AssalamuÀlaikum
Huzur sallallahu tàala àlaihi wasallam ka zaahiri Husn o Jamaal:

▪Hazrat Anas bin Maalik radiyallahu tàala ànhu farmate haiñ, " Rasulullah sallallahu tàala àlaihi wasallam ka Sar e Aqdas mauzooniyat ke saath bada tha.



▪Rasulullah sallallahu tàala àlaihi wasallam ka Sar mubarak na bahut chhota tha aur na hi bahut bada, oos ki zakhaamat bhi badi munasib miqdar me thi jo Aap ke Husn ko do bala karti thi.

▪Allama Jalaluddin Siyuti farmate haiñ, " Sar e Aqdas ka bada hona Sanjidgi aur Waqaar ki dalil hai.

▪Abdullah bin Sayeed Makki farmate haiñ," Sare Aqdas ka bada hona Dimaagi quwwat ke kaamil hone ke saath saath Sardaare Qaum hone ki bhi dalil hai.
is sey pata chala Aaqa kareem sallallahu tàala àlaihi wasallam ke Sar e Aqdas ka bada hona Sanjidgi, Waqaar, Mataanat aur Dimaagi quwwat ke kamaal ki alamat hai aur Sardari ki nishani hai.

Jis ke aage Sar e Sarwarañ Kham raheiñ,
oos Sar e Taaj e Rifàt pe Laakho Salaam

No comments:

Post a Comment