Isaale Sawab:

Post:6 

Hadees Sharif No: 5

Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se Rivayat Hai Ke Ek Shaks Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Bargaah Me Haajir Huwa Aur Arz Kiya:

Meri Walida Achanak Faut Hogyi Hai Aur Mera Khayal Hai Ki Agar Wo (Bawakte Naz’a) Guftgoo Kar Sakti To Sadke (Ki Adaygi Ka Hukm) Karti,
Agar Mein Uske Taraf Se Khairat Karoo’n To Kya Use Sawab pahuchega ? Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya ‘Haan.’

(Sahi Bukhari Volume : 03, Kitab 55 - Kitabul Wasaya, Baab No 19 - Sadakat Ke Sawab ka Shudagan Tak Pahuchne, Hadees : 2760)
(Sahi Muslim Volume : 02, Kitab 12 :  Al Zakat, Baab No 15 : Sadakat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadees : 1004)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Kitab No 18 : Kitabul Wasaya, Baab No : 1068 Page : 118, Hadees : 2881)
Albani Ne Bhi Isko Sahi Likha
Hai
(Sunan Nasai, Volume : 06, Kitab No 30 : Kitabul Wasaya, Baab No : 07 Kisi Shaks Ki Maut Par Uske Gharwaalo Ke Sadke Karne Ka Bayan, Page : 250, Hadees : 3649)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra, Volume 04, Pg : 109, Hadees - 6476)

In Hadeese Pak Se Ye Khoob Saabit Hua Ki Isaale Sawab Jaiz Hai Aur Fatiha To 1000% Jaiz Hai. Ab In Hadeese Pak Par Badmazhab Ye Kehte Hai Ke Fautshuda Ko Wo 3 Hi Chize Jinka Upar Zikr Hai Wahi Nafa De Sakti Hai Tum To Khaane Pine Ki Chizo Par Isaale Sawab Karte Ho. Humne Upar Ek Hadees Pesh Ki Jisme Garden Isaale Sawab Kiya Gaya. Aage Ki Daleelo Ko Gour Se Padhe.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment