Ulamaa Wa Zuhhaad Ka Chashmkusha Asloob:

Har Daur Mein Aese Aulama Ka Wajood Rahaa Hai Jo Amraa Wa Salaateen Ki Tamalluq Wa Chaaplosi Aur Khushaamad Se Apni Duniya Aabaad Aur Aakhirat Barbaad Karte Rahe. Barre Sagheer Mein Abul Fazl,
Faizi, Tang Khaandaan, Muhammad Ismaail Dehlwi Aur Qasim Naanotvi Waghaira Ko Bataure Misaal Pesh Kiyaa Jaa Sakta Hai, Jinki Badaulat Millate Islaamiya Naa Maalum Kitne Fitney Mein Mubtela Ho Gayi. Kuch Aesi Hi Ulama Huzoor Ghause Aazam RadiAllahu Ta'la Anhu Ke 'Ahad Mein The. Aapne Unko Mukhaatib Farmaakar Laum-Laayem (Malaamat Karne Wale Ki Malaamat) Ki Parwaah Kiye Baghair Unki Islaah Yun Farmaayi: "Aye Aalimo! Aye Zaahido! Tum Kabtak Baadshahon Aur Haakimon Ke Liye Nifaaq Barat-te Rahoge Taaki Tum Unse Duniya Ka Maal O Zar, Shehwaat Wa Lazzaat Haasil Karte Raho. Tum Aur Aksar Shaahaane Waqt Allah Ke Maal Aur Uske Bandon Ke Muta'alliq Zaalim Aur Khaayen Ho."
"Aye Allah Munafiqon Ki Shaano Shaukat Tod Dey Aur Unhein Zaleel Farmaa. Unko Taubah Ki Taufeeq De Aur Zaalimon Ka Qila' Qama' Farmaa, Zameen Ko Unse Paak Karde Ya Unki Islaah Farmaa. Aameen
[Ghaniyaat Ut Taalibeen Muqaddama, Pg. No. 21]

Salaateen E Waqt Ki Islaah Ka Tareeqah:

Saltanat Wa Iqtedaar Ki Hirs O Hawas Beshumaar Mafaasid Wa Munkiraat Ke Saath Saath Zulm O Sitam Aur Jabr O Tashaddud Ka Bhi Baa'es Banti Hai. Jab Amraa Wa Salaateen Hawas Ka Shikaar Hote Hain To Uske Liye Zulm O Ta'di(Naa-insaafi) Ke Tamaam Hudood Todkar Apni Naakaam Manzil Tak
Pohonchnaa Unke Nazdeek Ain Insaaf Banjaata Hai. Chunaayencha Huzoor Ghause Paak RadiAllahu Anhu Ke 'Ahad Mein Bhi Aese Salaateen Wa Amraa Maujood The Jinke Dast Zulm O Barbareeyat Se Millat Tamaanche Khaa Rahi Thi Unke Jaur(Sitam) O Istebdaad(Zulm) Ka Nishaana Bani Huwi Thi Magar Aap Unki Shaan O Shaukat, Jaah O Hashmat, Raub O Dabdaba Aur Sutoot O Hukumat Se Kabhi Mar'oob Na Huwe Aur Bekhauf O Khatar Ayse Zaalim Hukmaraanon Ko Zulm O Sitam Se Roka Aur Unki Islaah Farmaayi, Yahaan Ek Waaqya Jo Badaa Hi Naseehat Aamoz Aur Ibrat Kheyz Hai Jiska Zikr Kiya Jaata Hai:
Ghause Paak Ke Khidmat Mein Baadshaah Mustanjid Billah Abul Muzaffar Yusuf Haazir Hua. Usne Aapko Salam Kiya Aur Naseehat Chaahi. Aapke Saamne 10 Thailiyaan Rakh Dein Jinko 10 Ghulaamon Ne Uthaa Rakha Tha. Aapne Farmaaya Mujhe Inki Haajat Nahi Aur Qubool Karne Se Inkaar Kiya. Usne Badi Aajzi Ki Tab Aapne Ek Thaili Ko Apne Daayein Haath Mein Pakda Aur Dusri Baayein Haath Mein Aur Dono Haath Se Nichoda To Woh Khoon Hokar Beh Gayein. Aapne Farmaaya: Aye Abul Muzaffar Kya Tum Khuda Se Nahi Darte Ki Logon Ka Khoon Lete Ho Aur Mere Saamne Laatey Ho. Woh Behosh Hogaya.
[Bahijatul Asraar, Urdu, pg. No. 178,Musannif: Imam Abul Hassan Shatnooti, Mutarjim: Maulana Hafiz Ahmad Ali Shaah Lahori.]
Zaalimo Ko Qayaamat Ki Haulnaakiyan Bataakar Unhein Zulm Se Baaz Rehne Ke Liye Ek Umoomi Khitaab Mein Irshaad Farmaatey Hain:
"Aye Qaum! Qayaamat Ke Din Dil Aur Aankhein Ulat Palat Hojaayengi. Usdin Qadam Laghzish Mein Aa Jaayenge. Muslamaano Mein Se Harek Apne Imaan O Taqwa Ke Qadam Par Khadaa Hoga. Saabit Qadami Mawaafiq E Andaazae Imaan Hogi. Usdin Zaalim Apne Haatho Ko Kaat Kaat Kar Khaayega Ki Kyun Aur Kaise Zulm Kiya Tha. [Irshaadaate Ghause Aazam,Pg.no.198]



No comments:

Post a Comment