Sawaal:
Month of Safar has begun. Huzoor(sallallahu alaihi wasallam) said that in safar maximum calamities and troubles come down.

For hifaazat please pray YA BASITU YA HAFIZU 11 times after all Namaaz!!!!

🔜 pass this info to all ur family and friends so that they too can benefit from it!!!!!!
Ya  basitu  ya  hafizu.

👆👆👆kya ye msg sahi hai?
Rehnumaayi farmayein..

Jawaab:
Safar dosra Islami Maheena hai ... Ahadees me Ise Manhoos ya bimaari wala maheena kehne ki mumaana't aayi hai ..

Rasoolullah ﷺ irshad farmaate hain k Chhoone wali bimari, parinda(ullu), aur safar ki nahusat koi cheez nahi Allah ne har jaan paida ki hai usi ne us ki zindagi us ke masaaib aur uska rizq likha..

Hadrat Shah Abdul Haq Muhaddis e Dehlwi Alaihir rahmah farmaate hain " log yahi samajhte hain ke is maheene me hawaadis, Aafaten aur balaayen naazil hoti hain ye Aqeeda bilkul galat hai aur is ki koi Asl nahi hai(Ashi'atul Lam'aat)

Mazkoora Hadees se ye sabit hua ke Safar ke Maheene ko nahusat wala maheena kehna galat hai,  Sarkar ﷺ ne is maah ki nahusat ki nafi farmaayi hai ...

Lehaaza Awam e Ahl e Sunnat ko is Galat aqeede se bachna chahiye...

Ap is baat ko sochen ke jis maah e sfar ko Sahabi e Rasool Hadrat Abdur Rahman bin Auf se nisbat ho, Hadrat Data Ali hijweri se nisbat ho, Mujaddid e alf e saani se nisbat ho, Sayyedi Alahadrat se nisbat ho ... jis maah ko itne Azeem Awliya o sufiya e kiraam se nisbat ho wo maheena kaise manhoos ho sakta hai?

Ye sab baaten mahez Tawahhumaat par mushtamil hain aur in ki haqeeqat maa siwa e afsaanwi rang o roop ke kuch nahi...

Na kisi maheene me nahoosat hai, na kisi taarikh me aur na hi din me ..

Maheena, din, raat banane wali zaat Allah kareem ki hai aur nahoosat to hamaare a'maal ki bina par hoti hai..

Tafseer e Roohul Ma'ani me hai ke Agar dino me nahoosat hoti to qaum e Aad par musalsal 7 din Azab e ilaahi naazil hota raha to is hisab se kya hafte ke saato din manhoos maan liye jaayen?

Agar dino ka koi asar hai bhi to wo Hukm e Khuda se hai, lehaaza un ke liye mustaqil taur par taseer ka qaayel shirk ke Ghade me dafn kar deta hai..

Un waaqi'at ko jo aksar auqaat insan ke bure A'maal ka kaffara hote hain unhe dino ki taseer ya unki nahoosat nahi jaanna chahiye ..

Hame is baat ka khayal rakhna chahiye ke har masla Ulama e Ahl e Sunnat se Ma'loom karen Taake wo Ap ko Qur'an o Hadees ki roshni me jawab den, phir us jawab ko tasleem karen isi me Deen o dunia ki bhalaai hai...

Akhir me Rahi baat Asmaa e Husna ke Wazeefe ki to ye Be shak baa'is e khair o barkat hai .... Magar Nahusat waale Maheene ki Hadees Ko Muhaddiseen ne Mauzu (man ghadat) qarar diya hai ...

Allah Ta'ala hum sab ko apne Deen ka Ilm hasil karne aur Deen ko Samajhne ki taufeeq ataa farmaaye ..

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

📝 مقصــــود اختــر القـــادری
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

📝 (Mufti)Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

No comments:

Post a Comment