Eid E Milaad Un Nabi ﷺ Quran O Hadees Sharif Ki Raushni Me

*💐Eid E Milad Un Nabi Sallallaho Alyhe Wasallam Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat:*

✏(1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke KhushiyaKare
_📓(Surah Yunus Ayat 58)_

Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai


✏(2). "Awr Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye"
_📓(Surah Ambiya Ayat 107)_
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi Salallahu Alayhe Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Gum Manaega Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat par

✏(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
_📓(Surah Duha Ayat 11)_

✏Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha Karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu
Allah Azzaajal Farmata Hai:

✏“Humne Momino Per Ahesan kiya, ki Jab Unme Apne Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Ko Bhej Diya”
_📓(Sureh Al-Imran, Ayat 164)_

Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya hai Siwae Apne Maheboob Nabi Salllaho Aliahe Wasallam K Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai…

*_💐12 Rabi Ul Awwal:_*

12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad Salllaho Alihe Wasallam Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai

📚1. Ibn-e-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]
2. Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nab awiya, Vol. 1, Page 158]
3. Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page 125]
4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H): [Ailam-un-Nabuw wa, Page 192]
5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H): [Aayun al-Asr, Vol. 1, Page 33]
6. Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]
7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102]
8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij-un-Nab uwwah, Vol. 2, Page 14]
9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]

*💐Milad Kis Kis Ne Manaya?*

📝Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Salllaho Aliahe Wasallam Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.

_📗(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)_

📝Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim Salllaho Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"
_📘(Sahih Muslim Jild 2.Hadith no 819 .Page 1162)_
_📒(Nasai Al Sunane Kubra Jild 2 Hadith 146 Page 2777)_

📝Jab Huzur Sallallaho Alihe Wasallam Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki Laundi Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha"Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri HaalatMein Dekha To Usse Puchha "Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:
Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi
Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai
Is Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu Alaihi WaSallam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha

_📕(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)_

✏Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma nay MA SABTA MINAS SUNNA Main

_📒(Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101 Kitabunnikah )_
Ki Ye Hadith Naqal Farmaya Hai, Abu Lahab Ki Londi Thee Jiska Naam Sobia Tha, Usnay Sarwar E Do Alam Sallallaho Alaihay Wasallam ki Peda'ish Par Abu lahab Ko khabar Di Thee To Aap Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Peda'ish Ki Khabar Sunnay Par Abu Lahab Nay Sobia Ko Azaad Kardiya Tha. To Abu Lahab k Marnay k Baad Kisi Nay Usay Khuwaab Main Dekha, Poocha k 'Kaho Kia Haal Hay' to Woh Bola AAG Main Hoon Albatta Itna Karam Hay k Har Peer Ki Raat Mujh Par Takhfeef Kardi Jaati Hay Aur Isharay Say Bataya K APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON, Aur Yeh Inayat Mujh Par Is Waja Say Hay K Mujhay Sobia Nay Bhatijay Ki Peda'ish Ki Khabar Di Thee To is Basharat Ki Khushi Main, Mainay Usay Do Ungliyun k Isharay Say Azaad Kardi Tha Aur Phir Usnay Usay Doodh Pilaya Tha. Ispar Allama Jazri Alaih Rehma Farmatay Hain k Jab Abu Lahab Jaisay Kafir k Yeh Haal Hay k Usko Huzoor Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Wiladat Ki Peda'ish Ki Raat Khush Honay Par Dozakh Ki Aag Main Bhe Badla Dia Ja Raha Hay Tou Rasool Allah Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Ummat Main Say Un Logon k Haal Ka Kia Poochna Jo Aap Ki Peda'ish k Bayan Say Khush Hotay Hain Aur Jis Qadar Bhe Taqat Hoti Hay Unki Muhabbat Main Kharch Kartay Hain, Mujhay Apni Umar Ki Qasam! k Unki Jaza Khuda e Kareem Ki Taraf Say Yehi Hogi k Unko Apnay Fazal E Ameem Yani Fazl e Kamil Say Jannat Un Naeem Main Daakhil Farmaye Ga.
Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammad Sallaho Alihe wasallam Ki Wiladat Par Unhe Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya Jata Hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya Tha
Hum Musalman To Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se Kya Kya Inaam Milege Duniya Aur Aakhirat Me Khud ' NABI - E - PAK SALLALLAHU ALAI HI WASALLAM ' Ne Apne Milad Par ' ALLAH ' Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di....!!
Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai

