🌹{Sadaat Aur Ulama Ki Ta'zeem}🌹
» Sadaat E Kiraam Ki Ta'zeem Farz Hai Aur Unki Tauheen Haraam Balki Ulama E Kiraam Ne Irshad Farmaya Jo Kisi Aalim Ko Maulviya Ya Kisi Syed Ko Meerwa Bar Wajah Tehqeer Kahe Kaafir Hai,
*الاستخفاف بالاشراف و العلماء كفر و من قال لعالم عويلم او لعلوى عليوى قاصدا به الاستخفاف كفر*. (مجمع الانهر)
Aur Sadaat E Kiraam Ki Ta'zeem Hamesha Jab Tak Unki Bad_Mazhabi Had E Kufr Tak Na Pahunche K Uske Baa'd Woh Syed Hi Nahin, Nasab Munqata' Hai,
قال الله تعالى *انه ليس من اهلك انه عمل غير صالح*
Jaise Naturi, Qadiyani, Wahabi Ghair Muqallid Deobandi Agarche Syed Mashhoor Hon, Na Syed Hain Aur Na Unki Ta'zeem Halaal Balki Tauheen O Takfeer Farz Aur Rawafiz Ke Yahan To Siyadat Bahut Aasan Hai, Kisi Qaum Ka Raafzi Ho Jaye 2 Din Baa'd Meer Sahab Ho Jayega, Inka Bhi Wahi Haal Hai K Un Firqon Ki Tarah Tabarra'iyan E Zamana Bhi Umooman Murtaddeen Hain,
» Muhabbat Aal E At'haar Ke Baare Mein Mutawatir Hadeesein Balki Qur'an E Azeem Ki Aayat E Kareema Hai,
*قل لا اسألك عليه اجرا الا المودة فى القربى*
Unki Muhabbat Bihamd_ILLAHI Ta'ala Musalman Ka Deen Hai Aur Usse Mehroom Naasbi Khaarji Jahannami Hai, و العياذ بالله تعالى
Magar Muhabbat E Saadiqah Na Rawafiz Ki Si Muhabbat E Kaazibah, Aimma E At'haar Farmaya Karte The K Tumhari Muhabbat Hum Par Aar Ho Gayi,
Ita'at E Aamma ALLAH O Rasool Ki Ulama E Deen Ki Hai,
قال الله تعالى *اطيعوا الله و اطيعوا الرسول و اولى الامر منكم*
Asl Ita'at ALLAH O Rasool Ki Hai Aur Ulama E Deen Unke Ahkaam Se Aagah Phir Agar Aalim Syed Bhi Hon To Noor Ala Noor,
Jahan Tak Na Shara'i Harj Ho Na Zarar Syed Ghair Aalim Ke Bhi Ahkaam Ki Bhi Ita'at Kare K Usmein Unki Khushnoodi Hai Aur Sadaat E Kiraam Ki Khushi Mein K Had E Shara' Ke Andar Ho Huzur Sayyid E Aa'lam (SalALLAHU Ta'ala Alaihi Wasallam) Ki Raza Hai Aur Huzur Ki Raza ALLAH Ta'ala Ki Raza.
» Agar Donon (Syed Aur Ghair Syed) Aalim E Deen Sunni Sahihul Aqeedah Aur Jis Kaam Ke Liye Sadarat Matloob Hai Uske Ahl Hon To Syed Ko Tarjeeh Hai Warna Unmein Jo Aalim Ya I'lm Mein Za'id Ya Sunni Ho Aur (Agar) Donon I'lm E Deen Mein Masaawi Hon To Jo Us Kaam Ka Zyada Ahl Ho (Unhein Sadar Banaya Jaye).
[Fatawa E Razviyah, Vol: 9 of 12, Pg: 166 Nisf Aakhir (430), Raza Academy]
Post Written By
Nabeera e Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddzillahu Aali
Barely Sharif

No comments:
Post a Comment