Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya;
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Diya.

Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka;
Haaye! Taqdeer Ke Taiba Mujhe Jaanay Na Diya.



Paao Thak Jaate Agar Paao Banata Sar Ko;
Sar Ke Bal Jaata Magar Zo'f Ne Jaane Na Diya.

Sar To Sar Jaan Se Jaane Ki Mujhe Hasrat Hai;
Maut Ne Haaye Mujhe Jaan Se Jaane Na Diya.

Haal e Dil Kholke Dil Aah Ada Kar Na Saka;
Itna Mauqa Hi Mujhe Meri Qazaa Ne Na Diya.

Haaye Is Dil Ki Lagi Ko Mai Bujhaaun Kyunkar;
Farte Gham Ne Mujhe Aansu Bhi Giraane Na Diya.

Haath Pakde Huwe Ley Jaate Jo Taibah Mujhko;
Saath Itna Bhi To Mere Rufaqa Ne Na Diya.

Sajda Karta Jo Mujhe Is Ki Ijaazat Hoti;
Kya Karu Izn Mujhe Iska Khuda Ne Na Diya.

Hasrate Sajdah Yunhi Kuch To Nikalti Lekin;
Sar Bhi Sarkaar Ne Qadmo Pe Jhukaane Na Diya.

Kuchaye Dil Ko Basaa Jaati Mahek Se Teri;
Kaam Itna Bhi Mujhe Baade Saba Ne Na Diya.

Kabhi Beemar E Muhabbat Bhi Hue Hain Achhe;
Roz Afzu(n) Hai Maraz Kaam Dawa Ne Na Diya.

Sharbat-E-Deed Ne Aur Aag Lagaa Di  Dil Mein;
Tapish-E-Dil Ko Badhaya Hai Bujhaney Na Diya.

Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se;
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Diya.

Des Se Unke Jo Ulfat Hai To Dil Ne Mere;
Isliye Des Ka Janglah Bhi To Gaane Na Diya.

Des Ki Dhun Hai Wahi Raag Alaapa Isne;
Nafs Ne Haaye Khayaal Uska Mitaane Na Diya.

Nafs-E-Badkaar Ne Dil Par Yeh Qiyamat Todi;
Amal e Naik Kiya Bhi Tou Chupanay Na Diya.

Nafs Bad Kesh Hai Kis Baat Ka Dil Pe Shaaki;
Kya Bura Dil Ne Kiya Zulm Kamaane Na Diya.

Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannam Hee Tha;
Mein To Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Diya.

Mere Aamal-e-Siyaa Ne Kiya Jeena Du Bhar;
Zehar Khata Tere Irshad Ne Khane Na Diya.

Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Padho Aey Noori;
Rang Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Diya.

No comments:

Post a Comment