Hazrat Mujaddide Alif Saani Rehmatullah Alaih.



Hazrat Mujaddide Alif Saani Shaykh Ahmad SirHindi Rehmatullah Alaih. 

Naam O Nasab:-Aapka naam Ahmad, Walid ka naam Abdul Ahad tha, Aap SirHind Zila' Patyala, Punjab Meiñ paida huwe. Taarikhe paidaish:-14 Shawwal mukarram 971H Mutabiq 16 May 1564.


Tajdeedi Kaarnaama:-
Imaam Rabbani Rehmatullah alaih ne aese daur Meiñ apni islahi wa tableeghi mission ka aaghaaz farmaya jis Meiñ Jalaluddin Akbar ki ghair islami harkatoñ se islam ka chaman khazañraseeda ho chuka tha, magar is 'aalam meiñ Hazrat Mujaddide Alif saani ne apne hakeemaana dawate tableegh se aesa inqelaab barpaa kiya ke chashme falak ne us daur Meiñ waisa dusra inqelaab nahi dekha aur Jahangir ke ahad meiñ us inqelaab ka aaftaab sawa neze par tha.



→• Ilhaad E Akbari(Deen E Ilaahi) Ka Daur 1582 se 1605 tak hai, is daur ka aaghaaz "Deen E Ilaahi" Se hota hai, Is mazhabe nau ki bunyad 1582 meiñ rakhkhi gayi, ye nazarya tauheed wajudi ki ek mubham(mashkook) wa ghair waazeh shakal thi, jis meiñ mukhtalif adyaan o mazaaheb ke mo'taqedaat shamil the. Dar haqeeqat ye Jaini, Hindu Aur Buddhist waghaira adyaan e baatila ka ma'joon e murakkab tha, aur us meiñ Islam ke nazarya e tauheed ko baraaye naam jagah di gayi thi. Is daur meiñ Akbar mukammal Mulhid o gumrah aur kafir nazar aata hai.

Deen E Ilaahi ke mo'taqedaat:-
1.Mulla Abdullaah Sultanpuri ne Haj ke isqaat(girne, khatam) Ka fatwa diya.
2.Mulla Saeed ne daadhiyañ mundwane ke silsile meiñ ek Hadees gadhi.
3.Badshah ke liye sajda e ta'zeemi ko jayz qaraar diya gaya.
4.La-Ilaaha-Illallah-Akbar-Khalifatullah Kalma padhne ka hukm diya gaya.
5.Sood ko halal qarar diya gaya.
6.Sharaab ko halal aur paak qarar diya gaya.
7.Chaar waqt aaftab(suraj) ki parastish lazim qarar di gayi.
8.Masaajid Ko mandiroñ meiñ tabdeel kar diya gaya.
9.Roza rakhne ki mumaane'at qarar di gayi.
10.Khinzeer ke gosht ko jayz qaraar diya gaya.
11.Maathe par Tilak lagana, gale meiñ meiñ zunnaar pahanna aur ghusle janaabat na karna Deen E Ilaahi ka shu'aar qarar diyaa gaya.
[Maaz'Allah]

Daure Akbari meiñ Hazrat Mujaddide Alif Saani Rehmatullah alaih ki islaahi wa tableeghi sargarmiyaañ khamosh tareeqe se jari raheiñ, aur jab Akbar ki maut ke baad 21 October 1605 meiñ Nooruddin Muhammad Jahangir "Badshah ghazi" Ke naam se takht nasheeñ huwa to Hazrat Mujaddid bhi poori tayyari aur 'azam o hausla ke sath khullam khulla maidane amal meiñ utar pade. Us waqt Aapki umr 40 saal ho chuki thi, ilme zahir o baatin meiñ kamal paida kar liya tha. Chunke us waqt bedeeni aur beraahrawi darbar se shuru hui thi aur Deene Ilaahi ko shahi sarparasti hasil thi, is liye Hazrat Mujaddid ne Jahangiri darbaar ke Umaraa, wazaraa, a'yaane saltanat aur arbaabe iqtedaar hi ko deene haq ki taraf maael karne aur Akbari 'ahad ki bid'aat o khurafaat ko door karne aur Islam ke nuqsan ki talaafi ke liye aamaada kiya, isi maqsade khair ke liye tamaam naamwar Umaraa ko maktoob irsaal kiye, un tamaam maktoob ka sirf ek hi maqsad tha jis tarah mumkin ho is nuqsan ki talaafi ho jaaye.

