{Mazaarat Par Haziri Ke Aadaab}

Mazaarat Shareefa Par Hazir Hone Mein Pai'nti Ki Taraf Se Jaye Aur Kam Az Kam 4 Haath Ke Faasle Par Muwajeh Mein Khada Ho Aur Mutawassit Aawaz Ba_Adab Salaam Arz Kare, 

السلام عليك يا سيدى و رحمة الله و بركاته
Phir Durood E Ghausia 3 Baar,
Alhamd Shareef 1 Baar,
Aayatul Kursi 1 Baar,
Surah Ikhlaas 7 Baar,
Phir Durood E Ghausia 7 Baar,
Aur Waqt Fursat De To Surah Yaseen Aur Surah Mulk Bhi Padhkar ALLAH Ta'ala Se Dua Kare K ILAAHI Is Qira'at Par Mujhe Itna Sawaab De Jo Tere Karam Ke Qaabil Hai, Na Utna Jo Mere Amal Ke Qaabil Hai,
Aur Use Meri Taraf Se Is Banda E Maqbool Ko Nazar Pahuncha,
Phir Apna Jo Matlab Ja'iz Shara'i Ho Uske Liye Dua Kare Aur Sahib E Mazaar Ki Rooh Ko ALLAH Ta'ala Ki Baargah Mein Apna Waseela Qaraar De, Phir Usi Tarah Salaam Karke Waapas Aaye,
Mazaar Ko Na Haath Lagaye Na Bosa De, Aur Tawaaf Bil_Ittifaq Naja'iz Aur Sajda Haraam.
[Fatawa Razviyah, 4 Of 12, Pg: 212, Raza Academy]

Post Written By 
Nabeera e Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddazillahu Aa'li
Barely Sharif

No comments:

Post a Comment