Wazu Ka Bayan :part [13]

Note:Gusl Aur Wuzu ka ek ahem baat

Halak tak paani lena gair e Ramadan mein hi lena hai 

Ramadan mein lene se agar paani Halak mein chala Jane se roza makhrooh hojata hai.

🌕WUZU KE MUSTAHHAB


✳Bahut se wuzu ke mustahab upar zikr ho chuke aur jo kuch baqi rah gaye hain woh
likhe jate hain,

✴Mas'ala

💠Daahini taraf se shuroo kare magar 2no rukhsaare ki in 2no ko sath hi sath dhoyenge aise 2no kaano ka masah sath hi sath hoga,

♻Haan agar kisi ke ek hi hath ho to muh dhone aur masah karne me bhi daahine se pahal kare,

💠Ungliyon ki pusht se gardan ka masah karna, wuzu karte waqt KA'ABA ki taraf unchi jagah par baithna,

♻Wuzu ka pani paak jagah girana, Pani girte waqt wuzoo ke hisso par hath fairna khas kar sardi ke mousam me,

💠Pahle tel ki tarah pani mall lena khas kar sardi ke mousam me, Apne hath se pani bharna, Dusre waqt ke  liye pani bhar kar rakhna,

♻Anguthi pahna ho to usko hilana jabki dhili ho taki uske niche pani bah jaye, agar dhila na ho to uska hilana farz hai, Koi mazboori na ho to waqt se pahle wuzu karna, itminaan se wuzu karna,

💠Aam logon me jo mash,hoor hai ki wuzu jawaanon ki tarah aur namaaz budho ki tarah yani wuzu zaldi kare lekin aisi jaldi nahi chahiye ki jisse koi sunnat ya mustahab chhut jaye,

♻Kapdon ko tapkaate qatron se mahfooz rakhna, Kaano ka masah karte waqt bhigi chhanguliyaan kaano ki suraakh me dakhil karna,

💠Jo aadmi puri tour par wuzu karta ho ki uski koi jagah baqi na rah jati ho to use koyo, Takhno, Edhiyon, Talwo, Kuncho,Ghaaiyon aur Kuhniyon ka khas tour par khayaal rakhna mustahab hai..

♻Aur bekhayaali walon ko to farz hai ki aksar dekha gaya hai ki yeh jagah sukhi rah jati hai aur yeh baat bekhayaali se hoti hai aur aisi bekhayaali haraam hai
aur in baaton ka khayaal rakhna farz hai,

💠Wuzu ka bartan mitti ka ho taambe wagairah ka ho to bhi haraz nahi magar us par qalai ho, Agar wuzu ka bartan lote ke qism se ho to use baayein taraf rakhe aur tasht ke qism se ho to daahini taraf,

♻Aftaabe (lota) me dasta laga ho to daste ko 3 baar dho le aur hath uske daste par rakhe, Daahine hath se kulli karna aur naak me pani daalna, baayein hath se naak saaf karna,

💠Baayein hath ki chhanguliyaan naak me daalna, Paao'n ko baayein hath se dhona, Muh dhone me naathe ke sire par aisa faila kar pani daale ki upar ka bhi kuch hissa dhool jaye.
📜Bahare shariat

🎯CONTINUE

✳ طالِبِ دُعا:-

BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)

No comments:

Post a Comment