Agra ke ulamae soo ne jab Deene Ilaahi ko khaak meiñ milta dekha to dobara sargaram hue aur mauqa paate hi Jahangir badshah ko ittela di ke SirHind ka ek shaykhzaada apne ko Siddiq E Akbar se afzal samajhta hai [Maaz'Allah] Aur aese da'we karta hai jinse kufr laazim aata hai. [Maaz'Allah].Uske ilawa Hazrat Mujaddid E Alif saani Rehmatullah alaih ki khalaiq meiñ maqbuliyat aur isse hukumat meiñ pohoñchne wale khatraat se badshah ke kaan bhare gaye, Mukhalifeen wa hasideen ki ye sazish karaamad sabit hui aut is masle ko siyaasi rang de diya gaya. Iske baad Jahangir ne haakim SirHind ki Ma'rfat Hazrat Mujaddide Alif saani Rehmatullah alaih ko darbar meiñ talab kiya, Hazrat Mujaddid ko darbare shahi meiñ hazir kiya gaya, Jahangir ne apna eteraaz pesh kiya, Hazrat Mujaddid ne mudallal (daleel se sabit kiya hua) wa mufassal jawab diya jisse badshah mutmain hogaya aur uska itaab jata raha. Isi dauraan ek darbari ne badshah se kaha, Huzur Zilullah aur Khalifatullah Haiñ (Maaz'Allah), isne sajdae ta'zeemi to kya ma'muli tawazo' bhi nahi baja laaya, is baat pe badshah khafa hogaya aur bilaakhir Rabi us saani 1018H meiñ Hazrat Mujaddid ko qila' gwalyar meiñ aseer kar diya. Aap ne ek saal Sunnate Yusufi ada farmayi, Qila'  Gwalyar meiñ bhi daurane aseeri aap Deen E Ilaahi ki tardeed aur Deene islam ki Dawat o tableegh karte rahe, jiske nateeje meiñ poora qaidkhana kufr o shirk fisq o fujur se taaeb hokar muslamaan hogaya. Ye suratehaal dekh kar Jahangir ne aapko qaidkhane se riha kar diya, aap is shart par riha hue ke Deen e ilaahi ke tamam usool Kala'dam(Fanaa) qarar diye jayeiñ aur shariate islamiya ko amalan naafiz kiya jaaye, Badshah ne ye shart tasleem ki aur aap Qila' gwalyar ki jail se bahar aaye.


→• Ahad e Akbari meiñ tasawwuf o tareeqat ke jo afkaar o rusoom hawaparast sufyioñ ne Waza' karliye the jis se islami tasawwuf ka koi wasta nahi tha, jahañ deeni ahkaam aur sharai nazakatoñ ka door door tak guzar na tha,hazrat mujaddid ne is jaanib khaas tawajjo farmayi:Aap Rehmatullah alaih ne zindiqi nazaryae tasawwuf ki khamiyoñ se logoñ ko roshanaas karke sahih islami fikr aur islami tasawwuf ki raah dikhayi jo shariat se maawara nahi balke shariat ki saraapa pabandi se ibarat hai.

Wafaat:-28 Safar ul muzaffar 1034H, 63 saal ki umr sharif meiñ wisal hua, Jasad mubarak haweli ke sahan meiñ supurde khak kar diya gaya. Rauzae mubarak aaj bhi marja' e khwas o awaam hai.

{Transliterated From-Saalnaama Baaghe Firdous Mubarakpur Ka Mujaddideen E Islaam Number}


Share By :-
Azhari Ⓜ ission ™
Gulaam E Raza

Works Underguardianship Of Khalifa E Huzur Tajush'shariah Huzur Sayyed Shoaib Raza Qadri Sahab Qibla

No comments:

Post a Comment