Shab E Baraat (The Night Of Forgiveness)

Post:1

                             📗Hadees Sharif:

“Hazrat Ali bin Abi Talib رضي الله تعالى عنه . riwayat karte hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: Jab 15 Shabaan ki raat ho to us raat ko Qiyam kiya karo aur Din mein Roza rakha karo kyuki Allah Ta’ala Guroob e Aaftaab ke waqt aasmaan e duniya par nuzool farmata hai
(jaisi uski shaan ke layak hai) aur ailaan farmata hai: kya koi meri bakhshish ka taalib hai ki mein usse bakhsh du? Kya koi rizq maangne wala hai ki mein usse rizq du? Kya koi bimaar hai ki mein usse Shifa du? Kya koi aise hai? Kya koi aise hai? Yahan tak ki Fajr Tulu ho jaati hai”. [ ● Sunan Ibn Majah, kitab Iqaamah assalaah wasunnah fiha, Baab Maa jaa fee lailatul nisfi min shaabaan, jild 1, pg 398;
● Kinani – Masaba al Zajajah, jild 2, pg 10;
● Munzari – Targeeb wa Tarheeb, jild 2, pg 74]

#Post:1 #Shab e Baraat #Hadees Sharif #Follow #Gulaam_e_Raza #Mubashshir_Qadri_Razvi #Azhari_Mission #Share

No comments:

Post a Comment