*"Paighaam E Raza"*


*[Farogh E Ahlesunnat Ki Tadabeer]*
*1.* Azeemushshan Madaaris Kholein Jayein, Ba Qaida Ta'leemein Ho(n).
*2.* Talba Ko Waza'if Milein K Khwaahi Na Khwaahi Garveeda Ho(n).
*3.* Mudarrison Ki Besh Qaraar Tankhwahein Unki
Kaarwa'iyon Par Di Jayein K Laalach Se Jaan Todkar Koshish Karein.
*4.* Taba'i E Talba Ki Jaanch Ho Jo Jis Kaam Ke Zyada Munasib Dekha Jaye Ma'qool Wazeefa Dekar Usmein Lagaya Jaye, Yoon Unmein Kuchh Mudarriseen Banaye Jayein, Kuchh Wa'izeen, Kuchch Musannifeen, Kuchch Munazireen, Phir Tasneef O Munazra Mein Bhi Tauzee' Ho, Koi Kisi Fan Par Koi Kisi Par.
*5.* Unmein Jo Tayyar Hote Jayein Tankhwahein Dekar Mulk Mein Phailaaye Jayein K Tehreeran O Taqreeran O Wa'zan O Munaziratan Ishaa'at E Deen O Mazhab Karein.
Maulana Is Gayi Guzri Haalat Mein To Koi Bafadlihi Ta'ala Aapke Saamne Aa Nahin Sakta, Door Se Ghul Machaate Aur Waqt Par Dum Dabaate Hain,
Jab Aapke Ahle Ilm Yoon Mulk Mein Phailein Us Waqt Kaun Unki Quwwat Ka Saamna Kar Sakta Hai.
*6.* Himayat E (Mazhab) Wa Rad E Bad Mazhaba(n) Mein Mufeed Kutub O Rasa'il Musannifon Ko Nazraane Dekar Tasneef Karaye Jayein.
*7.* Tasneef Shuda Aur Nau Tasneef Rasa'il Umdah Khush Khat Chhaapkar Mulk Mein Muft Sha'i Kiye Jayein.
*8.* Sheharon-Sheharon Aapke Safeer Nigra(n) Rahein, Jahan Jis Qism Ke Wa'iz Ya Munazir Ya Tasneef Ki Haajat Ho Aapko Ittila' Dein, Aap Sarkobi E Aada' Ke Liye Apni Faujein, Magazine, Risaale Bhejte Rahein.
*9.* Jo Hum Mein Qaabil E Kaar Maujood Aur Apni Ma'aash Mein Mashghool Hain, Waza'if Muqarrar Karke Faarighul Baal Banaye Jayein Aur Jis Kaam Mein Unhein Mahaarat Ho, Lagaye Jayein.
*10.* Aapke Mazhabi Akhbaar Sha'i Ho(n) Aur Waqtan Fawaqtan Har Qism Ke Himayat E Mazhab Mein Mazameen Tamaam Mulk Mein Baqeemat O Bilaqeemat Rozana Ya Kam Az Kam Haftawaar Pahunchate Rahein.
*[Fatawa E Razviyah, Vol : 12/12 , Pg:133, and Vol : 29/30 , Pg 598, Raza Academy]*
{27/6/1330 Hijri / 13/6/1912} 

Post Written By
Nabeera e Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddazillahu Aali
Barely Sharif

No comments:

Post a Comment