Nigah e faiz ho chashm e inayat Mufti e Aazam
Ata kar dijiye humko ziyarat Mufti e Aazam

Siyahi qalbe Isyaañ ki mita dijiye Mere aaqa
Ho jaye noor se raushan baseerat Mufti e Aazam


Hai muddat se hme bhi aapke deedar ki khwahish
Karam farmaiye Aaqa e Nemat muftie Aazam

Bawaqte rukhsati jo Chadar e aqdas Hilayi thi
Boht hi khoob surat thi karamat Mufti e Aazam

Dikhayi Dushman e Ahmed pe shiddat apne behad
Hamare waaste hain Abr e rehmat Muftie Aazam

Nawaza hai Har ek sayil ko fauran aapne aaqa
Thi aisi aapki shaane sakhwahat mufti e azam

Saraapa apka jalwa mere Murshid ne paya hai
Hain Akhtar aapki seerat wa soorat Mufti e Aazam

Nada kis haal me hai aap par to ye ayaaañ hai na
Nada ki kijiye na ab iaanat Mufti e Aazam

No comments:

Post a Comment