AASHURA KA ROZE:

AASHURA KA ROZE:


★ Aashurey Ke Din Ka Roza Rakhna Sirf Hamare Aaqa ﷺ Ka Mamul Na Tha Balkey Aap Se Pehle Aane Wale Ambiya Alaihi Sàlam Bhi Is Dín Ka Roza Rakha Karte They, Isliye Hadis Sharif Me Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya "Aashurey Ke Din Ka Roza Rakho, Kyun Ke Ye Wo Din Hai Ke Iska Roza Ambiya e Kiram Rakhte They. ( 📚 Jame Sageer)

★ Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya, Aashurey Ke Din Roza Rakhne Per Mujhey Yaqeen Hai Ke Allah ﷻ Pichle Saal Ke Gunaho'n Ka Kaffara Bana Dega..( 📚 Mishkat Shàrif, Behqee)

★ Hazrat Àbu Qatadah(radiAllahAnhu) se Riwayat Hai Ke, Huzur ﷺ Se Aashurey Ke Rozey Ke Baarey Me Pucha Gaya To Aap ﷺ Ne Farmaya Ye Roza Pichle Saal Ke Gunaho'n Ko Mita Deta Hai.
 ( 📚 Muslim Shàrif)

Nabi E Rehmatﷺ ne irshad farmaya:-Yaume Aashura ka roza rakkho aur is meiñ yahudiyoñ ki mukhaalefat karo, is se pehle ya baa'd meiñ bhi ek din ka roza rakkho.
(Musnad Imam Ahmad, Vol-1, Pg:518)



No comments:

Post a Comment