'Zaroori Hidayaat'
                         Post 3

3. "Jitni Namazein Qaza Ho Gayi Hain Sabka Aisa Hisab K Takhmeene Mein Baaqi Na Reh Jayein, Zyada Ho Jayein To Harj Nahin Aur Woh Sab
Baqadre Taaqat Rafta-Rafta Nihayat Jald Ada Karein, Kaahili Na Karein K Maut Ka Waqt Ma'loom Nahin Aur Jab Tak Farz Zimme Par Baaqi Hota Hai Koi Nafil Qabool Nahin Kiya Jaata, Qaza Namazein Mut'addid Ho Jayein Maslan 100 Baar Ki Farz Qaza Hai To Har Baar Yoon Niyat Karein K Sab Mein Pehli Woh Fajar Jo Mujhse Qaza Huyi, Ya'ani Jab Ek Ada Huyi To Baaqion Mein Jo Sabse Pehli Hai, Isi Tarah Zohar Waghaira Har Namaz Mein Niyat Karein, Qaza Mein Faqat Farz Aur Witr Ya'ani Har Din Aur Raat Ki 20 Rak'at Ada Ki Jaati Hain."
> {Shajrah E Aaliyah Qadriyah Barkaatiyah Razviyah}


Post Written By
Nabeera E Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddzillahu Aali.

No comments:

Post a Comment