Makkaar Aur Be-ilm Sufiyon Ki Islaah:

Yeh Haqeeqat Misle Aaftab Darakhshanda Hai Ki Shari'at Mutahhara Ki Pairwi Hi Daarayn Mein Falaah Wa Bahbood (Faayda) Ki Zaamin, Aakhirat Ki Kaamyaabi Ka Madaar Aur Qurbe Khudaawandi Ke
Husool Ka Zariya Hai. Agar Koi Hudoode Shari'a Se Tajaawaz Karte Hai To Uske Liye Manzile Wilaayat To Paana Bohot Door, Woh Kamaal Iman Ka Bhi Darjah Bhi Nahi Paa Sakta Hai. Ghause Aazam RadiAllahu Ta'la Anhu Farmaatey Hain: " Agar Hudood E Shari'at Mein Se Kisi Mein Khalal Aajaaye To Jaan Le Ki Fitnah Mein Pada Huwa Hai Beshak Shaitaan Tere Sath Khel Raha Hai."
[Tabqaate Awliya, J-1, Pg. No. 311]
Magar Ba'az Naam Nihaad Sufi Shari'at Se Begaanah, Ahkaame Sharah Ka Tamaskhur(Mazaaq) Wa Istehzaa Karne, Ilm Aur Ulamaaye Deen Ka Mazaq Udaane, Rushd O Hidaayat Ke Naam Par Bid'at Wa Zalaalat Aur Gumraahi Wa Jehaaalat Phailaane Mein Sar-garam The. Aapne Aese Sufiyon Ki Sakht Tanqeed Farmaayi Aur Khullam Khulla Aesi Jama'at E Mattsufa Ki Mazammat Ki. Chunaayencha Apni Ek Paakizah Majlis Mein In Naam Nihaad Sufiyon Par Yun Barqbaari Farmaatey Hain: "Arey Munaafiqon! Aye Aakhirat Ko Dunya Ke Auz Bechne Waalon!  Aye Haq Ko Makhlooq Ke Auz Aur Baaqi Ko Faani Ke Auz Bechne Waalon! Tumhaare Kaarobaar E Tejaarat Mein Tuta(Nuqsaan) Hai Aur Tumhaara Asl Maal Bhi Gaarat Hogaya Tumpar Afsos Hai Ki Tum Allah Ke Ghazab Wa Ghussa Ka Khud Ko Nishana Banaane Waale Ho;Kyunki Jo Aesi Cheez Se Apna Banaao Singhaar Karta Hai Jo Usme Nahi Hoti Uspar Allah Ta'la Ghussa Farmaata Hai. To Makkaari Na Kar. Apne Zaahir Ko Aadaab E Shari'at Se Aur Baatin Ko Usme Makhlooq Ko Nikaal Dene Se Aaraastah Kar. [Irshaadaate Ghause Aazam, Pg. No. 244]
Aye Ghulaam! Tera Nifaaq Teri Fasaahat Wa Balaaghat, Chehra Ke Zaar Bana Lene, Tere Paiwand Gaanth Lene, Mundo Ke Sukad Lene Aur Rone-Rulaane Se Khuda Ki Baargaah Se Tere Liye Kuch Na Aayega. Yeh Tamaam Baatein Tere Nafse Shaitaani Aur Makhlooq Ko Sharike Khuda Samajhne Aur Unse Dunya Talabi Ke Sabab Se Paida Hogayi Hai, Zaraa Soch!
[Ezaa, Pg. No. 208]
Aye Khaanqaahon Aur Gaushon Mein Baithne Waalon! Aao Mere Kalaame Wa'az Se Agarcha Ek Hi Harf Ka Ho Mazaa Chhakh Lo. Tum Meri Sohbat Mein Ek Din Ya Hafta Bhar Raho, Taaki Tum Apni Nafa'a Ki Baatein Mujhse Seekh Lo. Tum Par Afsos Tum Mein Se Aksar To Saraapa Hawas Hi Hawas Ho. Tum Apni Khaanqaahon Mein Baith Kar Makhlooq Ki Pooja Karte Rehte Ho. Yeh Amar Mahaz Khalwaton Mein Baithne Se Jihaalat Ke Hote Huwe Haasil Nahi Ho Sakta Hai, Jehaalat Chhod Do."
[Ezaa, Pg. No. 210]

No comments:

Post a Comment