Shab E Baraat
(The Night Of Forgiveness)

Post:2

📗Hadees Sharif:

“Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله تعالى عنه ka bayan hai ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne irshaad farmaya: Allah Ta’ala Shabaan ki 15wi shab ko zuhoor farmata hai aur Mushrik aur chugal khor ke alaawa sab ki bakhshish farma deta hai.”


[ ● Sunan Ibn Majah, kitab Iqaamah assalaah wasunnah fiha, Baab Maa jaa fee lailatul nisfi min shaabaan, jild 1, pg 399]

📗Hadees Sharif

“Hazrat Muaaz bin Jabal رضي الله تعالى عنه . se riwayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: Allah Ta’ala Nisf Shabaan (15wi) ki raat (Yaani Shab e Baraat) apni makhlooq par nazr e rehmat farmata hai aur Mushrik aur keena parwar ke siwa har kisi ko Maaf farma deta hai.”

[ ● Sahih Ibn Hibaan, jild 12, pg 481]

#Post:2 #Shab_e_Baraat #Hadees Sharif #Follow #Gulaam_e_Raza #Mubashshir_Qadri_Razvi #Azhari_Mission #Share

No comments:

Post a Comment