MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT PE LAAKHON SALAAM



MUSTAFA JAAN-E-RAHMAT PE LAAKHON SALAAM


1.Mustafa Jaan-e-Rahmat Pe Laakhoñ Salaam;
Sham’-e-Bazm-e-Hidaayat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mustafa:Chuna Huwa, Afzal Wa A'la,Muntakhib Wa Bargazeeda;☆Jaan E Rehmat: Rehmat Ki Jaan,Karam Ki Rooh;☆Sham'e:Chiraagh, Mom Batti;☆Bazme Hidayat:Rehnumaayi Ki Majlis(Nabiyon Ki Jama't, Alaihimussalam).]

TASHREEH:
Aye Allah Ta'la Ke Bargazeeda,Chune Huwe Aur Afzal O A'la Rasool Aur Rehmat Wa Imaan Ki Jaan Pyare Nabiﷺ! Aap Par Laakhon Salaam Ho(n). Aur Aye Girohe E Ambiyaae Kiraam Alaihimussalam Ki Mehfil Ki Raushni Wa Shama' Aap Par Laakhoñ Salam Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ



2.Mehr-e-Charkh-e-Nubuwat Pe Roushan Durood;
Gul-e-Baagh-e-Risaalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mehr:Suraj;☆Charkh:Aasmaan;☆Gul:Phool;☆Baaghe Risaalat:Nabuwat Wa Paighambari Ka Gulshan.]

TASHREEH:
Aasmaan E Nabuwat Wa Risalat Ke Siraaje Muneer Aur Nez Tabaañ Hamare Pyare Aaqa ﷺ Ki Zaat E Baabarkat Pe Chamakta Huwa Raoshan Aur Nooraani Durood Paak Naazil Ho Aur Gulshan E Risalat Ke Mahektey Huwe Phool, Rasooloñ Ke Rasool Aur Allah Ta'la Ke Pyare Mehboob ﷺ Ki Zaate Aqdas Pe Laakhoñ Salam Ho Kyuñki Gulistane Nabuwat Wa Risalat Meiñ Aapke Khilne Se Aesi Bahaar Aayi Ki Aapke Ba'd Kisi Ghuñche Ki Chatakne(Naya Nabi Aane) Ki Gunjaayish Baaqi Na Rahi.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

3.Shehreyaar-e-Iram Taajdaare Haram;
Nau Bahaar-e-Shafaa'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shehreyaare-e-Iram:Jannat Ka Badshah;☆Taajdaare Haram:Ka'ba Ka Aaqa;☆Nau Bahaar:Nayi Raunaq.]

TASHREEH:
Jannat Ke Baadshah Aur Ka'ba Wa Makkah Muazzama Ke Farmaañrawaa Habeebe Kibriya Aur Roze Mehshar Gunahgaaro,Siyahkaaro Ke Liye Balki Tamam Ahle Mehshar Ke Liye Raunaqoñ Aur Khushiyoñ Ka Saamaan Karne Waale Aaqa ﷺ Pe Laakho Durood O Salam Hon.
Àap ﷺNe Farmaya! Rozey Mehshar Ridwaane Jannat Tamaam Ahle Mehshar Se Kahega-"Allah ﷻ Ne Mujhe Jannat Ki Chaabiyan Shahre Yaare Iram ﷺ Ke Supurd Kardene Ka Hukm Diya Hai."(Madaarij Un Nabuwah)
Aur Aap ﷺ Ne Farmaya-Qayamat Ke Din Jannat Ki Chabiyan Mere Haath Mein6 Hongi,Fakharya Nahi Kehte.
Duniya Mein Bhi Jannat Aapke Qabze Se Bahar Nahi Thi Magar Aap Ne Ghaib Ko Ghaib Hi Rehne Diya, Ek Martaba Salaat Khusuf Ke Mauqe Par Aapka Musalla Se Aage Badhna Phir Peeche Hona Aur Phir Sahabaye Kiraam Ke Puchne Par Farmana-Meiñ Ne Is Jagah Pe (Khade Hokar) Jannat Ko Dekh Liya, Uske Darakhto Se Kuch Khoshe Bhi Pakad Liye Agar Woh Khoshe Todkar Le Aata To Tum Saari Umar Khaate Rehte Aur Duniya Khatam Hojaati Magar Woh Khatam Na Hote.(Muslim Sharif)

*Tazmeen:*
Jiski Azmat Pe Sadqe Waqare Haram;
Jiski Zulfo Pe Qurbaañ Bahaare Haram;
Naushaye Bazme Parwardigaare Haram;
Shehre Yaare Iram Taajdaare Haram;
Naubahaare Shafa't Pe Làakhoñ Salam.
(Akhtar Ul Haamidi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

4.Shab-e-Asraa Key Dulhaa Pe Daaim Durood;
Naushah-e-Bazm-e-Jannat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shabe Asraa:Me'raj Ki Raat;☆Daaim:Hamesha;☆Nausha:Sarbaraah, Dulha;☆Bazm:Mehfil.]

TASHREEH:
Me'raj Ki Raat Hamare Aaqa Wa Maula ﷺ Firishtoñ Ki Baaraat Ke Dulha Bankar Baargahe Yazdi Mein Pohñchey To Allah Ta'la Ne Aap Par Apni Shaan Ke Mutaabiq Daayimi Durood Bheja Aur Jannat Ke Tamaam 'Amle Ne Mehboob E Khuda Ki Baargah Mein Laakhoñ Salam E Mahabbat Pesh Kiye Isi Taqreeb E Sa'eed Ke Pur Masarrat Mauqe Par Sarware Ambiya ﷺ Ko Jannat Ki Sardaari Bhi Sauñp Di Gayi.

*Tazmeen:*
Mere Aaqa Wa Maula Pe Daaym Durood;
Sabke Malja Wa Maawaa Pe Daaym Durood;
Noore Arshe Mualla Pe Daaym Durood;
Shabbe Asra Ke Dulha Pe Daaym Durood;
Nausha E Bazme Jannat Pe Laakhoñ Salam.
(Sayed Habib Ahmed Shah Sahab)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

5.‘Arsh Ki Zeb-o-Zeenat Pe ‘Arshi Durood;
Farsh Ki Teeb-o-Nuzhat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Arsh:Jalwah Gaahe Rab;☆Zeb-O-Zeenat:Aaraayish Wa Zaibaayish;☆Arshi:Arsh Wala;☆Teeb-o-Nuzhat:Khushboo Aur Paakeezgi.]

TASHREEH:
Hamare Pyare Nabi ﷺ Me'raj Ki Raat Arsh E Mualla Ki Tamaam Tar Khubsoortiyoñ Aur Aasaayish Wa Zaybaaish Ka Sabab Aur Baa'is Bane Aur (Roze Mehshar Ki Saari Dhoom Ka Baa'is Bhi Huzur ﷺ Ki Zaat Hai.)

Faqat Itna Sabab Hai Ineqaade BazmeMehshar Ka;
Ki Unki Shaane Mehboobi Dikhayi Jaane Wali Hai.

Isliye Aap Jab 'Arsh Pe Jalwahgar Huwe To Aap Par Aesa Durood Wa Salam Pesh Kiya Gaya Jo 'Arshe E 'Azam Ki Shaan Ke Laayq "Arshi Durood" Tha. Jabki Huzur ﷺ Sirf 'Arsh Ki Zeenat Hi Nahi Farsh Ki Tamam Paakizgiyoñ Aur Khushbuwoñ Ka Sehra Bhi Aap ﷺ Hi Ke Sare Anwar Par Hai.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

6.Noor-e-Ain-e-Lataafat Pe Altaf Durood;
Zaib-o-Zain-e-Nazaafat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Ain:Zaat,Saraapaa;☆Lataafat:Paakeezgi(Altaf Isi Se Isme Tafzeel Hai);☆Zain:Husn Wa Khoobi;☆Nazaafat:Safaayi.]

TASHREEH:
Saraapa Noor, Haqeeqi Pakeezgi Aur Paikare Tahaarat Wa Mujassama E Nazafat Wa Lataafat Noor E Khuda Ahmade Mujtaba Janab Muhammad Mustafa ﷺ Ki Zaat E Anwar Wa Aqdas Pe Nazaakatoñ Aur Lataafatoñ Wala Durood Wa Rehmat Ho Aur Paakeezgi Ko Husn Ata Karne Wale Pyare Aaqa ﷺ Pe Laakhoñ Salam Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

7.Sarw-e-Naaz-e-Qidam Maghz-e-Raaz-e-Hikam;
Yakkah Taaz-e-Fazilat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sarwe Naaz:Naaz Wa Ada Waala,Sar Wa Qad Mehboob;☆Qidam:Qadeem(Saari Makhlooq Se Pehle);☆Maghz:Khulasa,Dimaagh;☆Raaz E Hikam:Hikmato Ka Bhed;☆Yakkah Taaz:Bemisaal Wa Laajawab.]

TASHREEH:
Hamaare Aaqa ﷺ Ka Saraapaye Aqdas Shaahkaare Qudrat Hai Aur Aapki Zaat Baabarkat Raaz Haaye Sarbastah Ya'ni Asraare Qudrat Ka Makhzan Wa Mamba' Hai. Tamam Makhlooq Par Sabqat Wa Fauqiyat Wa Fazeelat Le Jaaney Waaley Mehboob E Khuda Par Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

8.Nukta-e-Sirre Wahdat Pe Yaktaa Durood;
Markaz-e-Daur-e-Kasrat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Nukta:Muntahaaye Khat;☆Wahdat:Yaktaayi;☆Yaktaa:Yagaana Wa Be Misl;☆Markaz:Daayra Ka Darmyaan;☆Daur:Zamaana,A'hed,Chakrae Hukumat,Raftaar;☆Kasrat:Bohot Zyada,Bohtaat.]

TASHREEH:
Tauheed Ke Raazon Ke Muntaha Par Bemisaal Wa Laajawab Durood O Rehmat Ho Aur Tamam Makhlooq Ke Markaz Aur Nuktaye Kamal Par Laakhoñ Salam Wa Durood Ho Yeh Woh Mehboobe Khuda ﷺ Hain Jo Allah Ta'la Ke Sarbastah Raazo Ke Nuktaye Aaghaaz Bhi Hain Aur Takhleeqe Kaayenaat Ka Nuktaye Kamaal Bhi Hain.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

9.Saahib-e-Raj'at-e-Shams-o-Shaqq-ul-Qamar;
Naaib-e-Dast-e-Qudrat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Saahib:Aaqa,Haakim;☆Raj-at:Lautaana;☆Shams:Suraj;Shaqq-ul-Qamar:Chand Ke Tukde Karna;☆Naaib:Qaaym Maqaam,Khalifa;☆Dast:Haath;☆Qudrat:Ikhtiyaarate Ilahiya.]

TASHREEH:
Dubey Huwe Suraj Ko Lautaane Wale Aur Chamakte Huwe Chand Ko Apni Noor Ki Ungli Se Do Tukde Farmane Wale Aaqa ﷺ Jo Khudayi Taaqatoñ Aur Jumlah Ikhtayaaraat Mein Allah Ta'la Ke Naayeb A'zam Aur Khalifaye Akbar Hain, Aap Ki Zaat Pur Anwar Par Laakhoñ Salam Hon.

*Tazmeen:*
Jiske Qadmo Pe Sajde Kareiñ Jaanwar;
Muñh Se Boleiñ Shajar, Deiñ Gawahi Hajar;
Woh Hain Mehboobe Rab Maalike Bahro Bar;
Saahib E Raj'at-e-Shams O Shaqqul Qamar;
Naaib E Daste Qudrat Pe Laakhoñ Salam.
(Akhtar Al Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

10.Jiske Zer-e-Liwaa Aadam-o-Man Siwa;
Uss Sazaa-e-Siyadat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Zer:Niche;☆Liwaa:Jhanda(Liwaa Ul Hamd);☆Man:Jo(Arbi,isme mausul);☆Siwa:Ilaawa;☆Sazaaye:Laayq,Munaasib;☆Siyadat:Sardaari,Peshwaayi.]

TASHREEH:
Maydaan E Mehshar Mein Liwaa Ul Hamd(Ta'reef Ka Jhanda) Hamare Huzur ﷺ Ke Daste Aqdas Mein Hoga Jiske Neeche Hazrat Aadam Alaihissalam Bhi Honge Aur Unki Saari Aulad Bhi Hogi, Aesi Azmat Wa Shaan Waale Sayed Ul Khalaayq Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Kitni Arfa' Hai Shaane Habeebe Khuda;
Maalike Dosara, Sarware Ambiya;
Muqtadi Jiske Sab, Sabka Jo Muqtada;
Jiske Zere Liwaa Aadam O Man Sawaa;
Us Sazaa E Sayaadat Pe Laakhoñ Salam.
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

11.‘Arsh Taa Farsh Hay Jiske Zere Nageeñ;
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhoñ  Salaam.

[☆Arsh:Anwaare Tajalliyaate Rabbani Ka Markaz;☆Ta:Tak;☆Zere Nageen:Mahkoom,Ta'ba;☆Qaahir:Zabardast;☆Riyaasat:Hukumat,Sardaari.]

TASHREEH:
Teht Ul Thara Se Lekar Arshe Mu'alla Tak Har Shaye Ka Ekhteyaar Hamare Aaqa ﷺ Ko Sauñp Diya Gaya Aur Har Cheez Aap Ke Farmaan Ke Taaba' Kardi Gayi(Paththar, Darakht Aap Ke Ishaare Pe Daudte Aate Haiñ. Chaand Aur Suraj Aapki Baat Maante Haiñ) Mere Aaqa Kareem ﷺ Ki Aesi Zabardast Hukumat Pe Bohot Arfa' Wa A'la Laakhon Durood O Salam Hon.

*Tazmeen:*
Jis Ka Farmaan Farmaane Jaañ Aafreeñ;
Paak Qaanoon Jiska Kitaab E Mubeeñ;
Woh Jo Hai Mazharaa Hukm Ul Haakimeeñ;
‘Arsh Taa Farsh Hay Jiske Zere Nageeñ;
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Hai Bila Shak Jo Sultaan E Duniya Wa Deeñ;
Jiske Darbaan Hain Jibraeel E Ameeñ;
Saamne Jiske Kaabe Ki Kham Hai Jabeeñ;
‘Arsh Taa Farsh Hay Jiske Zere Nageeñ;
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayed Habeeb Ahmed)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

12.Asl-e-Har Bood-o-Bahbood Takhm-e-Wujood;
Qaasim-e-Kanze Ne'mat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Asl:Buniyad,Maada Wa Markaz;☆Bood:Hasti;☆Bahbood:Bhalaayi;☆Takhme Wujood:Zindagi Ka Beej;☆Qaasim:Taqseem Karne Wala;☆Kanz:Khazana.]

TASHREEH:
Saare Jahaan Ki Bhalaaiyaan Balki Kaayenaat Ki Asl Aur Buniyaad Mehboob E Khuda Ki Zaat Baabarkat Hai Aur Aap Allah ﷻ Ki Tamaam Ne'maton Ko Taqseem Farmaane Waaley Hain,Aapki Zaat Wal Asfaat Par Laakhoñ Salam Wa Durood Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

13. Fat-He-E-Baab-e-Nubuwat Pe Be-Had Durood;
Khatm-e-Daur-e-Risaalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Fath:Kholna;☆Baab:Darwaazah;☆Behad:Beshumar,An Gint;☆Daur:Zamana.]

TASHREEH:
Nabuwat Wa Risalat Ka Aaghaaz Bhi Aap ﷺ Ki Zaat Se Huwa. Aur Aap ﷺ Ko Hi Khaatam Un Nabiyeen Bana Kar Mab'oos Farmaya Gaya, Aap Par Behad Wa Behisaab Martaba Durood Ho Aur Aap Par Laakhoñ Salam Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

14.Sharq-e-Anwaar-e-Qudrat Pe Noori Durood;
Fatq-e-Azhaar-e-Qurbat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sharq:Chamakna;☆Noori:Raushni Wala;☆Fatq:Khul Jaana;☆Azhaar:Kaliyaañ.]

TASHREEH:
Allah Ta'la Ke Anwaar O Tajalliyaat Ka Faiz Aur Nooraaniyat Zaate Mohammad Mustafa ﷺ Hai Aur Zaat E Baari Ta'la Ke Qurb Ki Kaliyaañ Bhi Isi Wajood Se Khileiñ, Aap Par Noor Wala Durood Ho Kyuñki Aap Allah Ke Anwaar O Tajalliyaat Ka Mazhare Kaamil Hain Aur Aap Par Laakhoñ Salam Hoñ Kyuñki Aap Qurbe Khuda Wandi Ka Zariya Haiñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

15.Be-Saheem-o-Qaseem-o-Adeel-o-Maseel;
Jouhar-e-Fard-e-Izzat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Be-Saheem:Be Misaal;☆Qaseem:Hissa Daar;☆Adeel:Ham Martabah;☆Maseel:Ham Misl;☆Jouhar:Asl;☆Fard:Zaat.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ki Zaat Wal Asfaat Woh Hai Ki Aap ﷺ Ka Khaaliq Khuda Hone Meiñ Bemisaal Hai Aur Aap Mustafa Hone Meiñ Bemisal Hain, Aap Allah Ta'la Ki Saari Makhlooq Meiñ Bemisl Wa Bemisaal Haiñ Isi Liye To Allah Ta'la Ne Aapka Bahen Bhai Bhi Paida Na Farmaya Ki Koi Is Rishte Ke Hawale Se Bhi Aap Ka Ham Misl Na Ho, Aapka Saaya Bhi Nahi Banaaya Na Koi Aap Jaisa Paida Huwa Na Hoga, Us Bemisaal Aaqa ﷺ Par Laakhoñ Salam Ho Jo Izzat Wa A'zmat Ke Is Maqaam Par Faayez Haiñ Jo Sirf Aap Hi Ka Hissa Hai.

*Tazmeen:*
Yeh Saraapa Haseeñ, Rab Hai Mutlaq Jameel;
Ab Nahin Is Mein Gunjaayish Qaal O Qeel;
Yeh Bhi Ik Ek Hai Jaise Rab Be Daleel;
"Be-Saheem-o-Qaseem-o-Adeel-o-Maseel;
Jouhar-e-Fard-e-Izzat Pe Laakhoñ Salaam."
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

16. Sir-e-Ghaib-e-Hidaayat Pe Ghaibi Durood;
‘Itr-e-Jaib-e-Nihaayat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sir:Raaz, Posheeda;☆Ghaibi:Ghaib Waala, Makhfi;☆Hidayat:Ibteda';☆'Itr:Khushboo;☆Jaib:Girebaan;Seena Wa Dil;☆Nihaayat:Intehaa.]

TASHREEH:
Ghaib Ke Raazoñ Ko Zaahir Karne Waaley, Ghaib Ki Khabreiñ Dene Waale (Nabi ﷺ) Aalim E Ghaib Ka Khusoosi Durood Ho. Aur Aapﷺ Ka Seena E Aqdas Jo Raaz Haaye Qudrat Ka Gunjeenah Aur Jannat Ki Khushboowoñ Ka Dafeenah Hai Us Seenaye Bekeenah Par Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

17. Maahe Laahoot-e-Khalwat Pe Laakhoñ Durood;
Shahe Naasoot-e-Jalwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maah:Chaand;☆Laahoot:Maqaam Fanaa Fil Laah;☆Khalwat:Tanhaayi;☆Naasoot:Kaayenaat;☆Jalwat:Zaahir.]

TASHREEH:
Aalam E Laahoot(Fanaa Fil Laah) Ki Tanhaaiyoñ Ke Maah e Kaamil Pe Laakhoñ Durood Hon Aur Aalam E Naasoot(Kaaynaat Hast O Bood) Ki Jalwatoñ Ke Baadshah Par Allah Ta'la Ke Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

18. Kanz-e-Har Be-Kaso Benawaa Par Durood;
Hirz-e-Har Raftah Taaqat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Kanz:Khazaanah;☆Bekaso Benawaa:Miskeen Wa Mohtaaj;☆Hirz:Jaaye Panaah;☆Raftah Taaqat:Kamzor.]

TASHREEH:
Har Be Sahaara, Bebas Aur Mohtaaj Ka Khazaanah Aur Rasool E Yagaanah Par Duroodoñ Ki Baarish Ho Aur Har Kamzor Wa Naatawaañ Ki Panaah Dono Jahaanoñ Ke Shahenshah Par Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

19.Partaw-e-Isme Zaat-e-Ahad Par Durood;
Nuskha-e-Jaame’iyyat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Partaw:'Aks;☆Isme Zaati:Allah Ta'la Ka Zaati Naam,Isme Jalaalat, Lafze ALLAH;☆Ahad:Akela, Wahdahu La Sharika Lahu;☆Nuskha:Likhi Huwi,Kitaab;☆Jaame'iyyat:Mukammal.]

TASHREEH:
Allah Rabbul Aalameen Ke Isme Jalaalat Ka 'Aks Aur Partaw(Fayz) Par Durood Ki Barsaat Ho Aur Zaat E Baari Ta'la Ke Ausaaf Ke Majmu'aa E Kaamil Par Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

20.Matla'-e-Har Sa'aadat Pe As'ad Durood;
Maqta’-e-Har Siyaadat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Matla':Pehla Sheyr Jaaye Tulu',Aaghaaz;☆Sa'aadat:Nek Bakhti;☆As'ad: Bohot Umdah;☆Maqta':Aakhri Sheyr,Inteha;☆Siyaadat:Sarwari,Buzrugi.]

TASHREEH:
Har Nek Bakhti Aur Sa'adat mandi Ke Tulu' Hone Ka Maqaam Hamare Aaqa ﷺ
Ke Qudoom Maimanat(Barkat) Luzoom Rakhkhne Ki Jagah Hai, Aap Par Badi Sa'aadaton Wala Durood Ho. Aur Buzurgi Aur Sardaari Ki Aakhri Had Hamare Huzoor ﷺ Ke Qadam Haiñ Ki 'Arsh e Mu'alla Bhi Jinke Neeche Hai, Aap Par Karodoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

21. Khalq Key Daadras Sabke Faryaad Ras;
Kahf-e-Roz-e-Musibat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khalq:Makhlooq;☆Daadras:Madadgaar;☆Faryaad Ras:Faryaad Sunne Wala;☆Kahf:Jaaye Panaah,Ghaar.]

TASHREEH:
Aye Allah Ta'la Ki Saari Makhlooq Ke Madadgaar Aur Unki Faryaad Rasi Karne Waale Aaqa ﷺ! Aur Aye Qayaamat Ke Din Museebat Ke Maare Gunahgaaro Ko Panaah Dene Waale Mere Pyare Nabi ﷺ! Aap Pe Allah Ki Laakhoñ Rehmatein Naazil Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

22. Mujhse Be-kas Ki Daulat Pe Laakhoñ Durood;
Mujhse Be-Bas Ki Quwwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mujhse:Mere Jaise;☆Bekas:Mohtaaj, Besahara;☆Bebas:Kamzor Wa Majboor.]

TASHREEH:
Mere Jaise Majboor Wa Besahara Ka Aasraa Aur Mujh Mohtaaj Wa Kañgaal Ki Saari Daulat To Aye Mere Pyare Nabi ﷺ! Aap Hi Haiñ. Aap Par Laakhoñ Martabah Durood Ho.
Aur Mere Pyare Aaqa ﷺ! Mere Kamzor Baazuwoñ Ki Taaqat Sirf Aur Sirf Aapki Rehmat Ka Sahaara Hai Allah Ta'la Aapko Salamat Rakhey Aur Aap Par Laakhoñ Martabah Salam Ho.
_Teri Nazar Se Salamat Hai Zindagi;
Tera Karam Na Ho To Qayamat Hai Zindagi._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

23. Sham’-e-Bazm-e-Danaa Hoo Mein Gum Kun Anaa;
Sharh-e-Matn-e-Huwiyyat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Bazm:Mehfil;☆Danaa:Qurb;☆Hoo:Woh,Usme Zaat;☆Kun:Hojaa;☆Anaa:Mein;☆Sharah:Tafseel;☆Matn:Asl Ibaarat Jiski Sharah Likhi Jaaye;☆Huwiyyat:Martabaye Wahdat.]

TASHREEH:
Allah Ta'la Ke Qurb Ki Bulandiyoñ Meiñ Hamare AAaqaﷺNe Apni Zaat Ko Is Tarah Fanaa Karke Baqaa Haasil Ki,Ki Is Qadeem Wa Ghair Faani Aur Mustaqil Bil Zaat (Matan) Ki Sharah Ban Gaye. Us Khaaliq E Kul Ke Is Maalik Par Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

24. Intiha-e-Dowi Ibtidaa-e-Yakee;
Jam'-e-Tafreeq-o-Kasrat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Intehaae:Aakhri Had:;☆Yakee:Ek Hona;☆Jam'a:Ekhatta;☆Tafreeq:'Adad Se Kuch Ki Nafi Karna,Nikaal Lena;☆Kasrat:Zyadah.]

TASHREEH:
Sifaati Duwi Ki Tafreeq Khatam Ho Gayi Aur Sifat Ki Shaanoñ Mein Ekaayi Aagayi(Iski Ata'at Uski Ata'at, Iski Baiyat Uski Baiyat, Iska Maarna Uska Maarna, Iski Raza Uski Raza.)
Aap Sifaate Ilaahiya Ka Mazhara-Tum Hogaye Aap Saari Makhlooq Ki Kasrat Ka Khulaasah Haiñ. Makhlooq Hone Ke Lihaaz Se Kaayenat Ke Saath Haiñ Magar Azmat Wa Shaan Ke Lihaaz Se Makhlooq Se Bohot Aage Aur Apne Khaliq Wa Maalik Ke Qarib Haiñ. Aap Par Allah Ki Laakhoñ Rehmateiñ Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

25. Kasrat-e-Ba’d-e-Qillat Pe Aksar Durood;
Izzat-e-Ba’d-e-Zillat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qillat:Kami;☆Izzat:Martabah Wa Maqaam;☆Zillat:Ruswaayi.]

