BIDA'T KA BAYAN

*_BIDA'T KA BAYAN_*
*Q.1.Bida't Kise Kehtey Hai? Aur Uski Kitni Qismein Hai?*
*Ans:*
Bida't Aesi Cheez Ke Ayejaad(Invention) Karne Ko Kehte Hai Jo Huzoor ﷺ Ke Zaahiri Zamaaney Mey Na Ho. Chaahey Woh Cheez Deeni Ho Ya Dunyawi.

 Bida't Ki Teen Qismey(Types) Hai-
¡. Bida't E Hasna
¡¡. Bida't E Sayiya
¡¡¡. Bida't Mubaah

*☆BIDA'TE HASNA*
Woh Bida't Hai Jo Quran O Hadees Ke Usool Wa Qawaayd(Rules) Ke Mutaabiq Ho Aur Unhi Par Qayas(Guessing) Kiya Gaya Ho.

Is Ki Do Qismey Hai:-
a. _Bida'te Wajba_, Jaise Qura'n O Hadees Samajhne Ke Liye Ilme Nahw Wa Sarf (Branch Of Knowledge In Arabic Studies) Ka Seekhna Aur Gumrah Firqey(Deviant Sects) Maslan Khaarji, Raafzi, Wahabi, Qadiyani Waghaira Par Rad Ke Liye Dalaayl Qaaym Karna.
b. _Bida'te Mistahibba_, Jaise Madarso Ki Ta'meer Aur Nek Kaam Jis Ka Riwaaj Ibtedaayi Zamaney  Mey Nahi Tha, Jaise Azaan Ke Ba'd Salaat Pukarna.
Darre Mukhtaar Baab Ul Azaan Mey Hai Ki Azaan Ke Baad _"As-Salatu Wassalamu Alaika Ya Rasul Allah ﷺ"_ Pukarna Maahe Rabiyul Aakhir 781 Hijri Mey Jaari Huwa Aur Yeh Bida'te Hasna Hai.

*Q.2.Bida't E Sayiya Kise Kehte Hai,*
*Aur Uske Kitni Qismey Hai?*
*Ans:*
_☆Bida'te Sayiya_ Woh Bida't Hai Jo Quran O Hadees Ke Usool Wa Qawaayed Ke Mukhalif(Against) Ho.

Is Ki Do Qismey Hai:-
a. _Bida'te Muharma_,Jaise Hindustan Ki Murawwaj Ta'ziyadari(Fatawa Aziziya, Risala Ta'ziyadari  A'la Hazrat).Aur Jaise Ahle Sunnat Wal Jamaat Ke Khilaaf Naye Aqide Walo Ke Mazaahib.
b. _Bida'te Makrooha_, Jaise Juma' Aur Eidein Ka khutbah Ghair Arbi Mey Padhna.

*Q.3. Bida'te Mubaah Kisey Kehtey Hai?*
*Ans:*
Jo Cheez Huzoor ﷺ Ke zaahiri Zamaney Me Na Ho Aur Jis Ke Karne Na Karne  Par Sawab Wa A'zaab Na Ho Use Bida'te Mubaah Kehte Hai. Jaise Khaane Peene Mey Kushaadgi Ikhtiyar Karna Aur Rail Gadi Waghaira Mey Safar Karna.

*Q.4. Hadees Sharif _"Kullu Bida'tin Dalaalatun."_ Se Kaun Si Bida't Muraad Hai?*
*Ans:*
Is Hadees Sharif Se Sirf Bida'te Sayiya Muraad Hai. Isliye Ki Agar Bida't Ki Tamaam Qismey Muraad Li Jayein Jaisa Ki Zaahir Hadees Se Mafhoom Hota Hai To Fiqah, Ilme Kalam Aur Sarf O Nahw Ka Padhna Padhana Sab Dalaalat Wa Gumraahi Ho Jayegi.

*Q.5. Kya Bida't Ka Hasna Aur Sayiya Hona Hadees Sharif Se Bhi Saabit Hai?*
*Ans:*
Haa. Bida't Ka Hasna Aur Sayiya Hona Hadees Sharif Se Bhi Saabit Hai. Tirmizi Sharif Mey Hai Ki Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Ne Taraaweeh Ki Baaqayda Jama't Qayam Karne Ke Ba'd Farmaya:
_"NI'MATIL BID-ATU HAAZIHI"_
Yaani Yeh Bahot Achi Bida't Hai.(Mishkaat 511) Aur Muslim Shareef Mey Hazrat Jareer Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool ﷺ Ne Farmaya Ki Jo Islam Mey Kisi Ache Tariqe Ko Raayj(Begin) Karega To Us Ko Apne Raayj Karne Ka Bhi Sawab Milega Aur Unlogo Ke Amal Karne Ka Bhi Sawab Milega Jo Uske Baad Us Tariqa Par Amal Kartey Rahenge Aur Amal Karne Walo Ke Sawab Me Koi Kami Bhi Nahi Hogi.
Aur Jo Shakhs Mazhabe Islam Mey Kisi Burey Tariqe Ko Raayj Karega To Us Shakhs Par Uske Raayj Karne Ka Bhi Gunaah Hoga Aur Un Logo Ke Amal Karne Ka Bhi Gunaah Hoga Jo Uske Baad Us Tariqe Par Amal Karte Rahenge Aur Amal Karne Walo Ke Gunah Me Koi Kami Bhi Nahi Hogi.(Mishkat 33)

*Note:*
1.Milad Sharif Ki Mehfil Muna'qid Karna, Usme Huzoor ﷺ Ki Paydaish Ke Haalaat Aur Deegar Fazail Bayan Karna Barkat Ka Ba'es Hai. Ise Bidate Sayiya Kahna Gumraahi Wa Badmazhabi Hai.
2. Mayyat Ka Teeja Aur Isi Tarha Daswa, Biswa Aur Chaaliswa Waghaira Huzoor ﷺ Ke Zaahiri Zamaane Mey Nahi Hota Tha Balki Yeh Sab Ba'd Ki Ayjad(invention) Hain Aur Bida'te Hasna Hai. Isliye Ki Inmey Mayyat Ke Aesaale Sawaab Ke Liye Quran Khwani Hoti Hai. Sadqa, Khairaat Kiya Jaata Hai Aur Ghareebo Wa Miskeeno Ko Khaana Khilaya Jaata Hai Aur Yeh Sab Aesaale Sawab Ke Kaam Hai.
Haan Is Mauqe Par Shadi Biyaah Ki Tarha Dost Wa Ahbaab Aur Azeez O Aqraab Ki Da'wat Karna Zuroor Bida'te Sayiya Hai.

*_Extracted From:_*
*Anwaare Shariyat*
_Written By: Faqihe Millat Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaih Rehma._

Talib-e-Dua:
_~Atae Ishqe RAZA._

No comments:

Post a Comment