Isaale Sawab:

Post: 8

Hadees Sharif No: 7

Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana)
Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin
Bethe Rahe. Us Wakt ALLAH Ta’ala Ne Ye Aayat Nazil Farmaya.
"Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta'ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta 

(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16
Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut
Tafseer, Hadees : 3524)

Kaum-E-Wahabiya Ko Halwe Se Badi
Nafrat Hai Ab Kyu Hai Ye To Wohi Jaane Lekin Hum Ahle Sunnat Ko Halwa kyu Pasand Hai Aaiye Hadees-E-Paak Se Dikhate Hai

Hadees Sharif No: 8

Umool Momineen Hazrat Ayesha
Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se
Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.

(Sahi Bukhari, Volume : 02, Kitab No 76 Al Tibb, Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Volume : 02 ,Kitab No 74 AL Taam’at (Food), Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL
Taam’at (Food), Hadees : 3448)
(Imam Tirmizi Ne Shama’il-E-Muhammadiya Kitab No 26, Hadees :
163)

Pata Chala Halwa To Khud Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Tha Isliye Ahle Sunnat Khoob Khate Hai Ab Khud Faisla Karlo Jo Cheez Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Hai Tum Uska Mazaak Udhaao To Tum Kaun Ho?
Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho Pe Pyaar
Aaya Hai To Hum Kya Kare? Aur Ek Ahem Baat Halwa Khana Haraam Shirk Biddat Bolte Hai. Aur Jarur Khane Pehle Aate Hai. Isliye Hamare Imam Aalahazrat Azeemul Barkat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai

"Tera Khaye Tere Gulamo Se Uljhe
Hai Munkeer Ajab Khane Gurranewaale."

"Khaate Hai Sunni Halwa Sarkar Ke Karam Se
Dekho To Najdiyo(n) Ko Kawwo Pe Pyaar Aaye."


To Be Continued............

No comments:

Post a Comment