Hazrat Sirri Saqati Rehmatullah Ta'la Alaih

Assalamoalaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu.

On The Blessed Occasion Of 13th Ramzan Sharif Wisaale Baakamaal Of _Hazrat Sirri Saqti Rehmatullah Alaih._

I'm Very Glad To Share A Small Biography On His Pious Life.
May Almighty Allah Through Wasila Of Huzur ﷺ Accept It.

*Must Read | Share.*




بسم اللہ الرحمن الرحیم۔

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

Hazrat Sirri Saqti Rehmatullah Ta'la Alaih.


*TA'RUF:*
 Aap Ki Wiladat Taqreeban 155 Hijri Mey Baghdad Shrif Mey Waqaye Huwi. Aap Ahle Kamaal Mein Pehle Fard Hain Jinho Ne Baghdaad Mein Haqaaiq Wa Tauheed Ki Buniyaad Daali.
Aap Ma'ruf Karghi Rehmatullah Alaih Se Ba'yat Aur Hazrat Junaid Baghdaadi Rehmatullah Alaih Ke Maamu Aur Peer O Murshid Hain. Is Ke Ilaawa Habib Raa'i Rehmatullah Alaih Se Bhi Sharfe Niyaz Haasil Raha.



*HAALAAT:*
Ibtedaayi Daur Mein Aap Ek Dukaan Mein Sukoonat Pazeed Rahtey Aur Isi Mein Ek Pardah Daalkar Ek Hazaar Nawaafil Rozana Padha Kartey They. Isi Dauraan Ek Shakhs Kohe Lagaam Se Haazir Huwa Aur Pardah Utha Kar Salaam Ke Baad Arz Kiya Ki Kohe Lagaam Ke Falaa Buzurg Ne Aapko Salam Kaha Hai. Aapne Salam Ka Jawab De Kar Farmaya Ki Makhlooq Se Munqata'(Alag) Hokar Ibaadat Karna Murdo Ka Kaam Hai Aur Zindah Woh Hain Jo Makhlooq Se Waabistah Rehkar Yaade Ilaahi Karte Hain.

Aap Tejaarat Mein Das Deenar Par Nisf(Aadha) Deenaar Nafa' Liya Karte The, Ek Martabah Kisi Ne 60 Deenaar Ke Baadaam Kharidey Lekin Uske Ba'd Qeemtein Badh Gayein Aur Dalaal(Agent) Ne 90 Deenaar Laga Diye Lekin Aap Ne Farmaaya Ki Mein Apne Ehad Ke Khilaaf Farokht Nahi Kar Sakta. Ibteda Mein Aap Saqt Faroshi Kartey The Aur Saqt Farosh Usey Kehte Hain Jo Gire Pade Phal Farokht Karta Hai. Isi Dauraan Baghdaad Ke Baazàar Mein Aag Lagi Lekin Aapki Dukan Mehfooz Reh Gayi Aur Aapne Bataure Shukraanae Ke Dukaan Ka Tamaam Maal Sadqah Kardiya. Ek Martabah Logon Ne Sawal Kiya Ki Aapko Yeh Maraatab Kaise Haasil Huwe? Farmaaya Ki Ek Martabah Habeeb Raa'i Meri Dukan Par Tashreef Laaye Aur Ek Yateem Bachcha Bhi Unke Hamraah Tha Unhone Farmaaya Ki Is Bachche Ko Kapde Dilwaado Aur Jab Mein Ne Ta'meel Kardi To Aapne Dua Di Ki Allah T'ala Tumhein Woh Maraatab A'ta Farmaye Ki Tum Duniya Ko Apna Ghaneem (Dushman) Tasawwur Karne Lago, Chunaayencha Us Din Se Khuda Ne Mujhe A'zim Maraatab Se Nawaaza.



*IRSHAADAAT:*
☆Aap Farmaaya Karte The Ki 40 Saal Se Mere Nafs Ko Shahed Ki Khwaahish Hai Lekin Aaj Tak Mein Ne Us Khwaahish Puri Nahi Ki Phir Farmaaya Ki Mein Har Yaum Isliye Aayena Dekhta Hun Ki Shaayed Gunaah Ki Wajah Se Mera Chehra Siyaah Na Hogaya Ho.
☆Farmaaya Ki Kaash Pure Aalam Ke Aalaam (Musibatein) Mujhe Mil Jaatey Taaki Tamaam Logo Ko Ghamon Se Rihaayi Haasil Ho Jaati.
☆Farmaaya Ki Jab Kisi Musalmaan Ke Saamne Daadhi Mein Khelaal Karta Hun Yeh Darta Hun Ki Kahein Munaafiqeen Mein Mera Shumaar Na Ho Jaye.



