Qafase Jism Se Chut’te Hi Ye Parra(n) Hoga
Murg e Jaañ Gumbad E Khazra Pe Ghazal Khwan Hoga

Roz O Shab Marqad E Aqdas Ka Jo Nigraa(n) Hoga
Apni Khush Bakhti Pe Wo Kitna Na Naazaañ Hoga



Uski Qismat Ki Qasam Khaye Farishte To Baja
Eid Ki Tarah Woh Har Aan Me Shaada(n) Hoga

Uski Farhat Pe Tasadduq Ho Hazaro(n) Eide(n)
Kab Kisi Eid Me Aisa Koi Farha(n) Hoga

Chaman E Taiba Me Toh Dil Ki Kali Khilti Hai
Kya Madine Se Siwa Rauza e Rizwa(n) Hoga

Wo Gulistan Hai Jahañ Aap Ho aye Jane Jina(n)
Aap Sehra Me Agar Aye Gulistaañ Hoga

Dard e Furqat Ka Madawa Na Hua Aur Na Ho
Kya Tabeebo(n) Se Mere Dard Ka Darmaañ Hoga 

Jisne Tabreed Batayi Khafaqa(n) Hoga Use
Kya Thandayi Se Ilaaj e Tape Hijrañ Hoga

Kohr Baayi Na Ho Kyu Rang Mere Chehre Ka
Jitna Iqaan Bada Utna Hi Tarsa Hoga

Jaan E Imaan Hai Mohabbat Teri Jaane Jana
Jiske Dil Me Ye Nhi Khaak Musalma(n) Hoga

Noore Imaa(n) Ki Jo Mish’al Rahe Raushan Phir To
Roz O Shab Marqad E Noori Me Charagah Hoga

Ek Gazal Aur Chamakti Si Suna De Noori
Dil Jilaa Payega Mera Tera Ehsaan Hoga

No comments:

Post a Comment