Shaan e Huzur Ghaus e Paak



Ghaus E Paak RadiAllahu Ta'la Anhu Ki Wiladat Ka Ek 'Ajooba Karishma:-

Aap Ki Waalda Mohtarma Farmati Haiñ Ke:
"Jab Mera Farzañd E Arjumañd Abdul Qadir Paida Huwa To Ramzan Ul Mubarak Ki Pehli Taareekh Thi. Mausam Abr Aalooda Hone Ki Wajah Se Logoñ Ko
Ramzan ul Mubarak Ka Chaañd Nazar Na Aaya. Logoñ Ne Mere Paas Aakar Huzur Ghaus Ul Aazam Ke Muta'lliq Daryaft Kiya Ke Aap Ne Doodh Piya Hai Ya Nahi, To Waalda Mohtarma Ne Unko Bataya Ke Aaj Mere Bete Ne Doodh Nahi Piya. Uske Baa'd Tehqeeq Ki Gayi To Pata Chala Ke Us Din Ramzan Ki Pehli Taareekh Thi, Yaa'ni Us Din Roza Tha. Aur Hamare Shaher Meiñ Us Waqt Mash'hoor Hogaya Ke Sayyidoñ Ke Ghar Ek Baccha Paida Huwa Hai Jo Ramzan Sharif Meiñ Doodh Nahi Peeta."
(بہجتہ الاسرار)

Ghaus E Aazam Muttuqa Har Aan Meiñ,
Chhoda Maañ Ka Doodh Bhi Ramzan Meiñ.

No comments:

Post a Comment