TASHREEH:
Allah Ta'la Ne Apne Mehboob ke Deen Ko Jis Ke Maanney Waaley Ibtedaa Mein Kam They Magar Ba'ad Meiñ Is Qadar Zyada Hogaye Ki Ginti Mushkil Hogayi Aur Is Tarha Kamzori Ke Ba'ad Allah Ne Apne Deen Ko Izzat,Taaqat Aur Ghalbah A'ta Farmaaya Yeh Sab Huzoor ﷺ Ki Mehnat Thi Allah Ta'la Iske Badle Aap Par Laakhoñ Salaamtiyaañ Naazil Farmaaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

26.Rabb-E-A’laa Ki Ne'mat Pe A’laa Durood;
Haq Ta'ala Ki Minnat Pe LaakhoLaakhoñ Salaam.

[☆A'laa:Bulandtar;☆Minnat:Ehsaan.]

TASHREEH:
Allah Rab Ul 'Aalameen Jiski Shaan Badi Hi Buland Wa Baala Hai Usne Apna Mehboob Hamein Bohot Badi Ne'mat Ke Taur Par 'Ata Farmaya Allah Ta'la Ki A'laa Ne'mat Pe A'la Hi Rehmat Wa Durood Naazil Ho,Aur Allah Ta'la Ka Mehboobﷺ Hamare Upar Allah Ka Ehsaan Haiñ
(لقد من اللہ علی المومنین اذ بعث فیھم رسولا۔)
Allah Ta'la Ke Is Ehsaan (Wajood E Mustafa ﷺ) Pe Laakhoñ Salam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

27.Hum Ghareeboñ Key Aaqa Pe Be-Had Durood;
Hum Faqeeroñ Ki Sarwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Aaqa:Maalik;☆Be-Had: An Ginat;☆Sarwat:Daulat.]

TASHREEH:
Ham Ghareeboñ Ko Koi Muñh Lagaane Ke Liye Tayyar Nahi Tha Lekin Ghareeboñ Ke Maawaa Wa Maljaa, Mehboobe Khuda Ne Hameiñ Apni Ghulami Meiñ Qubool Farmaakar Baadshaahoñ Se Bhi Aage Kardiya, Aap Par Behad Wa Behisaab Durood Hoñ.
Ham Mohtaaj Logon Ki To Saari Daulat Aur Punji Hamare Aaqa ﷺ Ki Zaat Hai, Aap Par Laakhoñ Salam Ho.

*Tazmeen:*
Rehbare Deen Wa Dunya Pe Behad Durood;
Shaafaye Roze 'Uqbaa Pe Behad Durood;
Ham Za'eefoñ Ke Maljaa Pe Behad Durood;
"Ham Ghareeboñ Ke Aaqa Pe Behad Durood;
Ham Faqeeron Ki Sarwat Pe Laakhoñ Salam."
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

28.Farhat-e-Jaan-e-Momin Pe Be-Had Durood;
Ghaiz-e-Qalb-e-Zalaalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Farhat:Taazgi,Sukoon;☆Ghaiz:Ghussa;☆Zalaalat:Gumraahi.]

TASHREEH:
Ahle Imaan Ke Dil Ka Suroor Aur Aankhoñ Ka Noor Hamare Noor Waale Aaqa ﷺ Ha6in. Unpar Anginat Durood Hoñ. Aur Kufr Wa Gumraahi Ka Qila' Qama' Karne Wale Hamare Aaqa ﷺ Jinka Naame Naami Isme Geraami Hai Muhammad ﷺ. Allah Ta'la Unpar Laakhoñ Rehmateiñ Naazil Farmaaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

29.Sabab-e-Har Sabab Muntahaa-e-Talab;
‘Illate Jumlah ‘Illat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sabab:Illat,Wajah,Baa'es;
☆Muntaha:Aakhri Kinaarah(Jispar Kisi Shaye Ki Intehaa Hojaaye);☆Talab:Talaash;☆Jumlah:Tamaam;☆Illat:Wajah.]

TASHREEH:
Har Wajud Ka Sabab Aur Wajah, Aur Phir Kaayenaat Ki Har Shay Ka Maqsood Wa Matloob Aur Unki Talab Ki Intehaa Mehboobe Khuda Haiñ. Har Maqsad Ka Anjaam Aur Har Talab Ka Muddaa' Ahmad Mujtaba, Mohammad Mustafa ﷺ Hain, Aap Par Allah Ta'la Ki Laakhoñ Rehmateiñ Naazil Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

30.Masdar-e-Mazhariyyat Pe Azhar Durood;
Mazhar-e-Masdariyyat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Masdar:Nikalne Ki Jagah;☆Mazhariyyat:Zaahir Hona;☆Azhar:Bohot 'Ayaan, Numaayaan Aur Zaahir Hone Ki Jagah;☆Masdariyyat:Sudoor,Nikalna.]

TASHREEH:
Allah Tabarak Wa Ta'la Ki Zaat Wa Sifaat Aur Uski Azmatoñ Aur Shaanoñ Ki Jalwaagaah,Mehboobe Rabbe Dosara Hain, Jis Tarah Aapne Allah Ki Shaanoñ Ko Zaahir Farmaaya Usi Tarah Aapki Zaat Par Zaahir Wa Baahar Durood Ho.
Aur Allah Ta'la Ke Jalwoñ Ke Zaahir Hone Ka Maqaam Bhi Wajude Mustafa ﷺ Hai, Unpar Allah Ta'la Ki Laakhoñ Salaamtiyan Hon.
Hadees e Paak Mein Hai_ Aye Mehboob Agar Tu Na Hota To Meiñ Apni Rububiyat Bhi Zaahir Na Karta.(Madaraj Un Nabuwah; Maktoobate Imaam Rabbani Maktoob No.122)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

31.Jiske Jalwe Sey Murjhaayi Kaliya(ñ Khilieñ;
Uss Ghul-e-Paak Mambat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Jalwah:Deedaar,Nazaarah;☆Murjhaayi Kaliyan:Sookhey Ģhunche;☆Mambat:Ugaaya Huwa Ya Ugne Ki Jagah.]

TASHREEH:
Hamare Pyare Nabi ﷺ Ka Chehra E Anwar Aesa Noorani Hai Ke Jis Ke Deedaar Se Dil Ki Murjhaayi Huwi Aur Khushk Kaliyaañ Khil Uth-ti Haiñ Qurbaan Jaayeiñ Us Baabarkat Aur Paakizah Phool Ki Uthaan Par,Aap Par Allah Ta'la Ki Laakhoñ Rehmatein Hon.

*Tazmeen:*
Jiske Khushboo Se Raste Mehekne Lageyñ;
Jispe Jee Jaan Kaonayn Sadqein Kareyñ;
Atr Ki Jaa 'Arq Jiska Hooreiñ milieñ;
"Jiske Jalwe Sey Murjhaayi Kaliyañ Khilin;
Uss Ghul-e-Paak Mambat Pe Laakhoñ Salaam."
(Sayed Habeeb Ahmad Habeeb)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

32.Qad-e-Be-Saaya Key Saaya-e-Marhamat;
Zill-e-Mamdood-e-Raafat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Marhamat:Maherbaani;☆Zil:Sayah;☆Mamdood:Daraaz,Daaymi Saayah;☆Raafat:Karam.]

TASHREEH:
Jis Aaqa Ke Qad Anwar Ka Sooraj Ki Dhoop Aur Chaand Ki Raushni Mein Bhi Saaya Na Tha Uski Rehmat Ka Saaya Saari Duniya Mein Phaila Huwa Hai.
_Log Kehte Hai Ki Saaya Tere Paikar Ka Na Tha;
Mein To Kehta Hun Jahaan Bhar Pe Hai Saaya Tera.
(~Ahmad Nadeem Qasmi.)
Us Rehmat Ul Lil Aalameen Par Karodon Aur Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

33.Taairaan-e-Qudus Jiski Haiñ Qamriyaañ;
Us Sahi Sarwe Qaamat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Taairaan:Parindey;☆Qamrey:Faakhtah Ki Tarha Ka Khush Ul Haan Parindah;☆Sahi:Seedha;☆Qaamat:Qad.]

TASHREEH:
Allah Ta'la Ke Noorani, Muqaddas Aur Ma'asoom Farishtey Jis Sar Wa Qad Mehboob Ke Ird Gird Salat O Salam Padhte Huwe Qamriyoñ Ki Tarah Chahektey Hain Us Imam Ul Ambiya Aur Mehboob E Kibriya Ki Zaat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Jispe Qurbaan Hai Tuba Ki Ra'naaiyaañ;
Husn Mauzoniyat Ki Fida Jispe Jaañ;
Jiska Rooh Ul Ameen Bulbule Madh Khwaañ;
"Taairaan-e-Qudus Jiski Hain Qamriyaañ;
Us Sahi Sarwe Qaamat Pe Laakhoñ Salaam.
"
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

34.Wasf Jiska Hay Aayina-e-Haq Numa;
Us Khuda Saaz Tal'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Wasf:Ta'areef,Khoobi;☆Haq Numa:Allah ki Raah Dikhane Waala;☆Khuda Saaz:Khuda Ki Pehchaan Karaaney Waala,Allah Se Mawaafiqat Karne Wala;☆Tal'at:Chehra.]

TASHREEH:
Jis Aaqaaye Do Jahaan ﷺ Ke Chehrae Anwar Ki Khoobi Yeh Hai Ki Haq Ko Dekhne Ka Aayena Ho,Us Khuda Ka Deedaar Karaane Waale Rukh Raushan Pe Laakhoñ Durood O Salaam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

35.Jiske Aage Sar-e-Sarwaraañ Kham Raheiñ;
Uss Sar-e-Taaj-e-Rif'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sarwaraañ:Sardaar;☆Kham:Jhukna;☆Taaj-e-Rif'at:Shahi Topi.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ke Jaah O Jalaal Ke Saamne Bade Bade Sardaaroñ Ke Sar Adab Se Jhuk Jaate They Aur Aap Ki Jumbish E Abru Se Kajkulahoñ Ki Jeenoñ Pe Pasinaah Aajata. Aap ﷺ Ki Shahi Taajwaale Sare Anwar Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Rifa'atein Behre Sajda Jahaañ Kham Raheyñ;
Roz O Shab Kaaba Wa Laamakaan Kham Raheyñ;
Bahre Aadaab Karro Bayaan Kham Raheyñ;
"Jiske Aage Sar-e-Sarwaraañ Kham Raheiñ;
Uss Sar-e-Taaj-e-Rif'at Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)

Jiske Azmat Ke Aage Farishtey Jhukeiñ;
Jis Ke Gulhaaye Khoobi Ke Sehre Sajeiñ;
Jisko Ashjaar O Haiwaan Sajde Kareiñ;
"Jiske Aage Sar-e-Sarwaraañ Kham Raheiñ;;
Uss Sar-e-Taaj-e-Rif'at Pe Laakhoñ Salaam."
(Habib Ahmad Shah)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

36.Woh Karam Ki Ghataa Gesu-e-Mushk Saa;
Lakkah Abr-e-Raafat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Ghataa:Siyah Baadal;☆Mushk Sa: Kastoori Ki Tarah;☆Lakkah:Tukdaa;☆Abr:Baadal.]

TASHREEH:
Bakhshish Wa Karam Ki Kaali Siyaah Ghata Ya'ani Gaysoo-E-Mustafa ﷺ Jisse Kasturi Se Badh Kar Khushboo Ke Hulle Aate Haiñ, Us Maherbaani Ke Baadal Ke Tukde (Zulf Wal-Layl) Par Bhi Laakhoñ Salam.

*Tazmeen:*
Shaam E Firdous Ki Noor Wal-Layl Ka;
Partaw e Marhammat Rehmate Kibriya;
Woh Sihaabe Ata Zille Lutf E Khuda;
"Woh Karam Ki Ghataa Gesu-e-Mushk Saa;
Lakkah Abr-e-Raafat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


37.Lailat-ul-Qadr Mey Matla’il Fajr-e-Haq,
Maang Ki Istiqaamat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Lailat-ul-Qadr:Shabe Qadr;☆Matla': Tulu' Hona;☆Fajr:Subah;☆Maañg:Sar Ke Baaloñ Ke Darmiyaan Nikali Jaane Waali Lakeer;☆Istiqaamat:Seedhaapan.]

TASHREEH:
Shab E Qadr (27wi Ramzan Ki Kaali Siyaah Raat Ki Tarah Mehboob ﷺ Ki Wal-Layl Ki Zulfoñ) Meiñ Tulu' E Fajr E Haq(Haq Ke Suraj Ka Nikalna) Aaqaaye Dojahaan ﷺ Ki Maañg Mubarak Hai. Aur Itni Seedhi Maañg Ke Jis Tarah Siraat Al Mustaqeem Hai Us Maang Mubarak Ki Seedh Par Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.

*TAZMEEN:*
Muñh Andhere Ziyaae Saher Ki Ramaq;
Subh Ke Khat Se Ya Pardaye Shab Hai Shaq;
Charkhe Wal-Layl Par "Wad-Duha Ki Shafaq";
"Lailat-ul-Qadr Mey Matla’il Fajr-e-Haq,
Maañg Ki Istiqaamat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)

Kyun Na Ho Theek 'Aalam Ka Nazm O Nasaq;
Raasti Ka Mile Kyun Na Sab Ko Sabaq;
Subha Chamki Huwa Raat Ka Seena Shaq;
"Lailat-ul-Qadr Mey Matla’il Fajr-e-Haq,
Maang Ki Istiqaamat Pe Laakhoñ Salaam."
(Sayed Habeeb Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

38.Lakht Lakht-e-Dil-e-Har Jigar Chaak Sey,
Shaanah Karne Ki Haalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Lakht Lakht:Tukde Tukde;☆Chaak:Phata Hua;☆Shaanah:Kanghi.]

TASHREEH:
Aur SubhanAllah! Aaqaaye Kaaynaat ﷺ Ki Kanghi Karne Ka Andaaz Par Kyuñ Na Qurbaan Ho Jaauñ Ke Is Adaaye Dil Nawaz Par Hamare Dil Chaak Hokar Seene Se Baahar Aane Ki Koshish Kar Rahe Hai To Phir Meiñ Apne Aaqa Ki Is Mubarak Ada- Yaani Kañghi Karne Ke Amal Wa Aadat Par Bhi Kyuñ Na Laakhoñ Salam Kahuñ.

*Tazmeen:*
Bund Par Bhi Giri Zulf Namnaak Ki;
Kardiye Usne Paidah Gohar Khaak Se;
Haiñ Ayaan Rehmateiñ Gaysooe Paak Se;
"Lakht Lakht-e-Dil-e-Har Jigar Chaak Sey;
Shaanah Karne Ki Haalat Pe Laakhoñ Salaam. "
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

39. Door-o-Nazdeek Key Sun-Ne Waaley Woh Kaan;
Kaan-e-la'l-e-Karaamat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Kaan:Ma'den;☆La'l:Moti,Heere,Jawaaharaat;☆Karaamat:Buzrugi.]

TASHREEH:
Sarkar E Madina ﷺ Ke Kaan Mubarak Jo Dar Haqiqat Izzat Ke Motiyon Aur Azmat Wa Shaan Ke Heere Aur Jawaaharaat Ki Kaan(Ma'den Wa Zakheerah) Hain
(قل اذن خیر لکم۔
Farmaadijiye Ki Yeh Kaan Tumhaare Liye Bohot Behtar Haiñ) Jo Jis Tarah Qareeb Se Suntey Hain Usi Tarah Door Se Bhi Suntey Haiñ. Hamare Aaqa ﷺ Apni Waalidah Maajidah Ke Batne Aqdas Mein Rehkar Lauhe Mehfooz Pe Chalte Qadam Ki Aawaaz Suntey Aap Ne Farmaaya _Meiñ Woh Sunta Hun Jo Tum Nahi Sun Sakte. Phir Aese Mubarak Kaan Pe Bhi Kyu6n Na Laakhoñ Salam Kahey Jaayeiñ.


*TAZMEEN:*
Arshiyoñ Ki Pohoñchti Hai Jin Tak Azaan;
Jinki Sama' Mubarak Hai Muajaz Nishaan;
Sabki Faryaad Se Baakhabar Ho Har Aan;
"Door-o-Nazdeek Key Sun-ne Waaley Woh Kaan;
Kaan-e-La'l-e-Karaamat Pe Laakhoñ Salaam."
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

40.Chashma-e-mehr mey mawj-e-noor-e-jalaal;
Us rag-e-haashimiyyat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Chashma:Pani Nikalne Ki Jagah;☆Mehr:Suraj;☆Mawj:Laher;☆Jalaal:Raub,Shaan O Shaukat;☆Rag:Nas,Khoon Ki Naali;☆Haashmiyyat:Haashmi Khandaan.]

TASHREEH:
Jaah O Jalaal Aur Undul Ghazab Dono Bhawon Ke Darmyaan Sarkaar ﷺ Ki Ek Rage Anwar Ubhar Aati Jisko 'Ala Hazrat Chashma E Mehr(Suraj Ka Chashma) Ya'ani Chehrae Anwar Mein Mauje Noor Jalaal(Jalaal Ke Samundar Ki Mauj) Qaraar Dekar Us Rage Mubarak Ko Rage Haashmiyat Par(Aap ﷺ Ki Ragoñ Meiñ Ghairat Wa Haya Wala Haashmi Khoon Gardish Kar Raha Hai) Laakhoñ Salam Ka Nazrana Mahabbat Pesh Farmaa Rahe Haiñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

41.Jiske Maathe Shafaa'at Ka Sehra Raaha;
Us Jabeen-e-Sa'aadat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maatha:Peshani;☆Shafaa'at:Sifaarish;☆Jabeen:Peshaani;☆Sa'aadat:Nek Bakhti.]

TASHREEH:
Jab Hashr Bapa Hoga Aur Nafsa Nafsi Ka Aalam Hoga, Koi Kisi Ka Pursaan E Haal Na Hoga To Shafaa'at Ka Sehra Hamaare Aaqa ﷺ Ke Sar Par Baandha Jaayega,To Phir us Lajpaal Aaqa ﷺ Ki Sa'aadat Waali Peshani Pe Kyuñ Na Laakhoñ Baar Durood Wa Salaam E Mohabbat Pesh Kiya Jaaye Jinki Wajah Se Yahañ Bhi Hamari Bigdi Ban Rahi Hai Aur Wahaañ Bhi Banegi. IN SHAA ALLAH ﷻ.

*Tazmeen:*
Jiske Chehre Pe Jalwoñ Ka Pehra Raha;
Najm O Tahaa Ke Jhurmut Meiñ Chehra Raha;
Husn Jiska Har Ek Chhab Pe Gehra Raha;
"Jiske Maathe Shafaa'at Ka Sehra Raaha;
Us Jabeen-e-Sa'aadat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar ul Haamdi)

Jiske Jalwe Se Aalam Munawwar Huwa;
Jiski Kaonayn Mein Hai Darakhshaañ Ziyaa;
Jisko Me'raj Ka Taaj E Izzat Milaa;
"Jiske Maathe Shafaa'at Ka Sehra Raaha;
Us Jabeen-e-Sa'aadat Pe Laakhoñ Salaam."
(Sayed Habib Ahmad No.1)

Jisse Paayi Mah o Mehr Ne Bhi Ziyaa;
Kehkashaa Jiski Nooraaniyat Par Fidaa;
Jiske Aage Zameen Bos Arz O Samaa;
"Jiske Maathe Shafaa'at Ka Sehra Raaha;
Us Jabeen-e-Sa'aadat Pe Laakhoñ Salaam."
(No.2)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

42.Jinke Sajde Ko Mehraab-e-Ka’aba Jhuki;
Unn Bhawoñ Ki Lataafat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mehraab:Masjid Meiñ Imaam Ke Khade Hone Ki Jagah;☆Bhawoñ:Abruwoñ;☆Lataafat:Nazaakat Wa Khoobi.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ne Jab Is Aalam Hast O Bood Ko Apne Qudoom Meymniyat Luzoom Se Zeenat Bakhshi Aur Aapki Wilaadat Baa Sa'aadat Huwi To Aap Khud To Sajde Meiñ Girkar Allah ﷻ Ki Baargaah Mein Apni Ummat Ke Liye Dua Farmaa Rahe The Aur Kaaba Muazzamah Aapki Taraf Jhuk Kar Aapke Nooraani Bhawon Ki Nazaakat Wa Lataafat Ko Salaami De Raha Tha. Aur Laakhoñ Salam Pesh Kar Raha Tha.

*Tazmeen:*
Laa-Makaañ Ki Jabeen Bahre Sajdah Jhuki;
Rif'at E Manzil Arshe Aala Jhuki;
Azmat E Qiblah Deen O Duniya Jhuki;
"Jinke Sajde Ko Mehraab-e-Ka’aba Jhuki;
Unn Bhawoñ Ki Lataafat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi.)

Qaab Qausain Hai Jinki Shaane Jali;
Jinpe Qurbaan Hai Dil Se Firdous Bhi;
Har Ada Jinki Hai Sheywaye Dilbari;
" Jinke Sajde Ko Mehraab-e-Ka’aba Jhuki;
Unn Bhawoñ Ki Lataafat Pe Laakhoñ Salaam."
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

43.Unki Aankhoñ Pe Woh Saaya Afgan Muzhah;
Zullahe Qasr-e-Rahmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Saaya Afgan:Saaya Karne Waala;☆Muzhah:Palak;☆Zullah:Chhatri;☆Qasr:Mahel.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ke Door O Nazdeek Se Dekhne Waali Aankhoñ Par Chhatri Ki Tarah Saaya Karne Waali Mubarak Noorani Palkeiñ Goya Rehmat Ke Mahal Pe Noor Ki Chhatri Hai Jo Saaya Karrahi Hai. Mere Aaqa ﷺ Ki Un Noorani Palkoñ Pe Bhi Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

44.Ashkbaari-e-Muzhgaañ Pe Barse Durood;
Silk-e-Dur-e-Shafaa'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Ashkbaari:Aansu Bahaana;☆Muzhgaan:Palkeiñ;☆Barse:Naazil Ho;☆Silk:Dori;☆Dur:Moti.]

TASHREEH:
Hamare Rehmat Waale Aaqaﷺ Ki Ummat Ki Bakhshish Meiñ Barasney Waali Aankhoñ Ki Mubarak Palkoñ Se Noor Ke Sachchi Motiyon Ki Tarah Girne Waale Shafaa'at Ke Aansuwoñ Ki Motiyoñ Ki Ladiyoñ Pe Laakhoñ Salam O Durood Hoñ.
Hazrat Anas Radiallahu Ta'la Anhu Farmaatey Haiñ Ki _Aapke Mubarak Aansu(Yaadgare Ummat Meiñ) Samundar Ki Tarah Behte Rehte(Sibl Ul Huda). In Aansuwoñ Pe Laakhoñ Salaam.
Jab Hamaare Aaqa ﷺ Ki Ham Nikammoñ Ke Liye Yeh Haalat Hai To Hamari Halat Bhi Aap Ki Yaad Mein Kam Az Kam Yeh To Honi Chahye Ki;
_Rahe Sanaaye Nabi Se Kabhi Na Lab Faarigh;
Huwaa Hun Zikre Habeeb E Khuda Se Kab Faarigh.
Khuda Ke Lutf O Karam Se Sadaa Rahaa Mehroom;
Raha Nabi Ki Sana Se Jo Be'adab Faarigh._
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

45.Ma'ani-e-Qad Ra-aa Maqsad-e-Maa Taghaa;
Nargis-e-Baagh-e-Qudrat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qad Ra-aa:Tahqeeq Usne Dekha;☆Maa Taghaa:Na Woh Behka;☆Nargis:Peele Rang Ka Phool(Jiski Shakl Aankh Ki Tarha Honeki Wajah Se Mehboob Ki Aankh Ko Isse Tashbih Dete Hain).]

TASHREEH:
Hadees Sharif Mein
(رانی فقد رای الحق۔)
Jisne Mujhe Dekha Usne Haq Dekha. Aur Quran Majeed Ki Aayae Mubaraka
(ماضل صا حبکم و ما طغی )
Naa Tumhaara Saathi (Apni Sohbat Se Tumheiñ Fayzyaab Karne Waala) Bhatkaa Aur Na Idhar Udhar Huwa.(An-Najm) Ka Ma'ana Wa Maqsood Yeh Hai Ki Qudrat Ke Gulshan E Nabuwat Ke Nargisieñ Aankhoñ Waale Mehboob Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

46.Jiss Taraf Utth Gayi Dam Mey Dam Aa Gaya;
Us Nigaah-e-‘Inayat Pe LaakhoLaakhoñ Salaam.

[☆Dam Meiñ Dam Aana:Jism Meiñ Jaan Aana;☆Nigaah:Nazar;☆'Inaayat:Maherbaani.]

TASHREEH:
Is Jahaan Mein Aur Us Jahaan Meiñ Hamare Aaqa ﷺ Ki Nigaahe Rehmat Jis Taraf Bhi Uthi Murdah Jismon Meiñ Jaan Paida Hoti Gayi Hamare Rehmat Wa Noor Waale Aaqa ﷺ Ki Us Nigaahe Rehmat Wa Inaayat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Padgayi Jispe Mehshar Meiñ Bakhsha Gaya;
Dekha Jis Samt Abre Karam Chhaa Gaya;
Rukh Jidhar Hogaya Zindagi Paa Gaya;
"Jiss Taraf Utth Gayi Dam Mey Dam Aa Gaya;
Us Nigaah-e-‘Inayat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)

Chashme Maa Zaagh Unki Woh Salle 'Alaa;
Jisse Makhfi Nahi Koi Bhi Shaye Zara;
Kitni Dilkash Hai Uski Yeh Pyari Adaa;
"Jiss Taraf Utth Gayi Dam Mey Dam Aa Gaya;
Us Nigaah-e-‘Inayat Pe Laakhoñ Salaam."
(Sayed Habib Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

47.Nichee Aankhoñ Ki Sharm-o-Hayaa Par Durood;
Oonchi Beeni Ki Rif’at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Beeni:Naak;☆Rif'at:Bulandi.]

