WUZU KA BAYAN Part ~ 04
✴WUZU KA BAYAN✴
💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻
🌀PART 04
*HADEES SHARIF*
💠Mishkaat shareef me Hazrate Aaisha Sidiqqa Radiallahu Tala Anha se riwayat hai ki 10 cheezein fitrat se hain
♻(Yani unka
hukm har shari'at me tha)
✔1) Munchhe katarwana,
✔2) Darhi badana,
✔3) Miswaak karna,
✔4) Naak me paani dalna,
✔5) Naakhoon taraashna,
✔6) Ungliyon ko dhona,
✔7) Bagal ke baal Door karna,
✔8) Naaf ke neeche ke baal Mundna
✔9) Istinja karna (Najaasat se nikalne ki Jagah ko paak karna,
✔10) Kulli karna.
📜Bahare shariat
*HADEES SHARIF*
💠Hazrate Ali Radiallahu tala anhu se marwi hai ki Huzoor E Aqdas صلی علیہ و سلم ne farmaya ki banda jab miswaak kar leta hai fir namaaz ko khada hota hai to firishta uske peechhe khade hokar qiraat sunta hai fir uske qareeb hota hai yahan tak ki apne muh ko uske muh par rakh deta hai.
SUB'HAN ALLAH
♻Mashaaikhe kiraam
farmate hain ki momin aadmi miswak ki aadat rakhta ho to narte waqt use kalma padhna naseeb hoga aur jo afyoon (Afeem) khata ho marte waqt kalimaa naseeb na hoga.
💠Ab hadees ke baad ahkame fiqhee bataye jayenge yani wuzoo ke mas'ale.
📜Bahare shariat
🎯CONTINUE
✳ طالِبِ دُعا:-
BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)
No comments:
Post a Comment