Gazwah E Uhad Sharif


السلام علیکم ورحمت اللہ وبرکاتہ
اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
On The Occasion Of 15th Shawwal Mukarram In Rememberance To The Ghazwaye Uhud,
I'm Delighted To Pay A Humble Tribute To The Shuhadaaye Kiraam.
May Almighty Allah Through The Wasila of Sarkaar ﷺ Accept It.Aameen.





*Hazrat Hamzah Radiallahu Ta'la Anhu Ki Shahaadat:*
Ghazwaye Uhud Mein 70 Sahaabaye Kiraam Shaheed Huwe,Aur Sarkar Kaynaat ﷺ Ke Chacha Hazrat Hamzah Radiallahu Anhu Ki Bhi Shahaadat Isi Jang Mein Huwi. Iski Tafseel Yeh Hai-
Aap Ek Safe Shikan Bahaadur They,Jange Badr Mein Aap Ke Haathon Bahot Se Kaafir Maare Gaye. Tu'aymah Bin 'Adi Aur Zaujaye Abu Sufiyaan Hindah Ka Baap Utbah Dono Unhein Ke Haathon Maare Gaye. Jabeer Bin Muta'm Jo Tu'aymah Bin 'Adi Ka Bhateeja Tha. Usne Apne Habshi Ghulaam Se Kaha Ki Agar Tum Hamzah Ko Qatl Kardo To Mein Tumhein Aazaad Kardunga. Aur Hindah Ne Bhi Usse Wa'da Kiya Keh Agar Tum Hamzah Ko Qatl Kardo To Mein Tumhein Ina'm Wa Ikraam Se Nawazungi. Woh Wahshi Neyzaazani Mein Kamaal Ki Maharat Rakhta Tha.
Saheeh Bukhari Mein Wahshi Se Ek Riwayat Hai Ki Ma'rkah Uhud Mey Meine Hamzah Ko Dekha Jo Sher Ki Tarha Hamla Kar Rahey Hain, Aur Meri Taraf Badhte Chale Aarahe Hain. Mein Bhaaga Aur Katraake Ek Paththar Ke Aad Mein Chup Gaya. Unhone Mujhe Nahin Dekha, Jab Mere Maqabil Pohnche To Mein Ne Usi Kameen Se Apna Harbah Phenk Kar Maara. Jisse UnKi Naaf Mubarak Ke Neeche Zakham Aagaya. Woh Meri Taraf Jhapte Do-Chaar Qadam Chal Kar Gir Gaye. Meine Samajh Liya Ki Zakham Kaam Kar Gaya. Phir Mein Ne Qareeb Jaakar Apna Harbah Nikaal Liya. Aapke Qatl Ki Khabar Paakar Hindah Bohot Khush Huwi. Aur Laash Mubarak Ke Paas Jaakar Aapki Naak Mubarak Kaat Liye Aur Itne Hi Par Bas Nahin Balki Aap Ka Shikam Chaak Karke Kalejah Nikaala Aur Chabaaya.

_Unke Aage Woh Hamzah Ki Jaanbaaziya(n);_
_Shere Ghurrane Satvat Pe Laakhon Salam._

*Fazeelat Shohadaaye Uhud:*
Shohadaaye Uhud  Ke Baare Mein Parwardigaare Aalam Ne Irshaad Farmaaya Keh Woh Allah Ke Nazdeek Zindah Hain Inhein Murdah Na Samjho, Woh Khudaaye Ta'la Ke Paas Se Rizq Bhi Paatey Hain Aur Allah Ta'la Ki A'ta Kardah Neymaton Se Khush Hote Hain.
Hadees Sahih Mein Hai Ki Allah Ta'la Ne Shohada Ki Ruhon Ko Jo Arsh Ke Zere Saayah Sone Ki Qindeelon Mein Raat Guzaarti Hain Inhein Sabz Parindon Ke Qaalb Mein Rakh Kar Ijaazat Dedi Hai Keh Woh Bahisht Mein Jahaan Chaahein Sayr Karein, Jo Chahein Khaayein.
Aur Hadees Sahih Mein Hai Keh Allah Ta'la Ne Shohada Ko Apne Paas Bulaakar Unse Kalaam Kiya. Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu Ke Waalid Maajid Abdullah Se Bil'Mushaafeha (Saamne)Kalaam Farmaya Aur Farmaaya Ki Tumhein Kisi Cheez Ki Khwaahish Ho To Bayaan Karo,Tumhein Di Jayegi. Unhone Arz Kiya Keh Hamein Jannat Ki Saari Neymatein Milti Hain. Unke Maqaable Mein Ab Kya Cheez Ki Khwahish Ho Sakti Hai. Ek Baat Ki Albatta Khwaahish Hai Keh Ham Dunya Mein Phir Bheje Jayein Aur Tere Liye Phir Shaheed Hon. Allah Ta'la Ne Farmaaya Keh Dunya Mein Dubaarah Jaana Mumkin Nahein, Isliye Tumhari Yeh Aarzoo Poori Nahi Hogi. Iske Baad Unhone Arz Kiya Keh Jab Baat Aesi Hai To Kam Se Kam Hamara Haal Hamare Bhaayon Tak Pohnchaa Diya Jaye. Tab Allah Ta'la Ne Yeh Aayatein Naazil Farmaayein.

TARJAMAH: _Aur Jo Allah Ki Raah Mein Maare Gaye Hargiz Unhein_ _Murdah Khayaal Na Karna Balkeh Woh Apne Rab Ke Paas Zindah Hain. Rozi Paatey Hain._ _Shaad Hain Uspar Jo Allah Ne Unhein Apne Fazl Se Diya. Aur Khushiyan Mana Rahe Hain._ _Apne Pichlon Ki Jo Abhi Inse Mile Keh Unpar Na Kuch Andesha Hai Aur Na Kuch Gham._ (Kanzul Imaan آل عمران 169-170)

_Tu Zindah Hai Wallah,Tu Zindah Hai Wallah;_
_Meri Chashme Aalam Se Chup Jaaney Waale._

*Ek Ghalat Fehmi Ka Izaalah:*
Yeh Jo Awaam Mein Mashhoor Hai Ke 14wi Shabaan(Jiski Baad Wali Raat Mein Shabe Baraat Hai) Ko Ghazwaye Uhud Waqay Huwa Tha. Aur Aap ﷺ Ne Daant Tutne Ki Wajah Se Usdin Halwah Tanawal Farmaya Tha Yeh Saraasar Ghalat Hai. Kisi Maurrikh Ne Yeh Baat Nahi Likhi Hai. Balkeh Yeh Ghazwah 7wi Ya 11wi Shawwal Ko Waqay Huwa.
واللہ و رسول ﷺ اعلم۔
 Albattah Aaqa ﷺ Ne Shabe Baraat Mein Shohadaaye Uhud Ke Liye Astaghfaar Kiya Hai. Aur Ahle Baqee' Ke Liye Bhi Astaghfaar Kiya Hai. To Rasul Allah ﷺ Ke Is Mubrak 'Amal Se Saabit Huwa Ki Shabe Baraat Mein Shohadaye Uhud Aur Deegar Marhoomeen Ke Liye Astaghfaar Karna Aur Unko Sawab Pohnchaana Sunnat Ke Mutaabiq Hai.
واللہ و رسول ﷺ اعلم۔
_Jaan Nisaarane Badro Uhud Par Durood;_
_Haq Guzaarane Baiyat Pe Laakho Salam._

[Ref:Tawaarikhe Habibe Ilah ﷺ pg. 63-67]

Share By:-
Azhari Ⓜ ission ™


No comments:

Post a Comment