AADAAB E MASJID: PART 3  

{Fatawa_E_Razviyah_Vol_2_of_12_Pg_557_Raza_Academy}

Nabi SalALLAHU Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain *نیت المومن خیر من عملہ* Musalman Ki Niyat Uske Amal Se Behtar Hai, 
Aur Beshak Jo I'lm E Niyat Jaanta Hai Ek Ek Fa'il Ko Apne Liye Kayi Kayi Nekiya(n) Kar Sakta Hai, Maslan Jab Namaz Ke Liye Masjid Ko Chala Aur Sirf Yehi Qasd Hai K Namaz Padhunga To Beshak Uska Yeh Chalna Mehmood, Har Qadam Par Ek Neki Likhenge Aur Doosre Par Gunah Mahav Karenge, Magar Aalim E Niyat Is Ek Hi Fa'il Mein Itni Niyatein Kar Sakta Hai, 

(1) Asl Maqsood Yaa'ni Namaz Ko Jaata Hoon. 
(2)Khaana E KHUDA Ki Ziyarat Karunga. 
(3) Shi'aar E Islam Zahir Karta Hoon. 
(4) Daa'i_ULLAH Ki Ijaabat Karta Hoon. 
(5) Tahayyatul Masjid Padhne Jaata Hoon. 
(6) Masjid Se Khas O Khaashaak Waghairah Door Karunga. 
(7) Aitikaaf Karne Jaata Hoon K Mazhab E Mufta Bihi Par Aitikaaf Ke Liye Roza Shart Nahin Aur Ek Saa'at Ka Bhi Ho Sakta Hai, Jab Se Daakhil Ho Bahar Aane Tak Aitikaaf Ki Niyat Karne, Intizaar E Namaz Wa Ada E Namaz Ke Saath Aitikaaf Ka Bhi Sawaab Payega. 
(8) Amr E ILAAHI *خذوا زینتکم عند کل مسجد* Ke Amtisaal Ko Jaata Hoon. 
(9) Jo Wahan I'lm Wala Milega Usse Masa'il Poochhunga, Deen Ki Baatein Seekhunga. 
(10) Jahilon Ko Mas'ala Bataunga, Deen Sikhaunga. 
(11)Jo I'lm Mein Meri Barabar Hoga Usse I'lm Ki Takraar Karunga. 
(12) Ulama Ki Ziyarat. 
(13) Nek Musalmanon Ka Deedaar. 
(14) Doston Se Mulaqat. 
(15) Musalmanon Se Mel. 
(16) Jo Rishtedaar Milenge, Unse Ba_Kushaada Peshani Milkar Sila E Reham. 
(17) Ahl E Islam Ko Salaam. 
(18) Musalmanon Se Musafah Karunga. 
(19)Unke Salaam Ka Jawab Dunga. 
(20)Namaz E Jama'at Mein Musalmanon Ki Barkatein Haasil Karunga. 


To be Continued.....


Post Written By 
Nabeera E Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddazillahu Aali .

No comments:

Post a Comment