Aapki Islaahi Wa Tajdeedi Khidmaat:

Aapki Zaat Sataudah Sifaat Ne Apne Ilm O Amal, Kirdaar O Guftaar Aur Mawaae'z O Nawaaseh Se Aalam E Islam Ke Is Taareek Daur Ke Islaah O Falaah
Ke Liye Jo Kaarhaaye Numaayaan Anjaam Diye Aur Deene Mateen Ko Jis Urooj Par Pohnchaaya Taareekh Ka Waraq Waraq Iski Shahaadat De Raha Hai.


Mukhtalif Feeh E Amoor Mein Tashaddud Karne Waalon Ko Tambeeh:
Firqah Naajiyah Ahle Sunnat O Jamaa'at Ke Chaaron Fiq-hi Masaalik Hanfi, Shaafa'i, Maaliki Aur Hambali Haq O Sadaaqat Aur Jaadae Mustaqeem Par Hai. Jo Inse Munharif Ho Woh Gumrah Bad-deen Hai.(Allama Tahtaawi Quddus Sirrah Raqam Taraaz Hain.)
Magar Nairangi Zamaana Aur Shumi E Qismat Ke Baad Ke Daur Mein In Ayemma Arba' Ke Kuch Muqallideen Ulamae Kiraam Aapas Mein Dast Ba-garaibaan Hone Ka Jo Maahol Paida Hogaya Tha Aur Ma'muli Ma'muli Amar Mein Bhi Jang Wa Jidaal Ka Jo Baazaar Garam Hojaata Tha Huzoor Ghause Aazam RadiAllahu Ta'la Anhu Ne Is Rawayya Par Logon Ki Sarzanish (Malaamat) Farmaayi Aur Raahe E'tedaal Apnaane Ki Talqeen Farmaayi. Chunaayencha Farmaatey Hain: "Jin Umoor Mein Ulama Wa Fuqahaa Ka Ikhtelaaf Hai Aur Ijtehaad Ki Gunjaayish Ho Un Ka Rad Ya Inkaar Bhi Jaayez Nahi. Jaise Imaam E 'Azam Ke Muqallid Ka Tehband Pahenna Aur Baghair Wali Ke Aurat Se Nikah Karna Jaisa Ki Hanfiya Ka Mash-hoor Maslak Hai, Imam Ahmad Ya Imaam Shafai Ke Muqallid Ke Liye Iske Liye Aawaaz Uthaana Jayez Nahi. Imaam Ahmad Farmaatey Hain Ki Kisi Faqeeh Ke Liye Jaayez Nahi Ki Woh Logon Ko Apne Mazhab Par Ubhaare Aur Is Silsilaa Mein Unpar Sakhti Karey. Haqeeqat Mein Mukhaalifat Ki Aawaaz Sirf Usi Surat Mein Uthaana Durust Hai Jab Ijmaa'(Ulama) Ke Khilaaf Horahaa Ho."
[Ghaniyat Ut Taalibeen, pg. No. 127.Mutarjim: Adeeb Shaheer Hazrat Shams Siddiqui Barelvi.]

No comments:

Post a Comment