اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ
*SARA-PAAYE MUSTAFA ﷺ*
Durood Sharif Padhne Wala Agar Nabi Kareem ﷺ Ke Hulya Mubarak Ke Baare Mey Jaanta Ho Aur Phir Isi Tasawwur Se Durood Sharif Padhey To Us Ka Kaif O Saroor Hi Niraala Hai.Yaha Nabi ﷺ Ke Mukhtasar Hulya Mubarak Ka Bayan Kartey Hai:
*Qad Mubarak*
Hazrat Hind Bin Abi Haala Radiallahu Anhu Qade Anwar Ke I'tedlaal(Darmyani Darja) Ko Yun Bayaan Kartey Hai:

Aap ﷺ Ka Tamaam Jism Nihayat Hi Mu'tadil Tha. Tamaam A'za Kaamil The,Gosht Se Pur Hone Ke Baawajud Un Mey Dhilaapan Na Tha. Qad E Anwar I'tedlaal Ke Saath Daraaz Tha, Na Hi Past Tha Aur Na Hi Zyada Dubla Patla.(Shumaayle Tirmizi)
Aap ﷺ Ka Qad Mubarak Na Bohot Buland Tha Na Bilkul Kotaah Magar Jab Aap ﷺ Logo Ke Darmyaan Chaltey To Unsey Buland Nazar Aatey.
_Qad Besaaya Ke Saayae Marhamat;_
_Zille Mamdoode Raafat Pe Laakho Salaam._

*Jism E At-har Ki Rang*
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Aap ﷺ Ke Jism E At-har Ka Rang Nihayat Hi Khush Numa Tha.(Bukhari)
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Bayan Karte Hai Ki Rasool ﷺ Ka Rang Mubarak Safed Tha. Yun Lagta Tha Ki Goya Aap ﷺ Ka Jism E At-har Chaandi Mey Dhaala Gaya Hai.(Shumaayle Tirmizi)
Aap ﷺ Ki Rangat Safed Thi. Hazrat Faarooqe A'zam Radiallahu Anhu Aur Deegar Sahaabaye Keraam Farmaatey Hai Ki Aap ﷺ Ka Rang Safedi Aur Surkhi Rang Ka Haseen Imtezaaj Tha.(Sablul Huda)
_Jisse Taarik Dil Jagmagaane Lage;_
_Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho Salam._

*HUSN MUBARAK*
Hazrat Anas, Hazrat baraa Bin A'zib, Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhum Farmaatey Hai Ham Ne Badi Badi Haseen Chizein Dekhien Magar Aap ﷺ Se Badh Kar Koi Haseen Nahi Dekha.
Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu Farmaatey Hai Aap ﷺ Ka Chehrae Aqdas Chaand Se Zyada Raoshan Aur Pur Noor Tha.(Tirmizi)

*SARE ANWAR*
Aap ﷺ Ka Sare Anwar Chota Nahi Tha Balki Maozoniyat(Durust Hona) Ke Saath Bada Tha.(Masnad Ahmad)
_Jiske Aage Sare Sarwaraa Kham Rahein;_
_Us Sare Taaje Rifa't Pe Laakho Salaam._

*MOYE MUBARAK*
Aapﷺ Ke Baal Mubarak Gahre Siyaah The.(Ibne A'sakar)
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Bayaan Farmaatey Hai Aap ﷺ Ke Baal Mubarak Qadre Ghunghryale The, Na Bilkul Seedhe Aur Na Bilkul Pechdaar.
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Aap ﷺ Ki Zulfey Kundal Waali Thi.(Tirmizi)
Aap ﷺ Ke Moye Mubarak Siyaah Khamdaar The. Aap ﷺ Ki Zulfey Itni Daraaz Hotein Ki Kandho Tak Pohochti Thein Ba'z Auqaat Kaandho Tak Ba'z Dafa' Kaano Ki Lao Tak Ba'z Dafa' Kaano Se Kuch Neeche Tak Hotein. Aap ﷺ Tel Lagaatey Aur Seedhi Maang Nikaaltey.
_Woh Karam Ki Ghata Gaysue Mushk Sa;_
_Lukkaye Abre Rafat Pe Laakho Salam._
_Laylatul Qadr Mey Matla'il Fajre Haq;_
_Maang Ki Isteqaamat Pe Laakho Salam._

*PESHAANI MUBARAK*
Aap ﷺ Ki Peshaani Aqas Kushada Thi.(Tirmizi)

*GOSH(Kaan) MUBARAK*
Sayyida Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Bayaan Karti Hai:
Aapﷺ Ki Mubarak Zulfo Ke Darmyaan Dono Safed Kaan Yun Mahsoos Hotey Jaise Taariki Mey Do Chamakdaar Sitaarey Tulu' Ho.(Ibne Akaasir)
_Duro Nazdeek Ke Sunne Waale Woh Kaan;_
_Kaan La'le Karaamat Pe Laakho Salaam._

*ABRU MUBARAK*
Hazrat Hind Bin Abi Haala Bayan Kartey Hai. Aap ﷺ Ke Abru Mubarak Kamaan Ki Tarha Khameeda Lambe Aur Baareek They. Dono Abruon Ke Darmyaan Rag Thi Jo Haalate Ghussa Mey Ubhar Aati.(Al-Wafa Ba-Ahwaal Ul Mustafa)
_Tere Abru Ke Tasadduq Pyare;_
_Band Kurrey Hai Giriftaaro Ke._
_Chashmaye Mehr Mey Mauj Noore Jalaal;_
_Us Rage Haashmiyat Pe Laakho Salaam._
_Jiske Maathe Shafa't Ka Sehra Raha;_
_Us Jabeene Sa'dat Pe Laakho Salam._

*MUBARAK AANKHEY*
Hazrat Umar Aur Hazrat Ali Radiallahu Anhuma Farmaatey Hai Aap ﷺ Ki Aankhein Kushaada Aur Khoob Syaah Thi.(Dalaayl Ul Nabwah)
Hazrat Jaabir Bin Samorah Radiallahu Anhu Bayaan Kartey Hai Ki Aap ﷺ Ki Aankho Ke Safed Hisse Mey Surkh Dorey They.(Tirmizi)
_Unki Aankho Pe Woh Sayaa Figan Miza;_
_Zullaye Qasre Rehmat Pe Laakho Salam._

*MUQADDAS PALKEIN*
Sayyeda Abu Huraira Radiallahu Anhu Bayaan Kartey Hai Aap ﷺ Ki Palkein Nihayat Lambi Thi.

*NAAK MUBARAK*
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Bayaan Kartey Hai Aap ﷺ Ki Naak Mubarak Husn Tanaasub Ke Sāth Bārik Thi.

*RUKHSAAR MUBARAK*
Aap ﷺ Ke Rukhsaar Mubarak Safed Aur Chamakdaar They.(Ibne A'kasir)
_Jinke Aage Chiraaghe Qamar Jhilmilaye;_
_Un A'zaaro Ki Tal-at Pe Laakho Salam._

*HONTH MUBARAK*
Imaam Tibrāni Farmaatey Hai Ki Aap ﷺ Ke Honth Mubarak Allah Ke Tamaam Bando Se Khubsoorat The.
_Woh Dahen Jiski Har Baat Wahi E Khuda;_
_Chashmaye Ilmo Hikmat Pe Laakho Salaam._

*DANDAANE MUBARAK*
Wasāfe Nabi Hazrat Hind Ibne Abi Haala Radiallahu Anhu Bayaan Kartey Hai Aap ﷺ Ke Mubarak Daant Nihayat Safed Aur Chamakdaar They Tabassum Ke Waqt Aolo Ki Tarha Dikhayi Detey.(Al-Wafa)

*REESH MUBARAK*
Daadhi Sharif Ghani Aur Siyah Thi Aur Nihayat Khubsoorat Thi Aur Seena mubarak Ko Pur Kiye Hue Thi.
_Reesh Khush Mu'tadil Marham Reshe Dil;_
_Haala Maahe Nudrat Pe Laakho Salam._

*CHEHRA MUBARAK*
Sayyedena Abu Bakr Radiallahu Anhu Bayaan Kartey Hai Aap ﷺ Ka Chehra Mubarak Chānd Ke Haale Ki Tarha Tha.Sayyedena Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmātey Hai Aap ﷺ Ka Chehra Mubarak Gol Tha.(Tirmizi.Sabl Ul Huda)
_Jiske Jalwe Se Murjhaayi Kaliya Khilein;_
_Us Gule Paake Mambat Pe Laakho Salaam._