_📘[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]_
_📒[ Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147 ]_
_📙[ Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286 ]_

Ye Thi Milad Unnabi Manane Ki dalile

*💐Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?*

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega Eid
Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu

✏Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! Aye Hamare Rab!Hum Par Aasman Se Ek Khuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pishlo Ki.
_📓(Surah Maida Ayat 114)_

Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Esa Ne Dua Mangi Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan K Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho?

_Sahih Bukhari Mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho se riwayat he k ek yahoodi ne un se pucha k kya aap jis din Aayat _

" اليوم اكملت لكم دينكم "

Nazil hui us din ko bagaur eid manaate hein ??

Agar Hamari Toraat mein aesi aayat utarti to hum usey Zaroor yaum-e-Eid Bana lete.
Is ke jawab mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne farmaya k hum us din aur us jagah ko jahaa ye aayat utri thi khoob pehchaante hein ye Aayat Yaum-ul-Haj aur yaum-e-Jum'a-tul-Mubarak ko Maidan e Arfaat mein utri thi aur hamare liye ye dono din Eid ke din hein.

_(Bukhari sharif,Kitab-ul-Eimaan,Baab Zayadat-ul-Eimaan o Nuqsaan 25,Raqam-45)_

Is se pata chala k Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne us din ko eid ka din Qarar diya jis din Takmeel e Deen ki Aayat Nazil hui yani Takmeel e Deen ki Aayat ke Nuzool ke din Ko ba-taur Eid manana Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ke nazdeek Jaiz he kya Hazrat e Umar radiyAllahu anho nahi jante the k Islam mein Sirf 2 Eidey eid-ul-fitar aur Eid-ul-Azha hein phir unhone takmeel e deen ki aayat ke nuzool ke din ko eid kyu Qarar diya. Maalum huwa k jis din Allah Tabarak wa Ta'ala ki janib se koi fazl,

Rehmat aur ne'mat Nazil ho us din ko eid ka din kaha ja sakta he aue ye baat Azhar Minash-shams he k Huzoor Sallallahu Alaihe wasallam ki zaat-e-Baa-Barkat,Allah Ta'ala ka sab se badaa fazl Rehmat aur sab se badi ne'mat he,

_Isi liye hum is Azeem-ush-shan Ne'mat ki Aamad ko jashn-e-Eid-e-MeeladunNabi SallAllahu Alaihe wasallam kehte hein...._

Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz E Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai
Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho Alihe Wasallam Ne Apne Is Farman Me Tambih Ki Hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga

_📔(Mirat Ul Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)_

Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne Bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi Farma Rahe Hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo Karam Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya ki Juma’a Ka Din Sab Dino Ka Sardar Hai, ALLAH ke Nazdik Sabse Bada Hai Aur wo ALLAH Ke Nazdik Eidul Azha Aur Eidul Fitr Se Bada Hai. ALLAH Ne isi Me Hazrate ADAM Alaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen Par Unhe Utara Aur Isi Me Unhe Wafat Di.
_📔[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084]_

Is Hadees me Teen Khaslate Hazrate Aadam Alaihissalam Ke Liye Bayan Ki Gai, Jisme Aap Ki Wafat Ka Bhi Zikr Hai, to Pata Chala Ki Ek Nabi Ki Paidaesh, Unka Zameen Par Utarna, Aur Unki Wafat Ke Din Ke Bawajud Bhi Mo’amino Ke Liye ALLAH Ne Use Eid Bana Diya. Ki Woh Din Eidul Azha Aur Eid Ul fitr Se Bhi Afzal Kar Diya.
Tou Hamare Sarkar e do Jahan Jo Ki Tamam Ambiya Ke Sardar Hai, Unki Tashrif Aavari Par Hum Us Din Ko Kyun Eid Na Kahe, Balke Hum Tou Use Eido ki Eid Kahenge, Ki Unki Tashrif Aavri ki Wajah Se Hi tou Hume Baki Eid Mili Aur Har Hafte Me Ek Eid Karke Pure Saal Me 52 Eido (Juma) Ka Tohfa Mila Woh isi Rahmatalil Aalamin Ki Tashrif Aavari Se Mila Hai. Tou Hum Kyun Us Din Khushi Na Kare?

