EID E GHADEER KI HAQEEQAT


EID E GHADEER KI HAQEEQAT AHAADEES E KAREEMA KI RAUSHNI ME

Ghadeer e khum Makkah Mukarrama Madeenah Taiyyeba Ke maa bain ek jagah ka naam hai ke jahaan Allah ke Rasool ﷺ ne hajjat ul wada'a ke mauqe par ek khutba diya tha ke jis me Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ki fazeelat bayaan farmayi...
Ba'z Juhla ne is khutbe ko buniyad bana kar ye jhoot phaila diya ke ye Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko imaam aur khaleefa muqarrar karne ka khutba tha Halaanke is khutbe ka maqsad logon ke dilon se Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه k baare me manfi jazbaat ko khatm karna aur un ki mahabbat o mawaddat paida karna tha....

Ham is khutbe ke sabab ko bayaan karenge ke jis k beghair is khutbe ko samajhna bilkul bhi mumkin nahi hai.
Agar aap kisi waqie me se is k sabab ko nikaal den to aap kabhi bhi is waqie ki haqeeqat tak na pahoch paayenge..
Aur jab aap waqie ka asl sabab naql na karenge to phir aap is waqie ka sabab ghadenge aur yahan hi se aap haqeeqat ka chehra maskh karna shuru kar denge aur yahi hamare yahan jaahil zaakir apni majlison me karte hain ke un ka da'wa hai ke  Allah ke Rasool ﷺ Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko apni zindagi me khaleefa bana gaye the jab ke Hazrat Abu Bakar Siddeeq رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne  in ki khilaafat ghasab kar li thi..
Ghadeer e khum ke khutbe k baare me riwayaat jo ke (saheeh bukhaari,saheeh muslim,Ibn e is'haaq, Ibn e hishaam) waghairah me naql hui hain, ke mutaabiq Allah Ke Rasool ﷺ ne Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ko yaman me maal ko taqseem karne aur us me se khumus wusool kar ke laane ke liye Sahaaba ki ek jama'at par ameer bana kar bheja tha. Wapisi me kucch waqiaat aise huye ke log Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se bad dil aur mutanaffar ho gaye aur unho ne Allah k Rasool ﷺ ko Hazrat Ali ki shikayaat lagayi to Aap ﷺ ne jab logon k dil me Hazrat Ali ke liye ranjish dekhi to ghadeer e khum par khutba diya...
Saheeh bukhaari ki riwaayat ke mutaabiq ba'z sahaaba ko ye aitraaz tha ke yaman se jo maal mila hai us me khumus me se Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne apne liye sab se behtareen laundi rakh li thi.  Hazrat bureda رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne wapisi par aap ﷺ se is ki shikaayat ki to aap ne pooccha: Aye Bureda رضـــي الله تعـــالى عنــــه, kya aap Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se ranjish rakhte hain to unho ne kaha: Haan, To aap ﷺ ne farmaaya ke aisa na karen ke Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ke liye khumus me is se bhi ziyada hissa hai jo unho ne rakh liye hai...
Seerat e ibn e is'haaq k mutaabiq yaman se wapisi par Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne ek shakhs ko qaafile ka ameer banaaya aur khud makkah ki taraf jaldi ki taake aap ﷺ k sath hajjat ul wada'a me shareek ho saken.
Ab jis shakhs ko Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne ameer banaaya tha un ne sab ko sadqe k maal me se qeemti chaadaren pahenne ka hukm diya taake makkah me dakhil hote waqt musalmaan un ka istiqbaal karen to khush hon.
Idhar Haraz Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه hajj se faarigh hotehi qaafile ki taraf nikle ke makkah me un ke sath daakhil hon lekin jab un ko chaadaren pahene dekha to daa'nta ke jis se bahot se log naaraz ho gaye...
Dalaail un nubuwwa ki riwaayat ke mutaabiq yaman se wapisi par logon ne Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه se kaha tha ke hamare unt thak gaye hain lihaaza hame sadqa k unto par sawaari ki ijaazat den to Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne sakhti se inkaar kar diya. Is se logon ko ranjish paida hui aur Hazrat Abu Saeed Khudri رضـــي الله تعـــالى عنــــه ne wapisi par Aap ﷺ se shikaayat ki to aap ﷺ ne un ki baat darmiyaan me kaat'te huye kaha ke thaher jaayen, Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ki sakhti aur daa'nt dapat Allah ki raah me thi. Abu saeed khudri رضـــي الله تعـــالى عنــــه kehte hain ke is ke bad maine un se kabhi ranjish mehsoos na ki....
Pas is qism k waqiaat me jab Allah Ke Rasool ﷺ ne ba'z sahaaba ke dilo me Hazrat Ali رضـــي الله تعـــالى عنــــه ke baare me ranjish mehsoos ki to wapisi par ghadeer e khum par khutba diya aur ahle bait se mahabbat rakhne ka hukm diya k jise ba'z jaahilo ne un ki imaamat aur khilaafat ka hukm samajh liya aur shaikhain ko ghaasib qaraar de kar apni aaqibat kharab karne lage...
Is khutbe me jo baate naql hui, un ka khulaasa ye hai ke aap ﷺ ne ye farmaya ke jis ka mai Maula hu Ali us ka Maula hai. Yani mai jis ka Mahboob hu Ali us ka Mahboob hai. Jo mujh se Mahabbat ka da'wa rakhta hai wo Ali se bhi Mahabbat rakhe. Jo mujhe Mahboob rakhta hai wo Ali Ko bhi Mahboob bana le.. Aur doosra ye farmaya ke dekho, mai apne ahl e bait ke baare me tumhe Allah se daraata hu Yani un se ziyaadati na karna un se dushmani aur adaawat na rakhna.  Pas Ahl e bait se dushmani aur adaawat rakhna aur un se zulm o ziyaadati karna ye imaan ki munafi hai.. Allah samajh ataa farmaye Aur Hame Ahl e Sunnat o Jmaat Ke Tareeqe Yaani Maslak e Ala Hazrat par Qaayem Rakhe.Ameen Ya Rabbal Alamin

[Ba Hawala :- Sahi Bukhari , Sahi Muslim,Ibn e Maajah, Tarikh ibn e hisham, seerat e ibn e is'haq,  dalaailun Nubuwwah, wagairah ]

📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri
_Khadim  Ridawi Amjadi Darul Ifta 48/crystal house Masjid Street Bhindi Bazar, Mumbai 400003._

4 comments: