AssalamuÀlaikum
Huzur sallallahu tàala àlaihi wasallam ka Chehra e Mubarak:

▪Allama Ismaeel Haqqi alaihir rehma Tafseer Roohul Bayan me Surah Duha ki ibtedayi aayat ke mutalliq farmate haiñ, "Wadduha' se aap ke chaand jese Chehre ki taraf ishara hai aur 'Wal Lail' se Aap ki kaali Zulfeiñ muraad haiñ".

▪Hazrat Anas radiyallahu tàala Anhu farmate haiñ," ayyame wisaal me jab Sahaba Hazrat Abu bakar siddiq radiyallahu tàala ànhu ki Imamat me Namaz ada kar rahe they, achanak Huzur sallallahu tàala àlaihi wasallam ne apne hujra e mubarak ka parda uthaya aur apney ghulamo ki taraf dekha to humey yuñ mehsus huwa, goya Huzur ka Chehra e Anwar Quran ka waraq hai". ( Sahih Bukhari)
▪Huzur sallallahu tàala àlaihi wasallam ne farmaya, "Jis ne khwaab me Mujhey dekha oos ne Mujhey hi dekha kyun ke shaitan Meri Surat ikhtiyar nahi kar sakta.
(Sahih Bukhari)
▪Huzur Sallallahu tàala àlaihi wasallam farmate haiñ, "Jis ne Mujhey dekha yaqinan oos ne Haqq Tàala ko dekha".
(Sahih Bukhari)
▪Hazrat Abu Hurairah radiyallahu tàala anhu farmate haiñ, "main ne aaj tak kahi bhi koi aisi cheez nahi dekhi jo Allah ke Rasool sallallahu tàala àlaihi wasallam sey ziyada haseen ho, yuñ màlum hota tha ke Suraj Huzur ke Chehra e Aqdas me ghoom raha ho". (Sunan Tirmizi)

Woh Kamaale Husne Huzur hai ke Gumaane Naqs jahañ nahi,
Yahi Phool khaar se door hai Yahi Shama hai ke dhuwa nahi.

Note:
*Durud o salaam ka wird jaari rakheiñ*

No comments:

Post a Comment