The Greatness Of Hadaayqe Bakhshish

The Greatness Of Hadaayqe Bakhshish.

The Reality Of Hadaiqe Bakhshish.♡
(Hadaiqe Bakhshish♡ Ki Haqeeqat)

As Per Ashaar Of Mujaddide Deen O Millat Ash-Shah Imam A'la Hazrat Alaihirrehma himself.



Raha Na Shauq Kabhi Mujh Ko Saire Deewaa(n)Se;
Hamesha Sohbat E Arbaab E Shaer Se Hun Nafoor.

》Mafhoom:
Mujhe Na To Sho'raa Ke Deewaan Padhne Ka Shauq Kabhi Daamangeer Huwa Balki Mein To Hamesha Unse Bhaagta Hi Raha(Taaki Dusre Zaruri Kaamo Ki Taraf Poori Tawajjoh De Sakun).

☆Na Apne Kaamon Se Taziyee' E Waqt Ki Fursat;
Na Apni Waza' Ke Qabil Ki Ismein Hun Mash-hoor.

》Mafhoom:
_Na Hi Mujhe Apne Kaamon Se Itni Fursat Milti Hai Ki Shayr O Shayri Mein_ _Maghazmaari Karke Apna Waqt Zaaya' Karta Rahun, Aur Naa Hi Mein Apni Waza'_ _-Qata'(Shakl O Surat) Ke Aetebaar Se Munaasib_ _Samajhta Hun(Ke Log Mujhe Mufti E Islam_ _Kahein Aur Mein Shyr O Shayri Ke_ _Dhun Mein Laga Rahun Kyunki Mera Naam Ulama Mein Hai Na Ki Shoa'ra Mein)._

☆Rahi Wabaal Se Iske Mujhe Subuktoshi;
Ki Waise Hi Hai Giraa(n) Sarpe Baare Jurm O Qusoor.

》Mafhoom:
_Khuda Ka Shukr Yeh Hai Ki (Sheyr O Shayri Ki) Museebat Se Bachaa Raha_ _Kyunki Pehle Hi Sar Par Gunaahon Ka Bojh Kya Kam Hai Ki Is_ _Zimmedaari Ka Bhi Bojh Utha Lun._ _(Naa'tiya Shayri Ke Siwa Shayri Museebat Hi Hai)._

☆Jabeen Taba' Hai Naasoodah Daaghe Shaagirdi;
Ghubaare Mannate Islaah Se Hai Daaman Door.

》Mafhoom:
_Meri Tabia't Ka Chehra Shaagirdi Ke Dhabbe Se Aaraam Mein Hai (Mein Ne Is Maidaan Mein_ _Shaagirdi Karna Be-Fayda Samjha) Aur Sho'ra Se Apne Sha'ron Ki Islaah Karaane Ke_ _Ehsaanat Ka Gard O Ghubaar Mere Daaman Se Door Hi Raha)._

Magar Phir Naatein Kaise Likh Dein???
Aur Itna A'laa Naatiyah Kalaam Hadaayqe Bakhshish Kis Tarha Ma'riz(Zaahir) E Wajood Mein Aagayaa???

To Is Ka Jawaab Aakhri Sheyr Mein Yun Dete Hain......Ki;

☆Magar Jo Haatife Ghaibi_* *_Mujhe Bataata Hai;
Zabaan Tak Usey_* *_Laata Hun Mein Ba-Madhe Huzur ﷺ

》Mafhoom:
_Mujhe Jo Ghaib Ki Aawaaz Aati Gayi,Woh Mere Dil Mein Utar Kar Qalam Ke Zariye_ _Safah Qirtuas(Kaaghaz) Pe Tehreer Hoti Gayi Aur Mein Apne Pyare Nabi ﷺ Ki Pyaari Pyaari Naatein Likhta Gaya._

(AUR IS TARHA YEH ILHAAMI KALAAM "HADAAYQE BAKHSHISH" TAYYAR HOTA GAYA).

_SubhanALLAH ﷻ ! SubhanALLAH ﷻ!_

Extracted from: _Sharah Hadayqe Bakhshish._

_~Atae ishqe RAZA_

No comments:

Post a Comment