Hazrat Aaisha Siddeeqa رضـــي الله تعـــالى عنــــها


Ummahaat ul Mo'mineen Me Hazrat Aaisha Siddeeqa رضـــي الله تعـــالى عنــــها hi aisi khatoon hain jin ki wilaadat Islami Maahaul me hui aur Islami Sheer se ap ki parwarish hui. Aur ap hi wo Tayyiba o Taahira hain k jo Huzoor ﷺ ke ilawa kisi aur ke Nikaah me na raheen. Aur Huzoor ﷺ ne is Nikaah ko Min Jaanibillah qarar diya tha.

 Bukhari Sharif me hai Huzoor ﷺ ne irshad farmaya
 "Mardo me bahot se log Takmeel ke darje ko pohche magar Aurato ke Andar sirf Maryam bint Imran Aur Aasiya Zawja e Far'aun hi takmeel ko pohchi, aur Aaisha ko to sab aurato par aisi fazeelat hai jaise Sareed ko sab khaano par hai"


Bukhari Sharif hi me hai k Huzoor ﷺ ne irshad farmaya k
"Ek Aaisha hi hai ke mai us ke bistar pe hota hu to us waqt bhi waHi ka nuzool hota hai magar dosri Azwaaj ke bistaro par kabhi aisa na hua"
Isi liye Huzoor e Aqdas ﷺ ne Saiyyeda Fatimatuzzahra رضـــي الله تعـــالى عنــــها se farmaya
"Pyari beti! Jis se Mai Muhabbat rakhta hu kya tum us se muhabbat nahi rakhti? Arz kiya zarur karti hu. Irshad farmaya k tu bhi Aaisha se Muhabbat rakha kar "
Hazrat e Aaisha siddeeqa رضـــي الله تعـــالى عنــــها ke Kamalaat e Aaliya par ye Hadees bhi dalalat karti hai k Nabi ﷺ ne Hazrat Aaisha se Farmaya
" ye jibr'eel hain aur tum ko salam kehte hain, Hazrat Aaisha ne salam ke jawab me Farmaya un par bhi Allah ki salamati o Rahmat ho"




Gazwa e Badr me jis nishan k Neeche Malaaika ne khidmat e islam ada ki aur jis nishan par Allah ki Awwaleen Nusrat o Fatah Nazil hui wo Nishan Hazrat e Aaisha ki Orhni ka banaya gaya tha ye baat bhi Ap ki Badi Fazeelat ko zahir karti hai.

Ek Gazwa me ap ki sawari kuch der se camp me pohchi to us par Munafiqeen ne un ki shan e paak me gustakhaana kalimaat kahe, jins e lateef o sinf e nazuk ke liye aisa mauqa sakht pareshan kun hota hai lekin us waqt bhi unki quwwat e imaniyah aur paaki e fitrat ki ajeeb shan nazar aayi, khud farmati hain k mujhe apni paak daamani ki waja se yaqeen e kamil tha k meri taharat o pakeezgi k baare me Huzoor ﷺ ko khwab me bata diya jaayega magar is ka mujhe gumaan b na tha k mere haq me waHi e Ilaahi ka nuzool hoga.




Ulama e kiram farmaate hain k Hazrat Yusuf Alaihissalam ko doodh peete bacche aur Hazrat Maryam ko Hazrat Eisa Alaihissalam ki gawahi se logo ki badgumani se nijaat bakhshi aur jab Hazrat e Siddeeqa Aaisha رضـــي الله تعـــالى عنــــها par bohtaan utha to khud un ki paak daamani ki Shahadat Allah ﷻ ne di aur 17 aayaten naazil farmaayeen, agar wo chahta to ek ek darakht aur patthar se gawahi dilwata magar manzoor ye hua k Mahbooba e Mahboob ki Tahaarat o paak daamani par khud Allah ﷻ shahadat de aur unki izzat o imtiyaz parhaaye.
Quraan e paak utra Maula e kareem ﷻ ne Siddeeqa ki nusrat farmaayi, be qusoori zahir farmaayi, unko Taiyyeba Thehraya aur khabar di k Magfirat aur Rizq e kareem un hi ke liye hai.
Garz ye wo zaat hai k jin ki pakeezgi aur pak daamani ki awaz se zameen o Asman goonj uthe aur waHi utri jis ki qiyamat tak Namazo me aur Mehraabo me tilawat ki jaayegi.
Phir jo Tafaqqoh unho ne deen me paya aur jo tableeg unho ne ummat ko farmayi aur Ilm e Nubuwwat ki isha'at me jo koshishen unho ne farmaayi aur jo ilmi khazane aur ganjeene unho ne farzandaan e ummat e marhooma ko pohchaaye wo aisi fazeelat hai jo azwaaj e mutahharat me se kisi dosri ummul momineen ko naseeb nahi.
Kutub e ahadees me ap ki riwayaat ki Ta'dad 2210 hai,  fatawa e sharaiyyah aur ilmi daqaaiq ka hal aur dosri ilmi khidmaat ka shumar in ke ilawa hai.



No comments:

Post a Comment