*Post No:3*

*_Ilm e Ghaib e Mustafa  Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam_*

*_Hadees Sharif:3(Continued Post)_*

*Mishkat Bab Ul Fitan Me Bukhari O Muslim Se Ba Riwayat Hazrat E Huzaifa(Radiallahu Tala Anhu) Hai.


*Tarjuma:Huzoor(Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam)Ne Is Jagah  Qayamat Tak Koi Cheez Na Chori,Magar Uski Khabar De Di,Jisne Yaad Rahkka,Yaad Rahkka,Jo Bhool Gaya Wo Bhool Gaya*

*_{Sahi Bukhari, Jild:2,Page:977,Matboo'a Karachi}_*
*_{Dalaelun Nabbuwwah,Imaam Baihaqi,Jild:6,Page: 313,Matboo'a Darul Qutub Ul Ilmiya,Beroot}_*

_Hafiz Shahabuddeen 862 Hijri Me Lihkte Hai:_

*Tarjuma:Huzoor(Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam) Ka Ek Hi Majlis Me Roz E Qayamat Tak Ke Ahwaal O Waqyat,Ka Bayan Faramana Apka Azeem Mojiza Hai,Aur Aap(Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam) Ki Shaan Taweel Kalam Chand Jumlon Me Bayan Karna Iska Aenadaar Hai.Aur Iski Misaal Ek Dusre Jagah Se Abdullah Ibne Umar O Aas(Radiallahu Tala Anhu) Ki Hadees Sharif Me Hai Jisme Imaam Tirmizi(Rahemullah)Ne Riwayat Ki Hai,Ke Huzoor (Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam) Hamare Paas Tashreef Laye,Apke Hath Me 2 Kitaaben Thi.....Sidhe Hath Wali Kitaab Ke Bare Me Farmaya Ki Yeh Kitaab Rabbul Alamin Ki Taraf Se Hai,Isme Ahle Jannat Aur Inke Aaba'a aur Inke Qabeelon Ke Name Hai,In Par Kabhi Bhi Na  Koi Name Zyadah Ho Sakta Hai Aur Koi Kam Ho Sakta Hai..Aur Fir Baayen(Left)Hath Wali Kitaab Me Ahle Dozhak Ki Nisbat Isi Ki Misal Bayaan Farmaya*

*_{Fatah Ul Baari,Sharah Sahi Bukhari,Jild:6,Page:291,Matboo'a Dar un Nashar,Kitaab Ul Islamiya,Lahore}_*

~To Be Continued ~

Book:Ilm E Gaib 

_Allah Azzawajjal Ki Bargah Me Dua Hai Lihkne Me Koi Galti Hui Ho Kaisi Bhi Use Maaf Farmaye Hume Deeni Khidmat Pesh Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye_


Share By~~~

_AZHARI MISSION TEAM_

Join Our Whatsap Group
~~~~~Azhari Mission~~~~

Atiq Husain Khan Qadri Chisty
Number: +966 50 797 6248

Mubasshir Qadri Razvi Noori
Number: +91 9167076626




No comments:

Post a Comment