*💐Naat E Pak Padna:*

Huzur SallAllaho Alaihe Wasallm Hazrat Hassan Razi Allah Anho k Lye Masjid E Nabvi Shareef Me Minbar Rakhte or Hazrat Hassan Us Par Kharey Ho Kar Huzur SallAllaho Alaihe Wasallm Ki Shan E Aqdas Me Naatia Ashaar Parhte The or Huzur SallAllaho Alaihe Wasallm Farmate: Jb Tak Hassan Mere Baare Me Naatia or Fakharia Ashaar Parhta Rahe Ga To Beshak Allah Taala Roohul Aqdas (Hazrat Jibrail Alehsalam) K Zarye Hassan Ki Madad Farmata Hai

_📙(Sunan Abu Dawood,Kitab Ul Adab, Baab Ma Jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)_
_📘(Sunan Tirmizi,Kitab ul Adab,Baab Ma Jau fi Inshad'shaar, Jild 3 Page 562,561 Hadith No 2846)_

Ye The Milad Un Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab Aaye Dekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho Aalihe Wasallam K Mauke Par Kiye Jane Wale Mustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me

*💐Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah K Nare lagana:*

✏Jab Aaqa Salllaho Aliahe Wasallam Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte They Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH.

_📙(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)_

*💐Jhande Lagana:*

Hazrate Amina Farmati Hai K Jab Mere Hai Muhammad Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Hu Us Waqt Hazrat Jibrail Alihissslam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat Par
Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni Kitab
Madarijun nabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai
Ab Aaiye Dekhte Hai Tarikh Ki Kitabo Me K Nabi Ki Wiladat Par Afsoos Kun Kun Karta Hai
Imam Qastallani (Rahimullah) farmate hain :
✏“Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafa Salllaho Aliahe Wasallam ko Eid ke Taur Par Manaya Karo. Allah Apna Fazl aur Ehsan Kare Unn Logo Par Jo Rabi ul Awwal Ki Raato’n Ko Eid Ke Taur Par Manate Hain, Kyunki Iss Maheene Ko Eid Ke Taur Par Manane Se Unn Dilo’n Par Aur Unn logo Par Ghazab Utarta Hai Jinke Dilo’n Mein Bughz Aur Munafikat Ki Bimari Hai.”

_📗(Imam Qastallani, Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)_

*_Shaitan Kaheta Hai Ki Mai Barso Jannat Me Raha, Farishto Ka Sardar Ban Gaya, Magar JabYe AADAM (Nabi) Paida Huwa To Mere Liye Badi Musibat Paida Ho Gai, Yaha Tak Ki Mujhe Jannat Se Bhi Nikal Diya Gaya!!! Phir Jab Jab Koi NABI Paida Hota Woh Gumraho Ko Sahi Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata AurTab Tak Ki Meri Sari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD Paida Huwa Tab To Mai Itna Roya Jitna Pahele Jannat Se Nikalne Par RoyaTha, Aur Usne Meri Tamam Mehnat Par Pani Pher Diya._*

_📒(Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)_

*Note: AGAR AISI NISHANIYA KISI ME DIKHAI DE TO SAMJHO WOH SHAITAN KI NASIHAT LEKAR AAYA HAI*

_✏Nisar Teri Chahal Pahal Par Hazar Eiden Rab Ul Awwal_
_✏Siwa E Iblees K Jahan Me Sabhi To Kushiya Mana Rahe Hai_

*🌹 جماعت رضائےمصطفے پونہ 🌹*

No comments:

Post a Comment