Isaale Sawab:

Post:7

Hadees Sharif No: 6

Umme Saad Ke Liye KUN’WA (WALL):
“Hazrat Saad Bin Ubada Radiallahu Anhu Arz Karte Hai YA RASOOLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Meri Maa Wisal Kar Gayi, Mai Unki Taraf Se Sadka Karna Chahta Hu Konsa Sadka Afzal Rahega, Sarkar
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, PAANI.
Chunance Unhone Ek KUN’WA (Wall)
Khudwaya Aur Kaha ‘ ﻫَﺬِﻩِ ﻷُﻡِّ ﺳَﻌْﺪٍ ’ Yaani Ye Umme Saad Ke Liye ”
(Sunan Abu Dawood Volume : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane Ke Fazail, Page : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Volume : 01, Page : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib, Volume : 02, Page : 41, Hadees : 1424)

Yahi Riwayat Imam Nasai Ne Is Tarah Likhi Hai,
Hazrat Sa’d Bin Ubaada Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Unki Waalida Faut Ho Gayi. Unhone Arz Kiya :
Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ! Meri Waalida Faut Ho Gayi Hain, Kya Mein Uske Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya :
Ha’n.
Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Paani Pilaana.
(To Unhone Eik Kuwa’n Kharid Kar
Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya)
Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Ke Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”
(Imam Nasai , Sunan Nasai Volume : 06, Page : 255, Kitab No 30 - Kitab Al Wasaya, Baab No 9 :Zikreel Ektelafi Ala Sufyan, Hadees : 2666)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra Volume : 04, Page : 112, Hadees : 6491)
(Musnad-E-Ahmad Ibn Hambal Volume : 05, Page : 284, Hadees : 22512)
(Imam Tabrani Majmaul Kabir Volume : 06, Page : 20, Hadees : 5379)

Pata Chala Ke Sirf Wo Amal Jaise Hajj, Roza, Sadkat Se Hi Nahi Balki Dusre Amal Jaise Paani Ke Jariye Bhi Isaal Kiya Jaa Sakta Hai. Aur Aakhir Us Wakt Paani Ka Intekhab Kyu Dusre Sahaba-E-Kiram Radiallaho Anho Ko Alag Alag Amal Bataya Hazrat Saad Bin Ubada Radiallahu Anho Ko Ye Kyu?
Unhe Bhi Koi Amal Hajj, Roza, Sadkaat Bataya Jaa Sakta Tha Na? Maazra Ye Tha Us Wakt Madina-E-Munawarra Me Paani Ki Killat Thi Lihaja Hukm Huwa Paani Ka Kuwa Khudwao Aur Phir Logo Ko Laani Mila Ab Jab Jab Log Us Paani Ke Kuwe Se Sairaab Hote Hai Sabka Sawab Hazrat Saad ibn Ubada Radiallaho Anhu Ki Walida Mazida Ko Pahuchta Hai.
Is Hadees-E-Paak Se Bahot Se Masle Hal Huwe.
Jaise Jarurat Ke Ki Cheez Isaal Kare Chunki Us Wakt Paani Ki Killat Thi To Paani Ka Hukm Huwa Aur Hum Aaj Dekhe To Aaj Bhi Bahot Si Jagah Paani Ki Killat Hai. Aaj Ummate Muslima Ko Achche Hospitals, Education, Deeni Madaris, Masjid Ki Jarurat Hai To In Sabko Banake Apne Buzurgo Ke Naam Se Mansoob Karna Phir Jab Tak Usse Musalmaan Fayda Uthayga Un Marhoomeen Aur Buzurgo Ko Bhi Iska Sawab Hasil Hoga.
Dusri Ek Baat Pata Chali Baaj Jahil Khawarij Wahabi Ye Bhi Kahte Hai Ke Kisi Khane Peene Ki Cheez Ko Kisi Ke Naam Se Mansoob Kar Dena Ye Shirk Hai. Is Hadees-E-Paak Se Ye Bhi Subaha Khatm Huwa Ke Kisi Ke Naam Se Mansoob Kar Dena Katayi Nazaiz-O-Shirk Biddat Nahi Balki KHUD NABI E KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne KUWE Ko Hazrat Saad Ibn Ubada Radiallaho Anho Ki Walida Ke Naam Se Mansoob Kiya Hai Agar Ye Nazaiz-O-shirk Biddat Hota To Hargiz Ye Amal Sabit Na Hota. Isiliye Ham Sunni Fatiha Me Khaane Peene Ki Chize Rakh Kar Uska Sawab Bakayda Naam Le Kar Marhumo Ko Mansoob Karte Hai Aur Is Khaane Ko Garieeb, Faqir, Miskino Me Takseem Karte Hai. Khud Bhi Tabrrukat Ke Tour Par Khate Hai Ke Is Par ALLAH Ke Kalaam Ki Tilawat Hui Hai. Isaale Sawab Ke Chand Tareeqe Hamare Aaqa Wa Maula Janabe Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Sahaba-E-Kiram Ko Bayan Farmaye Hai. Hum Kisi Bhi Jaiz Aur Halaal Chizo Se Isaale Sawab Kar Sakte Hai. Jara Aap Hi Soche Hadees Shareef Me Kuwa Khudwane Ka Zikr Hai. Ab Koi Kam Aqal Insan Ye Kahe Ki Hadees Me Sirf Kuwa Khudwa Kar Isaale Sawab Ka Zikr Hai Me Wahi Karunga. Ab Aaj Ke Dour Me Kuwa Sirf Dehato Me Dikhai Deta Hai Aur Naya Banane Ki Izazat Bhi Government Nahi Deti. To Kya Ham Isaale Sawab Hi Na Kare? ALLAH Hume Deen Ki Sahi Samaz Ataa Farmaye
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

To Be Continued........

No comments:

Post a Comment