TASHREEH:
Hamare Sharm O Haya Ki Taa'leem Dene Waale Aur Khud Sharm O Haya Ke Paikar Aaqa ﷺ Ki Haya Ki Wajah Se Jhuki Huwi Aankhoñ Par Bhi Laakhoñ Durood Aur Aapki Unchi Naak Mubarak Ki Balandi Pe Bhi Laakhoñ Salam. Baaz Ahle Mahabbat Ne Unchi Beeni Ka Matlab Yeh Bhi Bayaan Farmaaya Hai Ki Beeni Deedan Se Hai, Is Tarah Ke Deedan Se Beenad Muzaarae' Aur Phir Beeni Isse Haasil Masdar Ke Zamre Meiñ Aakar Iska Maa'na Dikhayi Hoga Aur Ma'ana Yeh Banega Ke Sharmo Haya Ki Wajah Se Nigaheiñ Nichi Hone Ka Matlab Yeh Nahi Ki Dekhna Bhi Niche Tak Hi Mahdood Rehta Balki Nigaaheiñ Jhukaa Kar Bhi Dekhna Is Qadar Baland Hota Hai Ki Neeche Tehtus Saraa Tak Aur Upar 'Arshe Mua'lla Tak Nazar Jaati.

*Tazmeen:*
Aoj Taabe Nigaahe Risaa Par Durood;
Be Jhijhak Deed Ain E Khuda Par Durood;
Maa'ana Aayae "Ma-Taghaa" Par Durood;
"Nichee Aankhoñ Ki Sharm-o-Hayaa Par Durood;
Oonchi Beeni Ki Rif’at Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)

Unki Har Ek Pyari Adaa Par Durood;
Jalwaye Aariz E Dil Ruba Par Durood;
Durre Dandaañ Ki Noorani Ziya Par Durood;
"Nichee Aankhoñ Ki Sharm-o-Hayaa Par Durood;
Oonchi Beeni Ki Rif’at Pe Laakhoñ Salaam."
(Sayed Habib Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

48.Jinke Aage Charaaghe Qamar Jhilmilaaye;
Un ‘Izaaro Ki Tal’at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qamar:Chaand;☆Jhilmilaye:Timtimaaye,Jalna Bujhna;☆'Izaaro:Rukhsaaroñ;☆Tal'at:Chahre Ki Chamak.]

TASHREEH:
Mahboob E Rabb Ul Aalameen Ke Chehrae Wad-Duha Ki Tala'atoñ Ke Saamne To Chaand Bhi Timtimaata Cheraagh Saa Hojaata Hai Phir Mein Apne Aaqa ﷺ Ke Un Noorani Rukhsaaroñ Ki Chamak Damak Pe Bhi Kyun Na Laakhoñ Salamo Ka Nazraanae Mohabbat Pesh Karooñ. Kyunki Ham Gunaaho Ki Bigdi To Aaqa ﷺ Ko Durood Wa Salam Ki Duaaeiñ Dene Se Hi Ban Jaayegi. Gada Jab Kisi Sakhi Ko Dua Deta Hai To Uska Matlab yahi To Hota Hai,
_Hafeez E Benawa Bhi Hai Gadaaye Daamane Daulat;
Aqidat Ki Jabeen Teri, Murawwat Se Hai Noorani.
Salaam Aye Aatishey Zanjeer Todne Waale;
Salaam Aye Khaak Ke Toote Diloñ Ko Jodne Waale.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

49.Unke Khad Ki Suhoolat Pe Be-Had Durood;
Unke Qad Ki Rashaaqat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khad:Rukhsar;☆Suhoolat:Narmi,Mulaaym Hona;☆Rashaaqat:Umdagi,Zaibaqaamti.]

TASHREEH:
Aaqae Dojahaan ﷺ Ke Narm O Naazuk Rukhsaar Mubarak Pe Karodoñ Durood Hoñ Aur Aap Ke Noorani Aur Umdah Qad Pe Ham Gunahgaaro Ki Taraf Se Aqeedat Meiñ Dube Huwe Laakhoñ Salaam Ho.
_Hamare Aaqa ﷺ Chamakte Huwe Rukhsaaro Waale The.
(Sibl Ul Huda.)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

50.Jis Sey Taareek Dil Jagmagaane Lage;
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Taareek:Andhera;☆Jagmagaana:Raushan Hona;☆Chamak Waali:Noor Wa Raushni Waali;☆Rangat:Rang O Roop.]

TASHREEH:
Nabi Kareem ﷺ Ki Us Noorani Rangat Pe Bhi Laakhoñ Salam Hoñ Jiski Yaad Aajaaye To Dilo Ka Andhera Ujaale Mein Tabdeel Hojaaye Aur Dilon Ki Ujdi Huwi Basti Aabaad Wa Shaad Hojaaye.

*Tazmeen:*
Jiske Jalwe Zamane Mein Chhane Lage;
Jiski Soo Se Andhere Thikaane Lage;
Jisse Zulmat Kude Noor Paane Lage;
"Jis Sey Taareek Dil Jagmagaane Lage;
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhoñ Salaam."
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

51.Chaand Sey Munh Pe Taabaañ Darkhshaañ Durood;
Namak Aagiñ Sabaahat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Chaand Se:Chaand Jaise;☆Taabaañ:Chamakdaar;☆Darakhshaañ:Raushan;☆Namak Aagiñ:Namak Bhari;☆Sabaahat:Goraapan.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ke Chaand Se Bhi Zyadah Khubsoorat Chehra E Anwar Par Noor Waala Durood O Rehmat Ho Aur Aapke Namkein Husn O Jamaal Pe Laakhon Salamat.
Durood Ka Ek Ma'aanaa Rehmat Bhi Hai To Firishtoñ Ke Durood Padhne Ka Ma'aana Yeh Huwa Ke Woh Allah Ta'la Se Yeh Duaa Karte Rehte Haiñ Ya Allah! Teri Jannateiñ Bhi Rehmateiñ Hain Aur Apne Nabi Ke Daaman Meiñ Daal De Chunaayencha Allah Ta'ala Ne Apne Mehboob ﷺ Ko Saraapa Rehmat Banaa Diya Aur Aesa Ki Allah Rehman Wa Raheem Ki Rehmat Ke Jalwe Rehmat Al Lil Aalameen Ke Rukhe Anwar Mein Nazar Aane Lage. Aapne Farmaya _Jisne Mujhe Dekha Usne Haq Dekha.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

52.Shabnam-E-Baagh-E-Haq Ya’ni Rukh Ka Araq;
Uski Sachhi Baraaqat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shabnam:Aws;☆Rukh:Chehra E Wad-Duha;☆Araq:Paseenah;☆Baraaqat:Chamak Damak.]

TASHREEH:
Allah Ta'la Ke Gulshan E Aqdas Ki Aws Aur Shabnam Dekhni Hai To Rukhe Wad'Duha Ka Mu'ambar Paseenah Tak Lo, Hamto Is Paseene Ki Chamak Damak Pe Bhi Laakhoñ Salaam Bhejte Haiñ.

*Tazmeen:*
"Mushafe Noor" "Par Aabe Zar Ka Waraq";
"Ya Kafe Hoor" Par "Motiyoñ" Ka "Tabaq";
"Man-Ra-ani" Meiñ Hai Qad Ra-Aa-Ya Ki Ramaq;
Shabnam-E-Baagh-E-Haq Ya’ni Rukh Ka Araq;
Uski Sachhi Baraaqat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

53.Khat Ki Girde Dahan Woh Dilara Phaban;
Sabzah-E-Nehr-E-Rehmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khat:Daadhi Mubarak;☆Girde Dahan:Munh Ke Ird Gird;☆Dilara:Dil Ko Bhaati,Dil Ko Moh Lene Waali;☆Sabzah:Hariyali.]

TASHREEH:
Hamare Pyare Aaqa ﷺ Ke Chehrae Anwar Pe Purnoor Daadhi Mubarak Ka Khat Aese Dikhayi Deta Hai Jaise Rehmat Ki Nahar Pe Noor Ka Sabzah Aashiqoñ Ke Dil Kheeñch Raha Hai. Aap Ki Daadhi Mubarak Pe Bhi Laakhoñ Salaam Ho.

*Tazmeen:*
"Mah Ko Ghere" Huwe Hai "Sunehri Kiran";
Yaa "Labe Jau" Hai "Khursheed Par To Figan";
"Mauj E Darya Rawaañ" Hai " Kinaare Chaman";
Khat Ki Girde Dahan Woh Dilara Phaban;
Sabzah-E-Nehr-E-Rehmat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

54.Reesh-e-Khush Mu’tadil Marham-e-Reesh-e-Dil;
Haalah-e-Maah-e-Nudrat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Reesh:Daadhi Mubarak;☆Mu'tadil:Darmiyaani;☆Reeshe:Zakhm;☆Haalah:Chaand Ke Gard Daayerah;☆Nudrat:Anokhaapan.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Khushnuma,Mauzun Aur Khubsoorat Daadhi Mubarak Aashiqaane Mustafa Ke Zakhmi Dilo Pe Marham Ka Kaam De Rahi Hai Aur Chaundhwi Raat Ke Chaand(Rukhe Wad-Duha) Ke Ird Gird Is Ajeeb Qism Ke Noorani Daayre (Haalah) Par Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

55.Patli Patli Gul-e-Quds Ki Pattiyaañ;
Un Laboñ Ki Nazaakat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Gule Quds:Baaghe Jannat Ka Nikhra Huwa Phool;☆Nazaakat:Khoobi,Nazukmizaaji.]

TASHREEH:
Mehboob E Khuda ﷺ Ke Patle Patle Gulabi Honth Goya Gulshan E Taqdees Ke Muqaddas Phool Ki Narm O Nazuk Pattiyaan Haiñ, Maiñ Apne Aaqa ﷺ Ke Mubarak Laboñ Ki Nazaakat Wa Lataafat Pe Ek Salaam Nahi Laakho6 Salam Bhejta Huñ.

*TAZMEEN:*
Mauje Husn E Tabassum Meiñ Gul Baariyaañ;
Aur Gulbaariyoñ Meiñ Lataafat Ki Shaañ;
Jinmein Qudrat Ki Baarikiyaañ Haiñ Nihaañ;
Patli Patli Gul-e-Quds Ki Pattiyaañ;
Un Laboñ Ki Nazaakat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jinki Nuzhat Pe Qurbaan Jaan E Jinaañ;
Jinse Sharminda La'l E Yaman Begumaañ;
Jinpe Har Waqt Wahiye Ilaahi Rawaañ;
Patli Patli Gul-e-Quds Ki Pattiyaañ;
Un Laboñ Ki Nazaakat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

56.Wo Dahan Jiski Har Baat Wahiy-e-Khuda;
Chashmah-e-‘Ilmo Hikmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Dahan:Muñh;☆Wahiye Khuda:Khudaayi Paighaam.]

TASHREEH:
Jis Mu5nh Se Nikalne Waali Har Baat Wahi Ka Darjah Rakhti Hai
(وماينطق عن الھوی ان ھوا لا وحی یوحی)
Ilm O Hikmat Ke Is Chashma E Faiz Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Jiske 'Aali Maqaalaat Wahiye Khuda;
Jiske Ghaibi Ishaaraat Wahiye Khuda;
Jiske Alfaaz Aayaat E Wahiye Khuda;
Wo Dahan Jiski Har Baat Wahiy-e-Khuda;
Chashmah-e-‘Ilmo Hikmat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jisse Tauheed Ka Dars Sabko Mila;
Jisne Aelaane Haq Aashkaar Kiya;
Shaan Jiski Hai Maa-Yantiqu-'An-Hawaa;
Wo Dahan Jiski Har Baat Wahiy-e-Khuda;
Chashmah-e-‘Ilmo Hikmat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

57.Jiske Paani Sey Shaadaab Jaan-o-Jinaañ;
Uss Dahan Ki Taraawat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shaadaab:Taro Tazah,Sarsabz;☆Jinaan:Jannateiñ;☆Taraawat:Tari,Zindagi.]

TASHREEH:
Allah Ke Pyaare Mehboob ﷺ Ka Dahan E Aqdas Chashma E Ilmo Hikmat Bhi Hai Aur Is Dahan E Aqdas Ki Tari Jaan O Dil Ke Liye Raahat O Sukoon Aur Taro Taazgi Ka Baa'es Bhi Hai. Mein6 Apne Aaqaﷺ Ke Dahan Mubarak Ki Tari Par Laakhoñ Salam Bhejta Huñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

58.Jis Sey Khaari Kuñwe Sheera-e-Jaañ Bane;
Us Zulaal-e-Halaawat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khaari:Kadwaa Namkeen Paani;☆Sheera E Jaan:Jaan Ko Taskeen Dene Wala Meetha Sharbat;☆Zulaal:Thanda Meetha Aur Nathra Huwa Saaf Shufaaf Paani;☆Halaawat:Mithaas.]

TASHREEH:
Mehboob E Khuda ﷺ Ka Woh Lu'aabe Dahan Mubarak Jo Khaari Kunweiñ Ko Meetha Kardeta Hai Aur Rooh O Jaan Ko Ek Nayi Taazgi 'Ata Kardeta Hai Us Mithaas Ke Chashme Pe Hamaari Taraf Se Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Qalzame Ma'refat Nahre Irfaañ Baney;
Bahre Tauheed Daryaae Imaañ Baney;
'Aen Sarchashma Aab E Haiwaañ Baney;
Jis Sey Khaari Kunwe Sheera-e-Jaañ Bane;
Us Zulaal-e-Halaawat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

59.Woh Zabaañ Jisko Sab Kun Ki Kunji Kaheiñ;
Uski Naafiz Hukoomat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Kun:Hojaa;☆Kunji:Chaabhi;☆Naafiz:Jaari.]

TASHREEH:
Sarwar E Doaalam Noor E Mujasaam ﷺ Ki Zubaan E Aqdas Taqdeer E Ilaahi Ki Chaabhi Hai (Muslim Sharif Mein Hai Ki Ek Shakhs Aaraha Tha, Aap ﷺ Ne Farmaya-Aye Allah Usko Abu Khuthaima Bana De Pas Woh Abu Khuthaima Hi They) Us Zabaane Aqdas Ke Poore Jahaan Balki Dono Jahaano (Kyunki Huzur ﷺ Ki Hukumat Aasmaano Par Bhi Hai Jaisa Ki Aapne Farmaya Mere Do Wazeer Zameen Par Haiñ Aur Do Aasmaano Par) Jaari Wa Saari Hukumat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Rehmate Haq Ki Hone Lagi Baarisheiñ;
Deen O Duniya Ki Lutney Lagi Daolateiñ;
Khol Di Jisney Allah Ki Hikmateiñ;
Woh Zabaañ Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahein;
Uski Naafiz Hukoomat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jisse Hikmat Ke Chashme Hamesha Baheiñ;
Jisse Poshidah Asraar E Aalam Khileiñ;
Jiske Haq Goyi Ka Ghair Bhi Dam Bhareiñ;
Woh Zabaañ Jisko Sab Kun Ki Kunji Kaheiñ;
Uski Naafiz Hukoomat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

60.Uski Pyaari Fasaahat Pe Be-Had Durood;
Uski Dilkash Balaaghat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Fasaahat:Umdah Kalaam,Khush Bayaani;☆Dilkash:Diloñ Par Asar Karne Waala;☆Balaaghat:Mauqae Mahal Ke Mutaabiq Achchi Guftugu.]

TASHREEH:
Us Zabaan Se Nikalne Waali Pyari Pyari Meethi Meethi Aur Ilmo Hikmat Se Bharpoor Baateiñ Aur Kalaam Maujzah Nizaam Pe Beshumaar Durood O Salaam Haiñ Aur Us Zabaan Haq Tarjumaan Ki 'Ala Aur Mauqa Mahal Ke Mutaabiq Umdah Guftugu Pe Laakhoñ Salam Hoñ Jiss Se Nikalne Waala Ek Ek Lafz Zamaane Ki Mushkileiñ Hal Kar Raha Aur Karta Rahega.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

61.Uski Baatoñ Ki Lazzat Pe Laakhoñ Durood;
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Lazzat:Suroor;☆Khutbah:Wa'az Wa Naseehat Aur Hamd O Naat Ka Majmu'aa;☆Haibat:Ra'ob Wa Dabdaba.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ke Muñh Se Nikalne Waali Pyari Pyari Aur Meethi Meethi Baatoñ Ki Lazzat O Suroor Par Laakhoñ Rehmateiñ Hoñ Aur Aapke Purkashish Khutbah Wa Bayaan(Jiske Bare Mein Sahabaye Kiram Kehte Hai Ki Jab Huzoor ﷺ Jannat Wa Dozakh Ka Zikr Farmaatey To Aesa Lagta Jaise Ham Jannat Wa Dozakh Ko Apne Saamne Dekh Rahe Haiñ) Ki Shaan O Shaukat Aur Ra'ob Wa Dabdabe Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Auj Shaan E Fasaahat Pe Laakhoñ Durood;
Husn Jaane Balaaghat Pe Laakhoñ Durood;
Guftugu Ki Halaawat Pe Laakhoñ Durood;
Uski Baatoñ Ki Lazzat Pe Laakhoñ Durood;
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhatr Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

62.Woh Du’a Jis Kaa Joban Bahaar-e-Qubool;
Us Naseem-e-Ijaabat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Joban:Raunaq O Bahaar,Husn O Jamaal;☆Naseem:Umdah Khushboodaar Hawa;☆Ijaabat:Qubooliyat.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Purasar Dua Jiski Raunaq E Qubuliyat Ki Bahaar Hai Us Maqbool Wa Mustajaab Hone Wali Dua Ki Thandi Aur Khushboodaar Hawa Jis Ke Jalwoñ Meiñ Woh Dua Bargaahe Khuda Wandi Meiñ Pohnchi Us Naseeme Jaanfiza Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
Jiske Taaba'e Hain Maqbuliyat Ke Usool;
Munhasar Jispe Hai Rehmatoñ Ka Nuzool;
Woh Dua Jis Pe Sadqe Duroodoñ Ke Phool;
Woh Du’a Jis Kaa Joban Bahaar-e-Qubool;
Us Naseem-e-Ijaabat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

63.Jin Key Guchche Sey Lachche Jhadeiñ Noor Key;
Un Sitaaron Ki Nuzhat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Guchche:Kisi Shayi Ki Kasrat Wa Majmu'aa, Ek Hi Shaakh Pe Bohot Saare Phal Aur Phool Hona;☆Lachche:Pechidah Wa Musalsal;☆Nuzhat:Chamak Wa Paakizgi.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ke Noorani Sachche Motiyoñ Ki Ladi Jaise Daant Mubaarak Jinse Noor Ki Kirneiñ Chhan Chhan Kar Bahar Aati Haiñ Aur Galiyaañ Wa Bazar Raushan Hojaate Hain Un Chamakdaar Sitaaroñ Ki Paakeezgi Aur Khoobi Pe Laakhoñ Salam Hon.

*Tazmeen:*
Jis Ke Zu Se Miley Raastey Door Ke;
Din Phirey Bakht Shab Haay Mahjoor Ke;
Jinse Barseiñ Gohar Husn E Mastoor Ke;
Jin Key Guchche Sey Lachche Jhadeiñ Noor Key;
Un Sitaaron6 Ki Nuzhat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

64.Jiski Taskeeñ Sey Rote Huwe Hans Padein,
Us Tabassum Ki 'Aadat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Taskeeñ:Tasalli;☆Tabassum:Muskurahat;☆'Aadat:Khislat Wa Ma'mool.]

TASHREEH:
Koi Jitna Bhi Gham Wa Pareshani Meiñ Kyuñ Na Ho Jab Aapki Baargah Meiñ Usko Tasalli Mil Jati Hai To Rota Huwa Khush Hokar Hansne Lagta Hai. Hamare Aaqa ﷺ Ki Hamesha Muskurane Ki Is Aadat Mubarak Pe Laakhoñ Salam Hoñ. Sahabaye Kiraam Farmaatey Haiñ Ke Huzoor ﷺ Guftugu Farmaatey Huwe Muskura Kar Baat Karte. Aur Aapke Laboñ Par Hamesha Muskurahat Ka Noor Barasta Rehta.(Tirmizi,Musnad Ahmad)

*Tazmeen:*
Muztarib E Gham Se Hote Hote Hañs Padeiñ;
Ranj Se Jaan Khote Huwe Hans Padeiñ;
Bakht Jaag Uththein Sotey Huwe Hans Parein;
Jiski Taskeeñ Sey Rote Huwe Hans Padeiñ;,
Us Tabassum Ki 'Aadat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jisse Zulmat Kade Jagmagaane Lageiñ;
Jiski Nikhat Se Murjhaayi Kaliyaan Khileiñ;
Jisse Murdah Ummeedon Ko Jaanein Milieñ;
Jiski Taskeeñ Sey Rote Huwe Hans Parein,
Us Tabassum Ki 'Aadat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad).

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

65.Jis Mey Nehrein Hain Sheero Shakar Ki Rawaañ;
Us Gale Ki Nazaarat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sheer:Doodh;☆Shakar:Chini,Meetha;☆Rawaañ:Jaari;☆Nazaarat:Taazgi,Tari.]

TASHREEH:
Sarkaare Madina ﷺ Ke Gulwaye Khushnawaa Se Nikalne Wali Pyari Aawaaz Mein Goya Doodh Aur Shahad Ki Nehreiñ Jaari Hain [Huzur ﷺ Tamaam Logon Se Badh Kar Achchi Aawaz Rakhte They(Bukhari,Muslim,Tirmizi)]
Mere Aaqa ﷺ Ke Gale Mubarak Ki Taro Taazgi Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
_Sarkash Jo They Maayel Huwe Dushman Jo They Qaayel Huwe;
Mas-hoorkun Tha Kis Qadar Ya Mustafa Lehjaa Tera. ﷺ

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

66.Dosh Bar Dosh Hay Jin Sey Shaan-e-Sharaf;
Aise Shaanoñ Ki Shaukat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Dosh:Siyaah Zulfeiñ;☆Bardosh:Kandhey Par;☆Sharaf:Buzurgi;☆Shaanoñ:Kandhoñ.]

TASHREEH:
Sharaafat Wa Buzurgi Ki Shaan Ko Zahir Karne Wali Hamare Aaqa ﷺ Ke Kandhoñ Par Jhuki Huweiñ Khushboodar, Noorani Zulfoñ Aur Aapke Mubarak Kandhoñ Ki Shaan O Shaukat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
[Aap ﷺ Jab Kandhon Se Kapda Hataatey To Kandhe Chaañdi Ke Daloñ Ki Tarah Dikhayi Dete.(Al-Tahzeeb La Bin 'Akaasir)].

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

67.Hajr-e-Aswad-e-Ka'aba-e-Jaan-o-Dil;
Ya’ni Mohr-e-Nubuwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Hajre Aswad:Kaala Paththar(Jo Deewar E Ka'ba Meiñ Nasab Hai);☆Mohr E Nabuwat:Aap ﷺ Ki Pusht Anwar Par Mohar Ka Nishaan.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Pusht E Anwar Pe Mohr E Nabuwat Goya Hajr E Aswad Hai Jo Hamari Jaanoñ Aur Hamaare Diloñ Ke Ka'ba Mohammad Mustafa ﷺ Ke Jasad E At-har Mein Nasab Hai Jis Tarah Ke Hajr E Aswad Deewar E Ka'ba Meiñ Nasab Hai. Meiñ Apne Is Pyare Nabi Ki Us Mohr E Nabuwat Pe Bhi Laakhoñ Salam Bhejta Huñ Sahabaye Kiraam Us Mohr E Nabuwat Ko Chumtey Balki Chustey Bhi Chunañche Hazrat Jaabir RadiAllahu Ta'la Anhu Farmatey Hai Meiñ Ek Dafa' Huzoor ﷺ Ke Peechey Sawaar Tha- Meiñe Mohre Nabuwat Ko Munh Meiñ Le Liya, Ussey Khushbu Ke Hulle Phoot Rahey They.

*Tazmeen:*
Shama' Raushan Hai Quran Ke Muttasil;
Dekhkar Jinko Haiñ Chaañd O Suraj Khajil;
Hai Izaare "Risalat" Pe Taabandah Til;
Hajr-e-Aswad-e-Ka'aba-e-Jaan-o-Dil;
Ya’ni Mohr-e-Nubuwat Pe Laakhoñ Salaam.

Yahaan Risalat Se Muraad "Darjah Risalat Wa Nabuwat" Hai Ya'ni Mohr E Nabuwat Ne Mujassam E Risalat O Nabuwat Ko Khubsoorat Banaadiya (Bilaa Tashbeeh) Jis Tarah Kisi Haseen O Jameel Ke Rukhsar Ka Til Poorey Haseene Mujassamah Ko Chamka Deta Hai.(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

68.Roo-E-Aainah-E-‘Ilm-e-Pusht-e-Huzoor;
Pashti-e-Qasr-e-Millat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Roo:Chehra;☆Pusht:Kamar;☆Pashti:Nigahbaani;☆Qasr:Mahal;☆Millat:Deen,Mazhab,Ummat.]

TASHREEH:
Hadees E Paak Meiñ Hai Ki Sarkar ﷺ Ne Farmaya Ki Meiñ Aage Peechey Balki Namaz Ki Imaamat Karatey Huwey Tumhare Ruku' Aur Dili Kaifiyat (Khushu') Ko Bhi Dekhta Huñ. (Muslim,Kitab Us Salaat).
Inheiñ Ahaadees Meiñ Bayan Hone Wali Mazkoorah Khususiyat Ko 'Ala Hazrat Is Shayr Meiñ Bayan Farmaakar Uspar Laakhoñ Salaam Bhej Rahe Haiñ Aur Farmaate Hain "Aapka Chehra Anwar Agar Ilm Ka Ayena Hai To Pusht Mubarak Bhi Bekhabar Nahi Hai Balki Pusht Ke Saath Bhi Ummat Ke Mahel Ki Nigehbaani Farmaarahe Haiñ Us Pushte Mubarak Ki Is Lajpaal Aur Nigehbaani O Qasr E Millat Pe Laakhoñ Mohabbat Bharey Salam Hoñ.('Ala Hazrat Ke Is Andaz E Mohabbat O Ishq Pe Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

69.Haath Jis Samt Uttha Ghanee Kar Diya;
Mouj-e-Bahr-e-Samaahat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Ghanee:Maaldaar;☆Mauj:Laher,Josh;☆Bahr:Samandar;☆Samaahat:Jood O 'Ata]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ka Daste Karam Jis Taraf Uth Gaya Jud O 'Ata Se Maalaa Maal Kardiya Ki Lene Wala Pukar Utha,
_Jholi Hi Apni Tang Hai Tere Yahan Kami Nahi._
Hazrat Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anhu Farmatey Hai, Aap ﷺ Ka Daste 'Ata Sabse Badhkar Sakhi Tha.(Anwaar E Mohammadiya) Jood O 'Ata Ke Samundar Ki Is Laher (Haath) Pe Laakhoñ Salam E Mohabbat.

