*Post No:16*

*_Ilm e Ghaib e Mustafa Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam_*

_Ayat:8(Continued Post)_

*Tarjuma:Aur Use Apna Ilm e Ladunni Ata Kiya,(Yani Hazrat E Khizr Aleh Sallam Ko)*

*_{Parah:15,Surah:18,Surah Kahf,Ayat:65}_*


_Tafseer E Madarik Me Hai_

*Tarjuma:Yani Hazrat E Khizr Ko Gaib Ki Khabrein Di,Aur Kaha Gaya Ilm E Ladunni Wo Hota Hai,Jo Bandey Ko Ilhaam  Ke Tareeqey Par Hasil Ho*

*_{Tafseer E Madaarik,Jild:2,Safa:22,Matboo'a Maktabul Qur'an, Peshaawar}_*

_Tafseer e khaazain Me Is Ayat Ke Ma Tahet Hai Ki_

*Tarjuma:Yani Hazrat E Khizr Ko Ilm E Baatin Ilhaam Ke Tareeqe Par Ata Farmaya*

*```In Ayat o Tafseeri Ibaraton Se Maloom Hua Keh Rab Tala Ne Hazrat E Khizr Alehsallam Ko Bhi Ilm E Gaib Ata Farmaya Jis Se Ye Laazim Aya Huzoor E Aqdas Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam Ko Bhi Ilm E Ghaib Ata Hua Q Ki Aap Tamam Mahklooqat E Ilahi Me Sab Se Zayda Afzal O Aalim Hai(Yani Ilm Wale)Hai Aur Hazrat Khizr Alehsallam Bhi Mahklooq Hai```*


~To Be Continued ~

Book:Ilm E Gaib 

_Allah Azzawajjal Ki Bargah Me Dua Hai Lihkne Me Koi Galti Hui Ho Kaisi Bhi Use Maaf Farmaye Hume Deeni Khidmat Pesh Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye_


Share By~~~
_AZHARI MISSION TEAM_

Join Our Whatsap Group
~~~~~Azhari Mission~~~~

Atiq Husain Khan Qadri Chisty
Number: +966 50 797 6248

Mubasshir Qadri Razvi Noori
Number: +91 9167076626


No comments:

Post a Comment