*Post No:17*

*_Ilm e Ghaib e Mustafa Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam_*

_Ayat:9_

*Tarjuma:Aur Isi Tarah Hum Ibrahim Ko Dikhate Hai,Sari Baadshahi Asamanon Zameen Ki.*

*_{Parah:7,Surah:6,Surah An-aam,Ayat:75}_*


_Tafseer E Khaazin Me Hai_

*Tarjuma:Hazrat Ibrahim(Alehsallam) Ko Sehra Par Khada Kiya Gaya,Aur Unke Liye Asmaan Khol Diye Gaye,Yaha Tak Ke Unhone Arsh O Kursi Aur Jo Kuch Asmaanon Me Hai Sab Dehk Liya,Apke Liye Zameen Khol Di Gayi,Yaha Tak Ke Inhone Zameenon Ke Niche Zameen Aur Unke Ajaibaat Ko Dehk Liya Jo Zameenon Me Hai.*

*_{La Baab Taaweel Fil Tanzeel,Al Ma'aroof, Tafseer E Khaazin,Jild:2,Page:126,Matboo'a Darul Kutoob Ilmiya,Beroot}_*

_Tafseer E Madarik Me Is Ayat Ke Ma Tahet Hai_

*Tarjuma:Mujaahid Ne Hzarat E Ibrahim(Alehsallam) Ke Liye Saaton(7) Asmaan Khol Diye Gaye Aur Unhone  Dehk Liya,Jo Kuch Asmaanon Me Hai,Yaha Tak Ke Unki Nazar Arsh Tak Pauch Gayi,Aur Unke Liye Saat(7) Zameen Gayi Ke Unhone Wo Cheez Dehk Li Jo Zameenon Me Hai*

*_{Tafseer E Madarik,Jild:1,Page:373,Matboo'a Maktabul  Qur'an,Peshawar}_*

_Rooh Ur Bayan Me Is Ayat Ke Ma Tahet Hai_

*Tarjuma:Ibrahim(Alehsallam) Ko Asman Aur Zameen Ke Ajaibaat Aur Garaebaat Dikhaye Gaye,Aur Arsh Ki Bulandi Se Teht-Suri Tak Khol Diye Gaye*

*_{Tafseer E Rooh Ur  Bayan,Jild:3,Page:72,Matboo'a,Darul Haya, Beroot}_*

_Tafseer Ibne Jareer-Abi-Hatim Me Hai_

*Tarjuma:Hazrat E Ibrahim Pe Khuli Posheedah Tamaam Cheezen Khul Gayi,Pas In Par Mahklooq Ke Amal Me Se Bhi Kuch Posheedah Na Raha*

*_{Jame - Ul - Bayaan - Fi Tafseer Ul Qur'an,Al Ma'aroof Tafseer E Tibri,Safah:246,Matboo'a Darul Haya,Beroot}_*


~To Be Continued ~

Book:Ilm E Gaib 

_Allah Azzawajjal Ki Bargah Me Dua Hai Lihkne Me Koi Galti Hui Ho Kaisi Bhi Use Maaf Farmaye Hume Deeni Khidmat Pesh Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye_


Share By~~~
_AZHARI MISSION TEAM_



Join Our Whatsap Group
~~~~~Azhari Mission~~~~

Atiq Husain Khan Qadri Chisty
Number: +966 50 797 6248

Mubasshir Qadri Razvi Noori
Number: +91 9167076626



No comments:

Post a Comment