*Tazmeen:*
Deen O Duniya Diye Maalo Zar Diya;
Hoor O Ghulmaa Diye Khuld O Kauthar Diya;
Daamane Muqaddas E Zindagi Bhar Diya;
Haath Jis Samt Uttha Ghanee Kar Diya;
Mouj-e-Bahr-e-Samaahat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Hai Woh Qasim Agarcha Hai Mu'taa Khuda;
Jisko Jo Kuch Mila Woh Unheiñ Se Mila;
Josh Par Unka Har Dam Hai Jud O 'Ata;
Haath Jis Samt Uttha Ghanee Kar Diya;
Mouj-e-Bahr-e-Samaahat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayed Habib Ahmad).

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

70.Jisko Baare Do ‘Aalam Ki Parwaa Nahin;
Aisey Baazoo Ki Quwwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Baar:Bojh;☆Do 'Aalam:Dono Jahaan(Duniya Wa Aakhirat);☆Parwaa:Fikr, Pareshaani.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa Aur Allah Ta'la Ke Pyare Mehboob ﷺ Ke Baazuwoñ Meiñ Kitni Quwwat Thi Ki Aapne In Baazuoñ Se Dono Jahaano Ka Bojh Utha Liya Aur Aapko Parwaah Tak Nahi Hai. (Aur Chehrae Anwar Par Har Waqt Muskurahat Taari Rehti Hai) Un Mubarak Baazuwon5 Ki Is Khudaa Daad Quwwat Wa Taaqat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Duba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi;
Koi Misle Yad Ullah Dekha Nahi;
Jiski Taaqat Ka Koi Thikana Nahi;
Jisko Baare Do ‘Aalam Ki Parwaa Nahin;
Aisey Baazoo Ki Quwwat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jis Sa Shehzor Koi Bhi Paidah Nahi;
Jiska Misl Aur Aalam Meiñ Dekha Nahi;
Jisse Badhkar Hamara Sahara Nahi;
Jisko Baare Do ‘Aalam Ki Parwaa Nahi;
Aisey Baazoo Ki Quwwat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad).

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

71.Ka'aba-e-Deen-o-Imaañ Key Dono Sutooñ;
Saa’idayn-e-Risaalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sutoon:Tham;☆Saa'idayn:Kalaaiyaañ,Baazuwoñ.]

TASHREEH:
Aaqa Wa Maula ﷺ Jo Hamare Deen Aur Hamare Imaan Ke Qibla O Ka'aba Haiñ Aap Ke Dono Baazu Mubarak Jo Ki Goya Imaam Ul Ambiya Wa Rasul 'Alaihi Wa 'Alaihum As Salam Ki Nabuwat O Risalat Ke Do Sutoon Hain Unpar Laakhoñ Durood O Salaam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

72.Jis Key Har Khat Mein Hay Mouj-e-Noor-e-Karam;
Us Kaf-e-Bahr-e-Himmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khat:Naqsh;☆Mauj:Lahar;☆Kaf:Hatheli;☆Bahr:Samundar.]

TASHREEH:
Aaqaaye Dojahaan ﷺ Ke Yad Ullah Ke Gore Gore Aur Noorani Haathoñ Ki Ek Ek Lakeer Goya Jood O Karam Ka Darya Bankar Beh Rahi Hai Ki Har Sawaali Ki Jholi Bhari Jaarahi Hai Phir Us Poorey Haath(Bahre Himmat) Himmat O Bakhshish Ke Samundar Pe Kyuñ Na Laakhoñ Salaam Kaheiñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

73.Noor Key Chashme Lehraayein Dariyaa Baheiñ;;
Ungliyoñ Ki Karamat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Baheiñ:Jaari Hon;☆Karamat:Izzat,Anokhi Khoobi.]

TASHREEH:
Kayi Maoqe Par Sarkar Madinah ﷺ Ki Ungliyoñ Se Paani Ke Chashmoñ Ka Jaari Hona Sahih Ahaadees Se Saabit Hai-
فجعل الماءمن بين اصابعه فتوضأ القوم
(Bukhari Kitaab Ul Manaaqib)
Isi Bukhari Mein Hai Ki Hazrat Jaabir RadiAllahu Ta'la Anhu Se Kisi Ne Pucha! Us Paani (Suleh Hudaibya Ke Mauqe Par Sarkarﷺ Ke Ungliyoñ Se Jo Paani Jaari Huwa Tha) Se Kitne Afraad Ne Wudhu Kiya Aur Piya Yo Unhone Jawaab Diya Ki Ittefaaqan Ham 1500 They Lekin Yeh Na Samajhna Ki Utne Hi Afraad Ki Zarurat Us Paani Se Poori Hosakti Thi Agar Zyadah Hote To Shayd Paani Kam Hojaata....Nahi! Nahi! "Agar Ham 1 Lakh Bhi Hote To Paani Khatam Nahi Hota." Kyuñki Paani Ki Kaifiyat Yeh Thi-Paani To Chashmoñ Ki Tarah Phoot Raha Tha.
'Ala Hazrat Ungliyon Ki Is 'Azmat Par Laakhoñ Salam Bhej Rahe Hain. Dusri Jagah Farmaatey Haan
Ungliyaan Hain Faiz Par Tootey Haiñ Pyaase Jhoomkar;
Naddiyan Panj Aab Rehmat Ki Hai Jaari Waah Waah.

*Tazmeen:*
Qalzameiñ Husn Ki Jinko "Shaakheiñ" Kahein;
Jisse Sootey Lataafat Ke Phootaa Kareiñ;
Jinse Nehreiñ Tajalli Ki Jaari Raheiñ;
Noor Key Chashme Lehraayeiñ Dariyaa Baheiñ;
Ungliyoñ Ki Karamat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jinki Barkat Se Laakhoñ Ki Pyaaseiñ Bujheiñ;
Jinka Dam Salsabeel Aur Kauthar Bhareiñ;
Chaand Suraj Ishaaroñ Pe Jinke Chaleiñ;
Noor Key Chashme Lehraayeiñ Dariyaa Baheiñ;
Ungliyoñ Ki Karamat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

74.'Eid-e-Mushkil Kushaayi Key Chamkey Hilaal;
Naakhunoñ Ki Bishaarat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Eid:Khushi;☆Mushkil Kushaayi:Haajat Poori Karna;☆Hilaal:Pehli Se Teesri Taareekh Tak Ka Chaand;☆Bashaarat:Khushkhabri.]

TASHREEH:
Sarkaar Do Aalam ﷺ Ke Naakhun Mubarak Jo Sahaabaye Kiraam Bataur E Tabarruk Apne Paas Rakhte Aur Marte Waqt Wasiyyat Karte Ki Hamaari Qabr Meiñ Hamare Saath Is Tabarruk Ko Rakhkha Jaaye.(Ahyaa Ul 'Uloom)
Ye Nakhun Aqdas Hain Ya Mushkilon Ko Hal Karne Wale Eid Ke Chaand Haiñ. Jo Sahaabaye Kiraam Ke Liye Bhi Jannat Ki Zamaanat Bane Huwey Haiñ. Sarkar ﷺ Ke Un Naakhunoñ Ke Muzdahjaanfizaa Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
'Aasiyoñ Ki Bhalaayi Ke Chamke Hilaal;
Qaide Gham Se Rihaayi Ke Chamke Hilaal;
Jalwa E Mustafaayi Ke Chamke Hilaal;
'Eid-e-Mushkil Kushaayi Key Chamkey Hilaal;
Naakhunoñ Ki Bishaarat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

75.Raf'-e- Zikr-e-Jalalat Pe Arfa' Durood;
Sharh-e-Sadr-e-Sadaarat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Raf'a:Baland Hona;☆Jalalat:Azmat Wa Buzurgi;☆Arfa':Bohot Baland;☆Sharh:Khulna;☆Sadr:Seena;☆Sadaarat:Sadr Nasheeni.]

TASHREEH:
"WA RA FA'NA LAKA ZIKRAK" Ki Shaan Wale Aaqa ﷺ Ke Zikr Khair Ki Bulandiyoñ Pe Buland O Baala Durood Ho Aur "ALAM-NASHRAH LAKA SADRAK" Ki Shaan Waaley Do Jahaañ Ke Sadar, Ke Sharhe Sadr Wale Seene Pe Laakhon Salaam Hoñ.
Sarkaar ﷺ Ke Zikr Ko Allah Ta'la Ne Itna Baland Farmaaya Ki Aapka Naam 'Arsh O Kursi Aur Jannat Ke Darwaazoñ Aur Jannat Ki Har Shaye Pe Likh Diya Gaya Goyaa Dusre Lafzoñ Meiñ Yuñ Kaha Jaayega Ki Har Cheez Pe Aapka Naam Likhkar Aapko Har Shaye Ka Maalik Banadiya Gaya Kyuñki Jiska Makaan Hoga Usi Ka Hi Naam Likha Jaayega Goya;
Khaaliq E Kul Ne Aapko Maalik E Kul Bana Diya;
Dono Jahaan Haiñ Aapke Qabzah O Ikhteyaar Meiñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

76.Dil Samajh Sey Waraa Hay Magar Yooñ Kahooñ;;
Ghunchah-e-Raaz-e-Wahdat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Waraa:Baland Wa Baalaa;☆Ghunchah:Kali;
☆Raaz E Wahdat:Tauheed E Khuda Wandi Ka Bhed.]

TASHREEH:
Aur Jab Aapke Nakhuno,Baazuoñ Aur Ungliyoñ Ki Yeh Shaan Hai (Jo Tuney Padhli Aur Ala Hazrat Ne Likhdi) To Phir Meiñ Apne Aaqa ﷺ Ke Dil Ki Kya Shaan Bayaan Karuñ Kyuñki Dil To Tamaam 'Azaa Se Waise Hi Afzal Hota Hai (قلب مومن عرش الله)
Phir Huzur ﷺ Ka Dil-Allah U Akbar! SubhanAllah! Meri Samajh Huzoor ﷺ Ki Azmat O Shaan Ka Faisla Kaise Kar Sakegi Bass Ek Andazah Saa Hai Aur Woh Yeh Hai Ki Allah Ta'la Ke Raaz Haaye Sarbastah Ka Ek Azeem Ush Shaan Khazaanah Hai.
Allah Ta'la Ne Sabse Pehle Apne Mehboob Ke Dil Ko Apne Raazoñ Ka Markaz Banaaya. Kyunki Aapki Takhleeq Sabse Pehle Huwi. Yahi Woh Baabarkat Dil Hai Jispar 30 Paara E Qura'n Naazil Huwa. Qur'an Ke Nuzool Ka Bojh Pahaad Bardaasht Na Kar Sake, Agar Quran Majeed Pahaadoñ Par Utarta To Woh Reza Reza Hojaate. Magar Sarkar ﷺ Ka Dil Hai Jispar Poora Qur'an Majeed Utra Aur Jooñ Jooñ Utarta Jaata Aapko Sukoon Haasil Hota Jaata. Aye Mehboob Ham Tere Upar Qur'an Naazil Karte Haiñ Taaki Tere Dil KoTaskeen O Taqweeyat Deiñ.(Surah Hood)

*TAZMEEN:*
'Aql Hairaan Hai Idraak Ko Hai Junooñ;
Kaif Hai Sarbasajdah Khirad Sarunguñ;
Kaun Pohnchaa Hai Taahadde Sirre Durooñ;
Dil Samajh Sey Waraa Hay Magar Yooñ Kahooñ;
Ghunchah-e-Raaz-e-Wahdat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

77.Kul Jahaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghizaa;
Uss Shikam Ki Qanaa'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Kul Jahaan:Saari Kaaynaat;☆Milk:Qabzah;☆Ghizaa:Khaoraak;☆Shikam:Pet;☆Qanaa'at:Thodi Shaye Par Khush Rehna.]

TASHREEH:
Saara Jahaan Jinki Milkiyat Aur Ikhteyaar Meiñ Hai Unki Apni Ghiza Ka Aalam Yeh Hai Ki Jaw Ki Roti Pe Guzaar Kar Rahe Haiñ, Mei6n Aap ﷺ Ke Shikam E At-har Ki Qanaa'at Pe Kyuñ Na Laakhoñ Salaam Pesh Karooñ.
Jo Chaaheiñ To Pahaad Soney
Ke Bankar Saath Chalne Lageiñ.(Mishkaat Sharif) Magar-Aapke Ghar Meiñ Aksar Khaana Jaw Ki Roti Hoti.(Tirmizi Kitab Uz Zohd)

*TAZMEEN:*
Aasmaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza;
Laamakaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza;
Kun Fakaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza;
Kul Jahaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza;
Us Shikam Ki Qanaa'at Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jiske Mohtaaj Hoñ Saare Shaaho Gada;
Jiske Tukdo Pe Palti Ho Khalqe
Khuda;
Aur Phir Uspe Aalam Ho Yeh Zohd Ka;
Kul Jahaañ Milk Aur Jaw Ki Roti Ghizaa;
Uss Shikam Ki Qanaa'at Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

78.Jo Keh ‘Azme Shafaa'at Pe Khiñch Kar Bañdhi;
Us Kamar Ki Himaayat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆'Azm:Pakka Iraadah;☆Kheeñch Kar:Mazbooti Se;☆Kamar:Pusht;☆Himaayat:Hamdardi.]

TASHREEH:
Hamare Aaqa ﷺ Ne Shafaa'at Ki Petii('Azme Shafaa'at) Apni Kamar Pe Bohot Mazbooti Ke Saath Baandh Li Hai, Har Soorat Meiñ, Har Chah Baadaabaad, Aap Gunahgaaro Ki Zaroor Hi Shafaa'at Farmaayenge. Us Pushte Anwar Ki Pusht Panaahi Aur Ummat Ki Khair Khwaahi Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
Bebason Ki Qayaadat Pe Khiñch Kar Bandhi;
Bekason Ki Rifaaqat Pe Khiñch Kar Bandhi;
'Aasiyon Ki A'aanat Pe Khiñch Kar Bandhi;
Jo Keh ‘Azme Shafaa'at Pe Khinch Kar Bandhi;
Us Kamar Ki Himaayat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

"Meiñ Tamaam Ahle Mehshar Ki Qayaadat Karuñga Jab Woh Jamaa' Hokar Maidaan E Mehshar Meiñ Aayeñge."
(Mishkat Sharif)

Jo Ke Peshe Khuda Sabse Awwal Jhuki;
Aur Jo Roze Jazaa Sabki Haami Bani;
Jisko Har Haal Mein Fikre Ummat Rahi;
Jo Keh ‘Azme Shafaa'at Pe Khiñch Kar Bandhi;
Us Kamar Ki Himaayat Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

79.Ambiya Teh Kare Zaanu Unke Huzoor;
Zaanuoñ Ki Wajaahat Pe Laakhoñ Salaam.
[☆Teh Kare Zaanu:Adab Wa Ehteraam Se Do Zaanuoñ Hokar Beithein(Ya'ni Aapse Faiz Lein);☆Wajaahat:Ra'ob Wa Izzat.]
TASHREEH:
Jis Baargaah Mein Ool Ul 'Azam Nabi Wa Rasool Bhi Baraaye Istefaadah Bade Muaddab Hokar Do Zaanu Baith-te Haiñ Mein Us Nabi Ke Mubarak Zaanuwoñ Pe Bhi Laakhoñ Salam Bhejta Huñ.

*Tazmeen:*
Auj Woh Zaanuwoñ Ka Hai Nazdeek O Door;
Yeh Jahaan Kya Do Zaanu Hai Duniyaae Noor;
Yeh Malak,Yeh Farishtey,Yeh Ghulmaan,Yeh Hoor;
Ambiya Teh Kare Zaanu Unke Huzoor;
Zaanuon Ki Wajaahat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

80.Saaq-e-Asl-e-Qadam Shaakh-e-Nakhl-e-Karam;
Sham'-e-Raah-e-Isaabat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Saaq:Pindali Mubarak;☆Asl:Buniyaad,Jad;☆Shaak:Tehni;☆Nakhl:Darakht;☆Karam:Bakhshish Wa Sakhaawat;☆Shama':Chiraagh,Mombatti;☆Isaabat:Rasaayi,Manzil E Maqsood,Durust Wa Seedha (Raasta).]

TASHREEH:
Mere Aaqa ﷺ Ki Pandaliyañ Haiñ Ya Jood O 'Ata Ke Darakht Ki Do Shaakheiñ Haiñ Jin Ki Qiyaadat Meiñ Har Kisi Ko Raahe Hidayat Aur Manzil E Maqsood Milrahi Hai, Siraat Al Mustaqeem Ki In Sham'oñ Par Meri Taraf Se Laakhoñ Salam Hon.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

81.Khaayi Quraañ Ne Khaak-e-Guzar Ki Qasam;
Us Kaf-e-Paa Ki Hurmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khaake Guzar:Raasta;☆Kafe Paa:Paaoñ Ka Talwaa;☆Hurmat:Izzat.]

TASHREEH:
Jin Raahoñ Se Hamaare Aaqa ﷺ Ka Guzar Huwa Allah Ta'la Ne-
لا اقسم بهذاالبدوانت حل بهذالبلد۔
Farmaakar Un Raahoñ Ki Qasmeiñ Yaad Farmaayeiñ,Phir Jin Galiyoñ Meiñ Huzoorﷺ Ke Qadam Lagne Se Galiyaañ Itni 'Azmat Wali Hoyeñ Un Talwoñ Ki Izzat O 'Azmat Par Kyuñ Na Laakhoñ Salamoñ Ka Nazrana Pesh Kiya Jaaye.

*Tazmeen:*
Ka'abaye Deen O Dil Ya'ni Naqshe Qadam;
Jinki 'Azmat Nahi 'Arsh E 'Azam Se Kam;
Har Balandi Ka Sar Hogaya Jispe Kham;
Khaayi Quraañ Ne Khaak-e-Guzar Ki Qasam;
Us Kaf-e-Paa Ki Hurmat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

82.Jis Suhaani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand;
Us Dil Afroz Saa'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Suhaani:Manpasand,Khubsoorat;☆Ghadi:Lamha;☆Dil Afroz:Dilko Zindagi Dene Waala;☆Saa'at:Waqt.]

TASHREEH:
Jis Khubsoorat Aur Pyare Rehmat O Noor Se Bharpoor Waqt Meiñ Madine Ka Chaand Chamka Aur Hazrat Aaminah RadiAllahu Ta'la Anha Ke Laal Ki Wilaadat E Baasa'aadat Huwi Un Diloñ Ko Imaan Ki Zindagi 'Ata Karne Wale Lamhaat Pe Bhi Laakhoñ Salaam 'Aqeedat Pesh Karne Ko Dil Chaah Raha Hai.

*Tazmeen:*
Jab Huwa Zoo Figan Deen O Duniya Ka Chaañd;
Aaya Khalwat Se Jalwat Mein Asraa Ka Chaañd;
Nikla Jis Waqt Masoo'd Bat-haa Ka Chaañd;
Jis Suhaani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand;
Us Dil Afroz Saa'at Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Noor E Tauheed Ka Jalwah Taibah Ka Chaañd;
'Arsh Ki Aañkh Ka Taara Taibah Ka Chaañd;
Aaminah Bi Ka Mah Paara Taibah Ka Chaand;
Jis Suhaani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand;
Us Dil Afroz Saa'at Pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

83.Pehle Sajde Pe Rouz-e-Azal Sey Durood;
Yaadgari-e-Ummat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Azal:Aaghaaz, Takhleeq E Kaaynat Se Pehle(WAllah U Aalam);☆Yaadgaari:Yaad Rakhna.]

TASHREEH:
Jis Waqt Hamare Aaqa ﷺ Paidaa Huwe To Paidaa Hotey Hi Aapne Sajdah Kiya Aur Yeh Aapki Zaahiri Zindagi Ka Pehla Sajdah Tha Jismeiñ Ummat Ke Liye Bakhshish Ki Dua Thi, Hamari Dua Hai Ki Allah Ta'la, Sarkaar Ke Us Pehle Sajde Par Aesa Durood Bheje Ki Jo Uski Shaan Ke Mutaabiq Azli Ho Ya
Jis Din Kaayenaat Ka Aaghaaz Huwa Usdin Se Durood Ho Aur Taa-Abad Hota Rahey.
Is Mauqe Par Huzoor ﷺ Ka Ummat Ko Yaad Rakhna Is "Yaad Rakhne" Par Laakhoñ Salaam Hoñ. Hazrat Aaminah RadiAllahu Ta'la Anha Farmaati Haiñ-Huzoor ﷺ Ne Paidaa Hote Hi Sar Sajde Meiñ Rakhkha Aur Apni (Shahaadat Ki) Ungli Ko Aasmaan Ki Taraf Uthaaya Jis Tarah Koi Badi Aah Wa Zaari Se Ibaadat Karta Hai.(Anwaar E Mohammadyah).
Dusri Rawaayat Meiñ Hai Ki Yeh Dua Farmaayi-Aye Allah Meri Ummat Ko Bakhsh De.

*Tazmeen:*
Iftekhaar Do Aalam Hai Unka Wajood;
Woh Saraapaa Karam Haiñ Barb O Dood;
Unpe Hota Abad Rehmatoñ Ka Durood;
Pehle Sajde Pe Rouz-e-Azal Sey Durood;
Yaadgari-e-Ummat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

84.Zar'-e- Shaadaab-O-Har Zar'-e- Pur Sheer Sey;
Barakaate Razaa’at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Zar'e:Kheti;☆Shaadaab:Sarsabz;☆Zar'e:Chaati,Pistaan;☆Pur Sheer:Doodh Se Bharpoor;☆Barkaate Razaaat:Doodh Peene Ke Dauraan Ki Barkateiñ.]

TASHREEH:
Huzoor ﷺ Ki Barkat Se Haleema Sa'diya RadiAllahu Ta'la Anha Ke Ghar Meiñ Doodh Ki Nehreiñ Jaari Hogayeiñ. Jin Bakriyoñ Ne Kabhi Doodh Na Diya Tha Unka Doodh Ab Khatam Hi Na Hota Tha. Har Jaanwar Ka Than Doodh Ka Mamba' Ban Gaya Phir Meiñ Apne Aaqa ﷺ Ke Ghar Meiñ Muddat E Razaa'at Ke Daur Ki Barkatoñ Par Kyuñ Na Laakhoñ Salaam Bhejuñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

85.Bhaiyoñ Key Liye Tark Pistaañ Kareiñ;
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Tarke Pistaan:Pistaan Chhodna;☆Nisfat:'Adl O Insaaf.]

TASHREEH:
Hazrat Haleemah RadiAllahu Anha Ki Apni Aulaad Bhi Chuñki Aapke Doodh Meiñ Shareek Wa Haqdaar They Isliye Huzoor ﷺ Sirf Ek Hi Taraf Se Doodh Peetey Jitni Bhi Bhook Hoti Kabhi Dusri Taraf Ka Doodh Na Peetey, Yeh Hamaare Aaqa ﷺ Ka Paidaa Hotey Hi 'Adl Wa Insaaf Hai Ki Koi Iss Daur Ki Baat Karke Yeh Na Kehde Ki Aap To Paidaa Hone Ke Ba'ad Apne Razaa'i Bahan Bhaaiyoñ Ka Haq Maarte Rahe. Adl O Insaaf Ke Paikar Aaqa ﷺ Ke Is Mubarak Adl O Insaaf Pe Bhi Laakhoñ Salam Bhejo.

*Tazmeen:*
Misle Maadar Halimah Pe Ehsaañ Kareiñ;
Unki Bakhshish Ka Tifli Meiñ Saamaañ Kareiñ;
Paas Haqq E Razaa'at Ka Har Aan Kareiñ;
Bhaiyon Key Liye Tark Pistaañ Kareiñ;
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Hamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

86.Mahd-e-Waala Ki Qismat Pe Sad-Haa Durood;
Burj-e-Maah-e-Risaalat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mahde Waala:Baland O Baala,God Mubarak;☆Qismat: Khush Bakhti;☆Burj:Aasmaan Ka Baarahwaañ Hissa;☆Maahe Risaalat:Risalat Ka Chaañd.]
TASHREEH:

Jis God Mein Aaqa ﷺ Ne Parwarish Paayi Aur Jis Panghodey Aur Gahwaarey Meiñ Aapne Bachpan Guzara Aur Us Gahwaare Ke Naseeboñ Pe Hazaaroñ Durood Aur Un Tamaam Jaghoñ(Burjoñ) Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

87.Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban!;
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Allah Allah:Ta'ajjub Ke Mauqe Par Bolte Hain Y'ani SubhanAllah Kya Baat Hai;☆Phaban:Husn O Jamaal Aur Fazl O Kamaal;☆Khuda Bhaati:Allah Ko Bhi Pasand Aaney Waali.]

