Hazrat Faarooq E 'Aazam Aur Ahadees E Kareema






Hazrat Faarooq E 'Aazam Aur Ahadees E Kareema

(Fazeelat E Hazrat Umar Farooq E 'Aazam RadiAllahu Ta'la Anhu)
Sarkaar Aqdasﷺ Ne Farmaya-Agar Mere Ba'd Nabi Hote To Umar Hote. (Mishkaat Sharif, pg-558)


Hazrat Ayesha RadiAllahu Ta'la Anha Se Riwayat Hai Ki Sarkaar Aqdasﷺ Ne Farmaya-Meiñ Bila-Shubah Nigaahe Nabuwat Se Dekh Raha Huñ Ki Jinn Ke Shaitan Bhi Aur Insaan Ke Shaitan Bhi Dono Mere Umar Ke Khauf Se Bhaagte Haiñ. RadiAllahu Ta'la Anhu. (Mishkaat Sharif, pg-558)
Huzurﷺ Ne Farmaaya Ki-Umar Mujh Se Hai Aur Meiñ Umar Se Huñ. Aur Umar Jis Jagah Hote Haiñ Haq Unke Sath Hota Hai. RadiAllahu Ta'la Anhu. (Madaarij Un Nabuwah)
Hazrat Ibne Umar RadiAllahu Ta'la Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkaar Aqdasﷺ Ne Farmaya-Allah Ta'la Ne Umar Ki Zabaan Aur Qalb Par Haq Jaari Farma Diya Hai. (Mishkaat Sharif, Pg-557)
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Ta'la Anhu Se Bukhari Muslim Meiñ Riwayat Hai Ke Rasulﷺ Ne Farmaya-Tum Se Pehle Ummatiyoñ Meiñ Muhaddis Huwe Haiñ. Agar Meri Ummat Meiñ Koi Muhaddis Hai To Wo Umar Hai. RadiAllahu Ta'la Anhu.(Mishkaat Sharif, pg-556)
Hazrat Muawiya RadiAllahu Ta'la Anhu Farmate Haiñ Ki Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta'la Anhu Ke Paas Dunya Nahi Aayi Aur Na Unho Ne Uski Khwaahish Ya Tamanna Farmayi, Magar Umar Farooq RadiAllahu Ta'la Anhu Ke Paas Dunya Bohot Aayi Lekin Unhone Use Qubool Nahi Kiya Balki Thukraa Diya. (Taareekh Ul Khulafaa, Pg-82)
[Khutbaat E Muharram, pg-117-119]


No comments:

Post a Comment