*GARDAN MUBARAK*
Gardan Mubarak Qadre Daraaz Thi.(Dalāyl Ul Nabuwat)
Hazrat Umar Farooq Aur Hazrat Ali Radiallahu Anhuma Bayaan Farmaatey Hai Ki Aap ﷺ Ki Gardan Mubarak Chaandi Ki Suraahi Ki Maanind Thi.(Sabl Ul Huda)
_Jisme Nehrein Hai Sheero Shakar  Ki Rawan;_
_Us Galey Ki Nazaarat Pe Laakho Salam._

*KANDHEY MUBARAK*
Aap ﷺ Ke Kandhey Mubarak Khoobsurat Aur Mazboot They.Sayyeda Abu Huraira Radiallahu Anhu Farmaatey Hai Jab Kabhi Nabi ﷺ Kandho Se Kapda Hataatey To Woh Chaandi Ke Dalo(Tukdo) Ki Surat Dikhayi Dete.
_Dosh Bar Dosh Hai Jinse Shaane Sharaf;_
_Aese Shaano Ki Shaokat Pe Laakho Salaam._

*MOHR E NABUWAT*
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmatey Hai Ki Aap ﷺ Ke Dono Shaano Ke Darmyaan Mohr E Nabuwat Thi Aur Aap Nabiyo Ko Khatam Karne Wale The(Yaani Aakhri Nabi Hai)...(Shumayle Tirmizi)
_Hajre Aswad O Ka'bae Jaano Dil;_
_Yaani Mahre Nabuwat Pe Laakho Salam._
*BAAZU MUBARAK*
Baazu Mubarak Nihayat Safed They. Kalaaiyan Mubarak Taweel Thi Aur Kalaayon Pe Baal Mubarak The.
_Jisko Baare Do Aalam Ki Parwaah Nahi;_
_Aese Baazu Ki Quwwat Pe Laakho Salam._

*HAATH MUBARAK*
Khubsoorat Resham Se Zyada Narm Aur Khushboodaar They. Sayyeda Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Bayan Karti Hai Aap ﷺ Ke Haath Mubarak Resham Se Bhi Zyada Narm They.(Abu Na'im)
Hatheliyan Mubarak Pur Gosht Aur Kushada Thi. Ungliya Mubarak Lambi Aur Khoobsoorat Thi.
_Haath Jis Taraf Utha Ghani Kardiya;_
_Mauje Bahre Samahat Pe Laakho Salam._
_Noor Ke Chashme Lehraayen Darya Bahein;_
_Ungliyo Ki Karaamat Pe Laakho Salam._


*SEENA AQDAS*
Seena Mubarak Kushada Aur I'tedaal Ke Saath faraakh Tha.(Shumayle Tirmizi)
_Raf'e Zikre Jalaalat Pe Arfa' Durood;_
_Shar-he Sadre Sadaarat Pe Laakho Salam._

*SHIKAM MUBARAK*
Aap ﷺ Ka Shikam Mubarak Badha Huwa Nahi Tha. Batan Mubarak Seena Aqdas Ke Baraabar Tha.(Tirmizi)
_Kul Jahaa Mulk Aur Jao Ki Roti Ghiza;_
_Us Shikam Ki Qana't Pe Laakho Salam._

*PINDALIYAN(Shank) MUBARAK*
Pindaliyan Mubarak Zakheem(Farba,Mota) Nahi Balki Maozuniyat Ke Saath Patli Thi.(Tirmizi)
_Saaq Asle Qadam Shaakh Nakhle Karam;_
_Shama' Raahe Asaabat Pe Laakho Salam._

*QADMAYEN SHARIFAYEN*
Qadam Sharif Chotey Na They Balki Dono Paao Mubarak Mutanasub Aur Pur Gosht They. Ungliyan Mubarak Lambi Aur Khubsoorat Thi.
Hazrat Abdullah Bin Burayda Radiallahu Anhu Bayan Kartey Hai Ki Aap ﷺ Ke Paaye Mubarak Tamaam Insaano Se Khubsoorat They.(Shumayle Tirmizi)
_Khaayi Quraan Ney Khaake Guzar Ki Qasam;_
_Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salam._

اللھم صل علی محمد وعلی آلہ وسلم ﷺ

Extracted From:
*_Sharhe Kalame Raza._*

Talib e Dua
_~Atae Ishqe RAZA._

No comments:

Post a Comment