Hazrat Ma'roof Karkhi RadiAllahu Ta'la Anhu


Taa'ruf:-
Aap tareeqat wa haqeeqat ke muqtada wa peshwa the, lekin aap ke waalid nasraani the aur jab Aap ko daakhil e maktab ki gaya to mua'llim ne ye dars dena chaha ke "Khuda 3 hai" Aap ne kaha ke "Woh ALLAH to Ek hai" aur zad o kob karne ke bawajud bhi Aap ne Khuda ko 3 nahi kaha aur wahaañ se faraar hokar Hazrat Ali bin Musa Raza ki khidmat meiñ hazir hokar musharraf ba-islam huwe aur unheiñ se baiyat haasil ki. Lekin faraar hone ke baad waaldayn ko khayal aaya ke wo kisi bhi mazhab par rehta lekin kaash hamare paas rehta. Kuch 'arse ke baad aap ghar laute to aap ke ahwaal se muta'ssir hokar waaldayn bhi musalmaan ho gaye.


Haalaat:-
Hazrat Sirri Saqati se riwayat hai ke eid ke din bhi meiñ ne aap ko khujooreiñ chunte dekh kar wajah puchi, to farmaya ki ye saamne wala yateem baccha isliye udaas hai ke tamaam bacche naye libaas meiñ malboos haiñ aur mere paas kapde tak nahi. Isi liye meiñ khujureiñ chun kar farokht karna chahta huñ taake us ke liye kapde faraham kar sakuñ, lekin meiñ ne arz kiya ke ye kaam to meiñ bhi anjaam de sakta huñ, Aap kyu zehmat farmate haiñ. Chunañche meiñ bacche ko hamraah lekar aaya aur usko naya libaas pehna diya aur uske sila meiñ jo noor ata kiya usse meri haalat badal gayi.
Qibla ka sahih rukh na ma'lum hone ki wajah se Aap ke ek mehman ne ghalat samt muñh kar ke namaz ada kar li aur namaz ke baad jab usko sahih samt ma'lum hui to usne Aap se arz kiya ke jab meiñ ne niyat bandhi thi us waqt aap ne aagaah kyu nahi kiya? Farmaya ki fuqaraa ko dusroñ ke umoor meiñ us waqt mudakhlat ki haajat hoti hai jab unheiñ apne umoor se mohlat mil jaye.



Irshaadaat:-
• Nafs ka itteba' Khuda ki giraft hai aur jo Khuda ko yaad karta hai, wo uska mahboob hai aur WO jisko mahboob bana le uspar khair ke darwaze khol kar shar ke darwaze band kar deta hai.
• Laghw baateiñ gumrahi ki daleel hai aur ghafil na hona haqeeqate wafa ki nishani hai.
•A'maale saleh ke baghair jannat ki talab aur itteba' e sunnat ke baghair shafa'at ki ummeed aur naafarmani ke baa'd rehmat ki tamanna hemaqat hai.
• Shar ko nazarandaaz karke kisi ki burai ya bhalai na karo.
• Hubbe dunya se kanarakash rehne wala hubbe ILAHI ke zayqa se lazzat hasil karta hai, lekin ye mahabbat bhi US ke karam se naseeb hoti hai.
• 'Aarfeen khud saraapa daulat haiñ unheiñ kisi daulat ki haajat nahi.



Waaqya E Janaaza:-
2 Muharram Ul Haraam 200H ko Aapka wisal hua.Aapki mazar mubarak Baghdad sharif meiñ waqe' hai. Wafaat ke baa'd har mazhab ke log apne apne maslak ke mutabiq aapki mayyat uthane par aamaada paikaar the. Ye dekh kar aapke ek khadim ne bataya ki Aapki wasiyat thi ke jis mazhab ke log zameen se mera janaza utha leiñ wahi dafn bhi kareiñ. Chunañche musalmaanoñ ke ilaawa kisi se bhi Aap ka janaza na uth saka aur Islami ahkaam ke mutabiq Aapki tajheez o takfeen ki gayi.

[Tazkiratul Awliya]


Share By:
Azhari Mission ™


No comments:

Post a Comment