TASHREEH:
SubhanAllah! Aapki Bachpan Ki Raunaqon Aur Bahaaron Pe Qurbaan Jaauñ Aur Rabb Ul Aalameen Ki Bhi Pasandeedah Surate Mustafa ﷺ Pe Laakhon Salaam Bhejun. Hadees Sharif Mein Hai Ki Koi Dehaati Shakhs Bhi Aapke Paas Aata To Aapke Chehrae Anwar Ko Dekhkar Pukaar Uth-ta- Yeh Kitna Barkat Waala Chehra Anwar Hai.(Abu Dawud).
Hazrat Abu Ramtha Al-Tameemi Farmaatey Haiñ Meiñe Huzoor ﷺ Ke Chehre Ko Pehli Hi Baar Dekha To Faisla Karliya Ke Yeh Khuda Ke Nabi Ka Chehra Hi Hosakta Hai.(Shamaayl Tirmizi Baab E Maajaa Fi Shayb Rasool Allah)

*Tazmeen:*
Dilkash O Dil Ruba Pyari Pyari Phaban;
Khud Phaban Ne Bhi Dekhi Na Aesi Phaban;
Jis Pe Qurbaan Achchi Se Achchi Phaban;
Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban!;
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

88.Utthte Bootoñ Ki Nashw-o-Numa Par Durood;
Khilte Ghunchoñ Ki Nikhat Pe Laakhoñ Salaam.
[☆Utthte Bootoñ:Paodoñ Ka Badhna;Nashw O Numa:Baalidgi,Badhwaar;☆Ghuñche:Kaliyaañ;☆Nikhat:Mahak.]
TASHREEH:
Jaise Baa'z Paode Bohot Jald Bade Hojaatey


88.Utthte Bootoñ Ki Nashw-o-Numa Par Durood;
Khilte Ghunchoñ Ki Nikhat Pe Laakhoñ Salaam.
[☆Utthte Bootoñ:Paodoñ Ka Badhna;Nashw O Numa:Baalidgi,Badhwaar;☆Ghuñche:Kaliyaañ;☆Nikhat:Mahak.]
TASHREEH:
Jaise Baa'z Paode Bohot Jald Bade Hojaatey Haiñ Huzoor ﷺ Ke Baare Meiñ Aata Hai-Aap ﷺ Ek Din Meiñ Itna Badhtey Jitna Dusre Bachche Ek Mahine Meiñ Badhtey Haiñ Aur Ek Mahine Ke Hokar Ek Saal Jitne Dikhayi Dete.
[،1ج،109الوفاص]
Aala Hazrat Yeh Nazaara Dekhkar Jhoom Uthey Aur Apne Pyaare Aaqa ﷺ Ki Is Nashw O Numa Pe Durood Bhejne Lage Aur Phir Aap Ke Jism Anwar Ka Badhna Ghunchoñ Ke Khilne Ke Saath khushboodaar Hone Ki Wajah Se Mushaabihat Rakhta Tha Us Mahakti Badhoti Par Laakhoñ Salam Bhej Rahe Haiñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

89.Fazl-e-Paidaaishi Par Hamesha Durood;
Khelne Sey Karaahat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Fazl:Fazeelat,Kamaal;☆Karaahat:Nafrat,Naapasandeedgi.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Paidaayish Ke Mauqe Par Ajeeb O Ghareeb Waaqiaat Raunuma Huwe (Maslan Hazrat Aaminah RadiAllahu Anha Ko Makkah Meiñ Baith Kar Qaisar O Kasraa Ke 14 Kinaare Toot Kar Gir Padna,Aatish Kudah Iraan Ka Bujh Jaana. Kaa'be Ka 3 Din Wajd Meiñ Aakar Jhumte Rehna, Jaanwaroñ Ka Ek Dusre Ko Mubarak Dena. Aapka Makhtoon,Maghsool,Mak-hool Paidaa Hona Waghaira Waghaira. Us Azmat Par Hamesha Rehmat Barasti Rahe Aur Aapki Tabi'at Ka Khelne Ki Taraf Maayel Na Honey Ki 'Aadat Par Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Maullud E Zaat Yakta Pe Yakta Durood;
Aamad E Shaahe Waala Pe 'Aala Durood;
Taa-Qayaamat Shab O Roz Sad-haa Durood;
Fazl-e-Paidaaishi Par Hamesha Durood;
Khelne Sey Karaahat Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

90.Be-Banaavat Adaa par Hazaaroñ Durood;
Be-Takalluf Malaahat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Be-Banaawat:Betakalluf,Tasno' Aur Takallufaat Se Paak Adaa;☆Malaahat:Namkeeni Husn,Salonaapan.]

TASHREEH:
Quran Majeed Meiñ Huzoor ﷺ Ka Farmaan Naqal Kiya Gaya-
وما انا من المتكلفين.
Mein Takalluf Ko Pasand Nahi Karta.(Surah Saod)
Aap ﷺ Ki Aesi Khoobi Pe Laakhoñ Salam Ke Nazraaney Pesh Horahe Haiñ. Aapki Har Khoobsoorat Ada Par Hamari Jaan Qurbaan. Hazaaroñ Durood Hoñ Huzoor Ki Be Misaal Wa Be Banaawat Adaaoñ Par Aur Laakhoñ Salaam Hoñ Hamaare Aaqa ﷺ Ke Betakalluf Namkeen Husn Par.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

91.Bheeni Bheeni Mahak Par Mahakti Durood;
Pyaari Pyaari Nafaasat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Bheeni Bheeni Mahak:Halki Halki Umda Khushboo;☆Mahakti:Khushboodaar;☆Nafaasat:Paakeezgi.]

TASHREEH:
Sarkare Madinah ﷺ Ke Jism Aqdas Se Phootney Waali Halki Halki 'Umdah Khushboo Ki Lataafatoñ Pe Mahak Wala Durood Ho Aur Aap ﷺ Ki Tabi'at Ki Pyari Pyari Nafaasat Wa Paakeezgi Pe Laakhoñ Salam Hoñ. Aapke Jism Aqdas Se Baghair Khushboo Lagaye Umdah Khushboo Aati Thi.(Al-Shifa Khasaays E Kubra)

*Tazmeen:*
Gesuoñ Par Muambar Mahakti Durood;
Rukh Pe Sadqe Munawwar Mahakti Durood;
Naaz Ki Pur Nichaawar Mahakti Durood;
Bheeni Bheeni Mahak Par Mahakti Durood;
Pyaari Pyaari Nafaasat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

92.Meethi Meethi ‘Ibaarat Pe Sheereeñ Durood;
Achhi Achhi Ishaarat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆'Ibaarat:Bayaan O Guftugu;☆Sheereeñ:Meetha;☆Ishaarat:Ishaarah.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Jab Kalaam Farmaatey To Ahle Majlis Pe Chhaa Jaatey Aur Aapki Guftugu Meiñ Mithaas Hoti. Imaam E Ahle Sunnat Is Meethi Guftugu Par Meetha Durood Bhej Rahe Haiñ, Aur Jo Baat Aap Haath Ke Ishaare Se Farmaatey Uski Achchai Wa Umdagi Pe Laakhoñ Salam Ka Nazraana Pesh Farma Rahe Haiñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

93.Seedhi Seedhi Rawish Par Karodoñ Durood;
Saadi Saadi Tabi'at Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Rawish:Raftaar,Chaal;☆Tabi'at:Mizaaj.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Seedhi Seedhi Magar Bemisaal Raftaar Mubarak Par Karodoñ Durood Hoñ Aur Aapki Saadi Si Magar Rashke Malaayek Tabi'at Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.
Aapki Chaal Seedhi Saadi Aur 'Aajzi Waali Isliye Hai Ke Sahaabaye Kiram Ko Aap Apne Aage Chalne Ka Hukm Dete Aur Bemisaal Isliye Hai Ki Aapke Peeche Peeche Noori Makhlooq Allah Ke Farishtey Chaltey They.

*Tazmeen:*
Fitratey Bekhalash Pe Karodoñ Durood;
Zarf 'Aali Mansh Pe Karodoñ Durood;
Jaanib E Dil Kashish Pe Karodoñ Durood;
Seedhi Seedhi Rawish Par Karodoñ Durood;
Saadi Saadi Tabi'at Pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

94.Roz-e-Garm-o-Shab-e-Teerah-o-Taar Meiñ;
Koh-o-Sahraa Ki Khalwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Teerah O Taar:Bohot Hi Siyaah;☆Koh:Pahaad;☆Sehra:Jungle;☆Khalwat:Tanhaayi.]

TASHREEH:
Apne Sachche Rab Se Ta'alluq E Bandagi Ko Pukhta Karne Ke Liye 'Arab Ki Sakht Garmi Meiñ Din Ko Aur Sakht Andheri Raatoñ Meiñ Aap ﷺ Ka Ghaaroñ Aur Jungaloñ Meiñ Tanha Ibaadate Ilaahi Meiñ Masroof Rehna Aapki Is Khalwat Gazeini Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
Hadees Sharif Meiñ Hai Ki Kabhi Ek-Ek Mahinah Bhi Aap ﷺ Ghaar E Hira Meiñ Khalwat Gazein Rehtey Kyunki-Is Khalwat Ko Aapke Liye Mehboob Bana Diya Gaya.(Bukhari Baab Badaa Al Wahi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

95.Jis Key Ghere Meiñ Haiñ Ambiyaa-o-Malak;
Us Jahaangeer-e-Be'sat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Malak:Farishtey;☆Jahaangeer:Tamaam Jahaan Par Haawi;☆Be'sat:Allah Ta'la Ka Rasool Banaakar Bhejna.]

TASHREEH:
Sarkar E Madinah ﷺ Ki Nabuwat Wa Risalat Itni Hamageer Hai Ki Tamaam Nabiyoñ Ki Tamaam Ummatoñ Ko Bamaa' Unke Nabiyoñ Ke Shaamil Hai. Kayi Qurani Aayate Wa Ahaadees Mubarakah Ispar Shahid Haiñ. Ala Hazrat Apne Aaqa Ke Is 'Aalamgeer Be'sat Pe Laakhoñ Salam Ka Nazrana Mohabbat Pesh Kar Rahey Haiñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

96.Andhe Sheeshe Jhalaajhal Damakne Lagey;
Jalwah Rezi-e-Da’wat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Jhalaajhal:Bohot Tez Roshni;☆Damakna:Chamakna;☆Jalwah E Rezi:Noor Bikherna ;☆Da'wat:Paighaame Khuda.]

TASHREEH:
(قد جاءكم من الله نور)
Ki Shaan Wale Aaqa Jab Kufr O Jahaalat Ke Ghataatop Andheroñ Meiñ Haq Ka Paighaam Pohñchaya To Us Paighame Tauheed Ki Nooraaniyat Aur Aapki Dawat O Tableegh Ki Nooraaniyat Se Inheiñ Kufr O Shirk ke Andhey Shishoñ(Insaanoñ) Se Hidayat Ke Noor Ke Chashme Phootney Lage Aur,
_Khud Jo Na They Raah Par Auroñ Ke Haadi Bangaye.
Isiliye To Allah Ta'la Ne Aap ﷺ Ko Siraj E Muneer Farmaya Hai Kyuñki Khaali Suraj Aur Chaañd Bhi Andhe Sheeshoñ Ko Nahi Chamkaa Sakte Lekin Madeene Ke Chaañd Ne Aese Jalwe Bikherey Haiñ Ki Suraj Kya Hota Hai Aur Chaañd Kya Hota Hai,Meiñ Apne Aaqa Ki Baabarkat Da'wat Ki Jalwah Saamaaniyoñ Par Laakhoñ Salaam E Mahabbat Pesh Karta Huñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

97.Lutf-e-Be-Daari-e-Shab Pe Be-Had Durood;
‘Aalam-e-Khwab-e-Raahat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Lutf:Khoobi,Narmi,Lazzat O Ziqah;☆Be Daari E Shab:Raat Ko Ibaadat E Ilaahi Meiñ Jaagna;☆Raahat:Aaraam.]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Shab Bedaariyaañ Jin Meiñ Aap Ro-Rokar Apni Ummat Ke Liye Dua Farmaatey Aur Itna Taweel Qayaam Farmatey Ki Qur'an Meiñ Hukm Aaya-Aye Mere Mehboob ﷺ! Raat Ke Qayaam Ka Waqt Kam Kardeiñ. Aur Aapke Qadam Mubarak Par Waram Aajaata Iske Baawajud Farmaatey-Meiñ Apne Rab Ka Shukr Guzaar Bandah Kyuñ Na Banuñ. Aapki Neeñd Ki Jisse Aapka Wuzu Bhi Na Tootey Ayesi Neeñd Ki Lataafatoñ Aur Raahatoñ Par Laakhoñ Salaam Hoñ.Aap ﷺ Ne Farmaaya -Meri Sirf Aankheiñ Soti Hain Dil Nahi Sota.(Shumayl E Tirmizi Baab Maajaa'Fi Khulq Rasool ﷺ)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

98.Khandah-e- Subh-e-’Ishrat Pe Noori Durood;
Giryah-e-Abr-e-Rehmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khandah:Muskuraahat;☆Ishrat:Khushi O Suroor(Se Zindagi Guzaarna);☆Giryah:Rona;☆Abr:Baadal.]

TASHREEH:
Kabhi Khushi Se Agar Mere Aaqa ﷺ Muskuraaye To Meiñ Apne Aaqa Ki Is Noorani Muskurahat Pe Noor Waala Durood Bhejta Huñ Aur Aap ﷺ Ka Ummat Ki Yaad Meiñ Rona Jis Ko Rehmat Ke Baadal Ka Barasnaa Kahuñ To Bejaanah Hoga, Meiñ Apne Aaqa ﷺ Ke Rone Par Laakhoñ Salam Pesh Karta Huñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

99.Narmi-e-Khoo-e-Leenat Pe Daaim Durood;
Garmi-e-Shaan-e-Satwat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khoo E Leenat:Narm Aadat,Ghussa Na Aana;☆Daaim:Hamesha;☆Satwat:Ro'b;]

TASHREEH:
Aap ﷺ Ki Tabi'at Mubarakka Ki Narmi Pe Hamesha Allah Ta'la Ki Rehmat Brasti Rahey (Agar Kisi Yahoodi Ne Bila Wajah Aap ﷺ Ke Galey Meiñ Kapda Daal Kar Kheencha Aur Gale Par Nishaan Padgaya To Aapne Ghussa Bhi Na Kiya Balki Usko Zarurat Se Zyada 'Ata Karke Uski Taraf Dekh Kar Muskuraa Diya) Magar Har Kaam Ka Ek Waqt Hota Hai Dusre Waqt Meiñ "Abu Jahal Nooñ Badar Ke Maidan Wich Lamyaan Wi Paaya Aye" Aapke Ra'ob Wa Dabdabah Ki Is Buland Shaan Pe Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

100.Jiske Aagey Khinchi Gardaneiñ Jhuk Gayeiñ;
Us Khuda Daad Shoukat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khinchi:Akdi;☆Khuda Daad:Allah Ki Di Huwi;☆Shaukat:Dabdabah.]

TASHREEH:
Khuda Ki Di Hui Aesi Shaan O Shaukat Aur Raob Wa Dabdaba Ke Aage Bade Bade Firaun Ki Akdi Hui Gardaneiñ Aesi Jhukeiñ Ki Phir Kabhi Uth Na Sakeiñ. Hazrat Ali Murtaza RadiAllahu Anhu Farmaatey Haiñ-Jo Aap ﷺ Ko Achaanak Dekhta Marghoob Hojaata Aur Jo Aata Jaata Woh Aapse Mahabbat Karne Lagta.(Shumayl Tirmizi)
Hazrat Hassaan Bin Saabit RadiAllahu Anhu Farmatey Hai Ki Huzoor ﷺ Ke Husno Jamaal Aur Aapke Waqaar Wa Ra'ob Ki Wajah Se Meiñ Ne Jab Bhi Huzoor ﷺ Ki Ziyarat Ki,Aankhoñ Par Hatheli Rakh Kar Ki -Ki Meri Binaayi Na Jaati Rahey.

*Tazmeen:*
Khudsaron Ki Tani Gardaneiñ Jhuk Gayeiñ;
Sarkashon Ki Uthi Gardaneiñ Jhuk Gayeiñ;
Thi Jo Uncheiñ Wahi Gardaneiñ Jhuk Gayein;
Jiske Aagey Khinchi Gardaneiñ Jhuk Gayeiñ;
Us Khuda Daad Shoukat Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

101.I’tilaa-e-Jibillat Pe ‘Aala Durood,
I’tidaal-e-Tawiyyat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆I'tilaa:Balandi;☆Jibillat:Fitrat,Paidaaishi Khoob O Balandi;☆I'tidaal:Mauzuñ,Yaksaan,Miyaanarawi;☆Tawiyyat:Tabi'at(Tab'ee Martabaah).]

TASHREEH:
Hamaare Aaqaﷺ Ki Khalqat Wa Paidaish Ki 'Azmat O Shaan Pe Baland O Baala Durood Ho Aur Aap Ki Tabi'at Mubarak Ki Miyanarawi Pe Laakhoñ Salaam Ho.
Tafseer E Kabeer Meiñ Hai Ke Janab Abu Taalib Farmate Haiñ Meiñ Ne Kabhi Bhi Huzurﷺ Ko Na Jhut Bolte Dekha Na Kabhi Khilkhila Kar Hañste Dekha Aur Na Kabhi Bacchoñ Ke Sath Khel Kood Meiñ Waqt Zaa'e Karte Dekha.
Huzurﷺ Bachpan Se Hi Butoñ Se Nafrat Farmate Aur Kabhi Bhi Unki Taraf Tawajjo Na Farmayi.
Bas Aap Ko Ek Hi Fikr Thi Aur Wo Bhi Apni Ummat Ki, Jis Ke Liye Ba-Waqte Paidaish Sajde Meiñ Aur Shabe Meraj Tahe 'Arsh Sajda Karke Bhi Duaeñ Maañgi. Kaash! Aapki Ummat Apne Aaqaﷺ Ke Is Pyare 'Amal (Sajdoñ) Ki Taraf Laut Aaye, Aur Dunya Wa Aakhirat Ki Tabaahi Se Bach Jaaye.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

102.Kisko Dekhaa Yeh Moosa Sey poochey Koyi;
Aankh Waaloñ Ki Himmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Himmat:Hauslaah,Jawaañmardi.]

TASHREEH:
Shabe Meraj Huzurﷺ Ka Deedaare Ilaahi Karna Kou Ma'muli Baat Hai? Ye To Moosa Alaihissalam Se Zara Pucho Na! Ke Huzurﷺ Ne Kis Zaat Ko Dekha Hai To Wo Tumheiñ Bataayeñge Aur Farmayeñge Ke Bhyi Jisne Apne Rab Ko Bhi Dekh Liya Hai Uske Hausle Pe Meri Taraf Se Bhi Laakhoñ Salam Ho.

*Tazmeen:*
Farq Matloob O Taalib Ka Dekhe Koi;
Qissa E Toor O Me'raj Samjhe Koi;
Koi Behosh Jalwoñ Meiñ Gum Hai Koi;
Kisko Dekhaa Yeh Moosa Sey poochey Koyi;
Aankh Waaloñ Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Toor Par Wo Jalwa Aarai Kis Ki Thi;
Lan Taraani Ki Aawaaz Thi Kis Ne Di;
Hosh, Fahm O Khirad Gum Yahañ Haiñ Sabhi;
Kisko Dekhaa Yeh Moosa Sey poochey Koyi;
Aankh Waaloñ Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

103.Gard-e-Mah Dast-e-Anjum Mey Rakhshaañ Hilaal;
Badr Ki Daf'-e-Zulmat Pe Laakhoñ Salaam.

[☆Garde Mah:Chaand Ke Ird Gird;☆Dast E Anjum:Sitaaron Ka Jamghata Aur Hujoom;☆Rakhshaañ:Raushan;☆Daf'e Zulmat:Anshera Door Karna.]

TASHREEH:
Maidaan E Badr Meiñ Jab Madine Ke Chaañd Aaqa E Naamdaarﷺ Tashreef Laaye To Sahaabaye Kiraam Alaihimur Ridwan Sitaaroñ Ki Tarah Aap Ke Ird Gird Halqa Banaaye Huwe The. Aur Hilaal (Pehli Raat Ke Chaañd Ki Tarah Daayera Bana Kar Apne Chauñdhweiñ Raat Ke Chaañd Ke Defaa' Kar Rahe The. Us Badre Kaamil Ne Kufr O Shirk Ke Andheroñ Ko Apne Noor Se Fana Kar Diya Aur Us Par Bhi Un Par Laakhoñ Salam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

104.Shor-e-takbeer sey thar-tharaati zameeñ,
Jumbishe jaish-e-nusrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Takbeer:Allah u Akbar Ka Na'ra;☆Thar-Tharaai:Kaañp Uthi;☆Jumbish:Harkat;☆Jaish E Nusrat:Madad Ka Lashkar.]

TASHREEH:
Ahle Islam Sahabaye Kiram Ridwanullah Ajmaeen Ne Jab Kufr O Islam Ki Is Ba-Qae'da Pehli Takkar(Maidaane Badr) Meiñ Naarae Takbeer Baland Kiya To Zameen Thar-Tharaa Uthi, Allah ﷻ Ki Taraf Se Firishtoñ Ke Zariye Madad Kiye Huwe Us Azeemush Shaan Lashkar Pe Laakhoñ Salam.

*Tazmeen:*
Unki haibat se woh kapkapaati zameeñ,
Dar se paiham paseene bahaati zameeñ,
Goonj se khauf sheroñ ki khaati zameeñ,
Shor-e-takbeer sey thar-tharaati zamee(n),
Jumbishe jaish-e-nusrat pe laakho(n) Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

105.Na'rahaa-e-dileraañ sey ban goonjte,
Ghurrish-e-kos-e-jura’at pe Laakhoñ Salaam.

[☆Na'rahaae Dileraañ:Bahadur Logoñ Ke Na're;☆Ban:Jungle;☆Ghurrish:Ghurrana,Ghurrahat;☆Kos:Naqaraa.]

TASHREEH:
Un Bahadur Mujahidoñ Ke Na'roñ Se Poora Maidaan E Badr Balke Jis Maidaan Meiñ Wo Gaye Poora Ilaaqa Goonj Utha, Unki Bahaduri Ke Ke Naqqaare Ke Ra'ub O Dandabe Pe Laakhoñ Salam Ka Nazraana Pesh Karne Laga.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

106.Woh chaqaa chaaq khanjar sey aati sadaa,
Mustafa teri sawlat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Chaqaa Chaaq:Talwaar Ki Kaat Ki Aawaaz;☆Sadaa:Aawaaz;☆Sawlat:Haibat,Ra'ub.]

TASHREEH:
Nabi E Akramﷺ Aur Aap Ke Jaanisaar Sahabaye Kiram Ki Talwaroñ Aur Khanjaroñ Ke Chalne Ki Aur Kaafiroñ Ke Jism Katne Aur Kat Kat Kar Girne Ki Aawaazeiñ Mere Aaqaﷺ Ki Shaan E Jurrat Pe Laakhoñ Salam Niyaz Pesh Kar Rahi Theiñ.

*Tazmeen:*
Kis Qadar Hai Haseeñ Badr Ka Ma'rka,
Awwaleiñ Baab E Taareekh E Islam Ka,
Lab Pe Nusrat Ke Nasrum Minal Laahi Tha,
Woh chaqaa chaaq khanjar sey aati sadaa,
Mustafa teri sawlat pe laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

107.Unke aagey woh Hamzah ki jaanbaaziyañ,
Sher-e-ghurrane satvat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Hamzah:Huzurﷺ Ke Chacha (Sayyidush Shohada);☆Jaanbaziyañ:Qurbaaniyaañ,Jaanisaariyaañ;☆Shere Ghurraane:Baphra Huwa Aur Dahaadne Wala Sher;☆Satvat:Dabdaba.]

TASHREEH:
Aaqa E Do Jahaanﷺ Ki Nigaahoñ Ke Saamne Kuffar E Makka Ke Muqaable Meiñ Sayyedush Shuhada, Ammul Mustafa Hazrat Sayyiduna Ameere Hamza RadiAllahu Ta'la Anhu Ki Janbaaziyañ, Jaanisaariyaañ Aur Un Ki Jurrateiñ, Allah O Akbar! Azmat O Shaukat E Islam Ka Sher Dahaad Raha Hai. Us Asadullaah Wa AsadeRasulah Ki Is Maar-Dhaad Par Hamari Taraf Se Laakhoñ Mahabbat Bhare Salam Ho.
Jin Ke Baare Meiñ Huzurﷺ Ne Farmaya! Mujhe Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Meiñ Meri Jaan Hai, Allah Ta'la Ne 7we Aasmaan Ke Upar Mere Chacha Hamza Ke Baare Meiñ Likh Diya Hai Ki Ye Allah ﷻ Aur Uske Rasool Ke Sher Haiñ.(Madarije Nabuwa)

*Tazmeen:*
Fauj E 'Adaa Meiñ Ghus Kar Sanaañ Baaziyañ,
Door Se Hi Kabhi Teer Andaaziyañ,
Parchame Iftekhare Safe Ghaziyañ,
Unke aagey woh Hamzah ki jaanbaaziya(n),
Sher-e-ghurrane satvat pe laakho(n) Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


108.Al-gharaz unke har moo pe Laakhoñ Durood,
Un ki har khoo-o-khaslat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Al-gharaz:Aakhirkaar,Qissa Mukhtasar;☆Moo:Baal;☆Khoo O Khaslat:Aadat Wa Ada.]

TASHREEH:
Qissa Mukhtasar Yeh Ke Sarkarﷺ Ki Azmat O Shaan Ke Kis Kis Goshe Ka Naam Lekar Laakhoñ Durood O Salaam Kahuñ,Ye Silsila To Itna Taweel Hai Ke-
Zindagiyaañ Khatm Huweiñ Aur Qalam Toot Gaye,
Tere Awsaaf Ka Ek Baab Bhi Poora Na Huwa.
Meiñ Aap Ko Mukhtasar Karte Huwe Yuñ Hi Kyuñ Na Arz Kar Duñ Ke Aapﷺ Ke Har Ek Baal Par Laakhoñ Durood Hoñ Aur Aapﷺ Ki Har Ada Aur Aadaat e Mubarka Par Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
Unke Paakeeza Gesu Pe Laakhoñ Durood,
Unki Ambar Fishaañ Boo Pe Laakhoñ Durood,
Unke Ayena Roo Pe Laakhoñ Durood,
Al-gharaz unke har moo pe Laakhoñ Durood,
Un ki har khoo-o-khaslat pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

109.Un key har naam-o-nisbat pe naami Durood,
Un key har waqt-o-haalat pe laakho(n) Salaam.

[☆Naami:Naamdaar,Badhne Wala,Mash-hoor.]

TASHREEH:
Aap Ke 99 Taufiqi Naamoñ Aur Hazaaroñ Deegar Azmat O Shaan Ke Lehaaz Se Jo Ahle Mahabbat Ne Aaqaﷺ Ke Asmaae Giraami Zikr Farmaye Haiñ, Un Me Se Ek Ek Naam Aur Har Ek Naam Jis Shaan Ki Taraf Mansoob Hai Us Nisbat Par Naami Giraami Aur Badhne Wala Durood Ho Aur Aap Ki Mubarak Zindagi Ke Ek Ek Lamhe Aur Ek Ek Harkat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

110.Unke Maula ki un par karoroñ Durood,
Unke as-haabo ‘itrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maula:ALLAH Ta'la;☆As-haab:Saathi,Sahaba E Kiraam Alaihimur Ridwan;☆'Itrat:Aulaad,A'zaa Wa A'qraba.]

