko Jaantey Haiñ Isiliye To Hamarey Liye Dua Farmaatey Haiñ, ALLAHﷻ Ki Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Hoñ. ﷺ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
59.Aankh ‘Ataa Kijiye Us Mey Ziya Dijiye;
Jalwah Qareeb Aa Gaya Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Ziya:Raushni;☆Jalwah:Nazaara,Deedaae,Numaaish.]
TASHREEH:
Aye Mere Aaqaﷺ! Mere Paas Aañkheiñ Bhi Nahi Haiñ To Raushni Kahaañ Se Aayegi Aur Aapke Deedaar Ka Waqt Bhi Qareeb Aagaya Hai Bas Idhar Maut Aayi To Udhar Deedaar Hojaayega Apni Maazagh-ul-Basar Ki Nigaahe Kimiya Asar Ka Sadqah Mujhe Aap Ko Dekhney Waali Aañkh Bhi Miljaye Aur Usmeiñ Aap Ke Noor Ki Raushni Bhi A'ta Ho. ALLAHﷻ Ki Karodoñ Rehmateiñ Aap Par Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
60.Kaam Woh Ley Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare;
Theek Ho Naam-e-RAZA Tum Pe Karodoñ Durood. ﷺ
[☆Raazi:Khush;☆Theek:Durust.]
TASHREEH:
Aye Mere Pyare Aaqa! Mujhse Apney Deen Ki Khidmat Ke Aese Kaam Leiñ Jin Se Aap Raazi Aur Khush Ho Jayeiñ Aur Mere Naam RAZA(Khushi) Ke Ma'na Bhi Durust Ho Jayeiñ Ya'ni Meiñ Ism Baa-Musamma Ho Jauñ Aur Log Mujhe Dekh Kar Kaheiñ Ki Yeh Hai Woh Jis Pe ALLAHﷻ Ka Mehboob Raazi Hogaya Hai. ALLAHﷻ Aap Par Karodoñ Rehmateiñ Naazil Farmaayeñ ﷺ.Aameen Summa Aameen.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
[Transliteration completed on-13th May 2018.]
{Ref:-Sharah E Hadaiq E Bakhshish}
Note-Naazreen E Kiraam Bilkhusoos Ahle Ilm Ko Agar Is Kalam Ki Sharah Meiñ Koi Bhi Kami Ya Khaami Nazar Aaye To (khanmubasshir11@gmail.com) Ya (azharimission78692@gmail.com)Meiñ Likhkar Zarur Mutla' Farmaayeiñ, Taake Aayeñda Un Khaamiyoñ Ki Takmeel Ki Jaye.
جزاکم الله خیراً کثیرا۔
~AZHARI ⓂISSION
No comments:
Post a Comment