*MALFOOZAAT:*
☆Apne Jawaani Ke Daur Mein Farmaaya Karte Ki Ibaadat To A'hde Shabaab(Jawaani) Hi Mein Karni Chahye.
☆Salaamti E Deen Aur Sukoon E Jism Wa Jaan Sirf Gosha Nasheeni Mein Hai.
☆Jo Khud Apne Nafs Ko Aaraastah Na Kar Sake Woh Dusrey Nafs Ko Kaise Sanwaar Sakta Hai?
☆Zubaan Wa Rukh Se Qalbi Kaifiyaat Ka Andaazah Kiya Jaa Sakta Hai Lekin Qalb Ki Bhi 3 Qismein Hain,
i. Woh Qalb Jo Kohe Giraan Ki Tarha Apni Jagah Atal Rahe.
ii. Woh Qalb Jo Mazboot Darakht Ki Tarha Ho Aandhi Ke Tez Jhonke Kabhi Usko Hila Bhi Dete Hain.
iii. Woh Qalb Jo Parindo Ke Maanind Hawa Mein Parwaaz Karte Hain.
☆Riyaakari Se Milna Khuda Se Door Kardeta Hai Aur Kasrat Se Mel-Milaap Rakhne Waale Ko Sachchai Haasil Nahi Ho Sakta.
☆Akhlaaq Yeh Hai Ki Logo Ki Azeeyat Dene Ke Bajaaye Unki Azeeyat Rasaani Par Sabr Se Kaam Ley Aur Ghussa Par Qaabu Paana Bhi Daakhil E Ikhlaaq Hai.
☆Gunaah Se Parhez Karna Sirf 3 Wajah Se Hota Hai. 1.Khwaahishe Bahisht,
2. Khauf E Jahannam Se,
3. Khuda Ki Sharam Se.



*WISAAL E BA-KAMAAL*
Hazrat Junaid Baghdaadi Radiallahu Anhu Se Rewaayat Hai Ki Ek Martabah Aap Ne Farmaaya Ki Mein Baghdaad Mein Marne Ko Isliye Naapasandeedah Samajhta Hun Ki Yahaan Ki Zameen Mujhko Qubool Nahi Karegi Aur Mujhse Husne Zan(Gumaan) Rakhne Waale Badzani Mein Mubtela Ho Jayenge. Hazrat Junaid Radiallahu Anhu Kehte Hain Ki Jab Mein E'yaadat Ke Liye Haazir Huwa Garmi Ki Wajah Se Mein Ne Aapko Pankha Jhalna Shuru Kardiya Magar Aapne Roktey Huwe Farmaaya Ki Aag Aur Bhadakne Lagti Hai Aur Meri Mizaajpursi Par Farmaaya Ki Bandah Toh Mamlook(Qabze Mein) Hai Aur Usko Kisi Shaye Par Qudrat Haasil Nahi. Phir Mein Ne Naseehat Karne Ki Darkhwast Ki To Farmaaya Ki "Makhlooq Mein Rehte Huwe Khaaliq Se Ghaafil Na Hona", Yeh Kehkar Aap Is Dunyaae Faani Se Rukhsat Ho Kar Apne Maalike Haqiqi Se Jaa Mile.
*ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ َ*
13 Ramadan Kareem Mein 98 Umar Sharif Mein Aapka Wisaal Huwa. Aapki Mazaar Sharif Baghdaad Mein Hai.

_Bahr-e-Ma'roof-o-Sari Ma'roof De Be'khud Sari;_
_Jund-e-Haq Me Gin Junaid-e-Baa Safa Key Waaste._
[~Sarkar Ala Hazrat Rehmatullah Alaih.]


آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

(Extracted From-
_Tazkira-Tul-Awliya._
Pg. No-177 to 181)

*Taalib-E-Dua*


Follow Azhari Mission ™

No comments:

Post a Comment