Isaale Sawab:
Post 4
Hadees Sharif No: 1
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Bargah-E-Risalat Sallallahu Alaihi Wasallam Se Arz Kiya:
Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ! Meri Waalida Faut Ho Chuki Hai Agar Mein Unke Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Koi Nafa Dega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Ha’n !
Usne Arz Kiya :
Mere Paas Ek Baag (Garden) Hai Aap Gawaah Rahein Mein Ne Yah Baag Us Ki Taraf Se Sadqa Kar Diya.”
(Sunan Tirmizi, Volume : 02, Page : 56, Kitab Az Zakat, Baab No 33, Hadees : 669)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Page : 118,
Kitab No 18 - Kitabal Wasaya, Hadees : 2882)
Albani Ne Bhi Abu Dawood Ki Hadees
Ko Sahi Kaha Hai.
(Sunan Nasai Volume : 06, Page : 252, Kitab No 30, Kitab Al Wasaya, Baab No 07, Hadees : 3655)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Volume : 04, Page : 110, Hadees : 6482)
Hadees Sharif No: 2
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Kabeela Juhayna Ki Ek Khatoon Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Bargaah Me Haajir Hokar Arz Kiya : Meri Walida Ne Hajj Ki Mannat Maani Thi Lekin Wo Hajj Na Kar Saki Yaha Tak Ki Faut Ho Gayi.
Kya Mai Unki Taraf se Hajj Karo’on? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Ha’n Tum Uski Taraf Se Hajj Karo. Bhala Batao Kya Tumhari Walida Par Qarz Hota To Kya Tum Ada Na Karti ?
Phir ALLAH AJWAZAL Ka Haq Ada Karo Wo Zyada Haqdaar Hai Ke Uska Haq Ada Kiya Jaaye.
(Sunan Nasai, Volume : 05, Kitab 24 Kitabul Hajj, Baab No 07 -Faut Shuda Logo Ke Badle Hajj Ka Bayan Jo Hajj Ki Mannat Rakhte The, Page : 116, Hadees : 2632)
(Sunan Al Kubra Volume : 02, Page : 322, Hadees : 3612)
(Imam Tabrani Al Muajamul Kabir, Volume : 12, Page : 50, Hadees : 12443)
To Be Continued............

No comments:
Post a Comment