Ahle Baghdaad Ko Dil Pazeed Naseehat:

Baghdaad E Mualla Jo Kabhi Ilmo Fan Aur Azmat O Waqaar Ka Buland Minaar Tha, 6ti Dahaayi Mein Uski Azmat Ka Buland Minaar Bhi Zameenbos Hochuka Tha. Tahaarat Wa Paakeezgi Aur Sharaafat Wa
Parhezgaari Ke Bajaaye Fasq O Fujoor, Ma'seeyat (Gunah) Wa Naafarmaani, Ayyashi Wa Fahaashi Ka Daur Daura Tha. Gharz Yeh Ke Baghdaad Ka Pura Ma'aashraati Aur Samaaji Nizam Hilaakat Ke Bhanwar Mein Phans Chukaa Tha. Huzur Sayyiduna Ghause Aazam RadiAllahu Anhu Ne Baghdaadiyon Ki Aish O Ishrat Mein Dubi Huwi Zindagi Ko Tabaah Wa Barbaadi Ke Toofaan Se Nikal Kar Manzile Maqsood Tak Pohnchaane Aur Unki Islaah Ke Liye Har Mumkin Koshish, Jaddo Jahad Farmaayi. Chunaayencha Khususiyat Ke Saath Ahle Baghdaad Ko Mukhaatab Karte Huwe Farmaatey Hain: " Aye Ahle Baghdad! Tumhare Andar Nifaaq Zyada Aur Khuloos Kam Hogaya Hai. Aqwaal Bilaa Aamaal Badh Gaye Hain Aur Amal Ke Baghair Qaul Kisi Kaam Ka Nahi. Tumhaare Aamaal Ka Bada Hissa Jism Be-rooh Hai, Kyunki Rooh Ikhlaas Wa Tauheed Aur Sunnat E Rasoolﷺ Par Qaayem Hai Ghaflat Mat Karo Apni Haalat Ko Palto Taaki Tumko Raah Mile. Jaag Utho Aye Sone Waalo!  Aye Ghaflat Shuaar O Bedaar Hojaao! Aye Sone Waalo Jaag Utho."
[Ghaniyat Ut Taalibeen Muqaddama, pg. No. 15]
Ek Bazm Mein Aapne Ahle Iraaq Ko Yun Mukhaatab Farmaaya:
"Aye Ahle Iraq!  Tum Ilm O Zakaa(Zehaanat) Ke Mudda'i Ho Tum Zakaa Ka Da'waa Karte Ho Haalaanki Tum Par Yeh Amar Makhfi Hai Ki Sachcha Kaon Hai Aur Jhoota Kaun Hai? Haq Par Kaon Hai Aur Baatil Par Kaon Hai?
Tumhein Haq O Baatil Mein Tameez Nahi, Tumhaarey Jhutlaaney Ka Nuqsaan Tumhein Par Lautne Waala Hai Aur Mujhe Uski Parwaah Nahi. Khuda Ka Chaahne Waala, Uski Jannat Ka Chaahne Wala Uski Dozakh Se Khaaif Nahi Hota Balki Woh Sirf Uski Zaat Ko Chaahta Hai Aur Uski Doori Se Darta Hai,Tu To Shaitaan, Nafs O Shahwaat Ka Qaidi Banaa Huwa Hai Aur Tujhko Kuch Nahi Rakhta, Tera Qalb Muqayyad (Qaidi) Hai Aur Tujhe Kuch Maaloom Nahi.
[Irshaadaate Ghause Aazam, pg. No. 281]

No comments:

Post a Comment