Be-Namazi Ke Sath Kya Kiya Jaye?

*_📢Sawal- Be-Namazi Ke Sath Kya Kiya Jaye?📢_*

_*Jawab*- Narmi Se Samjhayeiñ, Namaz Chhodne Jama'at Chhodne Aur Masjid Chhodne Par Qur'an e Azeem Aur Hadees o Meiñ Jo Sakht Waide
(Dhamkiyañ) Hain, Baar Baar Sunayeiñ Jinke Dilon Mein Imaan Hai Unhe Zarur Nafa Pohchega Kyunki Khuda e Paak Irshad Farmata Hai, *"Naseehat Karo, Beshak Naseehat Imaan Walon Ko Fayda Deti Hai*._

*_Aur Jo Kisi Tarah Na Maane Us Par Agar Kisi Ka Dabav Hai Toh Uske Zariye Se Dabav Dalein Aur Aise Bhi Na Sudhre Toh Usse Salam-Kalam (Baatcheet) Mel-Jol Bilkul Chhod Dein._*

_Note : Sarkar e A'ala Hazrat Ke Fatwe Se Zaahir Hua Ki Jiske Dil Mein Imaan Hai Uspar Qur'an Ki Aayton Ka Asar Zarur Hoga Na Ho Toh Samajh Leiñ Ki Uske Dil Mein Imaan Hi Nahi Aur Ise Unhone Qur'an Shareef Se Saabit Kiya Aur Mel-Jol Ek Dum Chhod Ne Ka Hukm Diya Theek Usi Tarah Jaise Bad-Aqeedoñ, Pyare Rasool Ke Ghustakoñ Ko Chhod Ne Ka Hukm Hai._

_~ Talib e Dua ~_
*_Nabira e A'ala Hazrat Wa Ustad e Zaman_*
*_Muhammad Kaif Raza Khan Qadri_*
_(Khaandaan e A'ala Hazrat Bareilly Sharif)_

No comments:

Post a Comment