Wazu  Ka Bayan ; 【Part~ 07】

🌕SAR KA MASAH KARNA

➡(Ek chuthaai sar ka masah farz hai)

✴Mas'ala

💠Masah karne ke liye hath tarr hona hona chahiye chahe sath me taree uzw ke dhone ke baad rah
gai ho ya naye pani se hath tarr kar liya ho,


✴Mas'ala

♻Kisi uzw ke masah ke baad jo hath me taree baqi rah jayegi woh dusre uzw ke masah ke liye kafi na hogi,

✴Mas'ala

💠Sar par baal na ho to jild ki chouthaai aur jo baal hon to khas sar ke baalon ki chouthaai masah farz hai aur sar ka masah isi ko kahte hain,

✴Mas'ala

♻Imaama, topi aur dupatte par masah kafi nhi haan agar topi ya dupatta itna bareek ho ki taree foot kar chouthaai sar ko tarr kar de to masah ho jayega,

✴Mas'ala

💠Sar se jo baal latak rahe hon us par masah karne se masah na hoga.
📜Bahare shariat

🎯CONTINUE

✳ طالِبِ دُعا:-



BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)

No comments:

Post a Comment