WUZU KA BAYAN Part ~ 05
✴WUZU KA BAYAN ✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 05

🌕Wuzoo me 4 farz hain..

1⃣Muh (CHEHRA) dhona.

2⃣Kohniyon samet 2no hathon ko dhona.


3⃣Sar ka masah karna..

4⃣Takhno samet 2no paao'n ka dhona,

FAIDA :-

💠Kisi Uzw ke dhone ka ma'ani Ye hai ki us Uzw ke har hisse par kam se kam 2, 2 Boondein pani bah jaye,



♻Bheeg jane ya tel ki tarah pani laga lene Ya 1 aadh boond bah jane ko dhona nhi kahenge na wuzoo ya gusl adaa ho,

💠Is baat ka dhyan bahut zaroori hai log iski taraf dhyan nhi dete aur
Namaazein Akaarat jati hain yani barbaad hoti hain,

♻Badan me kuch jagah aisi hain ki jab tak unka khas khayaal na kiya jaye pani nhi bahega jiski tashreeh har Uzw me ki jayegi .

💠Kisi hasad ki jagah par taree pahunchne ko masah kahte hain..

🌕Muh dhona :-

♻Lambaai me shuru
peshaani se (sar me peshaani ki taraf ka woh hissa jahan aam tour par baal jamne shuroo hote hain) thorhi tak aur chourhaai me ek kaan se dusre kaan tak muh hai,

💠Is hadd ke andar chamrhe ke har hisse par ek baar pani bahana farz hai,

MAS'ALA

♻Jiske sar ke agle hisse ke baal gir gaye ya jame nhi us par wahin tak muh dhona farz hai jahan tak aadat ke muwafiq baal hote hain aur agar aadat ke khilaaf kisi ke niche tak baal jame hon to un zyada baalon ka jarh tak dhona farz hai,

💠Moonch, bhawon ya bachchee (Yani wo baal jo neeche hont aur thorhi ke beech hote hain) ke baal aise ghane hon ki khaal bilkul dikhayi na de to chamrhe ko dhona farz nhi, aur agar un jagaho ke baal ghane na hon to dhona farz hai,

♻Agar moonche barhkar labon ko chhupa le to agarche moonch ghani hon unko hata kar lab dhona farz hai,

✴ISI LIYE MUNCHE KATARWANE KA HUQM SHARIYAT ME HAI

💠Darhi ke baal agar ghane na hon to chamrhe ka dhona farz hai aur agar ghane hon to gale kI taraf dabane se jis qadr chehre ke ghere me aayein unka dhona farz hai aur jarh tak dhona farz nahi aur jo halqe se neeche hon unka dhona zaroori nhi aur agar kuch hisse me ghane hon aur kuch me kam ho,

♻To jahan ghane ho to wahan baal aur jahan kam ho us jagah khaal ko dhona farz hai,

💠Labon ka hissa jo aadat me lab band lkarne ke baad zahir rahta hai uska dhona farz hai agar koi khub zor se lab band kar le ki usme kuch hissa chhup jaye ki us par pani na pahuncha aur na kulli ki, ki dhul jaye to wuzoo na hua,

♻Haan woh hissa jo aam tour par aadat me muh band karne se zahir nhi hota unka dhona farz nhi.

Mas'ala

💠Rukhsaar (Gaal) aur kaan ke beech jo jagah hai jise kanpati kahte hain uska dhona farz hai haan us hisse me jitni jagah daadhi ke ghane baal hon wahan baalon ka aur jahan baal na ho ya ghane na ho to jild ka dhona farz hai,

Mas'ala

♻Nath ka suraakh agar band na ho to usme pani bahana farz hai agar tang ho to pani daalne me nath ko hilaaye warna zaroori nhi,

Mas'ala

💠Aakhon ke dhele aur papoton ki androoni satah ka dhona kuch zaroori nhi balki na chahiye ki usse nuqsan hoga,

Mas'ala 

♻Muh dhote waqt aankh ko zor se band kar liya ki palak ke qareeb ek halki si tahreer band ho gai aur us par pani na baha aur woh aadat me karne se zahir rahti ho to wuzoo ho jayega magar aisa karna na chahiye aur agar kuch zyada dhoolne se rah gaya to wuzoo na hoga,

Mas'ala 

💠Aankh ke koye par pani bahana farz hai magar surme ke zirm (Kann, chhote -2 tukde) koye Ya palak me rah gaya aur wuzoo kar liya lekin pata na chala aur namaaz padh li to haraz nhi namaaz ho gai aur wuzoo bhi ho gaya aur maloom hai to use chhurha kar pani bahana zaroori hai.
📜Bahare shariat

 WUZU SAHI HOGA TO NAMAZ SAHI HOGI...

INSHAA ALLAH

🎯CONTINUE

✳ طالِبِ دُعا:-

BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)

No comments:

Post a Comment