*Post No:2*

*_Ilm e Ghaib e Mustafa Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam_*

_Is Dusre Ghaib Ko Mafateh Al Ghaib Kaha Jata Hai_

Ek Ayat Hai Quraan Ki 
*(Parah:29,Surah:72,Ayat:26,27)*

_Uski Tafseer Bezaawi Me Isi Ayat Ke Tehet Gaib Ki Kuch Yun  Tareef Ki Gayi Hai_


*"Gaib Se Muraad  Wo Chupi Hui  Cheez Hai Jisko Hawaas Na Pa saken  Aur Na Badhatan Usko Aqal Chahe"*

_Tafseer Kabeer Ki Surah Baqar Me Shuru Me Is Ayat Ke Tehet Hai_

*"Aam Mufassireen Ka Qaul Hai Ki,Gaib Wo Hai,Jo Hawaas Se Chupa Ho,Phir Gaib Ki 2 Qisme Hoti Hai,Ek To Wo Jis Par Daleel Ho ,Dusri Wo Jis Par Koi  Daleel Nahin"*

_Tafseer Rooh Ur Rehman Me Shuru Surah Baqar  ke Ma Tehet Hai:_
*"Gaib Wo Hai,Jo Hawaas Aur Aqal Se Pura Pura Chupa Ho,Isi Tarah Kisi Zariye Se Bhi  IBTADA'AN,KHULLAM KHULLA NA MALOOM HO SAKE,Gaib Ki 2 Qisme Hai,Ek Wo Jis Par Koi Daleel Na Ho,Wahi Isi Ayat Se Muraad Se Muraad Hai Ki Allah Tala Ke Pass Gaib Ki Kunjiyaan(Chaabiyaan)Hai,Dusri Qisam Wo Jis par Daleel Qaim Ho Jaise Allah Tala Aur Uski Siffaat Wohi Is Jagah Muraad hai"*

[Ye Tamaam Tafseer Is Liye Likhi Hai Taaki Apko Ye Na Lage Maine Gaib Ki Tareef Me Apni Marzee Se Bata Raha Hu Ye Tafseer Mufassireen Se Sabit Hai]

~To Be Continued ~

Book:Ilm E Gaib 

_Allah Azzawajjal Ki Bargah Me Dua Hai Lihkne Me Koi Galti Hui Ho Kaisi Bhi Use Maaf Farmaye Hume Deeni Khidmat Pesh Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye_


Share By~~~
_AZHARI MISSION TEAM_

Join Our Whatsap Group
~~~~~Azhari Mission~~~~

Atiq Husain Khan Qadri Chisty
Number: +966 50 797 6248

Mubasshir Qadri Razvi Noori
Number: +91 9167076626

No comments:

Post a Comment