5wi Sadi Ke Mujaddid-Sayyiduna Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilaani RadiAllahu Ta'la Anhu. (470H-561H)

Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilaani RadiAllahu Ta'la Anhu Ka Daur Badaa Hi Ifteraaq(Ikhtelaaf)  Wa Inteshaar Ka Daur Tha.
Akhlaaqi Pasti, Deeni Be-raah Rawi Aur Shar Wa Fasaad Ka Har Taraf Daur Daurah Tha. Riaa'yah Se Lekar Amraa Wa Salaateen Tak Sharee' Ahkaam Ki Paamaali Mein Mubtela They Aur Sabhi Ek Hi Hamaam Mein Nange The.
Aese Pur-Aashaub Aur Balaa-Kheyz Aalam Mein Allah Ta'ala Ne Hazrat Shaikh Muhiyuddin Abdul Qadir Jilaani RadiAllahu ta'la Anhu Ko Mansabe Shahood Par Jalwahgar Farmaaya Aur Ummat Ke Bikhre Huwe Sheeraazah Ko Muttahid Karne Ka Saamaan Muhayya Farmaaya.Sayyiduna Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilaani RadiAllahu Ta'la Anhu Ne Tehreer Wa Taqreer Ke Zariya Deen Ke Ahyaa Wa Tajdeed Ka Kaarnaama Anjaam Diya Aur Mazaahibe Arba' Ki Tehzeeb Wa Tableegh Mein Aham Role Adaa Kiya Aur Yahi Wajah Hai Us 'Ahad Ke Ulamaa Wa Mashaaikh Ne Aapko"Muhiyuddeen" Ke Azeem Ush Shaan Laqab Se Mausoom Kiya. Aapne Na Sirf Shara'i Ahkaam Par Qaaym Rehne Ki Badi Shadeed Talqeen Ki Balki Shari'at Ko Tasawwuf Wa Tareeqat Se Bikul Hi Ham Aahang Kardiya. Isliye Aapne Sufiyaae Kiraam Aur Daaiyaane Islaam Ki Ek Badi Jamaa'at Tayyar Karke Mukhtalif Shehron Aur Mulkon Mein Rawaana Farmaaya Aur Ummat Ki Rehnumaayi Ka Fareezah Anjaam Diya. Aapke Khulafaa Wa Muballigheen Usi Zamaane Mein Shaam, Misr, Arab, Yemen Aur Maghrib Mein Phail Chukey They. Neez Salaasul Arbaa' Mash-hoorah Ki Buniyaad Aap Hi Ke 'Ahad E Mas'ood Mein Padi Aur Unsab Ko Aapka Faizaan Haasil Hua. Is Tarha Aapne Islaah Wa Irshaad Ka Ek Bohot Bada Network Qaaym Kiya Jo Awaam Un Naas Ki Islaah Par Tawajjoh Di Wahein Apne 'Ahad Ke Amraa Wa Salaateen Ki Bhi Shara'i Kotaahi Par Sarzanish Ki Aur Raahe Raast Par Chalne Ki Talqeen Farmaan.

No comments:

Post a Comment