Wazu Ka Bayaan;【Part~08】
🌕PAAO'N DHONA
💠Choutha (4) farz paaon ko gatto samet ek baar dhona hai,
♻Chhalle aur paao'n ke gahno ka wohi hukm hai jo upar bataya ja chuka hai,.
✴Mas'ala
💠Kuch log kisi beemari ki wajah se paao'n ke anguthon me itna
khinch kar dhaga lete hain ki pani ka bahna to darkinaar dhage ke neeche tarr bhi nhi hota unko isse bachna zaroori hai nhi to aisi soorat me wuzoo nhi hota,
✴Mas'ala
♻Ghaaiyon aur ungliyon ki karwatein, Talwe, Aidhiyaan, Konche sabka dhona farz hai,
✴Mas'ala
💠Badan ke jis aaza ka dhona farz hai us par pani bah jana shart hai, yeh zaroori nhi ki qads aur iraade se pani bahaye balki agar bina ikhtiyaar bhi un par pani bah jaye (Jaise pani barsaa aur wuzoo ke har hisse se 2, 2 qatre bah gaye) to wuzoo ke hisse dhool gaye aur sar ka chouthaai hissa dhool gaya to aisi soorat me wuzoo ki sharte poori ho gai..
♻Ya koi aadmi talaab me gir pada aur wuzoo ke hisse par pani guzar gaya to bhi wuzoo ho gaya,
✴Mas'ala
💠Jis cheez ki aadmi ko aam ya khas tour par zaroorat padhti rahti hai agar usme zyada ehtiyaat ki jaye to harz ho to muaaf hai,
♻Nakhoon ke andar ya upar ya aur kisi dhone ki jagah par us ke lage rah jane se agarche jirmdaar ho agarche us ke neeche pani na pahunche agar sakht cheez ho wuzoo ho jayega..
💠Khana pakaane ghuthne walon ke liye aata,
♻Rangrej ke liye rang ka jirm,
💠Auraton ke liye mahendi ka jirm,
♻Likhne walon ke liye roushnaai ka jirm,
💠Mazdoor ke liye garaa mitti,
♻Aam logon ke liye koe ya palak me surme ka jirm..
💠Isi tarah badan ke Meil,
Mitti, Gubaar, Machchhar,
Makkhi ka beet wagaira,
✴Mas'ala
♻Kisi jagah chhala tha aur woh sukh gaya uski khaal juda karke pani bahana zaroori nhi balki usi chhale ki khaal par pani baha lena kafi hai fir us ko juda kar diya to ab bhi us par pani bahana zaroori nhi,
✴Mas'ala
💠Machhli ka sinna agar wuzoo ke hisse par chipka rah gaya to wuzoo na hoga ki pani uske neeche na bahega.
📜Bahare shariat
🎯CONTINUE
✳ طالِبِ دُعا:-
BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)
No comments:
Post a Comment