TOPIC:Munafiq Kaun???

1) Hazrat Ibn E Aamir Raziallahu Anho Ka Bayan Hai Ke Aik Roz Nabi Akram Sal Allahu Alaihi Wasallam Bahar Nikle Aur Aap sal allahu alaihi wasallam ne shuhday e auhad par is tarah namaz padhi jaise mayyat par padhi jaati hai. Fir wapas aakar mimbar par jalwa afroz huye aur farmaya:"mai tumhara pesh khema hu,aur khuda ki qasam,mai apne hauz ko ab bhi dekh raha hu,aur mujhe zameen ke khazaano ki
kunjiyań ata farmayi gayi haiń,aur beshak khuda ki qasam,mujhe apne baad tumhaare mushrik hone ka koi darr nahi,balke mujhe darr hai to tumhare duniya me fasne ka darr hai."
{SAHIH BUKHARI,KITAB-UR-RIQAQ,page:584}
SUBHANALLAH...is hadees e mubarka me sarwar e kainaat sal allahu alaihi wasallam ne apne gaibdaan hone ka zikr farmaaya ke maidaan e auhad se hauz e kausar dekh rahe haiń..
Aur duri baat ye pata chali ki aaqa sal allahi alaihi wasallam mukhtaar e kul hain...unhe zameen ke khazaano ki kunjiyań ata ki gayi haiń...
Aaqa sal allahu alaihi wasallam ne ye bhi farmaaya ke ummat e mohammadiya shirk na karegi balke wo duniya ke gunaaho me fase rahegi...
Ab is hadis ka kya jawaab doge wahabio!!! Lagao fatwa shirk ka!!
Aur ye bhi pata chala ke aaqa sal allahu alaihi wasallam shuhdaaye auhad ke mazaarat pe haziri dene jaaya karte the..
Aur Sabse Zyada Note Karne ki Baat ke Mere Aaqa Sal Allahu Alaihi Wasallam Ne Ye Baat Shuhdaa E Uhad ke Mazaar Pe Ja Kar Hi Kyu Farmaayi??
SubhanAllah...
Kyuke Mere Gaibdaan Aaqa Sal Allahu Alaihi Wasallam Jante the ke Mere Ummatio Ko Isi Amal Ki Wajah Se Mushrik Kaha jayega...
SubhanAllah...Sunnio Qurbaan Jaao Mere Aaqa Sal Allahu Alaihi Wasallam Ke Ilm E Gaib pe Aur Wahabio Doob Maro Chullu Bhar Paani Me Is Hadees ko Padh Ke...Wo Bhi BUKHAARI ki Hadees...
Jise Sunkar Tumhe Bukhaar Aata hai...
Aur yahi aqide ahl e sunnat wal jamaat ke bhi hain ke sarkaar sal allahu alaihi wasallam mukhtaar e kul aur gaib daan hain.isi liye sunni sahaba e kiraam aur auliya e kiraam ke mazaaraat pe haziri bhi diya karte hain kyu ke ye aaqa sal allahu alaihi wasallam ki sunnat hai......

2)Hazrat sayyadna shaddad bin aous raziallahu anho ko rota dekh kar kisi ne pucha:"kyu ro rahe ho?"
Farmaya:maine rasool allah salallahu alaihi wasallam se aik baat suni thi wo yaad aa gayi aur mujhe rula diya,huzoor sal allahu alaihi wasallam ko maine farmate suna ke"mai apni ummat par khufiya shirk aur poshida shahwat ka andesha karta hu."
Maine arz kiya:"ya rasool allah sallallahu alaihi wasallam kya aap ki ummat aap ke baad shirk karegi?"
Farmaya:"Hań,magar wo log chand,suraj,pattharo aur buto ko nahi pujeńge balke apne Aamal me raya kareńge aur shahwat khufiya ke subah ko roza rakhega fir kisi khwahish se roza tod dega"
{MASNAD IMAM AHMAD BIN HAMBAL,HADIS SHADDAD BIN AOUS,hadis no:17120,volume:6,page:77}
Is pyaari hadees e mubarka ka jawaab kya doge wahabdoń..
Aur lagaao shirk ka ilzaam..
Wo sahaba the unka aqida hai ke ye ummat shirk nahi karegi ..aur ye wahaabi hain jinhone ne shirk ki dukaan khol rakhi hai!!!
Aayein ab aapko batate hain ke yeh log badmazhab kyun quran paak ki ayaat ko galat jagah isemal karke musalmano ko gumrah karte hain....

Hazrat Abdullah bin umar (رضی الله عنہ) farmate hain,
"kharji (jo deen say kharij ho yani badmazhab) itne gumrah log hain ke jo ayaat kafiron (mushrikeen) aur buton (idols,murtiyon) ki mazamat me nazil huyein inko musalman par chispan karte hain"
📚(Sahih bukhari jild 2 sahfa 1024)

Ab Aaiye Dekhte hai Ki Asli Mushrik Logo Par Shirk Ka Fatwa Lagane Wale Hai Ya Fir wo Kuch Bhole Bhale Musalman Jo Allah ke Mehboob Bando ke Waseele Se Apni Murade Mangte hai......

Hadees:-
Nabi-e-paak (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
"Mujhe tum par us shaksh ka khauf hai jo quran paak padhega aur is par Quran ki Ronaq Dekhi jaye gi aur usne islam ki chadar odh li ho gi phir Allah jidhar chahy ga usko behka dega wo islam ki chadar se nikal jayega aur apne musalman padosi par talwar chalaye ga aur us par shirk ki tohmat lagayega"

Sahaba ikram (ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨهما) ne pyaare Aaqa (صلی اللہ علیہ وسلم) se pucha"Dono main mushrik kon ho ga ?"

Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
"Shirk ki tohmat laganay wala"
📚(Tibrani shareef jild 20 sahfa 88)
Shirk Ki Tohmat Lagane Wale ko Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam ne Mushrik Kaha Hai Aur Ummat Ke Shirk Karne Ke Bare me Aage Hadeese Paak Padhe.....

Aayein is topic ko aur clear karlein Allah ka shukr ada karein Sunni bhaiyon aur inke shirk ke fatwon se pareshan hona chodh dein....

Hamare pyare Nabi-e-Paak (صلی اللہ علیہ وسلم) ki gawahi ummat ke Naam farmaya,
Khuda ki kasam mujhe yeh khauf nahi ke tum mere baad shirk karne lagoge"
📚(Bukhari shareef hadees no.6426)



TALIB E DUA:khakpa-e-MUHADDIS-E-KABEER Janab Faiz Ahmad Ziyai Amjadi Razvi.

No comments:

Post a Comment