TASHREEH:
Sirf Ham Jaisi Makhlooq Hi Mahboob E Khuda Par Laakhoñ Salam O Durood Nahi Bhejti Balke Un Ka Khaaliq O Maalik Allah Rabbul Aalameen Bhi Un Par Karodoñ Balke Laa-Ta'daad Aur Laa-Mahdood Durood Bhejta Hai
(ان الله و ملائکته يصلون على النبي )
Aapﷺ Ke Sahaaba Par Aur Aap Ki Aulaad O Ahle Bait Par Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Zaat Yakta Ke Unpar Karodoñ Durood;
Rabbe Ka'ba Ke Unpar Karodoñ Durood;
Haq Ta'la Ke Unpar Karodoñ Durood;
Unke Maula ki un par karoroñ Durood,
Unke as-haabo ‘itrat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Mulla E Aala Ke Unpar Karodoñ Durood;
Shaakhe Tooba Ke Unpar Karodoñ Durood;
Jaane Sidra Ke Unpar Karodoñ Durood;
Unke Maula ki un par karoroñ Durood,
Unke as-haabo ‘itrat pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


111.Paarahaaye suhuf ghunchahaa-e-qudus,
Ahl-e-bait-e-nubuwat pe laakho(n) Salaam.

[☆Paarhaaye Suhuf:Kalaam E Paak Ke Tukde;☆Ghunchahaa-e-qudus:Paakiza Kaliyañ;☆Ahl-e-bait-e-Nubuwat:Huzurﷺ Ke Ghar Wale(Awlaad O Azwaaj).]

TASHREEH:
Muqaddas Kalaam(Risaalat Ma'aabﷺ) Ke Tukde Aur Hisse (Huzoorﷺ Ke Jigar Ke Tukde, Madina Ke Chaañd Ke Maahpaare) Aur Baaghe Qudus (Ke Muqaddas Phool, Khuda Ke Pyare Rasulﷺ) Ki Kaliyaañ Ya'ni Khaandaane Nabuwat, Ahle Bait E At-haar, Itrate Paighambarﷺ Par Laakhoñ Salam Hoñ.
Aapﷺ Ne Farmaaya:Meiñ Tumhare Paas 2 Cheezeiñ Chhodkar Jaa Raha Huñ, Ek Allahﷻ Ki Kitaab Aur Ek Apne Ghar Waale.
(Muslim Sharif)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


112.Aab-e-tat-heer sey jis mein paude jame,
Uss riyaz-e-najaabat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Aab-tat-heer:Paak Karne Wala Paani;☆Riyaz-e-Najaabat:Sharafat Wa Buzurgi Ka Baagh.]

113.Khoon-e-khair-ur-Rusul sey hay jinka khameer,
Un ki be lous teenat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khair-Ur-Rusul:Tamam Rasuloñ Meiñ Se Bahtareen;☆Khameer:Asle Jauhar;☆Be Lous:Be-'Aib;☆Teenat:Paidaish Wa Tabi'at.]

TASHREEH:
Tahaarat Ke Paani Se Jis Baagh E Nabuwat Wa Risaalat Meiñ Ye Muqaddas Phool Aur Paude Uge Haiñ, Us Saare Gulshane Nabuwat (Khaandaane Mustafaﷺ) Ki Ba-Aib Khulqat Wa Tabiyat Pe Laakhoñ Salam Hoñ. Un Sab Ke Asl Imam Ul Ambiya Ka Khoon Muqaddas Hai Aur Nabuwat Ke Ghar Waaloñ Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Mazhare Masdare Zaat E Rabbe Qadeer,
Jin Ke Dekhe Se Hote Haiñ Raushan Zameer,
Maahe Tauheed Ke Najm Haaye Muneer,
Khoon-e-khair-ur-Rusul sey hay jinka khameer,
Un ki be lous teenat pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


114.Uss batul-e-jigar paarah-e-Mustafa,
Hajlah aara-e-‘iffat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Batul:Fatima Tuz Zohra Binte Rasulﷺ Ka Laqab;☆Jigar Paarah E Mustafaﷺ:Huzurﷺ Ke Dil Ka Tukda;☆Hajlah Aara:Paalki Sañwaarne Waala;☆Iffat:Parhezgaari.]

TASHREEH:
Aur Khaatoon E Jannat, Sayyidatun Nisa Ul 'Aalameen Hazrat Sayyida Fatima tuz Zohra RadiAllahu Ta'la Anha Hamare Aaqaﷺ Ke Dil Ka Tukda, Us Sharm O Haya Ke Paikar Aur Paarsaayi Wa Parhezgaari Ki Izzat O Azmat Pe Laakhoñ Salam.

*Tazmeen:*
Raahat E Jaan E Sultaan E Har Do Saraa,
Noore Chashme Janaabe Habeebe Khuda,
'Ain E Lakhte Jigar Sarware Ambiya,
Uss batul-e-jigar paarah-e-Mustafa,
Hajlah aara-e-‘iffat pe laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


115.Jis kaa aañchal nah dekha mah-o-meher ney,
Uss ridaa-e-nazaahat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Aañchal:Dupatte Ka Kanaara;☆Mah O Meher:Chañd Aur Suraj;☆Rida:Chaadar;☆Nazaahat:Tahaarat O Paakeezgi.]

TASHREEH:
Jis Fatima tuz Zohra RadiAllahu Ta'la Anha Ke Parde Ka Ye Aalam Hai Ke Suraj Aur Chaañd Ne Bhi Unki Chaadare Tatheer Ka Kanaara Tak Nahi Dekha, Un Ki Us Chaadare Haya Pe Laakhoñ Salam Bhejta Huñ.

*Tazmeen:*
Wo Rida Jiski Tatheer Allah Re!,
Aasmañ Ki Nazar Bhi Na Jis Par Padey,
Jis Ka Daaman Na Sahwan Hawa Choo Sake,
Jis kaa aanchal nah dekha mah-o-meher ney,
Uss ridaa-e-nazaahat pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

116.Sayyida zaahira tayyibah taahirah,
Jaan-e-Ahmad ki raahat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sayyida:Jannat Ki Tamaam Aurtoñ Ki Sardaar;☆Zaahira:Tar O Taaza Phool Ya Raushan Kali;☆Tayyibah,Taahirah:Paakbaaz Aur Tahaarat Wali;☆Raahat:Aaraam.]

TASHREEH:
Fatima Tuz Zohra RadiAllahu Ta'la Anha Dunya Jahaañ Ki Aurtoñ Ki Sardar Haiñ, Jannat Ki Muqaddas Kali Haiñ, Paakbaaz Aur Tahaarat Ka Paikar Haiñ. Meiñ Apne Nabi Ki Jaan O Sukoon O Aaraam Pe Kyuñ Na Laakhoñ Salaam Kahuñ.

*Tazmeen:*
Sadeqa, Saaleha, Saayema, Saabera;
Saaf Dil, Nek Khoo, Paarsa, Shaakira;
Aabida, Zahida, Sajida, Zakira;
Sayyida zaahira tayyibah taahirah,
Jaan-e-Ahmad ki raahat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jinka Naame Mubarak Hai Bi Fatema;
Jo Khawaaten E Aalam Meiñ Haiñ Aaliya;
Aabida, Zahida, Sajida, Saleha;
Sayyida zaahira tayyibah taahirah,
Jaan-e-Ahmad ki raahat pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


117.Hasan-e-Mujtaba sayyidul askhiyaa,
Raakib-e-dosh-e-izzat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Hasan:Nawasa E Rasoolﷺ;☆Mujtaba:Pasañdeeda,Chuna Huwa;☆Sayyidul Askhiya:Sakhiyoñ Ka Sardaar;☆Raakib:Sawaar; ☆Dosh:Kandhaa]

TASHREEH:
Raakib E Doshe Mustafaﷺ, Jigar Gosha E Batool, Zehra, Sayyidul Askhiya, Ibne Ali Sher E Khuda, Hazrat Imaam Hasan Mujtaba RadiAllahu Ta'la Anhu Saraapa Izzat O Azmat Ke Mubarak Kaandhoñ Pe Sawaari Karne Wale Par Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.
Hazrat Sayyeda Fatima RadiAllahu Ta'la Anha Apne Is Lakhte Jigar Ko Lori Deti Hui Farmaati Theiñ-Aye Mere Bete, Teri Soorat To Mere Baap (Nabiﷺ) Se Milti Hai, Tere Baap (Ali KaramAllahu Wajhul Kareem) Se To Nahi Milti. [Musnad Ahmad]
Yahi Baat Bi-Ainihi Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta'la Anhu Ne Bhi Imaam Hassan Ko Kahi, Jis Par Ali Ul Murtaza Khul Kar Hañsne Lage. [Fatah Ul Baari]

Hazrat Baraa' bin 'Aazib RadiAllahu Ta'la anhu farmatey haiñ ki meiñ ne Rasoolﷺ ko dekha ke Aap Hazrat Hassan RadiAllahu Ta'la anhu ko apne khandhe par bithaye hue haiñ aur dua farmaa rahe haiñ-
اَللّٰھُمَّ اِنِّىْ اُحِبَّهُ فَاَحِبَّهٗ
Yaa'ni Aye Allah! Meiñ is se mahabbat rakhta huñ, TU bhi is se mahabbat rakh.
(Bukhari sharif)

Hazrat ibne Abbas RadiAllahu Ta'la anhuma se riwayat hai, wo farmatey haiñ ki Rasool Akramﷺ Hazrat Hassan RadiAllahu Ta'la anhu ko apne kandhe par bithaye huwe the. Kisi sahabi ne kaha-"Aye Sahabzaade! Teri sawari bohot achi hai", To RasulAllahﷺ ne farmaaya-"Aur Sawaar bhi to bohot acha hai."

(Yaa'ni Aye Sahabi! Ye to Tu ne dekh liya ki sawari kitni achi hai, lekin ye bhi to dekh ki sawaar kitna acha hai.)

[Mishkaat Sharif]
*Tazmeen:*
Gauhare Fatima, Markaze Atqiya;
Pisre Murtaza, Marja'e Asfiya;
Noore Noore Khuda, Sarware Awliya;
Hasan-e-Mujtaba sayyidul askhiyaa,
Raakib-e-dosh-e-izzat pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


118.Awj-e-mehr-e-hudaa mawj-e-bahr-e-nadaa,
Rowh rooh-e-sakhaawat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Awj:Balandi;☆Mehre Huda:Hidayat Ka Sooraj;☆Mawj:Lahar;☆Bahre Nada:Sakhaawat Ka Samandar;☆Roohe Sakhawat:Jood O Sakhawat Ki Jaan.]

TASHREEH:
Wo Imaam Hasan, Jo Hidayat Ke Suraj (Imam Ul Ambiyaﷺ) Ki Rif'at O Balandi Haiñ Aur Saraapa Jud O Karam, Sakhawat Ke Behre Be Karaañ (Muhammadﷺ) Ki Lahar Aur Mauj Haiñ Aur Sakhawat Ki Rooh (Habeebe Kibriyaﷺ) Ki Jaan Haiñ. Un Par Laakhoñ Salam Hoñ.

Aap ki sakhawat ka ye aalam tha ke-Ek Shakhs Allah Ta'la se 10,000 dirham ki dua kar raha tha, Aapne Uske ghar jaa kar Usko 10,000 dirham de diye.
(سىراعلامالنبلاء)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


119.Shehd khwaare lu’aab-e-zabaan-e-Nabi,
Chaashni geer-e-‘ismat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shehd Khwaare:Shahad Khaane Waale;☆Lu'aab:Thook;☆Chaashni Geer:Chakhne Waale;☆'Ismat:Paakdaamni.]

TASHREEH:
Imam Hassan Mujtaba RadiAllahu Ta'la anhu Ko Huzoorﷺ Ki Zabaan E Aqdas Shahad ki Tarah Chusne Ka mauqa mayassar aaya hai, Balki Huzoorﷺ ne Un ko Gutti hi Apne Lu'aab E Dahan ki 'ata farmayi hai, Ye saari Azmateiñ Sametney Waale 'Ali ke La'l Pe Laakhoñ salam.


اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

120.Uss shaheed-e-balaa shaah-e-gulgooñ qabaa,
Be-kas-e-dasht-e-ghurbat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Balaa:Museebat;☆Shaah:Baadshaah;☆Gulgooñ:Gulaab Ke Phool Ke Tarah Surkh Rañg;☆Qabaa:Jubba;☆Dashte Ghurbat:Be-Watani Ka Jungle,Musaferat Ka Sehra.]

TASHREEH:
Subhan'ALLAH Shehzaadae Gulgooñ Qabaa, Shaheed E Karbala, Sayyed Ush Shohadaa,Nawaasa E Rasoolﷺ, Jigar Gosha E Batool, Dilbande Ali Ul Murtaza, Shaheed E Raahe Mahabbat O Wafa, Hazrat Sayyiduna Imaam Husain RadiAllahu Ta'la Anhu, Pe Laakhoñ Mahabbat Bhare Salam, Jin Par Zulm Ke Pahaad Giraaye Gaye Magar Wo Sabr O Isteqaamat Ke Pahaad Bane Rahey, Jis Ne Apne Hi Khoon Ka Libaas Pahan Kar Apne Zindagi Ki Aakhri Namaz Adaa Ki Aur Sajde Ki Haalat Meiñ Apni Pyaari Jaan Jaane Aafreen Ke Supurd Ki.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

121.Durr-e-durj-e-najaf mehr-e-burj-e-sharaf,
Rang-e-roomi-shahaadat pe laakho(n) Salaam.

[☆Durr:Moti(Pearl);☆Darj:Motiyoñ Ki Dibbi;☆Najaf:Iraq Ka Ek Shahar;☆Mehr:Suraj;☆Burj:Aasmaan Ki Ek Manzil;☆Sharaf:Buzurgi;☆Range Roomi:Room Ki Taraf Mansoob-Surkh Rang.]

TASHREEH:
Najaf Ashraf Waale (Ali Ul Murtaza RadiAllahu Ta'la Anhu) Ke Motiyoñ Waale Sanduqche Ka Ek Nehayat Hi Taabdaar Aur Saccha Moti (Sayyiduna Imaam Hussain RadiAllahu Ta'la Anhu) Jo Aasmaan E Sharaafat Ka Neez Taabaañ Hai, Jis Ne Apni Shahaadat Ka Nehayat Hi Umda Rang Chadhaayaa Aur Sayyidush Shuhada Ka Laqab Paaya. Us Ki 'Aala Shahaadat Pe Laakhoñ Salam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

122.Ahl-e-Islaam ki maadaran-e-shafeeq,
Baanuwaan-e-tahaarat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maadaraañ:Jama' Maañ;☆Baanuwaan:Khawaateen.]

TASHREEH:
Musalmanoñ Ki Maharbaan Maayeiñ Yaa'ni Huzurﷺ Ki Azwaaj E Mutahharaat Jin Ko Qur'an Ne Ahle Imaan Ki Maayeiñ Farmaya Hai. Duniya Meiñ Koi Aurat Tumhari Shaan Ki Nahi Haiñ. Kyuñki Tum Mere Mehboob Nabiﷺ Ki Paakbaaz Biwiyañ Ho. Un Paikaraane Iffat O Tahaarat Pe Laakhoñ Salam.

*Tazmeen:*
Woh Nisaa E Nabi Tayyabaat O Khaleeq,
Jin Ke Paakeeza Tar Saare Taur O Tareeq,
Jo Bahr Haal Noor E Khuda Ki Rafeeq,
Ahl-e-Islaam ki maadaran-e-shafeeq,
Baanuwaan-e-tahaarat pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

123.Jilwagiyyaan-e-bait-ush-sharaf par Durood,
Parwagiyyaan-e-‘iffat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Jilwagiyyan:Tashreef Farmaa;☆Bait Ush Sharaf:Buzurgi Wala Ghar;☆Parwagiyyane Iffat:Parhezgaar Khwaateen.]

TASHREEH:
Mahboob E Khudaﷺ Ki Izzat O Azmat Ki Mamba' O Markaz, Kaashaana E Aqdas Meiñ Jalwa Bikherne Waali Ismat Wa Iffat Ka Paikar Azwaaj E Mutahharaat Pe Rab Ki Rehmat Ho Aur Unki Pardaadari Aur Sharm O Haya Pe Hamari Taraf Se Karodoñ Salamoñ Ka Nazraana E Adab Ho.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

124.Siyyema pahli maañ kahf-e-amn-o-amaañ,
Haq guzaar-e-rafaaqat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Siyyema:Bilkhusus;☆Kahi:Ghaar,Panahgaah;☆Haq Guzaar:Haq Ada Karne Wali;☆Rafaaqat:Ma'iyyat Wa Sañgat.]

TASHREEH:
Bilkhusus Hamari Sab Se Pehli Maañ Sayyeda Khadija Tul Kubra RadiAllahu Ta'la Anha Jin Ki Zindagi Meiñ Aaqaae Do Aalamﷺ Ne Dusra Nikah Na Farmaaya Aur Jin Ki Islam O Ahle Islam Aur Paighambar E Islamﷺ Ke Hawale Se Beshumar Khidmaat Haiñ. Jinhone Apne Maal Aur Kaarobaar Se Huzurﷺ Aur Aap Ke Maanne Waloñ Ke Liye Amn O Amaan Ki Ghaar Aur Thikane Ka Kirdaar Ada Kiya Aur ALLAHﷻ Ke Mehboobﷺ Ke Sath Poori Tarah Haq Sañgat O Ma'iyyat Ada Kiya, Un Par Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

125.‘Arsh sey jis pe tasleem naazil hui,
Us saraa-e-salaamat pe laakhoñ Salaam.

[☆Tasleem:Salaam Karna;☆Saraa E Salamat:Amn Ka Maqaam.]

TASHREEH:
Woh Khadijat ul Kubra RadiAllahu Ta'la Anha Jin Ko Arshe Haq Se Khuda Ka Salam Aata Tha. (Hazrat Ayesha Siddiqa Ko Jibreel Ameen Apni Taraf Se Salam Kehte Jo Yaqeenan Badi Fazeelat Hai Aur Hazrat Khadijat ul Kubra RadiAllahu Ta'la Anha Ko Jibreel Ameen Apna Bhi Aur Khuda Ka Salam Pohñchaate (Bukhari Sharif) Aur Un Ki Wafaat Ke Baad Huzurﷺ Un Ki Saheliyoñ Ko Tahaaif Bhejte.

*Tazmeen:*
Jis Meiñ Be-izn Jaa Sakta Koi Nahi,
Jis Ki Taqdees Saare Jahaañ Se Badi,
Jis Ki Wahi E Ilaahi Se Izzat Badhi,
‘Arsh sey jis pe tasleem naazil hui,
Us saraa-e-salaamat pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

126.Manzillun min qasab laaa nasab la sakhab,
Aise kooshak ki zeenat pe laakhoñ Salaam.

[☆Manzil:Ghar,Thikana;☆Qasab:Moti;☆Nasab:Mashaqqat;☆Sakhab:Shor;☆Koshak:Hujra.]

TASHREEH:
Is Sher Meiñ Bukhari O Muslim Sharif Ki Isi Hadees Ke Alfaaz Iste'maal Farmaye Gaye Haiñ Jin Ka Khulasa Mandarja Bala Sher Meiñ Guzra Ke Jibreel Ameen Alaihis Salam Hazire Khidmat Huwe Aur Arz Kiya-Ya RasulALLAHﷺ, Hazrat Khadija RadiAllahu Ta'la Anha Ko Allahﷻ  Ka Aur Mera Salam Dijiye Aur Un Ko Jannat Meiñ Aese Ghar Ki Khushkhabri Suna Dijiye Jo Motiyoñ Se Bana Huwa Hai, Na Wahaañ Koi Takleef Hogi Na Hi Koi Shor.
Jab Huzurﷺ Ne Hazrat Khadija RadiAllahu Ta'la Anha Ko Salam Pohñchaya To Unhone 'Arz Kiya:-Allahﷻ To Khud Salam Hai Aur Salamti Usi Ki Taraf Hai Aur Jibreel Ameen Par Bhi Salam Ho. (Al-Bukhari) Aala Hazrat, Hazrat Khadija RadiAllahu Ta'la Anha Ke Is Mahal Pe Laakhoñ Salaam Bhejte Haiñ.

*Tazmeen:*
Wo Aneese Gham Moannise Bekasaañ,
Wo Sukoone Dil e Malike Inso Jaañ,
Wo Sharike Hayaat e Shahe Laamakaañ,
Manzillun min qasab laaa nasab la sakhab,
Aise kooshak ki zeenat pe laakhoñ Salaam.
 (Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

127.Bint-e-Siddeeq aaraam-e-jaan-e-Nabi,
Us hareem-e-baraa-at pe laakhoñ Salaam.

[☆Hint:Beti;☆Hareem:Biwi;☆Baraa-at:Paakbaazi.]

TASHREEH:
Ummul Mo'mineen Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la Anha Jo Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta'la Anhu Ki Sahabzaadi Haiñ Aur Hamare Aaqa Wa Maulaﷺ ke dil ka aaraam (Mahbooba E Mahboobe Rabbul Aalameen)Haiñ. Azwaaje Mutahharaat meiñ se Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha wo khushnaseeb haiñ, jo kuñwari Huzoorﷺ ke Nikaah meiñ aayeiñ.
Aap ne paida ho kar islami doodh piya hai, Ya'ni Aap ke waldayn, Dada jaan, Bhai, Balki Bhatije sab ke sab Sahabi haiñ.
Surah Noor ki aayat E Mubarka Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha ki tayyaba, tahera hone ki gawahi de rahi haiñ. Jab Rayees Ul Munaafiqeen ne un par tohmat ka Toofan E badtameezi bapa kiya to ALLAHﷻ ke Nabiﷺ to ek jumle meiñ baat khatam farma kar khamosh hogaye-"Qasam Bakhuda Meri Ahliya Is Tohmat Se Paak Hai." (Bukhari). Aur Khamoshi Isliye Ekhtiyar Farmayi Ke Muqable Meiñ Munafiq The, Unhone Ek Aur Issue Khada Kar Dena Tha Ke Apne Ghar Ki To Har Koi Safaai Deta Hai.
ALLAHﷻ ne Mahboob ko chup rehne ka hukm de diya aur Nabiﷺ ki is paakbaaz biwi ke haq meiñ Quran Paak ki 18 aayateiñ naazil farmayi. Tab logoñ ko pata chala ki Huzoorﷺ Kyuñ khamosh the. Agar Khud Hi Safaai Bayan Karte Rehte To Woh Baat Na Banti Jo Ab Bani Hai.

*Tazmeen:*
Shama' Taabaane Arsh Aastaane Nabiﷺ,
Gham Gusaare Nabiﷺ Taba' Daane Nabiﷺ,
Raahat E Qalb O Rooh Rawane Nabiﷺ,
Bint-e-Siddeeq aaraam-e-jaan-e-Nabi,
Us hareem-e-baraa-at pe laakhoñ Salaam.
 (Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

128.Ya’ni hay soorah-e-noor jin ki gawaah,
Unki pur-noor soorat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Surah Noor:18we Paare Meiñ Ek Surat;☆Pur-Noor:Noor Se Bharpoor.]

TASHREEH:
'Aala Hazrat Farma Rahe Haiñ, Jis Hamati Maañ Ki Shaan Meiñ Surah Noor Nazil Huwi, Us Ki Noor Se Bhar Poor Surat Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
Azmate husne ma'mur jinki gawah,
Iffate zaat mastoor jinki gawah,
Shāne Rab,Chashme bad door jinki gawah,
Ya'ni hai Surah E Noor jinki gawah,
Un ki pur-noor surat pe laakhoñ salam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

129.Jin mein rooh-ul-qudus be-ijaazat nah jaaye,
Un suraadiq ki ‘ismat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Rooh Ul Qudus:Jibreel Ameen;☆Suraadiq:Khema O Hujra;☆Ismat:Tahaarat.]

TASHREEH:
Wo Hujra E Aysha Siddiqa RadiAllahu anha jo Qayamat tak Hamare Aaqaﷺ ki aaraamgaah bana, jis ko Gumbad e Khazra hone ki Sa-'adat naseeb hui aur jis meiñ ijazat liye baghair Jibreel E Ameeñ bhi na aatey (مدارج النبوة) Us kaashaana E Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha pe hamari taraf se laakhoñ salam hoñ.

*Tazmeen:*
Jinse apni nigaheiñ hawayeiñ churayeiñ,
Dekhne ka tasawwur bhi dil na layeiñ,
Jinke parde ka partav firishte na payeiñ,
Jin meiñ Ruhul Qudus Beijazat na jayeiñ,
Un Suradiq ki ismat pe laakhoñ salam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

130.Sham'-e- taabaan kaashaanah-e-ijtihaad,
Mufti-e-chaar millat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Sham'-e-taabaan:Raushan Charaagh;☆Kaashaanah:Makaan,Mahal;☆Ijtehaad:Masail Ka Istekhraaj Karne Ki Mehnat O Koshish;☆Mufti:Fatwa Dene Wala;☆Chaar Millat:Khulafae Raashideen Ka Daure Aqdas.]

TASHREEH:
Deen E Islam Ke Tamaam Masaail Ke Hal Ka Markaz Hujra E Aayesha Siddiqua RadiAllahu Ta'la Anha Hai Jis Ki Raushan Shama' Aap Theiñ Aur Khulafaae Raashideen Ke Tamaam Adwaar Meiñ Sahaabae Kiraam Alaihimur Ridwaan Har Deeni Uljhan Ka Hal Aap Ki Baargaah Se Paa Lete The. Aap Ke Shaane Ijtehaad Wa Iftaa Par Laakhoñ Salam Hoñ.

Imam Zohri,Azeem Taabai' farmatey haiñ-Tamam Azwaj hi nahi, agar tamam Khwatin E Islam ka ilm jama kar liya jaye-Akeli Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha ka ilm phir bhi zyada hai.
(المستدرک، ۱۱:۴)
Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha baa-qayeda tamam Khulafaye Rashideen ke daur meiñ fatwa jaari farmati raheiñ.
(طبقات ابن سعد)
Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Farmatey haiñ-Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllahu Ta'la anha apne daur ki Azeem Faqeeha, Aalima, Fazila aur Akaabir E Fuqaha wa Sahabaye kiram meiñ se theiñ.
(مدارج نبوة)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

131.Jaañ-nisaaran-e-Badr-o-Uhud par Durood,
Haq guzaaraan-e-bai'at pe Laakhoñ Salaam.

