Post_2

Fazail_e_Mah_E_Shaban

                              📗Hadees Sharif:

 “Hazrat Usama bin Zaid رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai ki maine arz kiya: Yaa Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ jis Qadr Aap Shabaan mein Roze rakhte hai is qadr maine Aap ko kisi aur Mahine mein Roze rakhte huwe nahi dekha? Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya:
Ye ek aisa mahina hai jo Rajab aur Ramadan ke darmiyaan mein (aata) hai aur log is se gaflat barat’te hai. Haanlaanki is mahine mein (pure saal ke ) Amal Allah Ta’ala ki taraf uthaye jaate hai. Lihaza mein chahta hu ki mere amal rozadaar hone ki haalat mein uthaaye jaaye.” [● Sunan Nasai, kitab ul Siyaam;
● Musnad Ahmed bin Hambal, jild 5, pg 201;
● Shara Maani al A’saar- Tahawi, jild 2, pg 82;
● Musannaf Ibn abi Shayba, jild 2, pf 346]

#Post2#Fazail_e_Mah_e_Shaban#Gulaam_e_Raza
#Azhari_Mission #azharimission

No comments:

Post a Comment