[☆Jaañ-nisaaran:Jaan Qurban Karne Waale;☆Badr O Uhud:Ghazwaat Ke Naam;☆Haq Guzaaraan-e-Bai'at:Huzurﷺ Ke Daste Paak Par Bai'at Ka Haq Ada Karne Waale.]

TASHREEH:
Ghazwa E Badr Aur Ghazwa E Uhud Meiñ Nabi Kareemﷺ Par Apni Jaanoñ Ko Qurbaan Karne Waale Khushnaseeb Shabae Kiraam Alaihimur Ridwaan Pe Rehmate Rabbe Kareem Ka Nuzool Ho Aur Jinhone Huzoorﷺ Ki Baargaah Meiñ Apni Jaanoñ Ke Nazraane Pesh Kiye Aur Apne Aaqa Ke Haath Par Bai'at Karne Ka Haq Ada Kiye. Aur Raahe Khuda Meiñ Shahadat Ka Darja Paa Gaye Un Par Laakhoñ Salam Hoñ.

Badr Waloñ ki fazeelat bayan karte huwe Huzoorﷺ ne irahad farmaya! "Mere Badri sahabsahaba Afzal Ul Muslimeen haiñ."
Ya'ni Tamam Musalmanoñ se behtar, Jibreel Ameen ne uspar 'arz kiya-"Huzoorﷺ! Isi tarah (Hamare yaha) wo Firishtey jo badr meiñ Ahle imaan ki madad wa Nusrat ke liye utrey the wo Firishtey tamam dusre firishtoñ se afzal haiñ." (Bukhari sharif)

•Huzoorﷺ ne irshad farmaya-Badr Waloñ me se koi Ek bhi Dozakh meiñ na jayega.
(التزكره، ص388)

*Tazmeen:*
Kul Shaheedaane Badr O Uhud Par Durood;
Sab Fidaayaane Badr O Uhud Par Durood;
Jaish E Mardaane Badr O Uhud Par Durood;
Jaañ-nisaaran-e-Badr-o-Uhud par Durood,
Haq guzaaraan-e-bai'at pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

132.Woh dasoñ jin ko Jannat ka muzda mila,
Uss mubaarak jamaa'at pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mudda:Khushkhabri;☆Mubarak Jamaa'at:Baa-barkat Giroh.]

TASHREEH:
Is She'r Meiñ 'Ashra Mubashshera, Ya'ni Woh 10  Khushnaseeb Sahabae Kiraam Jin Ko Huzurﷺ Ne Isi Duniya Meiñ Apni Bargah E Aqdas Se Jannat Ka Muzda E Jañfiza Sunaya, Us Baa-barkat Jamaa'at Pe 'Aala Hazrat Alaihir Rehma Ne Laakhoñ Salaam Ka Nazraanae Niyaz Pesh Kiya Hai. Is 10 Khushnaseeboñ Ke Naam Ye Haiñ:-
1.Hazrat Abu Bakr Siddiq
2.Hazrat Umar Faarooq
3.Hazrat Usman Ghani Zun Noorain
4.Hazrat Ali Murtaza
(Khulafar Rashideen, Khulafa Arba')
5.Hazrat Talha Bin Ubaidullah (Fan E Taqreer Ke Maahir, Zuhur E Islam Se Qabl Padhe Likhe, Abu Bakr Siddiq Ki Targheeb Se Musalmaan Huwe.)
6.Hazrat Zubair Bin Al-Awwam (Hawaari E Rasulﷺ-Jin Ka Laqab Hai, Huzurﷺ Ki Phuphi Safiya Ke Sahabzaade, Hazrat Abu Bakr Siddiq Ke Iman Lane Ke Sirf 4 Din Baa'd Musalmaan Huwe Jab Unki Umar 16 Saal Thi, Qubool E Imaan Ke Baad Badi Takaaleef Bardasht Kiye, In Ke Chacha Un Ko Khujoor Ki Chatai Meiñ Lapet Kar Naak Aur Aañkhoñ Meiñ Dhuñwaa Deta, Aap Ne Har Sitam Bardasht Kiya Magar Haq Par Saabit Qadam Rahe.) Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair Dono Ke Baare Meiñ Sarkarﷺ Ne Farmaya-Ye Jannat Meiñ Mere Padosi Hoñge. Jabki Hazrat Zubair Ke Muta'lliq Huzurﷺ Ka Yeh Bhi Farmaan Hai-Har Nabi Ka Ek Hawaari (Jigri Yaar, Be-gharz Aur Mukhlis Hone Meiñ Inteha Ko Pohñcha Huwa) Hai, Mera Hawaari Zubair Bin Al-Awwam Hai.
7.Hazrat Abdur Rehman Bin 'Ouf(Huzurﷺ Ki Sab Se Pehli Daayi Ke Allah Ke Nabi Paida Hote Hi Jin Ki God Meiñ Aaye Hazrat Shifa RadiAllahu Ta'la Anha Aapki Waalda Majda Haiñ, Hazrat Abu Bakr Siddiq Ki Koshishoñ Se Ye Aur Hazrat Abu-Ubaida Ibn E Jarrah Imaan Laaye. Inke Imaan Laane Par Allahﷻ Ke Nabiﷺ Bohot Khush Hue Aur Farmaya! Meiñ Aesa Chehra Dekh Raha Huñ Jisko Dekh Kar Neki Ki Ummeed Paida Hoti Hai Neez Farmaya! Abdur Rehman Dunya Wa Aakhirat Meiñ Mera Saathi Hai. Ghazwa E Tubook Ke Safar Meiñ Huzurﷺ Ne Inki Imaamat Meiñ Namaz E Fajr Ki Ek Raka'at Ada Farmayi Jab Huzurﷺ Baa'z Zaruri Kaamoñ Ki Wajah Se Namaz E Fajr Se Late Hogaye, Waqt Tañg Hogaya To Sahabaye Kiraam Ke Kehne Par Unko Imamat Karana Pada.
Ek Aurat Huzurﷺ Ki Baargaah Meiñ Chaadar Lekar Aayi, Aap Ne Woh Chaadar Iste'maal Farmayi Aur Uske Baad Hazrat Abdur Rehman Ne Huzurﷺ Se Woh Chaadar Apne Kafan Ke Liye Maañg Li, Chunaañche Usi Chaadar Meiñ Un Ko Kafan Diya Gaya.
8.Saa'd Bin Abi-Waqaas(Waalid Ka Naam Malik Kunniyat Abi Waqas, Aelaane Nabuwat Ke 7weiñ Din Imaan Le Aaye, Ye Bhi Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta'la Anhu Ki Targheeb ParKi Musalmaan Huwe. In Ki Waaldah Ne Inke Iman Lane Ke Baa'd Qasam Utha Li Ke Agar Tu Ne Islam Ko Na Chhoda To Meiñ Khaana Peena Chhod Duñgi, Aap Khaana Peena Pesh Karte Magar Wo Na Khaateiñ Kayi Din Guzar Gaye Aakhir Aap Ne Apni Waaldah Ko Saaf Saaf Lafzoñ Meiñ Farmaa Diya! Agarche Meiñ Tum Se Behad Pyar Karta Huñ Lekin Agar Tere Jism Meiñ Hazaar Jaaneiñ Bhi Hoñ Aur Ek Ek Karke Saari Nikal Jaayeiñ, Meiñ Phir Bhi Islam Ko Nahi Chhoduñga, Aakhir Maañ Ne Hi Haar Maan Li Aur Apne Lakhte Jigar Ka Yeh Jazba Dekh Kar Khana Peena Shuru Kar Diya. Unheiñ Ko Ye Sa-aadat Naseeb Hai Ke Maidaane Uhud Meiñ Huzurﷺ Ne Farmaya- Aye Saa'd Kaafiroñ Pe Teer Chala, Mere Maañ Baap Tujh Pe Qurban Jaayeiñ. (Bukhari Sharif)
Hazrat Ali RadiAllahu Ta'la Anhu Farmatey Haiñ Meiñ Ne Hazrat Saa'd Ke Ilawa Kisi Aur Ke Liye Huzurﷺ Ko Aesa Farmaatey Huwe Kabhi Na Suna. Ek Din Khatrey Ke Maahol Meiñ Huzurﷺ Ki Hifazat Ke Liye Aslaha Pahan Kar Khud Hi Haazir Hogaye, Jis Par Huzurﷺ Ne Unko رجل صالح Ka Khitaab Ataa Farmaya Aur Bohot Saari Duwaoñ Se Nawaza.
9.Hazrat Saeed Bin Zaid (Hazrat Umar Farooq Ke Chachaazaad Bhai Aur Aap Ke Behnoi Bhi Haiñ, Inke Waalid Zaid Bin Amru' Apne Daur Ke Deene Ibraahimi Ke Waahid Peyrokaar The, Talaash E Haq Ke Liye Bade Safar Kiye Aakhir Allahﷻ Se Dua Ki-Ya Allahﷻ! Tu Gawah Reh Ki Meiñ Deen E Ibraahimi Par Huñ. Hazrat Zaid Ki Ek Khoobi Ye Hai Ke Zamaana E Jaahiliyat Meiñ Bhi Jis Bacchiyoñ Ko Zinda Dargor Kiya Jaata, Un Ko Bachaane Ki Koshish Meiñ Masroof Rehte Aur Apne Tahaffuz Meiñ Lekar Unki Kifaalat Karte.
10.Hazrat Abu-Ubaida Bin Al-Jarrah (Jin Ko Is Ummat Ka Ameen Farmaya Gaya, In Ke Baap Ka Naam Abdullaah Bin Al-Jarrah Hai, Ghazwa E Badr Ke Mauqe Par Unhone Apne Haathoñ Se Apne Baap Ko Qatl Kiya Kyuñki Wo Kaafir Ki Taraf Se Aaya Tha, Shayd Isi Wajah Se Apne Sath Baap Ki Bajaye Daada Ka Naam Kahalwaate, Unka Apna Naam Aamir Hai Aur Kunniyat Abu-Ubaida Hai, Yeh Bhi Hazrat Siddiq Akbar Ki Targheeb Par Musalman Huwe, Ghazwae Uhud Ke Mauqe Pe Jab Huzurﷺ Zakhmi Huwe Aur Zara Ki Kadiyañ Aap Ke Mubarak Rukhsaaroñ Meiñ Pewast Ho Gayeiñ, To Inhone Hi Daud Kar Apne Daañto Se Un Kadiyoñ Ko Khiñch Kar Nikala, Us Mauqe Par Unke Saamne Waale 2 Daañt Bhi Toot Gaye Aur Huzurﷺ Ne Unko Jannat Ki Bashaarat Se Bhi Nawaaza.

*Tazmeen:*
Rif'at O Afzaleeyat Ka Muzda Mila,
Khaas Izzo Jaahat Ka Muzda Mila,
Rehmate Kul Se Rehmat Ka Muzda Mila,
Woh dasoñ jin ko Jannat ka muzda mila,
Uss mubaarak jamaa'at pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Jisko Qurbe Shahanshaah E Taiba Mila,
Husne Khidmat Ka Mumtaz Tamgha Mila,
Jinko Haq Ki Raza Ka Atiya Mila,
Woh dasoñ jin ko Jannat ka muzda mila,
Uss mubaarak jamaa'at pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habib Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

133.Khaas uss saabiq-e-sair-e-qurb-e-Khuda,
Awhad-e-kaamiliyyat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Saabit:Aage Badhne Waale;☆Sair:Chalna (Muraad Safar E Hijrat Hai);☆Awhad:Yagaana Wa Bemisl;☆Kaamiliyyat:Kaamil Hona.]

TASHREEH:
Bilkhusus Allahﷻ Ke Muqarrib Tareen Bande, Hijrat Ke Safar Meiñ Tamaam Sahabe Kiraam Se Sabqat Le Jaane Waale Jo Ke Tamaam Sahabae Kiraam Meiñ Sabse Zyada Kaamliyat Rakhne Aur Afzalul Bashar Baa'd Ul Ambiya Haiñ, Ya'ni Sayyiduna Siddiq E Akbar RadiAllahu Ta'la Anhu Ki Zaat Waala Sifaat Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


134.Saaya-e-Mustafa Maaya-e-Istafaa,
Izz-o-naaz-e-khilaafat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maaya-e-Istafaa:Fakhre Taqwa (Al-Uttiqa);☆Izz:Izzat;☆Naaz E Khilafat:Jaanasheeni Ka Fakhr.]

TASHREEH:
Woh Siddiq E Akbar Jo Hamare Aaqaﷺ Ke Sath Zindagi Bhar Saaye Ki Tarah Rahe (Aur Aaj Bhi Rauza E Aqdas Meiñ Apna Sath Nibhaye Huwe Haiñ) Aur Parhezgaar Logoñ Ka Sarmaaya Haiñ, Aap Ne Aesi Kaamyaab Hukumat Ki Ke Khilafat Wa Jaanasheeni Aap Par Naaz Karne Lagi Aur Aap Us Ke Liye Izzat O Azmat Ka Sabab Ban Gaye, Allahﷻ Aap Par Laakhoñ Rehmateiñ Naazil Farmaye.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

135.Ya’ni uss afzal-ul-khalq ba’d ar-Rusul,
Thaani-yathnain-e-hijrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Afzal-ul-Khalq Ba'd Ar-Rusul:Rasuloñ Ke Baad Saari Makhlooq Se Afzal;☆Thaani-Yathnain:Do Meiñ Se Dusra(Ayate Qurani Ki Taraf Ishara Hai).]

TASHREEH:
Mera Matlab Hai Woh Jo Nabiyoñ Aur Rasuloñ Ke Baa'd Sabse Afzal Hai Aur Safar E Hijrat Meiñ Quran Paak Ne Jisko-"Do Meiñ Se Dusra" Kaha Us Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

136.Asdaq-us-Saadiqeen sayyidul muttaqeen,
Chashm-o-gosh-e-wizaarat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Asdaq Us Saadiqeen:Sab Sacchoñ Meiñ Se Zyada Saccha;☆Sayyidul Muttaqeen:Parhezgaaroñ Ka Sardaar;☆Chashm:Aañkh;☆Gosh:Kaam;☆Wazaarat:Khilafat,Niyabat.]

TASHREEH:
Jo Tamaam Sacchoñ Meiñ Sab Se Zyada Saccha Hai (Jab Me'raj Se Waapsi Par Maqaam E Zee-Tawaa Pe Huzurﷺ Ne Jibreel Ameen Se Farmaaya Mere Is Maujze Me'raj Ki Kaun Tasdeeq Karega, To Jibreel Ameen Ne Arz Kiya-Aur Kou Tasdeeq Kare Ya Na Kare Abu Bakr To Zarur Karega Kyuñki Woh Siddiq Hai) Aur Tamaam Parhezgaroñ Ka Sardar Hai.
Aur Hamare Aaqaﷺ Ke Sho'ba E Wazaarat Meiñ Aañkh Aur Kaan Ki Haisiyat Rakhte Haiñ (Aapﷺ Ne Farmaya-Abu Bakr Aur Umar Ka Maqaam Mere Nazdeek Wahi Hai Jo Sar Ke Liye Kaan Aur Aankhoñ Ka Hota Hai.)

*Tazmeen:*
Qasr E Paake Khilafat Ke Rukn E Rakeeñ,
Shaahe Qausain Ke Naaib E Awwaleeñ,
Yaar E Ghaare Shahanshaah E Dunya O Deeñ,
Asdaq-us-Saadiqeen sayyidul muttaqeen,
Chashm-o-gosh-e-wizaarat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


137.Woh umar jis key a’da pe shaidaa saqar,
Uss Khuda dost Hazrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆A'da:Jama' 'Adu Ki Ba-Ma'na Dushman;☆Shaidaa:Deewaana;☆Sagar:Dozakh.]

TASHREEH:
Phir Dusre Khalifa Ameer Ul Mo'mineen, Ghaiz Ul Munaafiqeen Sayyiduna Hazrat Umar Farooq RadiAllahu Ta'la Anhu Jo Khuda Ke Sath Dosti Rakhne Wale Haiñ Aur Un Ke Dushmanoñ (Shaitan Ke Cheloñ Balke Pakke Shaitanoñ) Par Dozakh Aashiq Hai Jo Fauran Un Ko Hadap Kar Jayegi. Us Umar Farooq RadiAllahu Ta'la Anhu Par Hamari Taraf Se Aye Allahﷻ! Laakhoñ Salam Nazil Farma!

*Tazmeen:*
Wo Umar, Wo Habeeb E Shahe Behro Bar;
Wo Umar Khaasa E Haashmi Taajwar;
Wo Umar Khul Gaye Jispe Rehmat Ke Dar;
Woh umar jis key a’da pe shaidaa saqar,
Uss Khuda dost Hazrat pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


138.Faariq-e-Haqq-o-baatil imaam-ul-huda,
Taigh-e-masloole shiddat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Faariq:Farq Karne Wala (Haq Aur Baatil Ke Darmyaan);☆Imaam Ul Hudaa:Hidayat Ka Imaam;☆Taighe Maslool:Barahna Talwaar;☆Shiddat:Sakhti.]

TASHREEH:
Jo Haq Aur Baatil Ke Darmyaan Faraq Karne Waale Haiñ Aur Kufr O Nifaaq Ke Liye Nañgi Talwaar Haiñ Aese Mujahid E Islam Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
Huzurﷺ Farmaate Haiñ Ke Jab Meiñ Jannat Meiñ Gaya To Meiñ Ne Bada Hi Khubsurat Mahal Dekha, Meiñ Ne Pucha Ye Kis Ke Liye Hai To Mujhe Bataya Gaya Ye Aap Ke Umar Ka Hai Pas Meiñ Ne Irada Kiya Ke Is Ke Andar Jaauñ Magar Phir Mujhe Umar Ki Ghairat Yaad Aagayi, Us Par Hazrat Umar Ne Ro Kar Arz Kiya-Mere Maa Baap Aap Ke Qadmoñ Pe Qurbaan Ho Jaayeiñ Kya Meiñ Ne Aap Par Ghairat Khaana Tha (Aap Hi Ke Qadmoñ Ke Tufail To Ye Saari Izzateiñ Mili Haiñ) (Bukhaari Sharif)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

139.Tarjumaan-e-Nabi ham-zabaan-e-nabi,
Jaan-e-shaan-e-‘adaalat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Tarjumaane Nabi:Safeer E Mustafaﷺ;☆Ham-Zabaan:Ek Jaisi Zabaan Bolne Waale;☆'Adaalat:Insaaf.]

TASHREEH:
Wo Umar Jo Hamaare Nabiﷺ Ki Har Jagah Pe Sahih Tarjumaani Karne Waale Haiñ Aur Hamare Aaqaﷺ Ki Haañ Meiñ Haañ Milane Wale Haiñ, 'Adl O Insaaf Ki Azmat O Shaan Haiñ. Us Farooqe Aazam Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
Qaisar E Rome Ka Safeer Jab Madina Sharif Aaya To Logoñ Se Poochha:Tumhara Badshaah Kahañ Hai, Unhone Kaha! Hamare Yahañ Badshah Nahi Hota Ameer Ul Mo'mineen Hota Ha, Jo Dar-haqeeqat Khaadim Ul Muslimeen Hota Hai, Usse Agar Tu Milna Chahta Hai To Darakht Ke Neeche, Baghair Bistar Aur Chaarpai Ke Eeñt Ka Sirhaana Banaakar Wo Dekh Zameen Pe So Raha Hai, Safeer Be-Saakhta Bol Utha! Aye Umar! Mera Haakim Zulm Karta Hai Us Ko Mahallat Meiñ Bhi Baghair Sakht Pahrey Ke Neeñd Nahi Aati, Tum Adl O Insaaf Ke Paikar Ho Na Is Liye Itmenaan Se Har Jagah Sukoon Ki Neeñd Sote Ho.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

140.Zaahid-e-Masjid-e-Ahmadi par Durood,
Doulat-e-jaishe ‘usrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Zaahid:Ibaadat Guzaar;☆Masjid E Ahmadi:Masjid E Nabawi;☆Jaishe Surat:Tañgi Ka Lashkar.]

TASHREEH:
Hamare Aaqaﷺ Ke Teesre Khalifa Aur Dohare Daamaad Sayyiduna Usmaan Zun Noorain RadiAllahu Ta'la Anhu Pe Laakhoñ Salam Hoñ Jo Ghani O Maaldaar Hokar Bhi Huzurﷺ Ki Masjid E Nabawi Ke Durwesh Aur Khaadim E Namazi Ban Kar Zindagi Guzaarte Rahe Aur Baa-wajud Apni Sakht Zarurtoñ Ke Apna Saara Maal Islam Aur Paighambar E Islam Par Lutaatey Rahe. Bilkhusus Tañgi Ke Lashkar (Ghazwa E Tubook Ke Ghaaziyoñ) Ki Itni Madad Ki Ke Huzurﷺ Ne Khush Hokar Farmaya-Aaj Ke Baad Usmaan Jo Kuch Karta Phire Parwaah Nahi Koi Amal Bhi Usko Nuqsaan Nahi Pohñchaa Sakta.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

141.Durr-e-mansoor Quraañ ki silk-e-bahee,
Zouj-e-do noor-e-‘iffat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Durre Mansoor:Bikhre Huwe Moti;☆Silk:Ladi, Dori;☆Bahee:Behtari;☆Zouj:Khaawañd;☆Iffat:Tahaarat,Paakizgi.]

TASHREEH:
Hazrat Usmaan Ghani RadiAllahu Ta'la Anhu Ne Qur'an Majeed Ke Bikhre Huwe Motiyoñ (Aayaat) Ko Kis 'Umdagi Ke Sath Ek Ladi Meiñ Piroya (Jama' Farmaya Aur Jame' Al-Quraan Ka Laqab Paaya. Unhone Quraan Ko Jama' Farmayaa, Allahﷻ Ne Unko Apne Mahboob Ka Dohra Daamaad Banne Ka Sharaf 'Ataa Farmaya) Chunañche Paakeezgi Wa Izzat Ke Do Nooroñ(Huzurﷺ Ki Do Sahabzadiyoñ Ka Khawañd Hone Ka Sharaf Paane) Waale Zauj Par Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Woh Ghani Kyuñ Na Taqdeer Ka Ho Dhani,
Jis Ne Paaye Hoñ Do Laa'le Kaane Nabiﷺ,
Sharahe Noor Un Alaa Noor Hai Zindagi,
Durr-e-mansoor Quraañ ki silk-e-bahee,
Zouj-e-do noor-e-‘iffat pe Laakhoñ Salaam.
 (Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

142.Yaani Usmaan saahib-e-Qamees-e-huda,
Hullah powshe shahaadat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qamees E Huda:Hidayat Ki Qamees(Khilafat);☆Hullah Posh:Libaas Pahanne Waale.]

TASHREEH:
Meri Muraad Sayyiduna Usman Ghani RadiAllahu Ta'la Anhu Haiñ, Jo Hidayat Ke Qamees Pahanne Waale Haiñ (Huzurﷺ Ne Hazrat Usman Ghani Ko Irshaad Farmaya Tha-Aye Usman!
Allahﷻ Tujhe Qamees Pehnaayega, Yaani Khilaafat Ata Farmayaega,Log Agar Utaarna Chaheñ To Hargiz Na Utaarna.(Tirmizi)
Hazrat Usman Ne Huzurﷺ Ke Is Hukm Ko Nibhaate Huwe Jaame Shahaadat Naush Farma Liya Magar Khilafat Se Dastbardaar Na Huwe Aur Aaj Bad Baatin Log Kehte Haiñ Ke Usman Kitne Laalchi The Ke Hukumat Ki Laalach Meiñ Jaan Se Haath Dho Baithe. (Na'uzu Billah Wa La'anat Ul Laahi 'Alaa Sharkum)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


143.Murtaza sher-e-Haq ashja-’ul ashja’iñ,
Saaqi-e-sheer-o-sharbat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Murtaza:Pasandeeda (Ali Sher E Khuda);☆Ashja-Ul Ashja'in:Bahaduroñ Ka Sardaar;☆Saaqi:Pilaane Waala;☆Sheer O Sharbat:Doodh Aur Sharbat.]

TASHREEH:

Aur Chauthe Khalifa Imam ul Mashariq Wa Magharib Ali Ul Murtaza Sher E Khuda Karamallahu Wajhul Kareem jo Murtaza (Chune huwe) bhi haiñ aur Sher E Khuda bhi haiñ, Balki bahaduro ke Sarbarah bhi haiñ. Haan Haan! Hal Ataa Bhi Haiñ, Mushkil kusha Bhi haiñ, Hajatrawa Bhi haiñ, Shauhar E Zahra bhi Haiñ, Nabiﷺ ke Veer bhi Haiñ, Hamare Peer Bhi Haiñ. Apne qatil ko jo doodh aur sharbat pesh karde meiñ us Baab Ul Madina Tul Ilm pe kyuñ na Laakhoñ salam kahuñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

144.Asl-e-nasl-e-safaa wajh-e-wasl-e-Khuda,
Baab-e-fazle wilaayat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Asl:Jad,Bunyaad;☆Safaa:Tahaarat;☆Wajh:Sabab O Ba'es;☆Wasl:Milna;☆Baab:Darwaza;☆Fazl:Fazeelat;☆Wilaayat:Khuda Se Dosti.]

TASHREEH:
Sayyiduna Ali Sher E Khuda wo Hasti Haiñ k jo Paak saaf nasl (Saadaat e kiram) ki asl o jad haiñ, Kyunki Aap se hi saadaat chale haiñ aur saadaat sirf wo haiñ jo Imam Hassan O Husain RadiAllahu anhuma aur unki aulad Haiñ.
(Ahkaame Shari'at-Az_Aala Hazrat)
Aur Hazrat Ali Murtaza,Allah Ta'la Se Mulaqat Ka Zari'a Haiñ, Kyuñki Huzoorﷺ ne Aap hi k mutalliq farmaya h-Jaise Quran k paaroñ ko dekhna ibadat h, Ka'ba ki diwaro ko dekhna ibadat h, masjid k minaro ko dekhna ibadat h aesi hi 'Ali k Rukhsaro(chehre) ko dekhna bhi ibadat hai.
Aap RadiAllahu anhu wilayat ki fazeelat ka darwaza hn. Tamam salasile wilayat Aapse jakar milte hn. Aaqaﷺ ne farmaya-Jiska meiñ Maula, uska 'Ali maula. Aye Allah! Jo Ali se pyar kare, Tu usse pyar kar aur jo Ali se dushmani rakhe Tu uska dushman ho ja.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

145.Awwaliñ daaf’-e- ahle rafz-o-khurooj,
Chaarumi rukn-e-millat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Awwaleen:Sabse Pehla;☆Daaf'e:Door Karne Waala;☆Rafz:Raafziyat Wa Shi'iat;☆Khurooj:Dushmanaane Ahle Bait (Khaarji Maujuda Daur Ke Najdi Wahabi);☆Chaarumi:Chautha;☆Rukn E Millat:Ummat Ka Sutoon o Sahaara.]

TASHREEH:
Sayyiduna Ali Sher E Khuda RadiAllahu Ta'la anhu ne sab se pehle Rafziyoñ aur Kharjiyoñ (Dushmanaan E Sahaba Wa Ahle bait) Ke sath ba-qaida jang karke unke fitnoñ ka Qila' Qama' farmaya aur millat E Islamiya ke Chauthe Khalifa E Rashid aur Deen ka mazboot Sutoon ban kar musalmanoñ ki rahnumayi farmayi aur badi Jurrat se sari Umr fitnoñ ka muqabla farmatey rahey.Allahﷻ Ke Unpar Karodoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


146.Sheer-e-shamsheer-zan shaah-e-khaibar-shikan,
Partaw-e-dast-e-qudrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shamsheer E Zan:Talwaar Ka Dhani;☆Khaibar Shikan:Khaibar Ki Iñt Se Iñt Baja Dene Waala;☆Partaw:Aks;☆Dast:Hath;☆Qudrat:Quwwate Parwardigaar.]

TASHREEH:
Aap talwar k aese dhuni the k bade se bade kafir k muqable mn bhi Aapki talwar ne aese bahaduri k jauhar dikhaye k log pukaar uthe-

Shaahe Mardaañ, Shere Yazdaañ, Quwwate Parwardigar,
Laa-Fataa Illa Ali Laa-Saif Al-Zulfiqaar.

Khaibar ki iñt se iñt bajaane wale Ali Share E Khuda pe laakhoñ salam. Aur Taqat E Khudawañdi Ke Aks E Jameel Ali Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

147.Maahi-e-rafz-o-tafzeel-o-nasb-o-khurooj,
Haami-e-deen-o-sunnat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Maahi:Mitaane Waale;☆Raha:Sahaba Ki Dushmani,Shia Hona;☆Tafzeel:Hazrat Ali Ko Tamaam Sahaaba Se Afzal Samajhne Ka Aqeeda;☆Nasb O Khurooj:Naasbiyat Aur Khaarjiyat (Ahle Bait Ki Dushmani);☆Haami:Himayat Karne Waale.]

TASHREEH:
Raafziyat O Khaarjiyat Chaahe Woh Naasbiyyat Ki Shakl Meiñ Ho Ya Tafzeeliyat Ki Shakl Meiñ. Un Tamaam Ki Bad-Aqeedgi Ka Khaatma Karke Islam Aur Sunnate Mustafaﷺ Ki Himayat Karne Waale Maula Ali Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
Ek shakhs ne kaha ki Aap ke hote huwe Muhajireen wa Sahaba ne Abu Bakr ko kaise khalifa bana liya? Aap ne farmaya! Agar ye baat na hoti ki Allah Ta'la Ahle Imaan ko Na-jaiz baat se bacha leta hai (Ya'ni Tu agar Kalmago na hota) to meiñ Tujhe Qatl kar deta. (كنز العمال)

Aap ne farmaya mujh se mere Nabiﷺ ne farmaya tha ki Mujh se sirf Musalmaan hi mahabbat karega (Kafir, Munafiq k dil meiñ meri mahabbat nahi jaa sakti) aur mujhse dushmani rakhne wala pakka munafiq hoga.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


148.Mo'miniñ peshe fath-o-pase fath sab,
Ahl-e- khairo ‘adaalat pe laakhoñ Salaam.

[☆Pesh:Pehle;☆Fath:Fatahe Makkah;☆Pas:Peeche,Ba'd Waale;☆Ahle Khair:Bhalayi Waale.]

TASHREEH:
Sarkaarﷺ Ke Tamaam Sahaabaye Kiraam Chaahe Wo Fatahe Makkah Se Pehle Imaan Laaye Hoñ Ya Fatahe Makkah Ke Baad, Tamaam Se Allahﷻ Ne Jannat Aur Bhalai Ka Wa'da Farmaya Hai. Sab Sahaba Aadil Aur Munsif Haiñ Un Par Allahﷻ Ki Rehmateiñ Naazil Hoñ Aur Karodoñ Durood O Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

149.Jis musalmaañ ne dekha unhe ik nazar,
Uss nazar ki basaarat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Basaarat:Dekhna,Beenayi,Aañkh Se Dekhna.]

TASHREEH:
Sahaaba E Kiraam Ke Baad Aala Hazrat Taabaeen Alaihimur Rehmah Ki Baargah Meiñ Laakhoñ Salam Ka Nazrana Pesh Kar Rahe Haiñ, Kyuñki Huzurﷺ Ne Farmaya-Mujhe Dekhne Wale Sahabi Ko Dozakh Chhoo Bhi Naa Sakegi, Aur Jisne Mere Dekhne Wale (Sahabi) Ko Dekha,Usko Bhi Dozakh Ki Aag Na Chhoo Sakegi. Yaa Ye Shyr Upar Wale Shyr Hi Ka Tatamma (hissa) Hai Ke Jis Musalmaan Ne Mere Aaqaﷺ Ko Ek Nazar Bhi Dekh Liya, Us Paakeeza Nazar Ke Dekhne Pe Laakhoñ Salam Hoñ, Ke Usne Usko Dekha Hai Jisne Khuda Ko Dekha Hai.

*Tazmeen:*
Us Nazar Ka Muqaddar Hai Kis Auj Par,
Us Ki Taqdeer Hai Kis Qadar Bakhtwar,
Us Nazar Par Fida Taab E Chashmo Sahar,
Jis musalmaañ ne dekha unhe ik nazar,
Uss nazar ki basaarat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


150.Jinke dushman pe laanat hay Allah ki,
Un sab ahl-e-mahabbat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Laanat:Rehmat Se Doori;☆Ahle Mahabbat:Pyar Wale.]

TASHREEH:
Hamare Aaqaﷺ Ka Farmaan Hai, Jis Ne Mere Sahaba Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Dushmani Ki Wo Khuda Ka Dushman Hua.
Neez Allahﷻ Ne Hadees E Qudsi Meiñ Farmaya(عادیٰ لی ولیا فقد اذته بالحرب)Jab Wali Ka Dushman Khuda Se Jang Kar Raha Hai To Sahaba Ke Dushman Pe Kyuñ Na Allahﷻ Ki La'nat Hogi, Sahaabaye Kiraam Se Mahabbat Karne Waloñ Par Bhi Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Jin Ka Kauthar Hai, Jannat Hai Allahﷻ Ki;
Jin Ke Khadim Pe Shafqat Hai Allahﷻ Ki;
Dost Par Jin Ke Rehmat Hai Allahﷻ Ki;
Jinke dushman pe laanat hay Allahﷻ ki,
Un sab ahl-e-mahabbat pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

151.Baaqi-e-saaqiyaan-e-sharaab-e-tahoor,
Zain-e-ahl-e-’ibadat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Baaqi:Jo Reh Gaye;☆Saaqiyaañ:Pilaane Waale;☆Shaarabe Tahoor:Paak Sharaab;☆Zain:Khubsurti Aur Zeenat.]

TASHREEH:
Jinka Zikr Ho Chuka Un Ke Ilawa Baqi Tamaam Aimma Ahle Bait, Sahaabaye Kiraam Jinhone Logo Ko Allah ﷻ Ke Ishq O Mahabbat Ki Sharab Pilayi Aur Ibaadat Guzaroñ Ki Zeenat Hue Un Sab Pe Laakhoñ Salam Hoñ.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

_Aur jitne hain shehzaade uss shaah key,_
_Un sab ahl-e-makaanat pe Laakhoñ Salaam._

152.Unki baalaa sharaafat pe aa’la Durood,
Unki waala siyaadat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Baalaa:Baland;☆Sharaafat:Buzurgi;Siyaadat:Sardaari.]

TASHREEH:
Un Sab Ki Buzurgi Aur Sharaafat Pe Baland O Baala Durood Hoñ Aur Un Sab Ki Sardaari Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

153.Shafa'i Maalik Ahmad Imaam-e-Haneef,
Chaar baagh-e-imamat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Shafa'i:Imaam Muhammad Bin Idrees Shafa'i;☆Imaam E Haneef:Imam Abu Haneefa.]

TASHREEH:
Fiqh Ke Chaaroñ Imaam-Imam Shafa'i, Imaam Malik, Imam Ahmad Bin Hambal Aur Imaame Aazam Abu Haneefa Rahmatullahi Ta'la Anhum Ajmaeen Imaamat Ke In Chaar Baaghoñ Par Mahakte Huwe Durood O Salam Ke Phool Nichhawar Hoñ.

*Tazmeen:*
Najm Haaye Darakhshaane Husne Lateef,
Junse Raushan Hue Seena Haaye Katheef,
Chaar Arkaane Aywaan E Shara'e Sharif,
Shafa'i Maalik Ahmad Imaam-e-Haneef,
Chaar baagh-e-imamat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

154.Kaamilaan-e-tareeqat pe kaamil Durood,
Haamilaan-e-shari’at pe laakhoñ Salaam.

[☆Kaamilaan-e-tareeqat:Roohaaniyat Ke Shahsawaar;☆Haamilaan-e-shari'at:Shari'at Pe Amal Karne Wale.]

TASHREEH:
Tareeqat Ke Taamaam Kaamil Imaamoñ Aur Roohaniyat Ke Sarchashmoñ Pe Kaamil Durood Ho Aur Shari'at Par Amal Karne Wale Tamaam Buzurgoñ Pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


155.Ghouse a’azam imaamuttuqaa wannuqaa,
Jalwah-e-shaan-e-qudrat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Uttuqa:Taqwa;☆Unnuqa:Tahaarat;☆Jalwah:Mazhar.]

TASHREEH:
Bilkhusoos Sab Waliyoñ Ke Sardaar Sayyiduna Ghause Aazam RadiAllahu Ta'la Anhu Jo Taqwa Aur Tahaarat Ke Imaam Haiñ Aur Allah Ta'la Ki Qudrat Ki Shaan Ka Mazhar E Kaamil Haiñ Un Par Laakhoñ Salam Hoñ.

*Tazmeen:*
Haq Ke Mehram Imamuttuqa Wattuqa,
Zaate Akram Imamuttuqa Wattuqa,
Qutbe Aalam Imamuttuqa Wannuqa,
Ghouse a’azam imaamuttuqaa wannuqaa,
Jalwah-e-shaan-e-qudrat pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

156.Qutb-e-abdaal-o-irshaad-o-rushdur-rashaad,
Muhyi-e- Deen-o-millat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qutb O Abdaal:Tareeqat Ke Darjaat;☆Muhyi:Zindah Karne Wala.]

TASHREEH:
Aur Ghause Paak RadiAllahu Ta'la Anhu Ke Faiz Yaafta Awliyaae Kaamileen, Qutub, Abdaal Aur Hidayaat Ke Peshwa, Jinhone Deen O Millat Ki Aabyaari Farmayi Un Sab Pe Laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

157.Mard-e-khaile tareeqat pe behad Durood,
Farde ahl-e-haqeeqat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Khail:Sarbaraah;Fard:Yakta.]

TASHREEH:
Tareeqat Ke Sarbaraah Pe Anginat Rehmateiñ Hoñ Aur Haqeeqat Waaloñ Meiñ Bemisaal Aaqa Ghause Paak Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

158.Jiski mimbar bani gardan-e-awliyah,
Uss qadam ki karamat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Mimbar:Jis Par Baith Kar Khateeb Wa'z Karta Hai;☆Karamat:Buzurgi.]

TASHREEH:
Jis Ghause Paak Ka Qadam Tamaam Awliya E Kiraam Ki Gardanoñ Ki Zeenat Bana Aur Waliyoñ Ki Gardaneiñ Us Qadam Ke Liye Mimbar Ban Gayeiñ, Aap Ke Us Qadam Ki Izzat O Karaamat Pe Laakhoñ Salaam Hoñ.

*Tazmeen:*
Aesi Bartar Huwi Gardan e Awliya;
Awje Mahe Par Huwi Gardane Awliya;
Arsh Bar Sar Huwi Gardan E Awliya;
Jiski mimbar bani gardan-e-awliyah,
Uss qadam ki karamat pe Laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

159.Shah-e-barkaato barkaate peshiniyaañ,
Nou bahar-e-tareeqat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Peshiniyaañ:Pehle Buzurg;☆Nou Bahar:Nayi Raunaq.]

TASHREEH:
Aur Apne Mashaaikh E Uzzam Jo Ghause Aazam Se Hi Mustafez Hone Wale Haiñ, Sayyed Barkat Ullah Marehravi Aur Unse Pehle Ke Tamaam Mashaykh Ki Barkatoñ Ne Tareeqat Ke Maidaan Meiñ Jo Raunaq Lagayi Us Par Laakhoñ Salaam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

160.Sayyid aale Muhammad imaamur-rasheed,
Gul-e-rouz-e-riyaazat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Imaamur Rasheed:Hidayat Ke Peshwa;☆Rouz E Riyaazat:Khushboo Ka Baagh.]

TASHREEH:
Hazrat Sayyed Aale Muhammad (Sayyed Barkat Ullah Marehravi Ke Bade Sahabzade) Jo Hidayaat Me Muqtada Huwe Haiñ Aur Roohaniyat Ke Mahakne Wale Phool Haiñ, Un Pe Laakhoñ Salam Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


161.Hazrat-e-Hamza shere Khuda wa Rasool,
Zeenat-e-Qaadriyat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Hazrat E Hamza:(Wiladat:14 Rabius Sani 1131H,Wisal 14 Muharram 1198H.]

TASHREEH:
Hazrat Hamza Bin Sayyed Shah Aale Muhammad Jo Khuda Aur Us Ke Rasoolﷺ Ke Sher Haiñ Aur Silsila Qadriya Ki Zeenat Haiñ Un Par Allah ﷻ Ki Laakhoñ Rehmateiñ Hoñ.

*Tazmeen:*
Jiski Sarkar Hai Baargaahe Qubool,
Jiske Darbar Meiñ Awliya Haiñ Shumool,
Jispe Hai Rehmate Mustafaﷺ Ka Nuzool,
 Hazrat-e-Hamza shere Khuda wa Rasool,
Zeenat-e-Qaadriyat pe laakho(n) Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


162.Naam-o-kaam-o-tan-o-jaan-o-haal-o-maqaal,
Sab mein achhe ki soorat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Kaam:Maqsad;☆Tan:Jism;☆Haal:Halat;☆Mahaan:Baat.]

TASHREEH:
Sayyed Aale Ahmad Urf Acche Miya (Bin Sayyed Shah Hamza) Wiladat 27 Ramzan 1160H,Wisaal 17 Rabi Ul Awwal 1235H.Mazaar E Pur-anwar:Marehra Sharif, Jin Ka Naam Bhi Accha, Kaam Bhi Accha Aur Haal O Qaal Bhi Umda Aur Seerat Ke Sath Surat Bhi Umda Hai Un Par Bhi Allah ﷻ Ki Laakhoñ Rehmat Hoñ.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


163.Noor-e-jaañ itre-majmu'ah Aal-e-Rasool,
Mere Aaqa-e-ne'mat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Itre Majm'uah:Khushbuoñ Ka Murakkab.]

TASHREEH:
Meri Jaan O Rooh Ka Noor Aur Anginat Khubiyoñ Ka Khulasa Wa Majmu'a Sayyed Aale Rasool (Suthre Miya Ke Sahabzaade Jo Ke Shah Sayyed Hamza Ke Manjhale Sahabzaade Haiñ Aur Apne 'Amma Mukarram Sayyed Aale Ahmad Acche Miya Ke Mureed O Khalifa Hai. Ilme Zaahiri O Baatni Se Faizyaab, Wiladat-1609H Aur Wisal 18 Zilhijja 1696H.) Mujhe Har Ne'mat Unheiñ Ki Bargah Se Mayassar Aayi Allah ﷻ Un Par Laakhoñ Rehmateiñ Naazir Farmaaye. (Ye Aala Hazrat Azeemul Barkat Alaihirrehma Ke Mirshid E Barhaq Hai.)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

164.Zaib-e-sajjaadah sajjaade noori nihaad,
Ahmad-e-Noor teenat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Zaib:Zeenat;☆Sajjadah:Buzrugoñ Ki Gaddi;☆Nihaad:Paidaish,Aadate Teenat Ka Bhi Yahi Ma'na Hai.]

TASHREEH:
Hazrat Sayyed Shah Abul-Hasan Noori, Jinhone Aastaana Marahra Sharif Ki Gaddi Ko Ek Nayi Shaan Ata Farmayi. Noorani Tabi'at O Khilqat Waale Un Par Allahﷻ Ki Laakhoñ Rehmateiñ Hoñ.
(Aap Sayyidi Shaah Aale Rasool Ke Pote Haiñ. Inheiñ Ke Baargaah Meiñ Nawab Of Naan-Paara Ne Arz Kiya Tha Ki Ahmad Raza Se Farmayeiñ Meri Shaan Meiñ Koi Ek Qata' Likh Kar Deiñ. Aap Ne Farmaya:Accha Jab Mood Meiñ Hoñge To Meiñ Keh Duñga, Chunaañche Jab Aala Hazrat Ko Hukm Huwa To Aap Ne Qalam Uthaya Aur Sarkar E Madina Ki Bargaah Ki Gaaagari Pe Wajd Karte Huwe Shyr Likha-
Karuñ Madh Ahle Duwal Raza,
Pade Is Bala Meiñ Meri Bala,
Meiñ Gada Huñ Apne Kareem Ka,
Mera Deen Paara E Naañ Nahi.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


165.Be azaab-o-’itaab-o-hisaab-o-kitaab,
Ta abad Ahle Sunnat pe laakhoñ Salaam.

[☆Itaab:Naaraazgi;☆Ta Abad:Hamesha Hamesha.]

TASHREEH:
Aye Allah ﷻ! Baghair Kisi Saza, Naaraazgi Aur Hisab O Kitab Ke Apne Nabi Ke Ghulamoñ (Ahle Sunnat O Jama'at) Pe Hamesha Rehmateiñ,Barkateiñ Nazil Farma.

*Tazmeen:*
Hai Khudaya Karam Baar Teri Janab,
Az Tufaile Janaabe Risaalat Ma'aab,
Wo Ke Jin Ka Ye Yaaseen Wa Taaha Khitab,
Be azaab-o-’itaab-o-hisaab-o-kitaab,
Ta abad Ahle Sunnat pe laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Ahle Baatil Huñ Jal Jal Ke Ya Rab Kabaab,
Roz Afzooñ Ho Un Ka Yuñhi Iltehaab,
Aur Bahre Huzur E Rislat Ma'aab,
Be azaab-o-’itaab-o-hisaab-o-kitaab,
Ta abad Ahle Sunnat pe laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

166.Tere un dosto key tufail aay Khuda,
Banda-e-nang-e-khalqat pe laakhoñ Salaam.

[☆Tufail:Wasila,Barkat;☆Nang E Khalqat:Makhlooq Ki 'Aar.]

TASHREEH:
"Banda-e-nang-e-khalqat" Se Aala Hazrat Azeem Ul Barkat Ki Apni Zaat Muraad Hai Ke ALLAHﷻ Apne Un Tamaam Mahboob Bandoñ Ke Tufail Mujhe Bhi Apni Rehmatoñ Se Dhaañp Le.

*Tazmeen:*
Meiñ Bhi Huñ Ek Gadaaye Dar E Awliya,
Meiñ Bhi Huñ Ek Sage Kooe Ghausul Wara,
Meiñ Bhi Huñ Zarra E Kucha E Mustafaﷺ,
Tere un dosto key tufail aay Khuda,
Banda-e-nang-e-khalqat pe laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

167.Mere ustaad maa-baap bhai behen,
Ahl-e-wuld-o-‘ashirat pe laakhoñ Salaam.

[☆Wild:Aulaad;☆Ashirat:Khaandaan O Qabila.]

TASHREEH:
Aye ALLAHﷻ! Mere Waaldayn, Mere Asaateza, Bahan-Bhai, Aulaad Aur Khaandaan Qabile Sab Pe Apne Nekoñ Ke Tufail Apni Rehmateiñ Naazil Farmaa.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

168.Ek mera hi rahmat mein da’waa nahiñ,
Shaah ki saari ummat pe laakhoñ Salaam.

[☆Da'waa:Istehqaaq;☆Shaah:Huzurﷺ.]

TASHREEH:
Aur ALLAHﷻ Ki Itni Wasee' Rehmat Ko Meiñ Apni Zaat Tak Mahdood Kyuñ Rakhne, Meiñ Yuñ Kyuñ Na Kahuñ Ke Mere Aaqaﷺ Ki Saari Ummat Pe Allahﷻ Ki Laakhoñ Karodoñ Rehmateiñ Hoñ.

*Tazmeen:*
Abre Jud O Ataa Kis Pe Barsaa Nahiñ?
Tera Lutf O Karam Kis Ne Dekha Nahiñ?
Kis Jagah Aur Kahañ Tera Qabza Nahiñ?
Ek mera hi rahmat mein da’waa nahiñ,
Shaah ki saari ummat pe laakhoñ Salaam.

Kaun Hai Dil Se Jo Un Ka Shaida Nahiñ,
Kis Ke Wird E Zabaañ Unka Kalma Nahiñ,
Hashr Meiñ Un Ka Kisko Sahaara Nahiñ,
Ek mera hi rahmat mein da’waa Nahiñ,
Shaah ki saari ummat pe laakhoñ Salaam.

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

169.Kaash mahshar me jab unki aamad ho aur,
Bheje sab unki showkat pe laakhoñ Salaam.

[☆Kaash:Khuda Kare Aesa Hi Ho;☆Aamad:Aanaa;☆Shaukat:Dabdaba,Shaan O Azmat.]

TASHREEH:
Aye ALLAHﷻ! Kaash Aesa Ho Jaaye Ke Dunya Meiñ Apne Aaqaﷺ Pe Mukhaalifeen Ke Fatwoñ Ke Bawajud Tere Mehboobﷺ Par Jhoom Jhoom Kar Durood O Salam Padhne Waaloñ Ke Saamne Maidaane Mehshar Meiñ Jab Huzurﷺ Tashreef Laayeiñ To Ham Aap Ki Shafaa'at Ka Peshgi Shukriya Ada Karne Ke Liye Un Ki Shaan O Shaukat Pe Durood O Salam Ka Wazifa Karne Lageiñ.

*Tazmeen:*
Aaftaab E Qayaamat Ke Badle Hoñ Taur,
Jab Ke Ho Har Taraf "Nafsi Nafsi" Ka Shor,
Jab Kisi Ka Kisi Par Na Chalta Ho Zorr,
Kaash mahshar me jab unki aamad ho aur,
Bheje sab unki showkat pe laakhoñ Salaam.
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

170.Mujhse khidmat key qudsi Kaheiñ haañ RAZA,
Mustafa jaan-e-rahmat pe Laakhoñ Salaam.

[☆Qudsi:Paakbaaz, Farmaañbardaar Firishtey.]

TASHREEH:
Rabbul Aalameen Ke Baargaah e Aqdas Ki Khidmat Bajaa Laane Waale Ma'soom Firishtey Jab Mujh Gunahgaar Ko Huzurﷺ Ki Aamad Ke Raastey Meiñ Apne Aaqa Ka Intezaar Meiñ Khada Payeñge To Zuroor Pucheñge To Sahi Ke Haañ Ahmad Raza Kyuñ Khade Ho? Bas Un Ke Puchne Ki Der Hogi Aur Meiñ Apne Aaqa Kareemﷺ Pe Yahi Laakhoñ Salam Ka Nazraana E Aqeedat Pesh Karna Shuru Kar Duñga, Faraq Ye Hai Ke Yahaañ Aankhoñ Ko Bañd Karke Tasawwur E Mehboob Ko Khayaalat Ki Aañkhoñ Se Dil Ki Dunya Meiñ Dekh Dekh Kar Padhta Huñ Aur Wahaañ Jalwae Mehboob Sar Ki Aañkhoñ Se Dekh Dekh Kar Padhuñga-
Mustafaﷺ Jaane Rehmat Pe Laakhoñ Salam,
Shama'e Bazme Hidayaat Pe Laakhoñ Salam.

*Tazmeen:*
Murshidi Shaah Ahmad Raza Khañ Raza,
Faizyaab E Kamaalaat Hassañ Raza,
Sath Akhtar Bhi Ho Zamzama Khwaañ Raza,
Mujhse khidmat key qudsi Kaheiñ haañ RAZA,
Mustafa jaan-e-rahmat pe Laakhoñ Salaam.
(Akhtar Ul Haamdi)

Kaash Barpaa Ho Jis Waqt Roz E Jaza,
Aur Dulha Bane Wo Shafi Ul Wara,
Ho Kisi Ki Ye Poori Habeeb Ilteja,
Mujhse khidmat key qudsi Kaheiñ haañ RAZA,
Mustafa jaan-e-rahmat pe Laakhoñ Salaam.
(Sayyed Habeeb Ahmad)

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ


[Transliterated from:Sharah E Hadaiq E Bakhshish.]
{Transliteration completed on-7th November 2019-9th Rabiun Noor 1441H }

--------------------------------------------------------------------------+
Mazkoora Sharah ko Urdu sharah (Az __Qari Maulana Ghulam Hassan Qadri_) se liya gaya hai, Intehayi koshish ki gayi hai ki kisi ki tahreeri amanat meiñ khayanat ka irtekab na ho, lekin bataqaaza e bashariat ghalti ka imkan hai, Lehaza Qaareen se guzaarish hai ke jahaañ bhi ghalti dekheiñ islaah zarur farmaakar hameiñ Mutla' karein...

[Note-Tashreeh meiñ kayi waaqyat jo Urdu sharah meiñ maujud haiñ unhe nahi likha gaya hai.]
~Azhari Ⓜission™

No comments:

Post a Comment